Monday, February 28, 2011

Uski aankhein neel nadi!


Uski aankhein neel nadi

Duba mein Feron ki tarah

Bas saahil ko choone ko

Tadpa mein lehron ki tarah

Uski kashish aur uska lams

Pighla mein pehron ki tarah

Uski jhalak ko paane ko

Jaaga mein sehron ki tarah

Koi tamanna hum kar dein

Bole woh ghairon ki tarah

Uski baaton mein khoya

Ujda mein shehron ki tarah

Phir bhi uspe dil vaarid

Zulfon ke gheron ki tarah

Ik usse ghazal hi banti hai

Peish, zabar zeron ki tarah

Usskii muskaan se ASIM

Banta gaya sheron ki tarah!

- Khan M. Asim... 28/02/2011... 7:55PM!

Saturday, February 26, 2011

We are made for each-other!


Ishq hai sab se bekhabar

Kar na yaara koi fikar...

Duniya ka kis ko hai darr

We are made for each-other!

Jungle, parbat apna hai

Vaadi, sehra apna hai

Dharti ka har ik kona

Anbar saara apna hai..

Le chal chaahe tu haan jidhar

We are made for each-other!

Karna hai apna ik naam

Ghairon se humko kya kaam

Ho jaaye jo bhi anjaam

Tujhse subha tujhse shaam

Kis ka hoga hum pe asar...

We are made for each-other!

Koi nahin iska haqdaar

Tum hi ho dil ki sarkar

Kaisa dariya kya manjhdhar

Terna jaane sab hai pyaar

Kaisi phir yeh agar magar...

We are made for each-other!

Hum shola hum hain chattaan

Taaqat ko apni pehchaan

Toofanon pe hum hain qaher

Ik duje ki hum hain jaan

Kehte hain shankar o khizar...

We are made for each-other!

Bas tum ko apnaiyenge

Yeh vaada khud se nibhayenge

Saath tumhare jeena hai

Saath mein hi marr jayenge

Jannat mein ik hoga ghar...

We are made for each-other!

- Khan M. Asim...26/02/2011...9:01PM!

Recent single couplets

Dekh dil hai tarazu ka na pansa koi,

Jis taraf bojh ho uth jata hai! ASIM

-------

Maraz bhi mohabbat hai ilaaj bhi mohabbat hai

kya karein kuch samajh nahin aata? ASIM

-------

Ishq jungle hai, na bhatko kahin, kho jaoge

Mere tinke jodte tum apna jahaan lutwaoge! Asim

-------

Palkon pe bithaoga toh sir pe chadke naachenge

Yeh duniya hai har ik sheh ka zarf tola jayega! ASIM

--------

Maa ki aankhon ke ho taare

Behna ke ho raaj dulaare

Dilbar ko ho jag se pyaare

Phir kaise Asim haal tumhare? ASIM

--------

Harf ba harf lehja ba lehja jo kabhi kuch khaas tha

Yun toota apna bharam sab lagta hai bakwaas tha! Asim

--------

Ik laher hai samandar ka jigar chaak kiye

Tere hote bhi na mil paaye hum khaak jiye! ASIM

--------

Aise hi nahin aap ke qaabil hain

Bahut se aizaz humko haasil hain! ASIM

--------

Waqt ke haath agar shahenshai hai

Apne andar bhi khoob tawanai hai! Asim

--------

kya zaroorat hai muskurane ki???

jab aansuon se sukoon milta hai! Asim

--------

a poem too -

Jab paas hote hain toh kehte hain ke door jao..

Jab door hote hain toh kehte hain yaad bahut aate ho...

Aur jab milna chahte hain toh kehte hain waqt nahin hai..

Kambakht dil na hua azaabe-rooh hogaya,

Saans lein toh bhi dikkat na lein toh jaan jaati hai! ASIM

---------

Ishq nahin bas vehshat hai

Har jaanib ik dehshat hai

Kaun kare yan pakka souda

Doob chuki har maishat hai! Asim

---------

Woh roshni phir chup gayi

Phir aasmaan ghaafil hua! Asim

---------

Tum mujhe kaam do....

