Tuesday, September 27, 2011

Yeh ishq ajab janjaal hai..!


Na urooj hai na zawaal hai

Na khudi ka koi khayaal hai

Phans gaye hain yaaron ab

Yeh ishq ajab janjaal hai

Kahin qais hai kahin ranjhna

Har simt fun yeh fuaal hai

Na bhook hai na pyaas hai

Abas dilruba ka sawaal hai

Bina deed ke kya zindagi

Har dum jeena muhaal hai

Na hi aar hai na paar hai

Na junub hai na shumaal hai

Hon gumshudah sab quwatein

Karey taari izmehlaal hai

Cheen kar sabhi daulatein

Karey qalandaron sa haal hai

Milein dar ba dar ki thokarein

Karey usool sab pamaal hai

Kyun na ASIM isko chod de

Yeh raah bilkul zalaal hai!

-Khan M. Asim... 27/09/2011... 5:26AM!

Sunday, September 25, 2011

Dost sabhi anjaane hain..!


Khaali sab paimaane hain

Dost sabhi anjaane hain

Raat akeli ghum ki saheli

Saher ke aur afsaane hain

Waqt pade pe chode saaya

Kaun wafa pehchaane hain

Un ki tarrakki un ki daulat

Hum bekhud mastaane hain

Un ko mubarak takhte Kisra

Yan badyagard diwaane hain

Aisa nahin ke raaz na jaanein

Khamosh magar parvaane hain

Umar padi hai dekhenge sab

Kaam bahut karvaane hain

Dekho yaaro ghalat na samjho

Phool sabhi murjhaane hain

Neiki ki hain raah dikhaate

Taare go begaane hain

Baat karein jo sachchai ki

Bante sab ke nishaane hain

Ab na padi hai dil ko kisi ki

Door sabhi meikhaane hain

ASIM chal tu apni manzil

Sab hi peeche aane hain!

- Khan M. Asim... 25/09/2011... 02:33AM!

Tuesday, September 20, 2011

Pyaar ka carvan hai wahi hubahu..!


Pyaar ka carvan hai wahi hubahu

Tu mere saamne mein tere rubaru

Na koi dard hai aur nahin dooriyan

Tu mere saath hai na koi justuju

Pyaar ka carvan hai wahi hubahu

Tu mere saamne mein tere rubaru..!

Phir wahi shaam hai aur tera naam hai

Cha raha hai nasha haan tu hi jaam hai

Koi aaghaaz na koi anjaam hai

Pyaar hi pyaar hai bas yahi kaam hai

Na koi chaah hai na koi aarzu

Pyaar ka carvan hai wahi hubahu

Tu mere saamne mein tere rubaru..!

Tu hi saanson mein hai tu hi ehsaas hai

Tu hi umeed hai bas tu hi aas hai

Tu hi nadiya meri aur tu hi pyaas hai

Haathon mein haath hai tu mere paas hai

Haan yeh khuld-e-bareen hai tu hi khubru

Pyaar ka carvan hai wahi hubahu

Tu mere saamne mein tere rubaru..!

Tu sitaaron mein hai tu nazaaron mein hai

Tu meri guftugu tu ishaaron mein hai

Tu adaa mein meri tu nigaahon mein hai

Tu hi lab pe mere tu pukaaron mein hai

Tu jo mujh ko mili mein huwa surkhru

Pyaar ka carvan hai wahi hubahu

Tu mere saamne mein tere rubaru..!

- Khan M. Asim... 20/09/2011...9:55PM...Train!

Monday, September 19, 2011

Kyun dhundlakon ka hai safar..!


