Thursday, December 05, 2013

Munfarid Ash'ar..!

Na nigah se koi junbish na labon se kaam lia
Sarhadon ko laanbh ke haath usne thaam lia..! Asim


***************************************

Tod diye hain sooraj meine jab bhi dekha ghoor ke unko
Taab kahan se laate woh bhi inn pur-noor khayalon ki! Asim
 
***************************************
 
Jo Marr gaya toh mujhko dafna de
Apni pyaari pyaari aankhon mein
Inhin masgaan tale qabar ho ik
Kutba ho inn nigaahon mein
Farishton ka gar guzar bhi ho
Teri palkon ko Chu ke aayen woh...! Asim
 
****************************************
 
Tera dil bhi koi sarai tha mein aaya aake nikal gaya
Hui tezz kitni yeh chandni mein roshni mein pighal gaya..! Asim
 
***************************************
 
Gud si baatein karke pehle pyaar bhi dia
Aur phir us ne humein dhutkaar bhi dia! Asim
 
***************************************
 
Shaam mastani si hai aur deewane hain hum
Aaj phir se ishq se makhmoor hain hum! Asim
 
**************************************
Khwamkhwah dil mein taab hai bhadki
Zindagi keh di, thi mahez ladki..! Asim
 
***********************************
 
Unhein tameez kahan jo kehte hain ishq beadab hai
Mohabbat mein bas aashiq ki pehchaan adab hai! Asim
 
*************************************
 
Wehshat dehshat bas phaili hai bin tere takseer hai dil
Khana jungi har su tashaddud maqbuza kashmeer hai dil
Koi nahin par isse pukhta iflaaki zanjeer hai dil
Khoo'n ka munawwar qatra qatra Allah ki takbeer hai dil! Asim
 
****************************************
 
Mein tumhein pyaar karun tum mujhe pyaar karo
Mein bhi izhaar karun tum bhi izhaar karo
Ishq hai dono taraf ab na inkaar karo
Tum meri ho faqat bas yeh iqraar karo! Asim
 
****************************************
 
Deep se deep jalao, magar dil jalao nahin
Roshni aisi ho ke aankh chundhyaye nahin
Tum ho insaan bol sakte ho sun bhi sakte ho
Shor itna ho ke koi maasoom ghabraye nahin..!
!!Happy Diwali!! Asim 
 
 
 
*****************************************
 
Ab ke Teri talaash mein tanha hum baadgard
Sehra sab chaan aaye, par Teri khabar nahin..! Asim
 
****************************************
 
Rooh bhi bezaar hai sun le
O Dil sag-e- kharish zadah! Asim
 
*************************************
 
Hua hun abr se paida, sawaale charkh hun mein
Tere jahaan mein zaahid... mera jawaab kahan! Asim
 
*************************************
 
Jo naam lega, falaisa minna
Jo dhoka dega, falaisa minna
Jo sach ko toley o ghup kahega
falaisa minna... falaisa minna..! Asim
 
**************************************
 
Jahan dooja tha jo shaur aaya usse
Meri majboori thi mein chod aaya usse
Khayal aaya ke phir se dekh lun usko
Jahan pe choda tha wahan na paya usse! Asim
 
**************************************
 
Saare jug ko ab hai jagana dhol baja ke chal
Chal tu qalandar chal tu qalandar kashkol utha ke chal
Koi nahin ab Tera rehbar tu hai apna masiha,
Allahu Akbar Allahu Akbar bol utha ke chal
Chal tu qalandar chal tu qalandar kashkol utha ke chal! Asim
 
***************************************
 
Silsila nahin rukta aansuon ka aur ghum ka
Hum shikastkhoron ki phir wahi kahani hai
Kuch naya nahin milta jab khayal karte hain
Kya kahein kisi se ab baat phir puraani hai
Silsila nahin rukta aansuon ka aur ghum ka
Hum shikastkhoron ki phir wahi kahani hai! Asim
 
****************************************
 
Aise khafa tu hoke mujhse kahan gayi o meri jaa'n
Saare shaher ko chaan mera milta nahin par Tera nishaa'n..! Asim
 
***************************************
 
Kitni mushkil padi hai phir hum pe
Arsh waala phir imtihaan leta hai
Kher, maqsad toh neik hai apna
Kya hai dil mein woh jaan leta hai! Asim
 
***************************************
 
She never won my heart... She always stole it!!! Asim <3 span="">

****************************************

Woh kehte hain unhein hum ne pukara kaise
Ishq ik baar tha hoga phir dobara kaise
Mere dil ne bhi unse mohabbat ki hai
Mere dil ka hoga ab guzara kaise...
Woh kehte hain unhein hum ne pukara kaise
Ishq ik baar tha hoga phir dobara kaise..! Asim
***************************************
 
Aman ahimsa sachchai
Tere har sandes mein
Lekin bhool gaye na sab
Zindagi ki race mein
Dakuon ne dhaak jamai
Netaon ke bhes mein
Lagte hain pardes mein
Gandhi tere des mein..!
Happy Birthday Dear Bapu...! Asim
 
****************************************
 
Haal unse bayaa'n karein dil ka
Aur woh keh dein milenge fursat se! Asim
 
**************************************
 
Ek zaahid hai mujahid, hui majrooh hai khudi
Woh toh kaafir hai, kya samjhegi darde dil ko! Asim
 
**************************************
 
Kaash tum yahan hotin, toh tum se khoob ladta, rota
Tumhari baahon mein thak kar choor hota, so jata! Asim
 
*************************************
 
Tu nahin jaanti kitna khuddaar hun mein
Zindagi itna bhi bezaar na kar..! Asim
 
************************************
 
Udaasiyaan toh mausam hain, aati jaati rehti hain
Magar iss dil ka kya karun, yeh toh permanent hai! Asim
 
*************************************
 
Tujhe ishq mujhse agar nahin toh yun muskura ke na baat kar
Mera dil hai shayer manchala, yeh ghazal mein tujhko na dhaal de! Asim
 
***********************************
 
Tujhe ishq mujhse agar nahin toh yun muskura ke na dekh tu
Mera dil hai shayer manchala, yeh ghazal mein tujhko na dhaal de! Asim
 
***************************************
 
Kabhi mujhko aake tu pyaar kar, kabhi ishq ka tu de sila
Bahut ho chukin hain ranjishein, meri jaanejaan ab paas aa! Asim
 