Mein tumhe kaamiyaabi dunga! Asim
(inspired by Bose)

---------
- Khan M. Asim... here are some of my recent single couplets!

Thursday, February 24, 2011

Andeshey


Tera gham hai toh lagta hai mohabbat bhi hai

Warna phirtey hain sar-e-daar diwaane kitne!

Aa-gahi kaun bataaye ke hotaa kya hai???

Ek jalwey ko tere lagte hain zamaane kitne!

Ashk chalka ke tujhe khud se ganwa dun kaise

Ik mulaqaat banaati hai bahaane kitne!

Daur-e-haazir mein nahin chalte puraane sikkey

Warna aahon mein gade hain yan khazaane kitne!

Ik taraf shor, kahin aag lagi hai dekho

Ik taraf pyaar se jalte hain na-jaane kitne!

Jaan deni hai toh dedenge padi hai kis ko

Naaz dushman ke humein aur uthaane kitne!

Tujhko choo ley toh teri zaat munnawar ka de

Dekh ASIM mein karishmey hain najaane kitne!

Tujhko kehta hai koi baat kabhi maan hi le

Dekh ASIM ke andeshey hain puraane kitne!

- Khan M. Asim...24/02/2011...4:03AM!

Word Meaning:
sar-e-daar - On the platform ready to be hanged
Aa-gahi - happening in future
andeshey - instincts, thoughts

Wednesday, February 23, 2011

Shikaar!



Aao sunaon kahani

Yeh ishq mein humne jaani

Ek taa-ir badi sayani

Gulshan ki bani thi raani

Phir ek shikari aaya

Haan saath mein daana laya

Taa-ir ko yun behlaya

Taa-ir daana khakar shikar hogaya

Pyaar hogaya pyaar hogaya

Pyaar hogaya pyaar hogaya

Sayyaad bhi taa-ir ka shikaar hogaya!

Baaton ko suni phir uski

Vaadon pe karam farmaya

Angdaiyan dekar usne

Raaton ko bhi jagaya

Baaton ko sunakar usne

Jab be-matlab chillaya

Ehsaas hua tab usko

Hai pyaar mein dhoka khaya

Be-matlab sab yunhi bekaar hogaya

shikaar hogaya shikaar hogaya!

Ab na kahin woh jaaye

Shikaar se woh ghabraye

Na phone uthaye usko

Taa-ir jo phadphadaye

Haan taa-ir se woh dekho

Bezaar hogaya, bezaar hogaya

shikaar hogaya!shikaar hogaya!

- Khan M. Asim...22/02/2011...10:10PM...! When hunter gets hunted! well i know bakwas hai! but i tried to put something hard in lighter words!

Tuesday, February 22, 2011

Tum mera naam ho ASIM se juda lun tumko!


Tum mera chaand ho, raaton se churalun tum ko

Tum mera khwab ho, taabeer banalun tumko!

Hai nahin koi kahin jag mein nirala tumsa,

Tum mera phool ho saanson mein basalun tumko!

Jaise saaqi hai, kahin raqs kahin meikhana,

Tum mera husn ho aankhon se sanwarun tumko!

Yun zamane ne bahut zakhm diye hain dil ko,

Tum mera ishq ho aahon se pukarun tumko!

Aa gaya waqte saher aur tadap jaag uthi,

Tum mera noor ho sooraj se udalun tumko!

Jab nahin aur koi raah dikhane waala,

Tum mera raaz ho yaadon se bulalun tumko!

Hum faqiron ki kahan koi sada sunta hai

Tum mera geet ho aawaaz banalun tumko!

Tum mera khel, mera shok, mera sarmaaya

Tum mera tifl ho shaanon pe bithalun tumko!

Hai faqat ek dua apna banalun tumko,

Tum mera naam ho ASIM se judalun tumko!