Kyun dhundlakon ka hai safar

Kyun chal raha tu be khabar

Kyun khoya tera sukoon hai

Kyun teri dua hai be asar

Hum bhi hain tere manzure nazar

Zara dekh hum ko be nazar

Kyun taghafulon se kia qatal

Kahin pooch lena yeh hashar

Kahin toh hogi kaamiyaabi

Kab tak bhala jiyega shar

Tujhe dard saara anaa ka hai

Yeh dekh lamha gaya guzar

Kabhi jin ka sikka jawaan huwa

Haan taaj sab ka gaya utar

Tujhe khauf kya hai aye dilruba

Kahin diwaana na jaaye mar

Aashiq ab bhi mara sa hai

Chuti kahaan hai koi kasar

Maar o Kasdam, zubaane sum

Haan pee gaya hai sabhi zahar

Nadi ki taaqat se tang aakar

Haan daudti hai ik lahar

Ab kaun tujh se chupa hai such

Huwe raaz apne sabhi azhar

Chal sulah ki koi baat kar

Kar fitney saare dar guzar

Tujhe garchey mujh se wafa nahi

Zara khauf kuch toh khuda ka kar

Haan tujh ko chaaha theek hai

Le mein aagaya awqaat par

Juda bhale hi badan se hoga

Nahin jhukega kabhi yeh sar

Jo ban sakey tu bigaad lena

Huwa aaj ASIM be khatar!

- Khan M. Asim… 19/09/2011… 05:21AM!

Friday, September 16, 2011

Munfarid Ash'ar..!

Geisun woh gul shagufta rehmat se kum na thi

Woh rukh woh naaz nein nemat se kum na thi

Jo dil pe hamarey tooti mohabbat ke naam pe

Uss mahluqa ki aamad qayamat se kum na thi! ASIM

**********************************************

Uska jalwah marhaba uski baatein dilruba

Ik nazar se uski hum lut gaye bazaar mein! ASIM

**********************************************

Kya huwa aye Gujarat tere intezaar ka

Qatil bana phirey hai masiha hazaar ka

Ab to samajh na aaye karein kis se iltija

Insaaf ban gaya hai samaan bazaar ka! ASIM

***********************************************

Tumhaare ishq ka Ghaazi ban jaon

Samandaron mein Jahaazi ban jaon

Haan shairy mein Shiraazi ban jaon

Gar panj waqta Namaazi ban jaon! ASIM

************************************************

Kitne pur-noor sitaaron ki hain mubda aankhein

Har nazar ke dhamakey se dukhan uthta hai! ASIM

(These eyes are origin of many bright stars,

Every look have a blast and creates huge smoke!) ASIM

************************************************

Daulat bati toh hone laga luqmon ka bhi hisaab

Yeh tera hai woh mera hai rishton ka hai khitaab

Kaise gunaah hum se huwe ae rabb humein bata

Duniya mein kyun padne laga hum pe tera azaab! ASIM

*************************************************

Aye meri udaas bezaar tamanna keh de un sey

Ab na aayengey toh mehfil mein tamasha hoga! ASIM

**************************************************

Azm ho Sikandar sa to jahan fateh kar lein

Haal ho qalandar sa do jahan fateh kar lein! ASIM

***************************************************

Labon ki junbish bhi hui na nigah nigah mein mahu rahi

Payaame dil yun hua rawaan ke abr khud hi baras pade! ASIM

****************************************************

Khwaab aankhon mein utar aate hain moti ban kar

Jab kabhi maazi se hunar deta hai sada! ASIM

*****************************************************


Khirad aazaad hai lekin kyun ulfat dil mein pinha hai

Idhar mein tanha tanha hun udhar tu tanha tanha hai! ASIM

******************************************************

Ab bhi zindah hai meri aas sada kehne ko

Dil machalta hai magar baat juda kehne ko

Mera wujood gawah hai tere hone ka

Aur kya chahiye kaafir ko khuda kehne ko! Asim

***********************************************

Bhaarat hai Insaan ka desh

Prem ka deta yeh sandesh

Qataar hai yan tehvaron ki

Pehle Eid aur phir Ganesh! ASIM

Happy Ganesh Chaturthi Friends :)

