Saturday, August 11, 2012

Life..!


Even after failing almost on all the fronts till now, I still feel "I am the Best"... May be a poet inside isn't letting me to accept the defeats... though this soul is sad, made by nature... and keeps crying for everything in life..!

Ups and downs are part of life, with these words i keep petting myself. That the sun will rise some day, nothing comes up in a sudden even sunrise takes time, light reaches earth in 8 minutes, so destiny might open its doors someday for me. 

But its not just one person who is living i have a world around me... that stares at me, at my debacles... sometimes cries, sometimes laughs at me. It has expectations and hopes from me that someday i will become like it.

After receiving many jolts still am not broken though am little tired of thinking, contemplating and planning. Money brings joy, who says its not just about money... its all about money! Today am financially broken and can feel the pain..!

Some people suggests that its not the right time to run a business and then i put my theory of risk, age and responsibility in front of them. Yes, a job might provide some relief to me... But the soul inside prevents me from going ahead. It says, you are alive, still breathing, don't loose hope. And I remember Tipu Sultan's words then, "One day of lion's life is better than hundreds of jackal's".

Personal, professional, social stress has enormously increased. Am still unknown about the future. A few people are asking me to quit poetry.. dudes its not smoking that i should quit. Poetry is in my blood, i breath it, i live in it. I can die but can't live without it. 

Though am almost shattered, punched by moments and is far behind in the race today but still feels I might win. After darkness comes the light... And i can sense it.. Someday the Day will be mine... In my long sentence, a small bracket has come , someday the bracket will be closed and the sentence will continue till full stop. That day the success will be only mine, because today no one is supporting to me, then why should i share my success with them... My struggle, my hard work, my failures then why not only my success... Sometimes I feel like Hitler.. Yes, its only about me! 

- Khan M. Asim... 11/08/2011... 02:39 AM!

Monday, August 06, 2012

Burma ke Naam..!

Kab tak zulm karoge... pachtaoge yaad rahe
Nanhe nanhe bachchon ke aansu bin fariyaad nahin


Yeh qaum jab khud pe aati hai, ek bala banjati hai
Kis ne toda qaisar-kisra, maazi tumko yaad nahin


Kal phir se ababeel aayengi, aur tumko daudayengi
Qahere khuda jab naazil ho bachta koi shahzaad nahin


Kyun itna itraate ho... tum apni jhooti shaano par 
Jannat toh bana li thi lekin dekh saka Shaddaad nahin


Munh kholein toh danda hai, bas ik muslim ganda hai
Kehne ko yahan aazaadi hai, desh mera aazaad nahin


Apne ghar mein aag lage toh tum toofaan le aate ho
Kyun humse ghaflat karte ho, likhte koi roodad nahin


Hum mein hi Saladin baste hain hum mein hi Waleed o Qasim hain 
Jo tum se mit jayenge, hum qaum Samood o Aad nahin!


- Khan M. Asim... 06/08/2012... 03:33 PM... Burma (Mayanmar) ke naam!

Sunday, August 05, 2012

Bijli ke taar mein..!

Bijli ke taar mein
Ladki ke pyaar mein
Phans gaye re bhaiya
Dekho hum to manjhdhaar mein!
Ladki patang hai
Karti hud dang hai
Saara mohalla
Isse haan tang hai
Sabko bithati
Yeh hai qataar mein
Bijli ke taar mein
Ladki ke pyaar mein!
Saara zamana
Iska deewana
Sabko banati hai
Apna nishana
Iske hi poster hain
Dil ki deewaar mein
Bijli ke taar mein
Ladki ke pyaar mein!
Sab se hai hatkar
Iska character
Naache hai public
Yeh hai director
Iska hi charcha
Chaaya bazaar mein
Bijli ke taar mein
Ladki ke pyaar mein!
Bole iqraar toh
Samjho inkaar mein
Laakho talatum hain
Iske izhaar mein
Bik gaye re bhaiya
Hum to yunhi udhaar mein
Bijli ke taar mein
Ladki ke pyaar mein
Phans gaye re bhaiya
Dekho hum to manjhdhaar mein!
- Khan M. Asim... 05/08/2012... 10:35 PM..!

Saturday, August 04, 2012

Arpita..!

Yeh hawa..
mujhse keh rahi hai
Tu yahin hai tu yahin hai
Saathiya..!
Paas aa paas aa
Meri baahon mein sama
Tu na aise yun sata
Dilruba..!
Muskura
Tu hamesha muskura
Phoolon ko khilna sikha
Baat sun o
Apsara..!
Aasmaan
Doobta hai aasmaan
Kho gaya hai jahaan
Tujh mein aake
Dilbara..!
Dil mera dil mera
Geet gaaye bas Tera
Tu hi dhun hai
Tu hi dhun hai
Jaanejaa..!
Tu haqeeqat Tu fasana
Bas mera...
Ek Tu hai ek Tu hai
Bas mera..
Arpita..! - Khan M. Asim... 04/08/2012... 09:15 PM!

Thursday, August 02, 2012

Yeh deewaar gira dunga..!

Waqt tu kitna zor laga le mujhko rok na payega
Jab apni pe aaonga mein, yeh deewaar gira dunga!
Aake mil le saathi mere zakhm rawa hojayega
Tujhse nazarein milte hi saara dard bhula dunga!
Tishna tishna ghaib ka aalam kaun yeh pyaas bujhayega
Dariya tu ne raah na di toh dekh asaa utha dunga!
Soumo salaa ka aadi zahid roz salaah de jata hai
Uspe turrah dhamki rabb ki yeh sansaar mita dunga!
Rasme wafa ka pass hai usko yaad mujhe kar leti hai
Baat yeh warna usko pata hai mein alfaz chubha dunga!
Kitni shiddat lagti hai Asim qaabu paane mein
Jivan khel nahi  hai saathi, yeh baat usse bata dunga!
- khan m. Asim... 02/08/2012... 03:35 PM!

Tooti Umeed..!

Abhi chaand ghata mein hai
Kabhi badal baraste hain
Kabhi bijli kadakti hai
Barshgal kahin rehmat
Kahin zehmat banke aata hai
Kahin shukrana
Kahin istaqlal hai
Kahin muskaan
Kahin pukar
Mein hun, meri tanhai
Khamoshiyan
cheekhti sargoshiyan
Khauf larzah kapkapahat
Kaam banne ki umeed
Ghata mein hai
Ek jumud zahen pe tari hai
Nakami ka ghilaf gehra hai
Kamyabi kum-yab horahi hai
Yeh ghatayen kab hatengi
Yeh badal kab barsenge
Kab chand niklega
Pata nahi...
Abhi hawa mein khunki hai
Umeed toh hai
Magar
Tooti Hui!
- Khan M. Asim... 01/08/2012... 09:30 PM!