- Khan M. Asim...22/01/2011...12:31AM..Home! with lots of love to one and only!

Monday, February 21, 2011

Aazmaish!


Adhura khwaab hai koi junoon o aazmaish hai

Zahen afsurdah afsurdah masarrat ki numaish hai

Yahi hota hai aksar mein yunhi haar jaata hun

Tera milna wa na milna, gham hai na sataish hai

Yeh lamhe khoon ke pyaase, saansein jaanleva kyun

Muqaddar aazmaane ki na ab koi gunjaish hai

Wahan labreiz paimana, yahan liwaan khaali hai

Kahan rasta kahan manzil, janmon ki paimaish hai

Kabhi mumkin kabhi haasil kabhi kuch aur khwahish hai

Sanbhalo dil ko tum ASIM kahan milti aasaish hai?

-Khan M. Asim... 21/02/2011...10:20PM...Train!

Word Meanings:

junoon - passion
aazmaish - test, exam
Zahen - mind
afsurdah - Sad
masarrat - Happiness
numaish - show off
sataish - applaud
aazmaane - to try
gunjaish - expectancy
labreiz - full, up to the lips
paimana - glass
liwaan - glass
khaali - empty
rasta - path
manzil- destination, home
janmon - births
paimaish - count
mumkin - possibility
haasil - achieving
khwahish - desire
aasaish - comfort,luxury

- Hope it helps you to understand it!

Saturday, February 19, 2011

Interview with Abu Asim Azmi


Born in Manjir Patti, Azamgarh on 8th August 1955, Abu Asim Azmi is the voice of North Indians in Mumbai, the Member of Legislative Assembly and state president of Samajwadi Party, Maharashtra. Azmi demand all innocent muslim boys arrested in Malegaon and Hyderabad blast should be released right away!

Spoke to Asim Khan on Secularism, terrorism, muslims and politics.

Q: Now, Swami Aseemanand has accepted the guilt and confessed the involvement of Hindu outfits in Mecca Masjid blast, how do you feel?


AAA: This is a national shame; it shows the real face of terrorism and proves how our investigative agencies right from the State government to ATS and CBI were failed in finding the real culprits. Since very day Muslims are denying any involvement in Malegaon and Hyderabad blasts but the investigative agencies imposed it.

Q: Since the day one you are raising the voice on the terrorism issue, why?

AAA: After 1992-93 Mumbai riots and blasts I was arrested and was jailed under TADA for a year and 10 days. I understated how much it pains when an innocent is implicated for something he never did.

Q: Do you think the investigative agencies and government is doing it deliberately?

AAA: I have many a times raised voice against it even in the parliament that the Maharashtra government, police and ATS have just closed their eyes from Hindu terror outfits. And in cases of Malegaon and Mecca Masjid blast in Hyderabad it deliberately arrested innocent Muslim boys, illegally detained and tortured them. We have many a times protested against it but no one even noticed to our pleads. Since last five years innocent Muslim boys are in jail for Malegaon blast, nobody even bothered how much their families are suffering and in what state these poor people are living. But now there is a sigh of relief with Asemanand’s confession.

Q: With Aseemanand’s confession the reality has come out, what do you think the next step should be?

AAA: I feel, first of all government should release all the innocent boys detained for 2006 Malegaon blast. The Union and state government should say sorry to innocent boys and their families for ruining their lives. The government should also compensate them; I demand that the government should pay at least 25 lakh rupees to each one of them. The government should also arrange employment for them as they have been jailed for years and have lost their careers. I also demand that the government should take stern action against the officials, who implicated innocent boys and deliberately tried to misdirect the investigations.

Q: Do you think the government will accept your demands, if not then what?

AAA: I don’t think that the government will accept it easily although it should… Because in this case the police and the government both are very much involved, so in this regard we have just two options, first we can go to the court but it requires a lot of many and time, else we can start a mass movement. But for a movement unity is required but the government agents in the community will definitely try to hamper it. But if our hearts are clean and wishes are pure Allah will help us, so I call all the institutions and the public to come ahead and support us for the right cause to deliver justice to illegally detained innocents.