*****************************************
 
Ajeeb pyaar hai, ajab aitbaar hai tera
Sitam sahein bhi aur intezaar karein! Asim
 
***************************************
 
Ajeeb pyaar hai, ajab intezaar hai tera
Sitam sahein bhi aur aitbaar karein! Asim
 
***************************************
 
Log siyasat mein kya kya nahin kar lete hain
Muskuraate bhi hain afsos bhi kar lete hain! Asim
 
*****************************************
 
Dekh mujhko zara tere qaabil hun mein
Teri saari duaon ka haasil hun mein
Mujhse ab iss tarah na nazar pher tu
Tere qalb o jigar mein bhi shaamil hun mein! Asim
 
******************************************
 
Muztarib hun khudi mein kitna, karun kaise tumko aashna
Chehre pe muskaan bahut hai, zameer malamat karta hai! Asim
 
*******************************************
 
Nakhuda sun ghaflat teri khoob rahi hai
Saahil pe hi kashtee apni doob rahi hai
Mutlashi hai mushq ka jungli itna sun le
Duniya tere bastey ki mehboob rahi hai! Asim
 
******************************************
 
Waqte mehnat aagaya phir aarizaa
Rab ne phir se imtihaan ki thaan Li! Asim
 
***************************************
 
Neend palkon tak aakar ke laut jaati hai
Mere khwaab mujhe soney ki ijazat nahin dete! Asim
 
**************************************
 
Der shab se mohabbat nibha raha mujhse
Ajeeb aashiq hai soney nahin deta mujhe! Asim
 
***************************************
 
Muddaton ke intezaar mein tere
Ab toh dil ko kahin qaraar nahin! Asim
 
*************************************
 
Kitaab haath mein, chehrey pe muskurahat hai
Maqtal ko chod ke maktab mein aagaya qaatil.! Asim
 
**************************************
 
Chura ke laaya hun rang aasmaano se
Aajao ke jaana'n sa'nwaar dun tum ko! Asim
 
************************************
 
Nazare bad mein bhi aagaya hun mein
Uski zad mein mein jo aagaya hun mein
Kya kahun ab nikal nahin sakta,
Oonchey qad mein jo aagaya hun mein..! Asim
 
************************************
 
Pehli baar tab hua tha jab tumko socha tha
Doosri baar tab yeh ubhra jab tumko dekha tha
Sach kehta hun jaana tumse sun lo o Sarkar
Hum ko tumse pyaar hua hai jaane kitni baar! Asim
 
***********************************
 
Dile khandar mein boom hai goya
Ab ke tanha huwe hain hum aise! Asim
 
***********************************
 
Shouq na ho toh na padhe mujhko
Jisko padhna ho woh padhe mujhko
Nahin mein daad ka talib kisi ki...
Sach ko padhna ho toh padhe mujhko! Asim
 
************************************
 
Mushkil safar mein aaya hai lekar ke pal saeed
Khush aamdeed khush aamdeed mahtaabe Eid! Asim
 
************************************
 
Yun toh zamaney mein hain bahut sahibe arbaab
Tum sa koi nahin par jo taskeen de behisaab..! Asim
My daddy strongest
 
 
************************************
 
Maula in zakhmon ko itna ujagar kar de
Ke dardmand koi haath shifa ka rakh de
Yun toh mohtaaj kisi ka nahin tere siwa
Rehnuma apna bhi koi Khizr sa rakh de! Asim
 
************************************
 
Insaan ki fitrat mein pheili
Dekh parindey berukhi
Jinko apne samajh raha hai
Tujho denge bebasi
Waqt padega jab mehshar mein
Ya rabbana nafsi nafsi
Ya rabbana nafsi nafsi..! Asim
 
**********************************
 
Abre rehmat ho tum aur nalaa'n hun mein
Dost karte ho kyun kaam thup tum mere! Asim
 
**********************************
 
Kuch rahem kar maula ke hun majboor mein
Ghotey mein khaata hun behre masjoor mein! Asim
 Kis se darkhwast karun kisko paighaam dun mein
Tere mehboob ke rozey se bhi hun door mein! Asim
 
Ghota - dive, behre masjoor - an ocean of cyclones
**************************************
 
Mushkilein aati rahengi zindagi ke iss safar mein
Dil musafir tu magar chal raasta humwaar karte! Asim
 
**************************************
 
Raat bhar jagati hain din ki Ruswaiyaan
Bas sukoon deti hain humko tanhaiyaan! Asim
 
***************************************
 
Rehna hai saath rahiye warna toh jaiye
Lekin khuda ke waaste dil na dukhaiye! Asim
 
**************************************
 
Aankhon mein walwala tha pur zor tha khitaab
Jis pe nigaah ko daal di woh bhoolta jawaab
Filmon ka ab tassavur bin Pran kya karein
Kirdaar ke masiha ko dil se mera aadab! Asim

RIP Pran Sahab..! The only actor in Bollywood of Dilip Kumar's calibre, in fact better in certain roles..!
 
**************************************
 
Jo maang Li maafi, toh chadh gayi sar pe
Waah ri Duniya Tera mizaaj hi nirala hai! Asim
 
**************************************
 
Jis pe datey huwe ho bilkul na chodo kaam
Soum o Salaa ka lekin karna hai ahtamam
Tum ko ajar milega mehshar mein lakhon baar
Sab barkaton ko saath le aaya hai maahe siyaam! Asim

Ramzan Mubarak to all 
 
***************************************
 
Jo maktab se nikla toh maqtal mein pahuncha
Jo maqtal mein pahuncha toh mulzim bana mein
Woh zaalim jo aaya mazloom ban kar
Usse dekh kar phir mujrim bana mein..! Asim
 
**************************************
 
Dard bahut hai saanson mein, kaise bayaan ho haale dil
Koson door pe beith ke humdum, kya duniya taskheer kari
Alfaaz tere hi bandey the, tujh se hi wabasta rahey
Nazar se Teri chura ke ghazal phir kaghaz pe tehreer kari! Asim
 
***************************************
 
Jisey roshni ka hai aasra, usse zulmaton ki qadar nahin
Nahin jaanta woh be-adab, tareekiyon mein qaraar hai
Kyun roshni ki talab rakhun, kyun na roshni ki talab banu
Ghurur kaisa yeh shams ko, aakhir manzil ghubaar hai! Asim
 
****************************************
 
Hua hun abr se paida, sawaale charkh hun mein
Tere jahaan mein zaahid mera jawaab kahaan..! Asim
 
*****************************************
 
Qadam jab raah pe aa pahunche, manzil bhi yaqeeni hai
Muqaddar khalqe rabbani, yeh imaa'n bhi zaroori hai! Asim
 
******************************************
 
Rukh se tajalli pa gaye, aur mili taskeene dil
Masnui duniya mein iss, nemate qudrat hai tu..! Asim
 
*******************************************
 
Sawaalon se mere bach na sakogey
Jawaabon ko apne saleeqa sikhao
Ke pursish na ho tum se deri pe koi
Mohabbat ka aisa tareeqa sikhao! Asim
 
***************************************
 
Toofaanon aur sailabon se keh do ke maghroor na hon
Bhaarat maa ke veer, jiyaale, zinda hain takraane ko..! Asim
Dedicated to Indian Army Soldiers rescuing people in Uttarakhand..!
 
