Tuesday, September 17, 2013

Mujhe dosto'n ne maara hai, mere dosto'n ka ho bhala..!

Meri zindagi ik dard hai, meri zindagi ik karbala
Mujhe dosto'n ne maara hai, mere dosto'n ka ho bhala..!

Hai ada hua ik faqamast, mere qalb mein ik faqeer hai
Tumhe dushmani mere haal se, toh yeh kaasa leke mein chala!

Na yun fakhr kar tere maal pe, kuch muflison ko zakaat de
Hua ghuroor jisko shabab pe, Hui shaam shab mein woh dhala!

Tera jurm bhi hai darguzar, Tujhe bakhsh din aasaishein
Uthi phir se dil mein sada koi, chala phir se koi manchala!

Mujhe chod de o fitnagar, na gunah mein apne shareek kar
Mein ghulam apne rusool ka, mujhe neikiyon ka de sila!

Kyun aag hai Teri nazar mein, koi shola tere labon pe kyun?
Kuch khayaal kar Teri bazm ka, yahan patta patta hai jala!

Kahan zaahidon ka basar hai yaan, napaakiyon ka hai yeh jahan
Hua jo bhi aadam shareef yaan, padi usipe Asim hai sab bala!

Khan M. Asim... 15/09/2013... 07:47 AM..!

Woh zulfon mein jaane kyun khum dekhte hain..!

Woh zulfon mein jaane kyun khum dekhte hain
Nahin dekhte woh jo hum dekhte hain

Bahut kar rahe hain hum se woh parda
Woh kab tak karenge sharam dekhte hain

Taghaful ke sang muntazir kar rahe hain
Woh kab tak karenge sitam dekhte hain

Humein hai yaqeen woh banenge hamare
Woh todengey kaise bharam dekhte hain

Parastish mein yun bhool beithe khuda ko
Faqat butkadey mein sanam dekhte hain

Suna hai woh phir de rahe hain sadayein
Chalo phir se unka karam dekhte hain

Bahut kar rahe baatein unki hain Asim
Ghazal dekhte hain, nazam dekhte hain!

Khan M. Asim... 13/09/2013... 11:44 AM..!

Thursday, September 05, 2013

Tumhari kami humko ab kha rahi hai..!

Tumhari kami humko ab kha rahi hai
Ke tanhayi humko yeh tadpa rahi hai!

Sabhi ko toh qudrat ne bakhsha hai sabzah
Kyun aatish humi pe yeh barsa rahi hai!

Sadayein na jaane kahan jaa rahi hain
Deewaaron se dhadkan yeh takra rahi hai!

Zamaney ki gardish se Hui humko wehshat
Ke mehfil se tabiyat yeh ghabra rahi hai!

Mitna hai sab ko, yahan sab hai faani
Kyun duniya bahut khud pe itra rahi hai!

Kabhi dil ki parton mein dekho tum aake
Kali gul ki yaan pe har murjha rahi hai!

Turbat mein apne kafan saath hoga
Yeh daulat ki chaadar kahan ja rahi hai!

Mazboot hogi rassi yeh Asim
Khaane do jitne bhi bal kha rahi hai!

- Khan M. Asim... 05/09/2013...03:25 PM.. Train..!