Sunday, December 28, 2008

Shamma tum jalaye rakhkho


Har taraf jung o jadal, firqa parasti ka samaan

Sukoon milta nahin ab peeri aastaanon mein

Charkh e gardun surkh ast, zehreli aab o hawa

Har taraf lahaul hai ab toh aasmaanon mein

Nadamat o pashemaani virasat ban gayi ab toh

Zindagi utaran hui goya musalmaanon mein

Joshe jahad ab phoot raha hai baanke naujavanon mein

Goonjti hai la-ilaha ab toh kohistaanon mein

Loot liye sab dariya usne, atom uska sarmaya hai

Phir bhi joote khaa jata hai ab woh registaanon mein

Doob gaya hai sooraj go ke Iraaq o afghaanon mein

Shamma tum jalaye rakhkho ghar ke roshandaanon mein

Yakja hokar ab mil jao, aman ka parcham tum lehrao

Muskura ke dil behlao, hai baat yahi farmaanon mein

Doob gaya gar ilm AYESHA saghar o paimaanon mein

Tumhari daastaan tak na hogi daastaanon mein...!

- Khan M Asim...27/12/2008...2:500 AM...on request of my dearest baji...:)

Friday, December 26, 2008

Mein kab tak karun?

Tumko paane ki baatein

Mein kab tak karun?

Hansne hansane ki baatein

Mein kab tak karun?

Baaton ki baaton mein

Yun hi mein uljha rahun

Sochun yeh kehna hai

Tumse mein kaise kahun

Roti ho jab bhi tum

Mein kya karun?

Tumko manane ki baatein

Mein kab tak karun?

Urdu mein likh dun toh

Hindi tum kehti ho

Tumko sunane ki baatein

Mein kab tak karun?

Yaadon mein guldasta

Lekar tum aati ho

Bolun mein ooncha toh

Aahista kehti ho

Chupne chupane ki baatein

Mein kab tak karun?

Aati ho milne haan

Mujhko tum sapnon mein

Door ho kyun magar

Hoke tum apnon mein

Sapne sajane ki baatein

Mein kab tak karun?

Hansne hansane ki baatein

Mein kab tak karun?

- Khan M. Asim...26/12/2008...12:00 AM...only on ur request:)

Monday, December 22, 2008

Sotudu..!!!


Aaj neend kisi lihaaf mein so gayi hai

Zahen pe roshni ka shaibah tak nahin...

Do pal ko uski awaaz aur phir khamoshi'

Uski sada ke saath nuzool hoti subah

Aur palkon mein ghuroob hota aaftaab

Kahin gum hai,,,

Urooj o zawaal uski chaal hai

Kabhi daayein toh kabhi baayein jhuk jaati hai...

Wahi billi jaisi aankhein aur sherni si dahaad

Mujh mein koi oodbilao ho jaise,

Har pal darta aur sahemta...

Woh muska de toh khil uthta hun

Woh titliyon sa tabbassum aur awaaze pur-tarrannum,

Magar!

Aaj ki shab kuch tanha si hai,

Si nahin! tanha hi hai..!

Kyunke woh mehjabeen bahut door hai,

Hijr ki raatein, wasal ke khwaab

Aur yeh angdaiyan..........

Pal pal thamta o thakta khaame

Aur kore kaghaz ka safed dil,

Be-zarar o be-jajba,

Jo sirf rangna jaanta hai, khilna nahin........

Uske husool ki tammanaayein

O Manane ki kaavishein.............

Issi raat mein,

Taare bhi hain aur sayyaare bhi,

Chand bhi hai air raat-raani bhi

Magar mein hun ke khoya sa,

Kisi sone-waale ko jagana chahta hun

Kisi ke labon ki adaa bankar muskurana chahta hun

Magar mein kya karun??? Woh khamosh hai!

Tamaam koshishein nakaam,

Aaj mein pyaasa hun, bilkul sookha,

Ek khauf hai, jo jagaye rakkhe hai

Shayad kuch honewaala hai...!!!!!!!!

Uff!!!!! huh...!!! Ab sun bhi lo....

Meri jaane bahaar, subah ke taare....

Hello, hello...oye...tum hi se keh raha hun...

Oye Sotudu, mein hun...mein,

Tumhara Rotudu..!!!!!

- Khan M. Asim...22/12/2008...2:20 AM... plzz wake-up now..!

Look, you did not give me, my lucky charm and I lost a job today...keep loving and keep giving it to me, I can bear hundred's of Tsunami's but not a single moment without you! so be with me always, I know you are, but still..heheheehe...Love You!

Thursday, December 18, 2008

Roshni ka sawaal lagta hai


Uske dum se kamaal lagta hai

Har andhera mashaal lagta hai

Jugnuon sa chamak chamak ke woh

Roshni ka sawaal lagta hai

Haan bhatakte aab-deedon ko

Zindagi ka khayaal lagta hai

Yun toh beitha hai khoya khoya sa

Har kisi se fa-aal lagta hai

Tishnagi yun badha gaya meri

Husn-e-pekar, Jamaal lagta hai

Daantna uski aadat hai

Waise aksar dayaal lagta hai

Dooriyan kab hatein ASIM

Ab toh jeena mahaal lagta hai

- Khan M. Asim...18/12/2008...8:55 AM...juss spoke to u n wrote it...Love You...muah-:)

Monday, December 15, 2008

Mere dum hi se toh yeh duniya hai


Mere dum hi se toh yeh duniya hai

Aur agar mein nahin toh phir kya hai

Zindagi bhi ajeeb rasta hai

Har qadam pe yahan toh marna hai

Zindagi ki bhala hai kya waqa't

Har nafas ko yahan toh marna hai

Yahi baatin kahin khuda toh nahin

Yahi lamha yahi zamaana hai

Tere kooche mein darr lage hai mujhe

Jo hai qaatil wahi masiha hai

Zaher pi lun mein tere haathon se

Yahi ASIM ko raas aata hai!

- Khan M. Asim...11:30 AM...12/01/2002...

Well, you can see the date when i wrote it, i think then i was in 10th standard, dont remember the girl's name who was standing infront of me at the bus stop! yupp i wrote it looking at her at a bus stop near to my school, n ya it was i think our unit test time! exam was too good, ofcourse i was in a good mood:)

Friday, December 05, 2008

Kuch na kuch teri khatir kar jaonga

Kuch na kuch teri khatir kar jaonga

Haan mohabbat se apni mukar jaonga

Ab na jee paonga, bas guzar jaonga

Teri duniya ko rangeen kar jaonga

Lamha bankar ke A*** kisi shaakh se

Raahon mein teri bikhar jaonga

Ghum ka sagar kaho ya qatra koi

Teri aankhon se banke utar jaonga

Zindagi tez toofan dikha na mujhe

Tu kya samajhti hai darr jaonga

Gira bhi agar uski nazron se mein

Had se had itna hai mar jaonga

Ab ASIM sanbhalun mein kitna isse

Khudi se mein ladke kidhar jaonga

Khan M. Asim...05/12/2008...11:49PM...Finally landed at you..happy!