***************************************
 
Doghla dil yeh tumhe behlaye rakhega bemaani jawabon mein
Mohabbat dafn kardegi tumhe kaaghaz kitabon mein! Asim
 
***************************************
 
Andheron se ujalon ka safar hota nahin aasaa'n
Hai shabo'n ka dard kaisa yeh saher hi jaanti hai! Asim
 
************************************
 
Jo mere saath hain, mein unke saath hun...
Jo mere khilaaf hain, mein unke khilaaf nahin hun... 
Kyunke woh kal mere saath honge! Asim
 
*********************************
Mausam-e-ishq mein tanha na guzara hoga
Kuch toh karo khayaal, hamarey khayaal ka! Asim
 
***********************************
 
Raat hai tanhayi hai baarish hai bahara'n hai
Sung tu hi nahin dilbar, kya khaak bahara'n hai! Asim
 
************************************
 
Rab ne banaya saara jug, rabb ne hi insaan
Phir bhi naadaa'n tu rabb ke bhool gaya ehsaan
Rabb ne tera jism banaya, rabb ne bakhshi jaan
Fabi ayyi alai rabbikuma tukazzibaan..!

Maula ka karam hai, maula ka rahem hai
Yeh kaam yeh daulat maula ki nawazish
Jo tu ne maanga aur jo na maanga
Maula ne ata ki teri har ik khwahish
Ya naam yeh rutba, maula ki inayat
Maula ne hi bakhshi tujhko bandey unchi shaan
Fabi ayyi alai rabbikuma tukazzibaan..!

- Khan M. Asim... June 12, 2013 at 12:36pm..!
 
********************************* 
 
 Mohabbat mein wafa na ho toh sab bekaar hai yaaro
Jo dhoka ho kabhi tum ko toh dhokebaaz ko maaro
Agar mehboob sachcha hai, karo na fikr marne ki
Magar makkaar ki khaatir tum hargiz apni jaa'n na do! Asim
 
***********************************
 
Kisi pinjrey mein ishq gar che qaid hojata
Qais-e-aamiri kab ka taareeki mein khojata! Asim
 
***********************************
 
Apne aqeedon pe hai Unko bala ka naaz
Apna toh bas mohabbat hi wahid usool hai! Asim
 
***********************************
 
Dil ko tadpa raha hai phir se wahi khayaal
Bheege bheege uske gaal, mausame barshgaal! Asim
 
************************************
 
Mann hi mann jhinjod rahi hai, andar andar tod rahi hai
Hijr mein tere faqa masti, khoon mera nichod rahi hai! Asim
 
************************************
 
Kaisa yeh khel der shab shuru hota hai
Aankh dhalte hi khwaab tulu hota hai
Neend ka khwaab se ajab hai rishta
Dil ussi shakhs se ruju hota hai! Asim
 
************************************
 
Mushtail kar gayin unnki baatein humein
Warna kehne ko hum bhi burey toh nahin
Unko dushnaam karna toh maqsad nahin
Lekin kehne ko woh bhi bhaley toh nahin! Asim
 
************************************
 
Kaun thehra hai yahan har musafir chal raha hai
Zindagi ik marhala hai, maut bhi ik marhala hai! Asim
Marhala - stage
RIP Jiah Khan 
 
*************************************
 
Taareekh ke har baab ko masmaar Kia jaaye
Majnu ko magar phir bhi giraftaar Kia jaaye! Asim
Taareekh - history, baab - chapter, masmaar - demolish
 
**************************************
 
Mein tujhse maangta hun yazdaan pukaar kar
Mujhko tu de sukoon ab kahin se nikaal kar! Asim
 
*************************************
 
Talaash humsafar ki, ki bahut hum ne
Tum mile manzil mili, yeh faasla hota hai kya? Asim
 
****************************************
 
Duniya badle, insaa'n badlein, badlein saare rang
Apni dhun mein hi rehte hain, badlein kahan malang! Asim
*********************************************** 

Wednesday, December 04, 2013

Aao na poocho par koi hisaab..!


Aao na poocho par koi hisaab
Sawaalon ka dunga mein kaise jawaab
Husn-e-nooraani aur uspe shabaab
Tori kaari nazariya kare lajawaab...
Aao na poocho par koi hisaab..!

Na dushnaam humko karo seher-o-shab mein
Humi hum likhe hain ke jab ke nasab mein
Taraane hamaare hi gaati ho har dum
Humein dekhti ho jo dekho uqab mein
Jo sheereen yeh lab hain zuban kyun ho turshi
Duayein jo dogey milega sawaab...
Aao na poocho par koi hisaab
Sawaalon ka dunga mein kaise jawaab
Husn-e-nooraani aur uspe shabaab
Tori kaari nazariya kare lajawaab...
Aao na poocho par koi hisaab..!

Ajab hum pe ab toh padi yeh paher hai
Ghazab ho raha hai ik hum pe qaher hai
Tumhare bina ab jo jeena pada hai
Yahan har ik lamha haan lagta zaher hai
Hum phir jee uthenge yeh keh dete hain
Jo jalwah dikhaogey aakar janaab
Aao na poocho par koi hisaab
Sawaalon ka dunga mein kaise jawaab
Husn-e-nooraani aur uspe shabaab
Tori kaari nazariya kare lajawaab...
Aao na poocho par koi hisaab..!

- Khan M. Asim... 02/12/2013... 11:10 AM... Train..!
So, here comes the 100th poem on this blog for the year 2013. 

Mumkin hai imtihaan yeh apna taweel ho..!

