Uski aankhein neel nadi!
Uski aankhein neel nadi
Duba mein Feron ki tarah
Bas saahil ko choone ko
Tadpa mein lehron ki tarah
Uski kashish aur uska lams
Pighla mein pehron ki tarah
Uski jhalak ko paane ko
Jaaga mein sehron ki tarah
Koi tamanna hum kar dein
Bole woh ghairon ki tarah
Uski baaton mein khoya
Ujda mein shehron ki tarah
Phir bhi uspe dil vaarid
Zulfon ke gheron ki tarah
Ik usse ghazal hi banti hai
Peish, zabar zeron ki tarah
Usskii muskaan se ASIM
Banta gaya sheron ki tarah!
- Khan M. Asim... 28/02/2011... 7:55PM!
2 comments:
Hey asim its very beautiful one! I liked the ending lines and words sehar, pehar, zer, zabar.. peesh.. its very nice :)
Keep writing!
cheers
arpita
Thank You Arpita:)
Post a Comment