Saturday, June 23, 2007

Phir Suni Uski Awaaz...!!!

Phir suni uski awaaz

Haiii........

Bas dil se aah nikalti hai...

Kai din se

Yeh duniya sooni sooni thi

Magar aaj

Woh madhur madhur jeevan dene wali boli

Phir se baharon ko awaaz de gayi......

Woh khilkhilahat o apnavat

Jo har begaane ko deewana bana de

Kehne ko shabd nahi

Likhne ko alfaaz nahi

Uski dhun se badhkar yaaron

Duniya mein koi saaz nahin...!!!

Kitne din hue.......

Dil murjha sa gaya tha

Halaq khushq o dimaagh sookha hua...

Har soch pe moch...!!

Magar aaj....

Uss raqqasa ke do bol se

Khamoshi sangeet ban gayi

Har lamha jhoom utha

Mausam bhi rangeen hai

Patta patta naha raha hai

Uska deedaar toh nahin

Magar uski awaaz hi

Apna jeevan hai...!!!

Woh jo kaanon mein amrit ghol gayi

Haan wahi khuld e bareen ki raqqasa

Jiski paazeb sapnon mein goonjti hai

Woh khalq e rahmani, dua e aabidi

Door hai magar dil mein hai

Wahi to hai...

Har mussavvir ki moorat

Har mussannif ki kahani

Kisi shayar ka deewaan

Aur hamare liye.......

Liwan e jamshedi......!!!!

- Khan M. Asim..23/06/2007...4:35 PM...

Aamade Gul e Shagufta .....!!!


Jannat mein khoobmaze mein tha phirkyun mein dehar me aa baitha

Uss gul ka shagufta hona tha aur dard jigar mein aa baitha

Woh chaand sifarish karta tha woh taare dard jagate the

Ubla toh mein itna ubla toofaan behar mein aa baitha

Yun bhatka saqi maqtal ko mein duniya saari bhool gaya

Manzil ko meine qatal kiya aur tere shehar mein aa baitha

Teri amaan mein dil mera tere haathon mein duniya hai

ASIM duaen bhool gaya aur taab e sehar mein aa baitha !!!

- Khan M. Asim...08/02/2007...8:15 AM...Train....

Wednesday, June 13, 2007

Ek Paheli ?????

Arre sun saheli ek paheli

Duniya mein woh ek akeli

Aankhen goti Zulfein choti

Samajhti khudko hoti hoti

Badan se par hai moti moti

Shakal se laage dhenchi dhenchi

Zabaan chalaye jaise kaienchi...!!!!

Zara batlao toh kaun hai woh?????

- Khan M. Asim...13/06/2007...8:00 PM...

Sunday, June 10, 2007

Aaj Phir Nazron Mein Thi !!

Woh bewafa !

Do tarfa chaku

Sharafat jiska sheva nahin

Husn ke nashe mein sarshaar

Taqabbur ki moorat

Aaj phir nazron mein thi...!!!!

Sapaat chehra

Bagher kisi ehsaas ke

Woh jafakash

Jo kabhi saaqi na ban payi

Dasna jiski aadat hai

KOi badrooh ki soorat

Aaj phir nazron mein thi...!!!!

Saamna jab hua

Dimaagh khayalaat se khaali

Nazrein milin

Magar!!!

Unmein woh taab na thi

Ik ajab si jalan seene mein daud gayi...

Ehsaas usko bhi tha

Hawaas fakhta tha

Kuch ghabra gayi

Jo sirf waqti thi

Woh jaanti thi

Mein darne wala nahin...

Magar uski bewafai

Woh uski behayai

Mujhe udhed bun se nikal gayi

Woh Mehbooba e Shaddadi

Aulad e Dajjal...

Aaj phir nazron mein thi...!!!!

Na koi guft o shuned

Na koi izhaar e haal

Aur dil mein yahi sawaal...

Tumne aisa kyun kiya ????