Zara sabar kar aye dil kyun tu zaleel ho
Mumkin hai imtihaan yeh apna taweel ho

Kuch ko hai aabpaashi kuch tishnagi ke maare
Laazim nahin har dehqaan yaan khud kafeel ho

Yaksaan hai har bashar yeh uska usool hai
Aatish se aazmaata hai chaahe khaleel ho

Uski zameen ka bandah har mustafeed ho
Woh saltanat banata hai gar ghalla qaleel ho

Go apni tashbihaat se Chu le woh aasmaan
Par Fateh-e-muqadma hai jis pe daleel ho

Insaan woh ke dil mein wusuat ho charkh si
Kaisa aqeel woh ke khud-sar bakheel ho

Kis ki bani hai Asim uske bagher yaan
Jalwah ussi ka hai bas jiska jaleel ho!

- Khan M. Asim... 19/11/2013... 09:20 PM..!

Tuesday, November 12, 2013

Zindagi ke sang tu muskurana seekh ley..!

Zindagi ke sang tu muskurana seekh ley
Kati Hui patang ko tu udana seekh ley
Sab ko hai hasad yahan kaun chahta hai bhala
Seene pe ab moong dal, dil jalana seekh ley
Kab talak sharmayega, husn se ghabrayega
Mehluqon ki aankh se kajal churana seekh ley
Kaun jaane kya ho kal, kya pata, ho kya khabar
Bekhudi mein raqs kar, thartharana seekh ley
Raat bhar na jaag tu, khwab toh hain khwab se
Khwab jamke dekh tu aur kamana seekh ley
Jeet bas hai khauf ki ishq bhi mehkoom hai
Kaam gar nahin baney toh darana seekh ley
Koi jaa ke keh de haaye, baat Asim yeh usse
Door door reh magar paas aana seekh ley..!
- Khan M. Asim... 12/11/2013... 02:24 AM..!

Thursday, November 07, 2013

Usse ghuroor hai apni sabhi adaon pe..!

Usse ghuroor hai apni sabhi adaon pe
Humein bhi naaz hai apni sabhi wafaon pe
Usse hai zid ke mazloom banke sabr karo
Humein bhi fakhar hai apni sabhi sazaon pe
Usse hai bharam ke woh hai koi hakim
Hamara khauf hai munsalik nigahon pe
Kabhi khizaan mein milte the bahar hoti thi
Abas khizaan lipti hai ab baharon pe
Raat thi cut gayi yunhi chand bhi tanha raha
Kaun jaane kaise beeti hai inn sitaron pe
Hum se ladne ko laayi woh aag aur sholay
Koi batlaye ke yeh beasar hai khaaksaron pe
Kher, qissa yun mukhtasar Asim
Ke aata lutf hai uski sabhi jafaon pe!
- Khan M. Asim... 07/11/2013... 02:00 AM..!

Monday, November 04, 2013

!!Happy Diwali!!

Deep se deep jalao, magar dil jalao nahin
Roshni aisi ho ke aankh chundhyaye nahin
Tum ho insaan bol sakte ho sun bhi sakte ho
Shor itna ho ke koi maasoom ghabraye nahin..!

Khan M. Asim... 02/11/2013... 09:00 AM!
editor@journospy.com

Yeh jo tanhayi tu ne di hai mujhe..!

Yeh jo tanhayi tu ne di hai mujhe
Mujhko manzoor hai yaadon ke liye
Sang Tera bahut anokha tha
Yaad Teri bahut niraali hai
Shaam, badal, ghata, tareekiyan
Sab se nisbat hai tere gesun ki
Noor, roshni, ramaq, bijliyaan
Sab se nisbat hai tere nenon ki
Itr, mushq, mahek, khushbuyein
Sab se nisbat hai Teri saanson ki
Aur kis kis ko tujhse jodun mein
Tu toh yakta, nayaab, naadir hai
Teri tasveer kab se haath mein hai
Dekhta hun, takta rehta hun
Khwaab mein hota raqs Tera hai
Aainey mein bhi aks Tera hai
Yeh jo mein hun asal mein, mein nahin
Mujh mein bhi Teri shabih hai ab
Baat tere jaise hi karta hun
Raqs karta hun aur hansta hun
Sach kahun, jitni tu khoobsoorat hai
Yaad utni Teri bhayanak hai
Saans rukti hai, chalne lagti hai
Rota hun, sisakta hun aah bharta hun
Tu ne kaha tha so muskura raha hun mein
Jaldi aa ke ja raha hun mein
Jaane Kab yeh rooh parvaaz kar jaye
Yaad se bhi Teri azaad kar jaye
Sach kahun yeh qaid pyaari hai mujhe
Aaja ke tera intezaar karta hun
Haan eilaaniya yeh aitraaf karta hun
Mein sirf tujhse haan tujhse Pyaar karta hun..!

- Khan M. Asim... 02/11/2013... 12:08 AM..!

Ab tak zindah tha mein jiyunga ab..!

Jo bhi karna tha mein karunga ab
Ab tak zindah tha mein jiyunga ab

Door rehkar ke bahut dekha hai jise
Rooh ki zaat se mein milunga ab

Kitna dushwaar tha yeh marhala bhi
Dushwaar-kun se mein ladunga ab

Khoob jheley hain sitam waqt tere
Isse ziyada aur na mein sahunga ab

Tujhko milna hai to aa ke milunga ab
Muntazir aur na mein rahunga ab

Kis ne dekha hai yahan kal ka vaada
Saath chalna hai mein chalunga ab

Apni hasti bhi ajeeb hai ASIM
Khauf aur kis ka mein rakhunga ab!

- Khan M. Asim... 01/11/2013... 01:25PM..!

Zindagi ussi dehleez pe le aayi hai..!

Zindagi ussi dehleez pe le aayi hai
Humsafar apni faqat tanhayi hai

Kisne paya hai Sahara kisi ka ismein
Umar apni bhi toh yeh harjayi hai

Tum andhero mein aazmao toh isse
Saath deti yeh kabhi parchayi hai

Mustaqil paala hai sitam ko hum ne
Ek taareeki se apni hi shanasayi hai

Tum wafaon se ishaq ka bhardo daman
Haath aati toh mahez ruswayi hai

Dil yeh kehta hai unko bhi sila aisa mile
Barg-e-gul jaise yahan murjhayi hai

Woh huwe hain kab kisi ke jo abke honge
Unki fitrat main hi Asim bewafayi hai!