*****************************************


Tujhi mein khoya sukoone dil hai

Tere hi dum se sukoone dil hai

Churaya tu ne hai khilwaton se

Tu hi haan jaana sukoone dil hai! Asim

*******************************************

Lazzat ajeeb si hai uss mehluqa ke rukh mein

Bemaare marg ko bhi hansta hua utha de! Asim

"There is such an amusement in the face of that piece of moon

That even a person who have a certain death, will die happily, smilingly

(looking at her face)" - ASIM

********************************************

Misqaal kher o shar ka gar tu hisaab lega

Mujhko bhi phir koi tu be-naatiqa bana de! ASIM

************************************************

Ibadat ki raat mein bhi mehboob hi ka shikwah

Aye Rab mujhe bhi ab tu zara bewafa bana de! ASIM

*************************************************

Kahin pe Anna kahin anaa ka jhagda hai

Yeh mulk phir bhi hoslon se tagda hai! Asim

***************************************************

Lafz bolo toh zara tol ke bolo ASIM

Zara si chook se sarkar badal jaati hai! ASIM

***************************************************

Sarhad ki nigehbaani se khauf mein aakar

Ek shakhs bana beitha hai janta ka masiha! ASIM

****************************************************

Bahut hogayi shairy kya karun

Jo bhar gayi dairy kya karun

Dawa ishq ki react karne lagi hai

Date aagayi expiry kya karun? ASIM

*****************************************************

Hum tumhaare liye tum hamaare liye

Kuch nahin faqat vabaal-e-jaan hain! ASIM

*****************************************************

Beitha hai mere paas jo chehre ko chupa ke

Darta hai mera BILLU koi dawa na khila de

Darta hai mera BILLU toh koi baat nahin hai

Aye rab yeh tera banda hai tu isko shifa de! ASIM

*******************************************************

Zamana bura kahe kehne do jo kehta hai

Ishq har daur mein badnaam hi rehta hai

Yak-tarfa mohabbat han bekaar nahi hoti

Kab khaali musbat se koi johar banta hai! ASIM

*****************************************************

Asim Khan Sarkar ne kya jalwa jiya rakhkha hai

Ek hi aankh se aalam hila rakhkha hai! ASIM

*****************************************************

kuch cheezein,

Shabdon mein bhi nahi aapati

Sirf,

Mann mehsoos karta hai,

Woh jo ehsaas hai...

Wahi mera pyaar hai! ASIM

********************************************************

Haar jeet ka khel purana

Sab se hai apna yaarana! ASIM

****************************************************

Tasveer-e-yaar dekh kar betaab hogaya

Aansu nikal kar chashm se nayaab hogaya

Uski nazakaton ne banaya tha shaah mujhe

Uska bhi muskurana ab kum-yaab hogaya!

***************************************************

Dua karenge aaghaaz mein,

Chalenge raahe Hijaaz mein,

Bakhsh dega Allah sab kuch,

Sahero shab ki namaaz mein! ASIM

***************************************************

Kabhi munhil apne kabhi gheron ne maara

Kasam se sitam hai yeh jeena hamara! ASIM

***************************************************

Thursday, September 15, 2011

Khudai baat karti hai..!


Chalein hain aaj hum bhi lo kisi vaadiye Sina mein

Suna hai dasht mein reh kar Khudai baat karti hai

Nahin aasaan nahin mumkin kabhi khud se yun chup jaana

Jo beithein hum yun khilwat mein judai baat karti hai

Nahi hai chaah daulat ki na koi aasmaan chaahein

Jo sochein ghar banaane ki mehngai baat karti hai

Tum hi qaatil, tum hi dushman tum hi ho aaj ke Hitler

Haan apni jab bhi roonthi hai parai baat karti hai

Musafir tu sanbhal kar chal ke zaade raah bahut kum hai

Haan thak kar jab bhi thehre hain sarai baat karti hai

Bahut gehre bahut teekhe sawalon ka hai yeh maskan

Khulin jab bhi parat dil ki ridai baat karti hai

Huwe Majrooh zamaane se shikasta dil jalaane se

Nahin marham koi tera dawai baat karti hai

Zamaane ke in bonon ko haan maliya met karne ko

Haan lautega Masiha phir Eisai baat karti hai

Bada mushkil yahan jeena karein kya dilruba tera

Milan tujh se huwa jab bhi vidai baat karti hai

Kabhi hargiz na aana tum kisi maahrukh ki baaton mein

Bulati muskura ke hai jafai baat karti hai

Chali jaati hai sab ghairat paimai baat karti hai

Khudi ko thes lagti hai numai baat karti hai

Chalein jayein yun sehra mein kabhi na lautkar aayein

Haan ASIM jab bhi sochen kuch fidai baat karti hai!

- Khan M. Asim... 15/09/2011... 02:20AM!

Friday, September 09, 2011

Tum hi toh ho..!


Labon ki junbish bhi hui na nigah nigah mein mahu rahi

Payaame dil yun hua rawaan ke abr khud hi baras pade..!

Tum hi toh ho tum hi toh ho

Yeh jaan-e-mehfil tum hi toh ho

Tum hi toh ho tum hi toh ho

Charaagh-e-mehfil tum hi toh ho..!

