Tuesday, March 04, 2014

Shab Gazeedah..!

Shab ki aakhir paher bujh gayi
Saher ki pehli shua jal gayi
Magar tum na aaye yeh kya hogaya
Sochta hi raha hai yeh kya maajra
Haath uthte bhi hain karte bhi hain dua
Kab talak muntazir yun hi beithe rahein
Tumko dekhein bhi lekin hum kuch na kahein
Khud se bezaar ab toh bahut hum huwe
Ab toh bas kar de maula bahut ghum huwe
Zindagi munh chidhati hai har aan mein
Khatam imaa'n hua hai insaan mein
Kab talak tum batao bharosa karein
Beithe beithe faqat qismat kausa karein
Ab toh charahgar banke dawa tum karo
Apne vaadon ko aakar rawa tum karo
Na hai ishq tumko, koi ghum nahin
Magar dosto'n se wafa tum karo
Ussi modh pe ab bhi beitha milunga
Jaha'n chodkar tum hawa hogaye
Muntazir hum rahe phone aayega ab
Na aaya toh socha khafa hogaye
Sochte sochte ranjeedah rahe
Nain apne faqat shab gazeedah rahe..!
- Khan M. Asim... 02/03/2014... 09:37 AM..!

Ishq parinda kehta hai!

Kehne ko alfaaz nahin
Jazbaat ka pinjra khaali hai
Ishq parinda kehta hai
Taqdeer badalne waali hai! Asim

Chahte the sar kata dein tere vaaste sanam hum!

Chahte the sar kata dein tere vaaste sanam hum
Lekin tere wujood se ghabra rahe hain ab hum
Tujhko gila yeh hum se karte hain hum shikayat
Tere taghafulon se ghum aashna huwe hum
Woh kaun si ghadi thi takra gaye jo tujhse
Nikle they ku-e-manzil aur aagaye kahan hum
Aasaan tha safar sab, fasal-e-bahaar bhi thi
Mushkil mein jaane kaisi ab aa ke pad gaye hum
Ashkon ka ek chashma phoota hai dil mein koi
Neinon pe inn na jao roye zaar zaar hain hum
Mohsin samajh ke tujhko Kia hum ne aitbaar
Aur ab yaqeen hai ke qurbaan ho rahe hum
Saahil pe ghar bana ke samandar se dosti ki
Mojon se apni ASIM takra rahe hain ab hum!
- Khan M. Asim... 24/02/2014... 02:18 AM..!

Tumhara haath chootne na deta..!

Badi shiddat se dard uthta hai
Tumse alvida kehte...
Nigahein dabdabati hain
Saansein khinchne lagti hain
Tumhara taabnaak chehra
Dheere dheere,
Hawaon mein madgham hogaya
Zahen betarteeb sa hai
Kuch sujhai nahin deta
Tum ab bahut door ho
Magar yeh yaadein
Kaath rahi hain mujhko
Kaash yeh judai hoti hi nahin
Waqt peeche hosakta gar
Tumhara haath chootne na deta..!

- khan M. Asim.. 17/2/2014.. 05:39 PM. Punjab mail!

Ishq apni inteha tak pahuncha yun mera miyan!

Ishq apni inteha tak pahuncha yun mera miyan
Khwab mein hazrat mile the baadalon ke darmiyan
Kehne lage pareshaan kyun ho kya hua tumko miyan
Meine kaha ab kya kahun ishq hai humko miyan...
Ishq mein toh kher hai hum se yeh bole miyan
Meine ne kaha sunta nahin par koi yahan apni miyan
Sab ko daulat chahiye sab ko hai ishqe jahan
Bole chalo phir arsh pe sunte hain sab Allah miyan...
Roshni kondhi koi aur hawayein tezz, barq
Yeh ajab hi muamla tha sajde mein thi saari khalaq
Lekin kahin dikhte nahin hum ko yahan Allah miyan
Bole Teri awqaat kya hai tujhse hai pardah miyan
Phir sada aayi ke maang jo hai tujhko maangna
Dairey mein thi sada markaz pe maano mein khada
Zahen tha majhool sa na simton ka taiyun kar saka
Hazrat yeh bole bol tu, hai har taraf Allah miyan...
Meine bhi rudad apni pesh kar di phir miyan
Meine kaha rabb yeh bata kyun mujhko mili dushwariyan
Aadmi kyun sungdil hai kyun woh kare nadaniyaan
Har taraf qatal o gharat, khun fishan Sara jahaan
Acha chalo bas yeh batao kyun mujh ko nahin aasaaniyaan
Dard hi mujhko Mila kyun, hain kyun faqat nakaamiyaan...
Rabb ne kaha tu yeh bata, karta hai badunwaniyaan
Meine kaha maula mere yeh toh jahan mein aam hai
Rabb ne kaha bas isliye hi bande mere nakaam hai...
Meine kaha meine magar imaan ki rassi thaam Li
Rabb ne kaha bas isliye hi tujhko Mila aaraam hai
Kehta hai mein nadaan hun kitna bada besharam hai
Beimaano ke liye dozakh bahut hi garam hai...
Teri saari mushkilon ka Hal hai hayyalas salaah
Bas mujhe tu yaad kar yaqeeni hai Teri falaah
Tujhko jitna dard hai, dard sab mit jayega
Ab talak sunta hai bas, jalwa mera mil jayega..!