- Khan M. Asim... 30/10/2013... 05:18 AM!

Kabhi yeh socha na tha..!

Kabhi yeh socha na tha...
Zindagi itni khamosh bojhal si ho bhi sakti hai
Lamhon mein udaasi bas bhi sakti hai
Pehron mein agan si lag bhi sakti hai
Kabhi yeh socha na tha...
Ke tumhare bin jeena itna dushwaar ho bhi sakta hai
Ke deewarein asdahey si lag bhi sakti hain
Ke hawayein saazishein yeh kar bhi sakti hain
Ke hum yun bekaar, bezaar ho bhi sakte hain
Kabhi yeh socha na tha...
Ke tum mujhko bhool bhi sakti ho
Iss judai ko tum gehna qubool bhi sakti ho
Ke meelon door sehra dil mein bas bhi sakta hai
Ke jeete jee yeh insaan Marr bhi sakta hai
Kabhi yeh socha na tha...
Ke sadayein aasmaan se laut sakti hain
Duayein be-asar bhi ho yeh sakti hain
Tum aise mujhse roothogi tum aise door jaogi
Mein pukarunga tumhe lekin tum na paas aaogi
Kabhi yeh socha na tha...
Kabhi yeh socha na tha..!

- Khan M. Asim... 29/10/2013... 08:30 AM..!

Aksar hi deewaanon ka yeh dekha hai anjaam..!

Aksar hi deewaanon ka yeh dekha hai anjaam
Mar jaate hain rote rote hokar woh nakaam

Jab se tumse aankh ladi hai bhoole hain anjaam
Tumko Mubarak deen tumhara humko ishq se kaam

Ab jab dil mein thaan chuke hain phir kaisa ghabrana
Mumkin hai hum kho dein sab kuch bhoolein apna naam

Itne bhi be-aas nahin hain rakhte hain imaan
Tum se bhi haan milna hoga aaogi ik shaam

Sharmaogi, ithlaogi bas hum ko dekhogi
Muskaate honton se apne dogi pyaar ka jaam

Kaanp rahi hain ab jo ungli door se hi khidki mein
Thaam ke mera haath chalogi tum bhi sare aam

Kankar patthar sab hai sehta lekar Tera naam
Asim Tera deewaana yeh phirta hai badnaam..!

- Khan M. Asim... 27/10/2013... 08:14 PM... Millennium Gardens...!

Tujhko ghazal bana ke pachta raha hun mein..!

Na hai radeef, kafiya na hai baher mein tu
Tujhko ghazal bana ke pachta raha hun mein

Musalsal pukarta hun aye but mein tujhe
Awaaze baazgasht se takra raha hun mein

Justuju mein Teri tishna mein baadgard
Bas gardishe mudaam se uljha raha hun mein

Tu ne sahi kaha tha hum toh hain saaya saaya
Tareekyon mein aakey tanha raha hun mein

Kitne hain yaan anasir, kisse karein rafaqat
Khud apne hi wujood se ukta raha hun mein

Takhreebyon se teri hua munqasim bahut
Phir bhi mere jihaad mein yakja raha hun mein

Duniya se hai jo ulfat, Asim se bas adavat
Tujhko mubarak duniya ab ja raha hun mein!

- Khan M. Asim... 24/10/2013... 11:37 AM... Train..!

Roz-e-roshan kab hoga..!

Qasam tu ne khaayi raat ki
Jab ke woh tareek ho...
Raat bhi hai tareeki bhi
Yeh zulm bata kab tak hoga...
Aksar hi takleefon mein
Mujhko sanbhala hai tu ne
Phir mujhko bata tu mere maula
Roz-e-roshan kab hoga
Kab kismat degi dastak yeh
Kab noor tera afshaan hoga...!

Jo tu ne kaha woh meine kia
Kab hukum se mein munkir hun hua
Shaam saher sajdon gira
Haiyalas salah, haiyalal falah
La ilaha illalah, haq La ilaha illalah
Takbeer Teri hoton pe rahi
Ik megh mere nainon se jhada
Tadbeer bata, tadbeer bata
Kaise chategi yeh kali ghata
Roz-e-roshan kab hoga..
Phir mujhko bata tu mere maula
Roz-e-roshan kab hoga
Kab kismat degi dastak yeh
Kab noor tera afshaan hoga...!

Na tu hi mujhko bhoola jab
Na mein hi tujhko bhoola hun
Phir kaisi ghum ki khaayi yeh
Kyun mein itna afsurdah hun
Tu ne khud hai hukum dia
Saail kabhi bhi tum jhidko na
Mein tere dar ka saail hun
Mein tujhse duayen karta hun
Mein naam se tere jeeta hun
Mein naam pe tere Marta hun
Kab door bhala yeh ghum hoga
Kab ishq mera peham hoga
Phir mujhko bata tu mere maula
Roz-e-roshan kab hoga..
Kab kismat degi dastak yeh
Kab noor tera afshaan hoga...!

- Khan M. Asim... 19/10/2013... 04:06 AM..!

Saturday, October 19, 2013

Tum kahan ho?

Aasmaan mein daradein pad gayi hain
Koi banjar zameen ho jaise,
Magar ik roshni ka munba
Tareekyon ko cheer raha hai
Doodhya chashma,
Fiza ko seraab kar raha hai
Magar sitaare kahan hain
Chaand akela kyun hai
Karodon meel ka safar
Beyaaro madadgaar..
Uff yeh tapish...
Saba kahan hai
Mein tanha hun
Tum kahan ho?


- Khan M. Asim... 18/10/2013... 08:38 PM..!

Monday, October 14, 2013

Palat kar war kar jitna lahoo hai..!

Usse ik baar phir mauka dia hai
Palat kar war kar jitna lahoo hai

Kahan rishta hai apna ab kisi se
Bahut hi tazbazab o justujoo hai

Padi shiknein toh muflis hogaye
Gireban chak ho toh kya rafoo hai

Shakal ubhri hai ik tareekyo mein
Faqat ki khauf aur aalame hoo hai

Nahin milti kyun taskeene dil ab
Teri tasveer ab toh rubaroo hai

Shajar ukhda ik ladkar aandhiyo se
Wahi manzar yahan bhi hubahoo hai

Usse apna samajh kar de dia sab
Hua tum se bhi Asim ik sahoo hai!