Q: Muslim upliftment is one amongst your basic political agendas, where do you think the community stands now?

AAA: I feel in Maharashtra politically muslims are in a mess. They don’t know to whom they should support as at one side they have Congress and NCP government at another Shiv Sena-BJP. Muslims are scared of saffron polity of BJP-Shiv Sena and hence their vote goes to the Cong-NCP camp. When it comes to justice Muslims are being implicated and are tortured for no crime, Maharashtra is almost in the same stage as Gujarat is. With the enforcement of TADA Act in the country the muslims were tortured a lot. But the moment government realized that TADA act is insane, the government pleaded forgiveness to the community but with in no time came up with crueler POTA Act, which was again used against the muslims.

Innocent, highly educated boys were arrested under POTA act. Khwaja Yunus was detained under POTA Act, he was killed in police lock up and the state government did not take any action against the culprit officers. And then comes a long list of fake encounters. Every time it happened, we raised our voice, which nobody heard. If we see today many encounter specialists are behind the bars as the government say they are working for underworld. This is what we are saying since long time. I ask who killed these innocent boys? RSS-VHP or the secular government.

Q: Do you think to keep our secularity safe; the government should ban the communal outfits?

AAA: I want to ask those who are making people fool by calling themselves as secular, aren’t they worst than the saffron parties? If SIMI was banned by the Vajpayee government it was first implemented by the so-called secular state government of Maharashtra, run by Cong-NCP. In 2001, SIMI’s office at Kurla was raided, Knives and spoons, which were kept for religious sacrifices on Bakri Eid were detained. The agencies shouted that these weapons were kept to create massacre. But when Trishuls and swords are being distributed and the Rifle trainings camps are run by the VHP, RSS and Bajrang Dal no one notices. Abhinav Bharat and Sanatan Sanstha’s are creating bombs nobody even took an eye towards it. SIMI is banned but they are not, why? Is this the secular government?

Q: Do you think education and employment is basic problems of the Muslims?

AAA: Definitely… but since 2001, with the ban on SIMI and some other Muslim organizations, the investigative agencies started implicating highly educated muslim boys, such as engineers and doctors. Muslim boys are facing discrimination in finding a job, be it either in government offices or in private firms. When there is a need to implement on the Sachchar Committee’s suggestions we also strongly believe that there is a need to implement on Sri Krishna Commission report too, we can’t neglect any.

Thursday, February 17, 2011

Mulaqaat


Kitna hasin hai samaan

Jhoomein zamin aasmaan

Dilbar tere dum se hi

Yeh zindagi hai rawaan!

Yeh tu ne kya keh dia

Yeh tu ne kya kar dia

Palkein jhuka kar tu ne

Jag se juda kar dia....

Tu hi meri khushi,

Tu mera aashiyaan....

Dilbar tere dum se hi

Yeh zindagi hai rawaan!

Tere hi lab se khili

Gulshan mein har ik kali

Tere qadam choomti

Har ik shaher ki gali...

Roshan yeh tujh se zamaana

Sun le meri jaane jaan...

Dilbar tere dum se hi

Yeh zindagi hai rawaan!

Ab na kisi ki khabar hai

Mausam bada be-sabar hai

Bhoola mein har manzar ko

Jaadoo tera dilbar hai...

Tere hi dum si khuli

Qudrat ki sab khidkiyaan...

Dilbar tere dum se hi

Yeh zindagi hai rawaan!

Kitna hasin hai samaan

Jhoomein zamin aasmaan

Dilbar tere dum se hi

Yeh zindagi hai rawaan!

- Khan M. Asim...17/02/2011... 2:30 AM! One of the best day of year just passed yesterday, i loved it!

Saturday, February 12, 2011

Mere khaame.....!


Kya zaroorat hai

Tujhko thamne ki...

Aye qalam,

Tu apna kaam kar!

