Saturday, February 28, 2009

Life..!

Well, its been a long time, I did not scream here. Although, I hardly worked in past few days. As like always, am a man of mood, so when its off, dont expect me to smile. At the moment, am normal and not thinking anything. Free from all my puzzling tasks.

Recently, a bull-shit movie recieved many Oscar Awards, every Indian feels proud of it although it was not an Indian product. I always adore Rehman, he is a genius but apart Rehamn there was nothing in the movie. It seems to the whole world that Jai Ho is the best creation of Gulzar but they ignored that chaiya chaiya has also been written by the same chap. Cinematography and background score is no doubt at its peak in the movie but there is harldy some research work done by the creators. I have never seen any Muncipal school in Dharavi which is teaching novels like, 3 musketeers to its students. And above all the 20 million question is also based on the same shit. With many loopholes movie became a huge success in Western World, as they hardly know about Mumbai slums but it tested real waters on Indian soil, where although its a hit but not like as a Oscar winning one. Oscar Jurists would have hardly notice the movie if it would have been made by any Indian Company. Its a perfect game plan to capture booming Indian Cinema market. First, they awarded Miss World and Miss Universe titles to some Indian girls, who were not so eligible for the award. So, another Indian market is on the verge of siege. Lets hope for the better future.

Hmmm, personally as i mentioned above, am not so good, planned and changed plan, so just living like a toothless dog, who can bark but can't bite. Looking ahead wth the same ray of love. She hardly finds time to talk and I usually keep fighting for it. Now, planning to move out for a story, but not really in mood to do so...Well University exams are approaching I have hardly seen the sylabuss.

Well, Now Subodh Bhai, our senior Sport Reporter wants to check his e-mails, so have to vacate the hot seat, which is actually about to burn with my temper. So you people enjoy and you too darling, I will surely call you soon, till than keep smiling, I Love you n loads of muaaah's! :)

Thursday, February 26, 2009

Pran..!

Mein bilkul vimash hun,

Har padao pe vifal...

Safalta hai ki bhayanak raat!

Woh shabdon ki devi hai,

Yahan har vichaar se asamarth,

viklaang!

Woh har bhuja se samaan hai

Yahan drishti mein kataar hai...

Woh kuroor bhi hai sheet bhi

Yahan shaantata mein ashaant hai...

Updesh uska bhes hai

Hridey pe mayajaal hai

Woh nritkia parilok ki,

Lekhika prem-rog ki...

Woh degayi mujhe daan mein,

Kintu, parantu, bindiyan...

Har shabd apna viyarth hai,

Mein uske kul pe dayarthi...

Woh guru bhi hai woh gyaan bhi

Aur shabdon ka pran bhi!!!

- Khan M. Asim...26/02/2009...1:07PM..I know Hindi:)hehe

Tuesday, February 24, 2009

Koi tumpe yun hi fida hogaya

Zamana yun samjha khuda hogaya

Koi tumpe yun hi fida hogaya

Jo tum se zara sa juda hogaya

Chalo karz dil ka adaa hogaya

Na khaufe lahad na hi mehshar ki chinta

Yun shaahe gulistan gada hogaya

Chashme nam se utar karke qatra koi

Tadapte iss dil ki sada hogaya

Jo ASIM khila to khila bhi woh kya

Tumhari hi koi adaa hogaya..!

- Khan M. Asim...24/02/2009...9:33PM...Love u muaah!

Chahte hain phir bhi hum yun bikhar jaana..!

Dekh liya humne doobkar ubhar jaana

Chahte hain phir bhi hum yun bikhar jaana..!

Teri kasam ki khaate kasam hain

Tere liye dil aankhein ye nam hain

Saari khudai kehti hai humse

Jitne yeh ghum hain utne hi hum hain

Dekh liya humne har ghum se guzar jaana

Chahte hain phir bhi hum yun bikhar jaana..!

Doston ki sunein, ashke dil ki sunein

Tu bata saathiya aur kiski sunein

Kehte kehte zubaan hai ukhadne lagi

Dhadkanon ki sunein aahaton ki sunein

Dekh liya humne har baat se mukar jaana

Chahte hain phir bhi hum yun bikhar jaana..!

Ek pal bhi nahin tujhse rehna juda

Sochkar bhi kabhi na humse hona khafa

Tu hi dil ki sada tu hi khulde bareen

Arsh si dooriyaan hain magar saathiya

Dekh liya humne arsh se utar jaana

Chahte hain phir bhi hum yun bikhar jaana..!

- Khan M. Asim...24/02/2009...8:53PM... i miss u!

Monday, February 09, 2009

Tumko aana hi hoga!

Dekh lo...

Apne deewaane ka haal,

Ab toh bezubaan sa hai...

Na koi andaaze bayaan

Na koi range sukhan,

Suraab ki manind,

Banjar zamin ho goya...

Alfaaz aise ke jin mein dhaar nahin

Jazbaat apne tarafdaar nahin...

Mukammal namukammal ban chuka hai

Namumkinaat ka ghubbaar

Aur tumhari umeed ki pukaar...

Koi kaise aitbaar kare

Kaise dil pe ikhtiyaar kare,

Nahin!

Ab yeh bardasht nahi...

Tumko aana hi hoga,

Yeh lamhe tab hi muskurayenge

Jab tum geet gaogi,

Meri baaton ke meri hasti ke...

Tumhara vaada hai aur tumko aana hai,

Saher o shab intezaar karta hun

Bila zaroorat bhi pyaar karta hun...

Ohh!

Tumne phir mehka diya,

Likhne waale ko behka diya,

Chalo achcha hai,

Shukriya...!

- Khan M. Asim...09/02/2009...1:00PM...Train

Wednesday, February 04, 2009

Nirvaana


Apni adaa ka usne deewaana kar diya

Lafzon ka jaam dekar paimaana bhar diya

Mujhko nahi shikayat uske dayaar se

Usne mujhe jalakar parwaana kar diya

Farmaane aabidi mein yeh bhi tha ek kaaj

Usne mere ghamon ko shaahaana kar diya

Khud se kahan chupi hai khudki hi koi baat

Usne mujhe hi khudko nazraana kar diya

Maanga kabhi jo vaadah meine haan pyaar se

Usne mere bharam ko faqiraana dhar diya

Aata hai yaad mujhko abru ka paich o kham

Jo muskuraa ke usne rafiqaana kar diya

Kaisi khushi kya ghum hai ASIM kya zindagi hai

Usne tujhe bashar se nirvaana kar diya

- Khan M. Asim...02/02/2009...7:50 PM...Train