- Khan M. Asim... 13/10/2013... 03:54 AM..!

woh zuban se hazaron qiley banata hai..!

woh zuban se hazaron qiley banata hai
Mein bhi sunta hun hanskar ke taal deta hun
Ada karega kabhi woh apne vaadey ko
Kashmakash mein sikka uchaal deta hun! Asim

He shows thousand dreams
I just hear and laugh them out
Will he ever keep his promise
Confused I, tosses a coin!!! Asim

Mere aashiyaan pe girai jo bijli..!

Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine
Sahara nahin toh nazar na lagate
Tumhara nasheman ujada kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine..!

Chaha tum hi ko faqat roz o shab mein
Tumhe dhadkanon se chaaha hai meine
Faqat pyaar ki bas Kari ilteja thi..
Kabhi isse ziyada bhi maanga kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine
Sahara nahin toh nazar na lagate
Tumhara nasheman ujada kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine..!

Pahar rukhsati ki hai ab aan pahunchi
Kahan chodte ho batao tum hi ab
Mein ik bezuban hun tum thehre natiq
Hai kya rasme rukhsat batao tum hi ab
Tumhe aata jaate hamesha dua di
Kabhi bad-dua ko uthaya kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine
Sahara nahin toh nazar na lagate
Tumhara nasheman ujada kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine..!

Milan apna jo tha haan yeh chaar pal ka
Rougey tum bhi isse yaad karke
Chaahogey tum par hum na milengey
Maangogey rabb se haan fariyaad karke
Abhi waqt hai yeh ke ibrat lo tum bhi
Sabaq zindagi ka sikhaya kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine
Sahara nahin toh nazar na lagate
Tumhara nasheman ujada kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine..!

- Khan M. Asim... 07/10/2013... 01:02 PM..!

Har baat ko kehne ka andaaz niraala hai..!

Har baat ko kehne ka andaaz niraala hai
Tere har harbey ko ishq mein dhaala hai

Zarkhez zamin banke hai shajr dia tujhko
Hum ne ik dariya ko neinon se nikala hai

Yeh samar dia tu ne yun chod gayi humko
Haan hijr ka roz o shab ik tezz juwala hai

Tujhe itni salah hai bas ke door hi rehna ab
Jis roz mili hum se dil tootne waala hai

Aa tujh ko bata dun mein hai kitna bura Asim
Ik taab ko seene mein qaatil ne paala hai!

- Khan M. Asim... 06/10/2013... 05:29 PM..!

Phir se khwahish jug rahi hai..!

Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki
Thodi fursat toh ab nikalo tum...
Hum se milne ki, dil lagane ki
Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki..!

Kapkapahat hai mere hon'ton pe
Ek chahat hai meri saanson mein
Ungliyaan meri, thartharati hain
Jism ko tere chu ke aati hain
Kho gaya hun mein kin sawalon mein
Dhundta hun tumhe mein khayalon mein
Kuch khabar toh do apne aane ki
Saath chalne ki geet gaane ki
Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki
Thodi fursat toh ab nikalo tum...
Hum se milne ki, dil lagane ki
Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki..!

Ek koshish hai dil deewaane ki
Ilteja tum se muskuraane ki
Aa bhi jao tum, kaisa pardah yeh
Kis ko parwah hai ab zamaane ki
Tum hamari ho hum tumhare hain
Ek duje ke hum sahaare hain
Justuju hai phir khud se ladne ki
Tum se milne ki, pyaar karne ki
Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki
Thodi fursat toh ab nikalo tum...
Hum se milne ki, dil lagane ki
Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki..!

- Khan M. Asim... 05/10/2013... 06:22 PM..!

Allah teri panah..!

Khud se ladte samay
Jeet bhi khud ki hoti hai
Aur haar bhi....
Zindagi ki bhaag daud mein
Aadmi aksar khud se door hojata hai
Aur jab khud pe lautta hai,
Toh rota hai,
Kyun ke uski rooh bhi
Usse bezaar hai...
Koi sunne waala nahin
Diwaarein dasne lagti hain
Aadmi kal aur aaj mein
khud ko latakta hua paata hai
sawaal yeh nahin ke,
Kal kya hoga...
Sawaal hai,
Aaj kya karna hai...
Magar yeh kashmakash
Yunhi khatam nahi hoti
Aaj ek bhanwar hai
Aur kal ik gufa
Tareek, siyah
Ik ghutan,
Ek dum todti nigah
Khalish, aah
Allah teri panah..!

- Khan M. Asim... 02/10/2013... 03:55 PM..!

Gandhi tere des mein..!

Aman ahimsa sachchai
Tere har sandes mein
Lekin bhool gaye na sab
Zindagi ki race mein
Dakuon ne dhaak jamai
Netaon ke bhes mein
Lagte hain pardes mein
Gandhi tere des mein..!

- Khan M. Asim... 02/10/2013... 12:00 PM!
Happy Birthday Dear Bapu...! Asim

Tuesday, October 01, 2013

Hum ne dil ko kitna toka phir bhi baaz na aaya..!

Hum ne dil ko kitna toka phir bhi baaz na aaya
Neinon ke jungle mein kho kar aakhir hosh ganvaya

Ghor andhera, kuch na soojhe, aur saanson ka pehra
Zulfon ke daldal mein dhans kar paapi dil pachtaya


Narm tha lehja, garm the lamhe ik tha mein diwana
Uspe baatein sun kar uski, ishqa'n jaan ko aaya

Kis se jaakar karein shikayat kaun bharey jurmana
Reh reh kar zaalim ne hum ko hai kitna tadpaya

Chand the lamhe, thodi baatein, ab yaadon ka dera
Hijr mein beithe soch rahe hain vasl mein kitna paaya

Kitne khush the ishq na tha jab, hum the daulat waale
Khushiyon ko thukra kar hum ne ji ko rog lagaya

Lekin kuch toh baat hai Asim, jo tu hai muskaya
Baat kare hai dozakh waali, jannat ko chu aaya!

- Khan M. Asim... 01/10/2013... 12:40 PM!

Yaad toh tumko aaonga..!

Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga
Bhool nahin paogey tum
Mein naghma aisa gaonga
Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga..!

Meri baatein, mera lehja
Kal tumko tadpayega
Mil jayenge tumko sitaarey
Par kuch na tumko bhayega
Mere saath ka lamha lamha
Tum se choot na payega
Mitti ki zarkhezi mein
Mein paudah ban jaonga
Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga..!