Na ruk,

Kisi bewafa ke liye,

Na ruk,

Kisi jafakash ki khaatir

Na soch,

Kisi taghaful ko

Na dekh,

Kisi qaatil ko

Bahut hui aiyyaari

Bahut hui makkaari

Ab koi,

Raah ka rauda na dekh

Ab koi,

Matam-kadah na ban

Ab koi,

Sher, koi ghazal ban ja

Kisi rubai, kisi afsaane mein dhal ja

Be murravat, be-asar ban ja

Be-jigar, be-haya hoja

Teri raah mustaqeem hai

Teri manzil

Bahut qareeb hai

Tu ab,

Dayein, baayein na ji..

Dekh kaghaz pukaarta hai...

Zara chal ja,

Nazam ban ja...

Mere khaame, Mere khaame,

Mere khaame.....!

- Khan M. Asim... 12/02/2011... 10:15 PM... Train!

Khaame - Pen
Mustaqeem - straight

Saturday, February 05, 2011

Kyun na hum se ho gufutgu karte


Kyun na hum se ho gufutgu karte,

Kyun phiren hum yun justuju karte!

Chaak daaman hue hain arse sey

Ab na mausam se rang-o-bu karte

Yun na be-ja-o-be-wajah samjho

Dard uthta hai har sahu karte

Raat kat-ti hai chaand ko takte

Aur sheeshe ko ru-ba-ru karte

Sabse keh dein ke bewafa hum hain

Kyun ho hum se yeh aarzu karte

Ghair se jeet lo to hum jaanein

Ek hum ko ho bas firu karte

Sab ki sun li suni na ASIM ki

Baat hum se bhi du-ba-du karte!

- Khan M. Asim...05/02/2011...4:14AM!

Here goes the word meaning...
Guftugu - Conversation
Justuju - Struggle
Chaak daaman - Skirt slit (here for pathetic condition)
Arse - long period
Rang-o-bu - colorfulness, enjoyment
Be-ja - no where
B-wajah - no reason
Sahu - mistake, error
sheeshe - mirror
Ru-ba-ru - Face to face
Be-wafa - treacherous
Aarzu - expectation
Ghair - Stranger
Firu - Extinguished, putting lower
Du-ba-du - To confront
... Hope with this, it will help you to understand me, this memorises my school days, when we used to write ghazals and their word meanings!

Thursday, February 03, 2011

Mann shaire mohabbat, mann aashiqe zamana!


Mann shaire mohabbat, mann aashiqe zamana

Mann ishq dost-daram mann bandey aarifana!

Mann dosti hunarmand, mann dooste becharah

Mann aarzu-e peeri, mann adaa-e dilrubana!

Mann falsafaye Rumi, mann daastane Rustam

Mann ummate Mohammed mann dua-e buzurgana

Mann takhaiyule huwaida mann taire beparva

Mann badshah darasal mann andaz mukhlisana

Mann baashindaa-e Hindi mann tifl-e Mumbai

Mann oo-ra doost daaram mann oo-ra parwana

Mann sukhn-saaze mashriq mann kashtkare ilmi

Mann kaar-saaz ASIM, mann bandey shairaana!

- Khan M. Asim...From 02/02/2011..11:30PM (with many intervals)to 03/02/2011..2:50AM!
I know my avid readers who don't leave any of my post unread, will be curious to know the meanings..so....

Well, it means...

I am a poet of love, i love the world,

I have sympathy towards love, i am a man of god (saint)

I support the talent, i am with the poorest,

I am long lived wish, i steal the hearts!

I am Rumi's philosophy, I am Rustam's tale

I follow Mohammed, I am prayer of elders

I am a clean (pure) thought, I am fearless bird

I am a real king , who is loyal in behavior

I am citizen of India, I am a child of Mumbai

I love it, and I can die for it!

I am a writer of east, I cultivate knowledge

I am performer ASIM, and am a poet! (hope so :P)

- Khan M. ASIM...03/02/2011..2:50AM!