Monday, January 31, 2011

Anjana


Ek saaqi ho ek meikhana

Ek dil ho aur ek deewana

Aur kya ishq ki zarurat hai

Saath gar ho sitam zarifana

Namukammal lage mukammal sa

Aur hai ik ajeeb paimaana

Ek parwaaz dil mein uthti hai

Aur beithe rahein yun zandana

Har ibarat lage hai afsurdah

Maano khaamosh ho woh afsana

Har kali ko yun pyaar se dekhe

Apni masti mein mast mastana

Kaun ASIM yeh roz milta hai

Jaana pehchana hai yeh anjana!

- Khan M. Asim...31/01/2011...8:55PM...!

Tanha!


Saathi na koi dildaar chahiye

Ab na kisi ka pyaar chahiye!

Khud hi gham ko peena hai

Ab bas tanha jeena hai!

Ab na kisi ke saath ki chaahat

Ek pal ko na dil ko raahat!

Ab na manzil paani hai

Bekaar yeh dil ki kahani hai!

Hai lamha lamha dil jalta

Aankhon ko har pal khalta!

Koi baat samajh na aani hai

Kya raja hai kya raani hai!

Paighaam yeh bas pahunchana hai

Jal raakh hua parwaana hai!

Koi aag lagakar rehta hai

Tim timkar jugnu kehta hai!

Suraj ka bas kaam hai dhalna

Shamma ko bhi hai pighalna!

Phir saath hamara kaisa hai

Saahil saahil ke jaisa hai!

Nayi deta khabar akhbaar hai

Har naaseh yahan nachaar hai!

Na koi phone uthana hai

Na haale dil hi sunana hai!

Haan sabse dil bezaar hai

Iss pyaar se ab inkaar hai!

Na ghar mein kisi ke jaana hai

Bas tanha khaana khaana hai!

Na milne ki koi soorat hai

Waise bhi kya zaroorat hai!

Hai apni duniya mein khush rehna

Ghairon se bhala hai kya lena!

Kyun bebas dil badnaam hai

Jab hota yahi anjaam hai!

Phir sarkash ko samjhana hai

Ek tarkash ko apnana hai!

Kyun ghut ghut ke marr jaana hai

Kyun waqt se yun darr jaana hai!

Kya khoob mazah yeh lai hai

Haan pyaari bahut tanhai hai!

Yeh jazba kisi ke paas nahin

Koi shaayar sa hassaas nahin!

Kyun karna kisi se gila sa hai

Kyun lena kisi ka dilaasa hai!

Sadkon pe hai shor kisi ka

Baaghon mein hai more kisi ka!

Kyun saanp se haan kathwana hai

Yaan chahta kaun khazana hai!

Yahan kisko khel sikhana hai

Har aadmi yaan anjana hai!

Ab kaun yahan saffaak hai

Yeh banda bada bebaak kai!

Na naam kisi ka aana hai

Bas yunhi chalte jaana hai!

Haan jaanta bas yeh ASIM hai

Apni duniya ka naazim hai!

- Khan M. Asim...31/01/2011...3:38PM...Train!

Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe!


Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe

Ek deewaane ko khwabon se jaga ke dekhe

Chaand taare jo chupe hain kahin badli mein

Haan ek parwaane ko awaaz laga ke dekhe

Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe!

Phir kahin pyaar koi ghaafil hai

Khud se naaraaz tadapta koi saahil hai

Har taraf shor hai taskeen milegi kaise

Afsurdah bayaan phirta koi saa-il hai

Gumshudah raaz koi jugnu ko bata ke dekhe

Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe!

Haan nahin maah o maher paher khamosh toh hai

Gar nahin vaadah wafa ehsaan faramosh toh hai

Haan nahin khauf magar hai kahin vehshat bhi

Haan nahin sher jo dil, toh koi mosh toh hai

Kar sake qaid toh koi jaal bicha ke dekhe

Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe!

Ab nahin aur sakat qaasid mein tere chalne ki

Kya zaroorat hai aye raat tujhe dhalne ki

Gham se maanoos hai phir dekh deewana tera

Door tak dasht mein pheili hai khabar jalne ki

Hai tujhe yaad toh aawaaz laga ke dekhe...

Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe!

- Khan M. Asim... from 30/01/2011... 3:12 PM...with many intervals...finished on 31/01/2011... 11:03AM! Change in pattern can be reason with swing of mood!

Sunday, January 30, 2011

Dil Samandar


Aye Samandar,

Mujhe khud mein ghark karle

Apni baahon mein mera jism bharle...

Yeh duniya,

Ajeeb duniya hai,

Apni mojon se...

Ghame dil tar karle

Tere saahil pe roshni hai bahut

Aur yeh gosha-e-dil,

Taareek hai!

Kuch hi lamhon mein,

Yeh roshni bhi na hogi...

Har sun,

Ik siyahi,

Ek zulmaat hoga..

Ajeeb tilism hai,

Yeh umeed o beem ka...

Ek mauj laut jaati hai

Ek mauj idhar aati hai

Bade bade paththaron ki tarah

Dil par bojh hai!

Zindagi pedal,

Be-yaar o madadgaar,

Hazaaron ka majma

Aur

Mein tanha!

Ajeeb kahshmakash hai,

Teri lehron ki tarah...

Josh hai,

Tughyaani hai,

Magar...

Azaadi nahin!

Ek satpatahat hai,

Baahar nikalne ki...

Kahin jamood,

Kahin uchaal hai..

Beshumaar kichad,

Kisi gham ki tarah...

Apna aalam bhi yunhi behaal hai,

Isliye,

Aye Samandar,

Mujhe ghark karle!

- Khan M. Asim...30/01/2011...8:05 PM...Nariman Point!

Ab teri bazm se uthkar bhi kahaan jayenge!


Ab teri bazm se uthkar bhi kahaan jayenge

Har taraf ek tere chehre ko numaan payenge

Bhoolkar duniya, chalein dasht o saher ko

Yaad aaoge humein, chaahe jahaan jayenge

Ek nahin chaar nahin laakh balaein lenge

Tu rahe shaad yunhi jo bhi makaan aayenge

Lakh gulshan mein khilein phool magar jante hain

Teri khushboo se muattar hi samaan payenge

Lakh karlein haan jatan tujhko chupakar khud se

Tujhko saanson mein yunhi apni ravaan payenge

Chaahe paaiz na baaraan mein bula tu humko

Tujhko chahte hain dar fasle khizaan aayenge

Chodkar humko chaloge jo kabhi gher ki raah

Ta-aqub mein tere qadmon ke nishaan aayenge

Haan raqibon ne bichaye hain bahut jaal yahan

Saath mehfil se tere hum bhi nihaan jayenge

Ek tera saath rahe aur kya chaahe ASIM

Dekh phir hadde nazar kya kya gumaan aayenge!

- Khan M. Asim...30/01/2011...2:44AM!

Sundar pyara desh hai mera!


Sundar pyaara desh hai mera

Aaj bhi jag mein hai sunehra

Himalaya ka hai iss pe pehra

Koi Sikandar yahan na thehra

Door door tak khet-o-faslein

Pashu-o-pakshi sab ka dera

Raaton ko maa lori sunaye

Baansuri hai kare savera

Duniya ki har cheez hai isme

Dariya is mein aur hai sehra

Yakjahti ka ek alambar

Zaheer is mein toh hai Nehra

Adab tamaddun vursa iska

Meera is mein aur Kabira

Sach hai ASIM koi na aisa

Jag se nirala desh hai mera

Sundar pyara desh hai mera!

- Khan M. Asim...21/01/2010...7:10PM...Finished at Gulbarga Stn, Mumbai to Bangalore journey!

Thursday, January 27, 2011

Aajao!


Qalam chahta hai...

Mein kaghaz se kuch kahun,

Magar,

Yeh maghroor zahen

Sunne ko tayyaar nahin!

Alfaaz...

Zara be-tarteeb hain

Khayalaat...

Behangam,

Koi tasalsul nahin!

Tum se door,

Tumhari yaad...

Yahan,

Har lamha,

Udaas hai!

Ajeeb si yaas

Kamre ki fiza par,

muheet hai!