Duniya ki har rut yeh naveli
Tumko door ley jaayegi
Dheere dheere yeh tumko
Behlayegi, phuslayegi
Majboor karegi yeh tumko
Ke maazi ban jaon mein
Par manzar jab bhi badlega
Kaam mein hi toh aaonga
Nainon se behta koi
Aansu mein ban jaonga
Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga..!

Duniya mein jo aaya hai
Usko laut ke jaana hai
Apne kal ko bhoola jo
Aadam woh deewana hai
Saara jug hai yeh faani
Raakh mein sab dhal jayega
Jab woh sabko uthayega
Mein tumko mil jaaonga
Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga
Bhool nahin paogey tum
Mein naghma aisa gaonga
Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga..!

- Khan M. Asim... 26/09/2013... 11:30 AM..!

Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe..!

Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe
Ussi shakhsh ke hum deewaaney huwe
Yaadein reh reh ke uski hain tadpa rahin
Mar gaye hum bhi qissey puraney huwe
Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe
Ussi shakhsh ke hum deewaaney huwe..!

Kaun deta mera saath muflis tha mein
Kis ko parwah thi meri go mukhlis tha mein
Uss ne chaaha mujhe paagalon ki tarah
Usne baandha mujhe ghungroun ki tarah
Usne choda nahin, mujhko bhooli nahin
Dars deti rahi pyaar karti rahi...
Usse wabasta saare fasaaney huwey
Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe
Ussi shakhsh ke hum deewaaney huwe..!

Haan pareshaan hun woh na aaye nazar
Woh hai mushkil meini milti bas itni khabar
Mujhpe ehsaan itna sa kar de Koi
Mera mehboob jholi mein bhar de koi
Tootta ja raha mein huwa besabar
Pyaar ki mere kuch toh karo tum qadar
Teer o khanjar ke hum kyun nishaaney huwe
Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe
Ussi shakhsh ke hum deewaaney huwe..!

Raat katti nahin, din nikalta nahin
Charagh mehfil mein apni kyun jalta nahin
Usko mere doston tum karo bakhabar
Bolo deewana sach mein na jaaye yeh mar
Aa miley mujh se ab ke zindah hun mein
Uski yaadon mein udta parinda hun mein
Beetey lamhe sab uske khazaaney huwe
Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe
Ussi shakhsh ke hum deewaaney huwe..!

- Khan M. Asim... 17/09/2013... 09:13 PM!

Tuesday, September 17, 2013

Mujhe dosto'n ne maara hai, mere dosto'n ka ho bhala..!

Meri zindagi ik dard hai, meri zindagi ik karbala
Mujhe dosto'n ne maara hai, mere dosto'n ka ho bhala..!

Hai ada hua ik faqamast, mere qalb mein ik faqeer hai
Tumhe dushmani mere haal se, toh yeh kaasa leke mein chala!

Na yun fakhr kar tere maal pe, kuch muflison ko zakaat de
Hua ghuroor jisko shabab pe, Hui shaam shab mein woh dhala!

Tera jurm bhi hai darguzar, Tujhe bakhsh din aasaishein
Uthi phir se dil mein sada koi, chala phir se koi manchala!

Mujhe chod de o fitnagar, na gunah mein apne shareek kar
Mein ghulam apne rusool ka, mujhe neikiyon ka de sila!

Kyun aag hai Teri nazar mein, koi shola tere labon pe kyun?
Kuch khayaal kar Teri bazm ka, yahan patta patta hai jala!

Kahan zaahidon ka basar hai yaan, napaakiyon ka hai yeh jahan
Hua jo bhi aadam shareef yaan, padi usipe Asim hai sab bala!

Khan M. Asim... 15/09/2013... 07:47 AM..!

Woh zulfon mein jaane kyun khum dekhte hain..!

Woh zulfon mein jaane kyun khum dekhte hain
Nahin dekhte woh jo hum dekhte hain

Bahut kar rahe hain hum se woh parda
Woh kab tak karenge sharam dekhte hain

Taghaful ke sang muntazir kar rahe hain
Woh kab tak karenge sitam dekhte hain

Humein hai yaqeen woh banenge hamare
Woh todengey kaise bharam dekhte hain

Parastish mein yun bhool beithe khuda ko
Faqat butkadey mein sanam dekhte hain

Suna hai woh phir de rahe hain sadayein
Chalo phir se unka karam dekhte hain

Bahut kar rahe baatein unki hain Asim
Ghazal dekhte hain, nazam dekhte hain!

Khan M. Asim... 13/09/2013... 11:44 AM..!

Thursday, September 05, 2013

Tumhari kami humko ab kha rahi hai..!

Tumhari kami humko ab kha rahi hai
Ke tanhayi humko yeh tadpa rahi hai!

Sabhi ko toh qudrat ne bakhsha hai sabzah
Kyun aatish humi pe yeh barsa rahi hai!

Sadayein na jaane kahan jaa rahi hain
Deewaaron se dhadkan yeh takra rahi hai!

Zamaney ki gardish se Hui humko wehshat
Ke mehfil se tabiyat yeh ghabra rahi hai!

Mitna hai sab ko, yahan sab hai faani
Kyun duniya bahut khud pe itra rahi hai!

Kabhi dil ki parton mein dekho tum aake
Kali gul ki yaan pe har murjha rahi hai!

Turbat mein apne kafan saath hoga
Yeh daulat ki chaadar kahan ja rahi hai!

Mazboot hogi rassi yeh Asim
Khaane do jitne bhi bal kha rahi hai!

- Khan M. Asim... 05/09/2013...03:25 PM.. Train..!

Friday, August 30, 2013

Log yeh itna darte kyun hain!

Aakhir pyaar mein shartein kyun hain
Log yeh itna darte kyun hain

Vaadah karke munkir hona
Toh phir vaadah karte kyun hain

Zikr hamara sab se musalsal
Lekin taghaful karte kyun hain

Rasme ishq mein, ashk o girya
Baad mein paani bharte kyun hain

Shab bhar unki aas mein jagte
Khwaab pe hamla karte kyun hain

Naam pe unke neem deewaane
Jeetey kyun hain, marte kyun hain

Jinko pyaari apni anaa hai
Pyaar woh ASIM karte kyun hain!

- Khan M. Asim... 30/08/2013... 01:48 AM..!

Aaj ghazal bhi aurat hai..!