Tum hi se kaliyaan khili rangon mein

Tum hi tabbassum bani labon mein

Tum hi se jalwah tum hi ho jalwah

Tum hi ho pinhaan chahaar sun mein

Tum hi toh ho tum hi toh ho

Yeh rang-e-mefil tum hi toh ho..!

Sabhi nazaarey yeh muntazir hain

Haan chaand taarey yeh muntazir hain

Tum hi pe mausam yeh munhasir hain

Tumhein bahaarein yeh muntazir hain

Tum hi toh ho tum hi toh ho

Wujood-e-mehfil tum hi toh ho..!

Tum hi se lamhey yeh gardishon mein

Tum hi lahoo ho haan in ragon mein

Tum hi basi ho haan khilwaton mein

Tum hi ho sheereeni sharbaton mein

Tum hi toh ho tum hi toh ho

Sukoon-e-mehfil tum hi toh ho..!

Barq tum ho, sharaar tum ho

Hamaare dil ka qaraar tum ho

Tum hi se banti hain kainaatein

Haan jannaton ka mayaar tum ho

Tum hi toh ho tum hi toh ho

Adaa-e-mehfil tum hi toh ho..!

Kaise kyun ka jawaab tum ho

Survaton ka khwaab tum ho

Tum hi ko takti hain sab nigaahein

Neikiyon ka sawaab tum ho

Tum hi toh ho tum hi toh ho

Dua-e-mehfil tum hi toh ho..!

Tum hi toh ho tum hi toh ho

Yeh jaan-e-mehfil tum hi toh ho

Tum hi toh ho tum hi toh ho..!

- Khan M. Asim...09/09/2011... 12:15PM... Train!

Wednesday, September 07, 2011

Garche hota toh mein khuda hota


Sawaal tum ne na gar kia hota

Jawaab apna hi har baja hota

Mere chahne se sab nahin hota

Garche hota toh mein khuda hota

Kho na jaate jo raaste apne

Mein tumse kahaan juda hota

Tum jo deti pyaar se sum bhi

Zakhm ab tak mera bhara hota

Tum se milta jo muskurakar ke

Kitna lamha woh ik bhala hota

Tum se milta sukun kuch lamhe

Shajr gham ka na yun khada hota

Baat tumse na iss tarah banti

Na mera hi yeh muddaa hota

Baat dil ki jo na suni hoti

Aaj dar pe na yun pada hota

Jaan leta mein zindagi apni

Haan koi aarif koi sada hota

Dab hi jaata jo bojh se iske

Kab ka duniya se hi utha hota

Gar na hota yeh mizaj rumani

Na yaan jumla koi rawa hota

Sab se aage hai ishq ka minbar

Kaash dhoka na yeh hua hota

Kitne pal yun milenge aawarah

Koi rahbar hi gar mila hota

Jal na jaata jo aag se apni

Saara jungle hara bhara hota

Khayal achcha hai dushmani ka par

Pyaar iss se zara juda hota

Gar na hota milap yeh apna

Tere honton ki mein dua hota

Taan leta sipar khirad ki mein

Teer dil mein na yeh gada hota

Zakhm humko miley hain sab tumse

Dard apna kyun bewafa hota

Gar na hota sawaal mehshar ka

Farz har ik yun hi ada hota

Gar mujh mein Hitler basa hota

Muskuraana bhi yaan saza hota

Sarfaroshi bhi meri kaam aati

Na kisi baat ka gila hota

Machine tum ne na gar kaha hota

Aadmi kitna mein kaam ka hota

Hum ne fariyaad dil se ki hoti

Aasmaan khud jhuk gaya hota

Tum se shikwa na gar kia hota

Waqar apna na phir gira hota

Chashm teri jo mekadah hoti

Saara aalam duba diya hota

Tum jo kehti ke aasmaan dedo

Hum ne khud ko luta diya hota

Waqt gar na ayan kada hota

Kaun kaisa bhala bura hota

Janam kal bhi agar lia hota

ASIM tera hi ****** hota!

-Khan M. Asim... 08/09/2011... 12:07AM..!

Jungle Ki Shehriyat..!


