Saturday, March 27, 2010

Saara bandhan tod dia


Tumhara qissa tumhari baatein

Saara bandhan tod dia

Hanskar Rokar raah pakadkar

Lamhon ka rukh mod dia

Saat paher naakaam kahani

Yun mujhko jhinjod dia

Ghum hi ghum peene ko mila jo

Meine tumko chod dia

Jhanjat saare chod tumhare

Khud ko khud se jod dia!

- Khan M. Asim...25/03/2010..4:55PM...Sahara Samay Office...On resigning from ETV NEWS!

Tuesday, March 16, 2010

Umeed ki talaash mein!


Ab aage kya kahun???

Aaj phir,

Unhin thaki thaki...

Be-jaan raahon pe hun!

Jahan har rasta masdood

Aur kaamiyabi makhdoosh hai!

Jin se umeedien thin

Woh be-murrawat nikle

Carvan aage badha

Aur humsafar kinara kar gaye!

Yeh na-umeedi ki pagdandi hi hai

Jo aaj bhi wafadaar hai

Jo mujhe khud pe kheench rahi hai,

Haalanke...

Mein mudna chahta hun

Mein udna chahta hun,

Magar!

Yeh jumood hai

Rukunga, gir jaonga!

Isiliye,

Beh raha hun, chal raha hun

Umeed ki talaash mein!

- Khan M. Asim...15/03/2010...4:50PM..!

Tuesday, March 09, 2010

Har taraf shor hai, jidhar jaate hain!


Sochte sochte yunhi lamhe guzar jaate hain

Kis tarah log vaade se mukar jaate hain

Ashk aur ishq hai puarana rishtaa

Ghum se maanoos hue, ghar jaate hain

Bekhudi se khayalon mein yunhi mar jayein

Bas tere naam ke hote, thaher jaate hain

Ghonslon mein milenge na aba-beel kahin

Jis taraf daana mile, udhar jaate hain

Dhoondte hain sukoon chahar sun ASIM

Har taraf shor hai, jidhar jaate hain!

Khan M. Asim...08/03/2010...10:50PM...Train