Aaj ghazal ko kya hua hai
Najaane kahan gum hai
Mausam bhi hai marzi bhi
Magar ghazal khafa kyun hai?
Muskurahat bhi hai udaasi bhi
Magar kyun?
Mann ke andar khoj raha hun
Sujhai nahin deta,
Aakhir...
Roshnai ghumgusaar kyun nahin?
Kaaghaz sogwaar kyun hai...?
Koi jawaab de maula...
Kya hua hai aaj ghazal ko
Woh utarti kyun nahin?
Woh sanwarti kyun nahin?
Kya usko bhi ismat ka khauf hai?
Darti hai saudagaron se...
Kisike qalam se nikle
Aur kisi ki hawas ka shikar ho...
Mein bhi lachaar hun...
Kaise ghazal se kahun...
Aaja ke mein tera muhafiz hun..
Aaja ke tujhe koi na lutega
Aaja ke tujhe izzat milegi
Aaja ke tujhe darja milega...
Magar woh jaanti hai...
Pardey ki haqeeqat ko
Woh jaanti hai yahan utri
Wahan uska sauda hua
Woh jaanti hai har mod pe
Koi khada hai choone ko
Koi khada hai lootne ko
Aaj ghazal ki qadar kahan
Aaj ghazal bhi aurat hai..!

- Khan M. Asim... 29/08/2013... 01:57 AM!

Friday, August 23, 2013

Tu ne such hai kaha, khul ke deta hai tu..!

Muttafiq hun bahut, teri har baat se
Tu ne such hai kaha, khul ke deta hai tu
Bakhsha tu ne mujhe, mujhpe tera karam
Hai saath jab tu mere, kaisi phir justuju...
Muttafiq hun bahut, teri har baat se
Tu ne such hai kaha, khul ke deta hai tu...!

Tujhse meri faqat ik yahi hai dua
Apne rahem o karam ko jaari tu rakh
Banda hun mein tera, aur pa-band hun
Sadqa sarkaare aalam ka jaari tu rakh
Yeh zameen hai gawaah, aasmaan hai gawaah
Tu ne jisko chuna, woh hua surkhru..
Bakhsha tu ne mujhe, mujhpe tera karam
Hai saath jab tu mere, kaisi phir justuju...
Muttafiq hun bahut, teri har baat se
Tu ne such hai kaha, khul ke deta hai tu
Bakhsha tu ne mujhe, mujhpe tera karam
Hai saath jab tu mere, kaisi phir justuju...!

Zindagi, imtihaan, dard aur inteha
Sab pe ghalib hai tu sidratul muntaha
Ek tu hai faqat... sabko deta hai jo
Tera mohtaj mein tujhse hun maangta
Tu ne sab hai dia, hai khushi rubaru
Tera ehsaan hai, maula rehmaan tu
Bakhsha tu ne mujhe, mujhpe tera karam
Hai saath jab tu mere, kaisi phir justuju...
Muttafiq hun bahut, teri har baat se
Tu ne such hai kaha, khul ke deta hai tu
Bakhsha tu ne mujhe, mujhpe tera karam
Hai saath jab tu mere, kaisi phir justuju...!

- Khan M. Asim... 23/08/2013... 12:47 AM!

Thursday, August 15, 2013

Mein abhi tak ghulaam hun shayad!!!

Na jaane kya hua hai aaj subh se
Zahen pe bojhal si ik ibarat hai
Takhaiyulaat abr alood se hain
Ek dukha'n hai meelon jaisa...
Na koi chaahat, na koi haajat
Bahut masroof hun, nahin bhi hun
Haalat saazgaar hain yun toh
Phir yeh kashmakash kyun hai
Ajeeb vehmi se lamhey ke
Saath tazbazab bhi pinha'n hai
Kab se khud ko jaga raha hun mein
Jab ke din hai badi mussarrat ka
Mulk aazaad hai, jashn bhi hai
Magar na jaane kya huwa hai
Ke mein khush toh hun,
Magar nahin hun...
Mujhe yeh khauf ke baadal satate hain
Yeh andhi bheed, yeh pagal darate hain
Kahin Ishrat ke khoon ke aansu,
Kahin Shahid ke khoon ki dhabbey,
Kahin dhamakon mein jaan-bahek masoom
Kahin fasaadaat ke murdey,
Chahar simt se hamla-aawar hain...
Kab se koshish hai, bhaag jaon mein
Magar yun jakda hai ke uth nahin sakta
Desh aazaad hai, dastoor rakhta hai
Mein abhi tak ghulaam hun shayad!!!

- Khan M. Asim... 15/08/2013... 01:39 PM!

Barsaat..!

Phir se aaya garaj ke baadal
Rimjhim rimjhim shor macha hai
Badli ke kono se lekin
Sooraj raja jhaank raha hai..!

Dharti ke seene pe dekho
Patta patta dol raha hai
Soondhi si mitti ki khushbu
Tartar mendak bol raha hai!

Bheeg na jaaye koi parinda
Sar jhukaye peid khada hai
Haank raha hai bheid farishta
Charvahey ka bheis lia hai..!

Nadi ne daaman khol dia hai
Maidan bhi shadaab hua hai
Aur kitna haseen ho manzar
Asim jannat dekh raha hai!

- Khan M. Asim... 02:53 PM... 02/08/2013 a poem for kids..!

Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara..!

Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara
Uski tasveeron ne ghera, kaajal ne hai maara...
Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara..!

Andekhey anjaaney chehre, jaaney kab mil beithe
Ishq mein dono choor huwe phir door hi rehte rehte
Paas mein hotey, lams na paya, zulfon se ghabraye
Beet gaye woh lamhey saare yunhi beithe beithe...
Soona soona yeh aangan yun jaise dashto sehra
Door hai dil se, dil ki raunak, dil phirta aawara
Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara
Uski tasveeron ne ghera, kaajal ne hai maara...
Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara..!

Aan padi hai ab yeh uljhan kaise hum mil paayein
Hijr mein takte deewaron ko kab tak tanha gaayein
Apne hi naghmon se khud ko kaise hum behlayein
Toot rahey hain andar andar ab kaise samjhayein...
Dil ne humko rahat kum di dard dia hai ziyada
Lekin dil ki ghalti kya hai, dil thehra bechara
Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara
Uski tasveeron ne ghera, kaajal ne hai maara...
Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara..!

- Khan M. Asim... 07/08/2013... 09:45 PM..!