Jungle ki shehriyat thi paththar ke sab khuda they

Hum poojte rahe par devta khafa they

Dhakne ko perhan the na chupne ko hi nasheman

Hum kaat-te rahe sar unpe huwe fida they

Kya mushkilein na aayin kya aandhiyan na tooti

Haan lad rahe they khud se khayal jo juda they

Kya gumaane bandagi tha kya nashaye tishnagi tha

Jab bharam hamara toota ranjoor aah nida they

Unhein khudsari ne maara jo jiye the baazuon pe

Jo kare they shehsawari sab halqa ba qaza they

Jo chupey the nashtaron se jo dare they qatilon se

Ab kaun yeh bataye woh ghalat the ya baja they

Siyaah ulfaton ke saaye huwe noor mein huwaida

Kaise batayien ASIM woh jaza they ya saza they

Kirdaar khoobsoorat ifkaar mein bhi achche

Kyun todne lage gul jo dast ba dua thay

Woh khuda hi ban ke maane jo aadmi na nikley

Bekaar jo sada they bigdi hui adaa they

Hum ko yaqin hai tujh pe bigdi banaane waale

Jo aaye they ku-e-maqtal shayad teri raza they

Jo takhaiyulon se ubhre huwe ishq mein mujassam

Ab lag raha hai ASIM woh lamhe bawafa they!

- Khan M. Asim... 07/09/2011... 02:21AM... After a long interval!

Sunday, September 04, 2011

Zamaane ki aatishon ko baade bahaar dede


Zamaane ki aatishon ko baade bahaar dede

Sehra ke tishna lab ko shab ki phuhaar dede

Aye meri jaane ulfat tu muntazir hai kis ki

Mehwe nigah-o-rukh ko thoda sa pyaar dede

Tadpe bhala yeh dil kyun saahil pe raah takte

Ab toh duba ke hum ko raahe faraar dede

Badan mein sholey bhar de aah ko barq kar de

Oh jaane jaanan apna lamse sharaar dede

Khoya hua hai aashiq bas teri aas leke

Apne deewaane ke ab dil ka qaraar dede

Lamhe ko rooh dede har pal mein saath dede

Jaan meri lekar jaanan lail-o-nahaar dede

Karle shikaar ab tu tair se narm dil ka

ASIM ko paas rakh kar saansein chahaar dede!

- Khan M. Asim... with many intervals..04/09/2011... 3:44PM! Literally... one should not converse on phone in between... lost entire mood n baher too...!

Friday, September 02, 2011

Thak gaye hain wojood se apne..!


Thak gaye hain wojood se apne

Bewajah hain yeh pyaar ke sapne

Chand mitti ke khwab paida kar

Lag gaye woh khuda khuda japne

Talkh guftaar se takkallum hai

Kinko samjhein yan kherkhwah apne

Usse shikwah bazaat hai maqtal

Aa gaye hum bhi aap hi napne

Jab bhi tauka hai ghair se milte

Keh gaye woh ke aap ho apne

Naam lete hi gul khila dengi

Kab rahin yeh sifaat yun khapne

Hum ne jab bhi shama jalai hai

Haath sab hi wahan lage tapne

Chand mushkil bhare yeh lamhe hain

Aur phir carvaan sabhi apne

Sochna bhi ajeeb fitrat hai

Khayaal mein sab lage gapne

Kya karein ab chupa ke raaze dil

Dost hi dil yahan lage hapne

Uske charche ki khabr hai ASIM

Jiski ghazlein yahan lagi chapne!
- Khan M. Asim... 02/11/2011... 8:00PM!

Biscuit garam hai..!


Koi sharam hai

Na koi gham hai

Biscuit garam hai

Bande mein dum hai!

Sharbat ka paani

Uski jawani...

Ghoore toh sab ko

Yaad aaye naani...

Sab kuch naram hai

Bole toh bom hai...

Biscuit garam hai

Bande mein dum hai!

Shut up na wait up

Achcha hai get up

Saare tarikon ka

Uska hai setup

duniya ka uss se

Sab kuch hi kum hai

Biscuit garam hai

Bande mein dum hai!

Ladhne mein Rustam

Jalwe mein Khurram

Raaton ka raaja hai

Taqat mein Phantom

Sach hi karam hai

Sach hi dharam hai

Biscuit garam hai

Bande mein dum hai!

- Khan M. Asim... 02/11/2011... 2:50PM! Come and kill me now ;) :P