Meine toh socha na tha...

Woh lajawaab o behijaab

Naar e Arzi ka Azaab

Aaj phir nazron mein thi...!!!!

- Khan M. Asim...09/06/2007...10:14 AM...Train

Friday, June 08, 2007

Usse Bichadke...!!!

Unki aankhon ne jo pilai masti...

Doobe gham saare kho gayi hasti !

Bichad ke usse yun laga humko

Umar bekaar zindagi sasti !

Yun kiya shikwa mohabbat mein jafakash se

Kho gaye mausam ujad gayi basti !

Aaj bhi kone se ghoorti rahe hai mujhe

Woh lamse gaisun har lahar dasti !

Yun toh ASIM jawaan hua lekin

Hai shauri har nafas kasti !!!

- Khan M. Asim

Sunday, June 03, 2007

! ! * * G O L D E N P O E M * * ! !

Dont know, how to start? but I am really thankful to Allah! Who responded positively on my duo o shikayat. Its really a miracle, i am still trying to believe it! I remember my tough time, i was hospitalised due to malaria (last stage of malaria). Every one was tensed and i was almost unconscious. Doctors asked daddy to write an application i. e. if anything happens during the treatment doctors wont be blamed for that and he, himself will be solely responsible for it. And he cried but signed it.

On next day was my first day of Vth sem exams. I wrote this poem (below)in the night and started pleading, that i will give my exams. After all discussions i was discharged against medical advise. Daddy and Arif Bhai used to accompany me to the exam center. Nobody gave me his/her notes, as they too were busy in their studies. After facing all these situations exams got over. And result was astonishing as my result was almost similar to others. I passed the semester without any ATKT, however 2 of my classmates failed in the same.

And with the time, My illness too vanished and health started improving. Now it was time to study hard for sem six, the last and the final examination. I started working for my projects and finished with full dedication. I scored well in projects too but people think " as i am Anand sir's favourite student he gave me more marks than them". "Sugar-Coated" this is something they call me.

But the fortune says a different story, the suger coated not only scored well in projects but in theory too. I not only covered the over all margin but also became the only student (in my college) to score a distinction and topped the six semester exams. And now I am unable to handle myself, really happy and enjoying the life to fullest. Looking forward for better future. And i know the future is more bright, this is just the beginning of life.

This really means i am "sugar coated" otherwise how can i score this much...THANK GOD I AM SUGAR COATED.

This poem i wrote when i was hospitalised due to malaria. And this really having a major impact on my life...You too read it....and pray to GOD !!
********************************************


Jisne paida kiya yeh zameen aasman

Hai woh saare zamane ka malik kahan

Yun to Khaliq hai woh aur Raziq bhi hai

Par pareshaniyon me gaya woh kahan.........!

Han tu shahrag se bhi meri nazdeeq hai

Mujhse parda na kar apna jalwa dikha

Apna raham o karam zara mujhpe luta

Bhej mujhko wahan sukoon mile hai jahan.....!

Tere ahkaam ko mein na bhoola kabhi

Tu meri zindagi ko ab yun na bujha

Halat-e-zaar hai banda bemaar hai

Apni takhleeq ko bakhsh de tu shifa

Tera deedar ho itna armaan hai

Ae Malik mere tu nihan hai kahan....!

Mere qalb-o-jigar tere paband hain

Jaam-e-jamshed tu mujhko karde ataa

Meri dhadkanon me tera geet hai

Hai tera naam meri ragon me rawan....!

Tera mehmaan hai aur musalmaan hai

Kare kya kare woh pareshaan hai

Itna ahsaan kar jeena aasaan kar

Pass karne de mujhko mera imtihan....!

Mana maghroor hai ASIM mazoor hai

Maaf karde tu meri har ek khataa

Bakhsh de tu mujhe aur tandrust kar

Ba-sadqae Sayyade(PBUH) dono jahaan...!



Khan M. Asim ....07/10/2006...