Monday, January 31, 2011

Anjana


Ek saaqi ho ek meikhana

Ek dil ho aur ek deewana

Aur kya ishq ki zarurat hai

Saath gar ho sitam zarifana

Namukammal lage mukammal sa

Aur hai ik ajeeb paimaana

Ek parwaaz dil mein uthti hai

Aur beithe rahein yun zandana

Har ibarat lage hai afsurdah

Maano khaamosh ho woh afsana

Har kali ko yun pyaar se dekhe

Apni masti mein mast mastana

Kaun ASIM yeh roz milta hai

Jaana pehchana hai yeh anjana!

- Khan M. Asim...31/01/2011...8:55PM...!

2 comments:

abdul said...

nice one lagta hai janab ko kuch lamhe k liye pyaar ho gaya ]

Asim Khan said...

Thank You Abdul :)