Khan M. Asim... 03/02/2014.. 09:42 AM..!

Zindagi ik imtihaan hai!

Zindagi ik imtihaan hai
Maut bhi hai imtihaan
Leni hai ek baar lele
Tere haathon mein hai jaan
Phir se tu ne le liya kyun
Maula mere imtihaan
Zindagi ik imtihaan hai
Maut bhi hai imtihaan..!

Gardishe ayyaam yeh
mujhko lafaani lage
Dekh kar halaat aksar
dil ko hairaani lage
Bekhudi mein bhi basi
besabab beichainiyaan
Aqal o danish ab faqat
mujhko nadaani lage
Marhaley par har yahan
kho raha hai caravan
Zindagi ik imtihaan hai
Maut bhi hai imtihaan
Leni hai ek baar lele
Tere haathon mein hai jaan
Phir se tu ne le liya kyun
Maula mere imtihaan
Zindagi ik imtihaan hai
Maut bhi hai imtihaan..!

Ab faqat hai itna jaana
Khudko khokar hi hai paana
Teer apna hosla har
Manzilon pe hai nishana
Raahon mein par dhund kyun hai
Kyun phirun mein yun deewaana
Mushkilein hi mushkilein hain
Kyun nahin aasaaniyaan
Zindagi ik imtihaan hai
Maut bhi hai imtihaan
Leni hai ek baar lele
Tere haathon mein hai jaan
Phir se tu ne le liya kyun
Maula mere imtihaan
Zindagi ik imtihaan hai
Maut bhi hai imtihaan..!
- Khan M. Asim... 23/01/2014... 07:05 PM..!

Zindagi se tirust hun pyaare!

Yun toh kehne ko mast hun pyaare
Zindagi se tirust hun pyaare

Kal talak jiski chaon mein the tum
Mein woh sookha darakht hun pyaare

Bichadke tum se guzar gaya mein bhi
Ab kya lautunga, waqt hun pyaare

Buton ka shoq na haseeno se guftugu koi
Khudi mein khoya khud-parast hun pyaare

Meri talaash mein khud ko kho dogey
Mein woh taareek dasht hun pyaare

Har ek chaahe ke mujhpe raaj karey
Koi kisra ka takht hun pyaare

Tum samajhtey ho darr gaya Asim
Mein bhi andar se sakht hun pyaare!

- Khan M. Asim... 13/01/2014... 01:27 PM..!

Mahekta hua gulaab ho tum!

Baade Saba rukhsaar ko Chu ley toh ithlati hai woh
Geisun se takra jaaye toh bikhar jaati hai woh
Pari ho tum, ke hoor ho
Ya noor hi noor ho...
Haya ki ik tabeer ho tum
Wafa ki ik tasveer ho tum
Uljha hua sawaal ho tum
Suljha hua jawaab ho tum
Chaman mein tum se zeenat hai
Mahekta hua gulaab ho tum! 

- Khan M. Asim... 03/01/2014... Happy Birthday Arpi :)

Tumhein mein kuch na de paaya..!

Tumhein mein kuch na de paaya
Jo deta bhi mein kya deta
Raho tum shaadmaa'n har dum
Faqat itni dua deta...!

Tumhin se toh munawwar hai
Hamare dil ki yeh duniya
Hamari aarzoo bas tum
Ho yeh duniya ya woh duniya
Jo mere paas mein hotin
Mein betaabi bata deta
Tumhein mein kuch na de paaya
Jo deta bhi mein kya deta
Raho tum shaadmaa'n har dum
Faqat itni dua deta...!

Gayi jo kal chaman mein tum
Gulon ko zindagi mil gayi
Jo beithi zulfein bikhra ke
Falak ko shairi mil gayi
Kisi gul ki badhata shaan
Mein zulfon mein laga deta
Tumhein mein kuch na de paaya
Jo deta bhi mein kya deta
Raho tum shaadmaa'n har dum
Faqat itni dua deta...!

Saher tum se, paher tum se
Dariya mein laher tum se
Qalam ki jaan ho bas tum
Ghazal ki har baher tum se
Jo hai mera, tumhara hai
Tumhein kaise bhala deta
Tumhein mein kuch na de paaya
Jo deta bhi mein kya deta
Raho tum shaadmaa'n har dum
Faqat itni dua deta...!

- Khan M. Asim... 02/01/2014... 06:45 PM... Happy Birthday Arpi... :)

Mujhko wafa ne maara Teri jafa ke baad!

Bezaar hun yun khud se haan iss khata ke baad
Mujhko wafa ne maara Teri jafa ke baad!

Maghroor aasmaan ko itna na hona tha
Ik aasmaan aur hai iss inteha ke baad!

Kis ko tere darogh ka aayega ab yaqeen
Thehra hai saara muamla zaalim qaza ke baad!

Jab kuch nahin tha ispe tehzeebdaar tha yeh
Bhoola hai sab shaur yeh haan irteqa ke baad!

Ik sangdil se milkar ghum aashna huwe hum
Laazim kya sum bhi khayein uski dawa ke baad!

Duniya mein aur bhi hain haseen o jameel par
Aati nahin nazar koi ab dilruba ke baad!

Jab se nazar mili hai uthti nahin nazar
Sar khum hua hai Asim uski haya ke baad!
- Khan M. Asim... 20/12/2013... 12:38 AM..!