Saturday, August 06, 2011

Ek pari ko chaahta hun...!


Baat yeh tumko batata hun

Ek pari ko chaahta hun

Door rahe woh ik lamha

Mein pagal ho jaata hun!

Baat yeh tumko batata hun

Ek pari ko chaahta hun..!

Paas mein beithe jab mere

Woh baat kare aakaashon ki

Mein unn mein kho jaata hun

Kya baat karun mein baaton ki

Uski adaayein matwaali

Mein ghaayal hojata hun

Baat yeh tumko batata hun

Ek pari ko chaahta hun..!

Lams mein uske shararat hai

Aur nigaah qayamat hai

Hai dil mein uthti chingaari

Woh pyaar ki ek alamat hai

Woh aatish banke aati hai

Mein baadal ban jaata hun

Baat yeh tumko batata hun

Ek pari ko chaahta hun...!

- Khan M. Asim... 06/08/2011... 11:20PM!

2 comments:

Arpita Sarkar said...

Sweet and simple... shayar sahab... nice.. :)

Asim Khan said...

Thank You!