Showing posts with label my clicks. Show all posts
Showing posts with label my clicks. Show all posts

Saturday, January 31, 2015

Dil Yeh naazuk hai mera jeene de mujhe..!

Narm honton se tere peene de mujhe
Dil Yeh naazuk hai mera jeene de mujhe
Kaali zulfon ki ghata choone de mujhe
Dil Yeh naazuk hai mera jeene de mujhe..!

Chaal Teri hai saba nein Yeh kehkashan
Khushbuon mein tu basi taare tere nishan
Baaho mein aake teri meine paya hai jahan
Hai tu hi door talak tu koi aasmaan
Chaak girba'n hun zakhm seene de mujhe
Dil Yeh naazuk hai mera jeene de mujhe..!

Jitna dekhun hun tujhe utna badhta hai gumaan
Har taraf ek tu hi tu yahan tu hai wahaan
Khud mein hi khone laga mujh mein bhi tu hai nihaan
Saare aalam ne kaha ek tu hi bas hai jawaan
Khud ko paya hai abhi, abhi khone de mujhe
Dil Yeh naazuk hai mera jeene de mujhe..!

- Khan M. Asim.. 31/01/2015... 01:10 PM.. Train..!

Friday, May 16, 2014

Mazah zindagi ka huzoor aagaya hai!

Chale jo gaye the bahut roye the hum
Jo lautey ho lagta hai jeevan yahi hai
Madhosh hain ab, suroor aagaya hai
Mazah zindagi ka huzoor aagaya hai!

Aata nahin hai humein pyaar karna
Mushkil hai tum se haan izhaar karna
Bahut arse beete faqat iss amal ko
Woh milte hi tum se haan takraar karna
Shab pe bhi dekho fitoor cha gaya hai
Mazah zindagi ka huzoor aagaya hai!

Tumhari nazar ke deewane toh the hi
Tumhare nazariye ke qayal bhi hum hain
Tumhe dekhte hi mit gaye dard saare
Magar dhadkanon se ghayal bhi hum hain
Nigaahon mein dekho noor aagaya hai
Mazah zindagi ka huzoor aagaya hai!

- Khan M. Asim... 10/05/2014... 01:07 AM!

Tuesday, July 14, 2009