Friday, August 30, 2013

Log yeh itna darte kyun hain!

Aakhir pyaar mein shartein kyun hain
Log yeh itna darte kyun hain

Vaadah karke munkir hona
Toh phir vaadah karte kyun hain

Zikr hamara sab se musalsal
Lekin taghaful karte kyun hain

Rasme ishq mein, ashk o girya
Baad mein paani bharte kyun hain

Shab bhar unki aas mein jagte
Khwaab pe hamla karte kyun hain

Naam pe unke neem deewaane
Jeetey kyun hain, marte kyun hain

Jinko pyaari apni anaa hai
Pyaar woh ASIM karte kyun hain!

- Khan M. Asim... 30/08/2013... 01:48 AM..!

Aaj ghazal bhi aurat hai..!

Aaj ghazal ko kya hua hai
Najaane kahan gum hai
Mausam bhi hai marzi bhi
Magar ghazal khafa kyun hai?
Muskurahat bhi hai udaasi bhi
Magar kyun?
Mann ke andar khoj raha hun
Sujhai nahin deta,
Aakhir...
Roshnai ghumgusaar kyun nahin?
Kaaghaz sogwaar kyun hai...?
Koi jawaab de maula...
Kya hua hai aaj ghazal ko
Woh utarti kyun nahin?
Woh sanwarti kyun nahin?
Kya usko bhi ismat ka khauf hai?
Darti hai saudagaron se...
Kisike qalam se nikle
Aur kisi ki hawas ka shikar ho...
Mein bhi lachaar hun...
Kaise ghazal se kahun...
Aaja ke mein tera muhafiz hun..
Aaja ke tujhe koi na lutega
Aaja ke tujhe izzat milegi
Aaja ke tujhe darja milega...
Magar woh jaanti hai...
Pardey ki haqeeqat ko
Woh jaanti hai yahan utri
Wahan uska sauda hua
Woh jaanti hai har mod pe
Koi khada hai choone ko
Koi khada hai lootne ko
Aaj ghazal ki qadar kahan
Aaj ghazal bhi aurat hai..!

- Khan M. Asim... 29/08/2013... 01:57 AM!

Friday, August 23, 2013

Tu ne such hai kaha, khul ke deta hai tu..!

Muttafiq hun bahut, teri har baat se
Tu ne such hai kaha, khul ke deta hai tu
Bakhsha tu ne mujhe, mujhpe tera karam
Hai saath jab tu mere, kaisi phir justuju...
Muttafiq hun bahut, teri har baat se
Tu ne such hai kaha, khul ke deta hai tu...!

Tujhse meri faqat ik yahi hai dua
Apne rahem o karam ko jaari tu rakh
Banda hun mein tera, aur pa-band hun
Sadqa sarkaare aalam ka jaari tu rakh
Yeh zameen hai gawaah, aasmaan hai gawaah
Tu ne jisko chuna, woh hua surkhru..
Bakhsha tu ne mujhe, mujhpe tera karam
Hai saath jab tu mere, kaisi phir justuju...
Muttafiq hun bahut, teri har baat se
Tu ne such hai kaha, khul ke deta hai tu
Bakhsha tu ne mujhe, mujhpe tera karam
Hai saath jab tu mere, kaisi phir justuju...!

Zindagi, imtihaan, dard aur inteha
Sab pe ghalib hai tu sidratul muntaha
Ek tu hai faqat... sabko deta hai jo
Tera mohtaj mein tujhse hun maangta
Tu ne sab hai dia, hai khushi rubaru
Tera ehsaan hai, maula rehmaan tu
Bakhsha tu ne mujhe, mujhpe tera karam
Hai saath jab tu mere, kaisi phir justuju...
Muttafiq hun bahut, teri har baat se
Tu ne such hai kaha, khul ke deta hai tu
Bakhsha tu ne mujhe, mujhpe tera karam
Hai saath jab tu mere, kaisi phir justuju...!

- Khan M. Asim... 23/08/2013... 12:47 AM!

Thursday, August 15, 2013

Mein abhi tak ghulaam hun shayad!!!

Na jaane kya hua hai aaj subh se
Zahen pe bojhal si ik ibarat hai
Takhaiyulaat abr alood se hain
Ek dukha'n hai meelon jaisa...
Na koi chaahat, na koi haajat
Bahut masroof hun, nahin bhi hun
Haalat saazgaar hain yun toh
Phir yeh kashmakash kyun hai
Ajeeb vehmi se lamhey ke
Saath tazbazab bhi pinha'n hai
Kab se khud ko jaga raha hun mein
Jab ke din hai badi mussarrat ka
Mulk aazaad hai, jashn bhi hai
Magar na jaane kya huwa hai
Ke mein khush toh hun,
Magar nahin hun...
Mujhe yeh khauf ke baadal satate hain
Yeh andhi bheed, yeh pagal darate hain
Kahin Ishrat ke khoon ke aansu,
Kahin Shahid ke khoon ki dhabbey,
Kahin dhamakon mein jaan-bahek masoom
Kahin fasaadaat ke murdey,
Chahar simt se hamla-aawar hain...
Kab se koshish hai, bhaag jaon mein
Magar yun jakda hai ke uth nahin sakta
Desh aazaad hai, dastoor rakhta hai
Mein abhi tak ghulaam hun shayad!!!

- Khan M. Asim... 15/08/2013... 01:39 PM!

Barsaat..!

Phir se aaya garaj ke baadal
Rimjhim rimjhim shor macha hai
Badli ke kono se lekin
Sooraj raja jhaank raha hai..!

Dharti ke seene pe dekho
Patta patta dol raha hai
Soondhi si mitti ki khushbu
Tartar mendak bol raha hai!

Bheeg na jaaye koi parinda
Sar jhukaye peid khada hai
Haank raha hai bheid farishta
Charvahey ka bheis lia hai..!

Nadi ne daaman khol dia hai
Maidan bhi shadaab hua hai
Aur kitna haseen ho manzar
Asim jannat dekh raha hai!

- Khan M. Asim... 02:53 PM... 02/08/2013 a poem for kids..!

Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara..!

Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara
Uski tasveeron ne ghera, kaajal ne hai maara...
Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara..!

Andekhey anjaaney chehre, jaaney kab mil beithe
Ishq mein dono choor huwe phir door hi rehte rehte
Paas mein hotey, lams na paya, zulfon se ghabraye
Beet gaye woh lamhey saare yunhi beithe beithe...
Soona soona yeh aangan yun jaise dashto sehra
Door hai dil se, dil ki raunak, dil phirta aawara
Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara
Uski tasveeron ne ghera, kaajal ne hai maara...
Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara..!

Aan padi hai ab yeh uljhan kaise hum mil paayein
Hijr mein takte deewaron ko kab tak tanha gaayein
Apne hi naghmon se khud ko kaise hum behlayein
Toot rahey hain andar andar ab kaise samjhayein...
Dil ne humko rahat kum di dard dia hai ziyada
Lekin dil ki ghalti kya hai, dil thehra bechara
Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara
Uski tasveeron ne ghera, kaajal ne hai maara...
Kuch na samjhe baat yeh ghaafil, paagal dil hai hamara..!

- Khan M. Asim... 07/08/2013... 09:45 PM..!