Sunday, May 30, 2010

Pyaar

Kehte hain dildaar hai pyaar

Aji do dhaari talwaar hai pyaar

Ik taraf hai dilbar jaani

Du je mein dushman hai pyaar

Majnu hai sangbaar shaher mein

Laila toofanon mein faraar

Uska milan aur uski baatein

Aur uspar zaalim intezaar!

- Khan M. Asim...21/05/2010...8:25PM..!

Saturday, May 29, 2010

Atankwaad


Khaaki hai inka rang khaaki zubaan hai

Rishwat hai inka kaam baaki gumaan hai

Har baat pe lahoo har baat pe hai jung

Haathon mein inke aaj bhi geeta-quran hai

Haan jung chal rahi hai atankwaad se,

Atankwaadi kaun hai? bas musalmaan hai!

Beja koi phansa hai koi karke chala gaya

Khanjar utha kahin, kahin gayi jaan hai

Jo zaalimon ka saath de aazadi ke baad bhi

Saare jahan mein bas mera Hindustan hai!

- Khan M. Asim...22/08/2006...7:20AM..Train..
Wrote this small poem while going to college...!

Tuesday, May 18, 2010

Life!

Bored of sitting idle at home. I cannot rest anymore, i want some work....haah, i was just typing this line and Dinesh Bhai (Dinesh Mude, IBN Lokmat, Aurangabad) pinged me... What else i want, some encouragement, support from friends and an assurance of a better future, thanks dinesh bhai for rendering some positive energy to me.

So, was interrupted in between by many calls, and then just now had my lunch at 4 PM although am free at home. Passing my team sitting online for the whole days and nights, keep commenting on walls in facebook... Not writing much these days... Moreover, am tired of brain storming too... so don't feel to do anything..!

Mom is not keeping well, smae with dad, have to vacate this flat as soon as possible, so looking for a good flat in a better locality... Where only good human resides, as some people say, mohammadan areas are worst to stay!!! well being a muslim i can just feel bad after hearing that, which is actually not the case so...

But the best thing happeing these days is, I GAINED 7 KG's of weight and its all her magic. Her arrival changed my day and night, colour of my simple life... Its the joy which is reflecting in my weight and body! Thank God, she is here.. otherwise i would have got mad. But she fights with me every time.. Dont understand me, and am just tired of all this nonsense!

She just turned down my mood completely, not in mood to write anymore, sorry friends will write more later... Bye!

Monday, May 17, 2010

Kaam gaya, aaraam gaya!


Kaam gaya, aaraam gaya

Kund zehni se naam gaya

Kafe kazaa ne yun jakda

Masarraton ka jaam gaya

Kisi ada mein yun khoye

Sahi ghalat ifhaam gaya

Thar-thar kaanpa yeh aalam

Jahan talak ahkaam gaya

Unn shagufta nazron se

Phir dil ko payaam gaya

Garam jhulaste maidan ko

Baarish ka inaam gaya

Uske aate hi ASIM

Bad, achcha anjaam gaya!

- Khan M. Asim... 17/05/2010...7:30PM...Millenium Park Nerul..!

Wednesday, May 12, 2010

Raftaar


Ab toh dil ko qaraar nahin

Keh do ke tumko pyaar nahin

Raat tanha kat gayi yun hi

Ab woh khwab-o-khumaar nahin

Dard haathon se dil ko aa pahuncha

Kyun gham se humein faraar nahin

Kya bacha hai jahaane gulshan mein

Baaghbaan pe bhi aitbaar nahin

Jeet kar humse kya mila tumko

Ab nasheman bhare bazaar nahin

Go khamoshi fateh ki hai rehbar

Na-umeedi pe ikhtiyaar nahin

Jiss se dil ko sukoon milta tha

Gham mein baaki sharaar nahin

Chalo maana ke tanha hai ASIM

Ab woh daud woh raftaar nahin!

- Khan M. Asim...12/05/2010...4:20 AM!

Sunday, May 02, 2010

Junoon

Raahe junoon mein yun hadd hogayi,

Haan ishq se ab darne laga hun,

Sanam parwari mein yun bhoola khuda ko,

Ke ab lamhe lamhe mein marne laga hun!

- Khan M. Asim...02/05/2010...1:28PM! will finish it later now exams are going on..!