Khulde Bareen Ki Raqqasa!!
Lo tumne hamein jaga diya
Murjhe murjhe ko phir se khila diya
Saat naakaam koshishen aur ek payaam
Uspe tumhari awaaz ka woh khumaarawar jaam
Hum to khush the tanha tanha
Go ab bhi hain tanha hi hum par
Hai dil pe chaya tumhara saaya
Tum hotin to kaisa hota
Mann mein kyun sawaal hai aaya
Dono jhoomein raas rachayen
Jannat ka har pardah girayen
Aankhon se chalakta jaaam tumhara
Aur meikhane par naam hamara
Tang nazron ki aisi teisi
Kya logon se kaam hamara
Hum indra ke mukut ko pehnen
Aur tum apna jalwa dikhana
Raqse taus tum karo jab
Ho hamara nara wah wah
Jeet gayi tum dil ki baazi
Humko haarke mazah hei aaya
Sushil, shant, lolita ho gar
Ho jal sheetal andaz tumhara
Rukh chandni ko nahlaye
Aur zulfein hon nadiya ki dhara
Der shab kuchae dil mein
Ek mehfil tum roz basana
Jub sojayen duniya waale
Humko pyaar se tum jagana
Kitni khwahish yeh dil karta hai
Har aahat pe yeh marta hai
Tum sahir ho tum chalawa
Ho sagar ka door kinara
Haan pehle bhi dil dhadakta tha
Par uska yeh andaaz na tha
Pehle bhi jage hain raaton mein
Par ishq e beawaaz na tha
Jo maang kabhi tum pyaar se lena
Jaan tumhare sadqe jaaye
Tumse badhkar kaun hamara
Tum ankhiyan ho tum hi ho dhara
Raqse taus, naghma e bulbul
Range khushboo, bue har gul
Hai tumne chain churaya sa
Tum meri ho bas meri ho
Ae khulde bareen ki raqqasa!!!!
- Khan M. Asim 15/03.07..3 AM...