Har sa-at,

Har aahat,

Har dhadkan,

Tumhein pukaarti hai,

Kehti hai,

Ke tum aajao...

Isi lamhe mein,

mere paas...

meri baahon mein!

Har manzar,

Tum hi se hai...

Sirf tumhara muntazir,

Tumhara taalib,

Yeh tishnagi

Tumhari hai...

Haar aah,

yahi chaahti hai...

Ke tum aajao...

please,

Aajao!

- Khan M. Asim...11:38PM... 25/01/2011! Missing my love!

Wednesday, January 26, 2011

Hindustan


Azim-ush-shaan hai, jahaan ki jaan hai

Haan jannat-e-haqiqi yeh Hindustan hai

Ameeri na siyasat na farman-ravaan koi

Maishat ko chalata har dehkaan hai..!

Azim-ush-shaan hai, jahaan ki jaan hai

Haan jannat-e-haqiqi yeh Hindustan hai!

Na Turki, na Samarkandi, na Mangolya thehra

Wujood-e-Hind pe bas hai Koh-e-Him ka pehra

Kahin Tipu, Kahin Wajid, Bhagat, Tope hue paida

Issi mitti mein dafna hai Angrez ka chehra

Issi mitti se upje hum, yeh itminaan hai

Azim-ush-shaan hai, jahaan ki jaan hai

Haan jannat-e-haqiqi yeh Hindustan hai!

Kahin Awadhi, kahin Dakni, kahin Kashmeer hai

Kahin Tulsi, kahin Meera, kahin pe Meer hai

Yahan C.V, yahan Homi, Abul Pakir baste hain

Kahin pe phool aur maala kahin shamsheer hai

Haan mehnat aur Tarraqqi ki yahi pehchaan hai

Azim-ush-shaan hai, jahaan ki jaan hai

Haan jannat-e-haqiqi yeh Hindustan hai!

Kya daulat? hai kya shohrat? sab qurbaan hai

Phale phoole yeh yunhi bas, yahi armaan hai

Yahan Hindu, Yahan Muslim, Sikh-Eisai rehte hain

Akhuwwat aur ravadaari yahan ki jaan hai

Mein bachcha hun isi ka bas, yeh ammi jaan hai

Azim-ush-shaan hai, jahaan ki jaan hai

Haan jannat-e-haqiqi yeh Hindustan hai!

- Khan M. Asim...25/01/2011...4:58 PM...Train...From Bangalore to Mumbai!
!*** Happy Republic Day***!

Wednesday, January 19, 2011

Tawanai

Waqt ke haath agar shahenshai hai

Apne andar bhi khoob tawanai hai!

-Khan M. Asim...19/01/2011...2:25 Am.. to be continued and followed soon!

Kaale baadal!


Kaale baadal!

Ziyada din nahin rahenge...

Ek aandhi,

Inhe barasne pe majboor kar degi!

Aur

Jab yeh barsenge,

Yeh zarkhez zamin...

Kaamiyaabi ki fasal degi!

-Khan M. Asim...18/01/2011...11:30PM!

Friday, January 14, 2011

Maishat!

Ishq nahin bas vehshat hai

Har jaanib ik dehshat hai

Kaun kare yan pakka souda

Doob chuki har maishat hai!

- Khan M. Asim..13/01/2011...01:57 PM...Train

Wednesday, January 12, 2011

Kehte ho insaan nahin hun!


Kehte ho insaan nahin hun

Sach hai bas darbaan nahin hun

Muaaf kare jo har ghalti ko

Insaan hun bhagwaan nahin hun

Nisaar karun jo duniya tum pe

Haan itna maherbaan nahin hun

Raqss karo bas unki mehfil

Kya mein qadardaan nahin hun

Baat kahun jo sachchi sachchi

Mein rabb ka farmaan nahin hun

Kyun kehte ho mushrik, kaafir

Kya mein musalmaan nahin hun

Haath laga ke chod dun yunhi

Itna bhi anjaan nahin hun

Har kone mein ghaat lagaon

Haan koi shaitaan nahin hun

Mil jaon jo tum ko rabb se

Mein koi vardaan nahin hun

Saat samandar paar hai kashti

Mallah hun Rehmaan nahin hun

Khel rahi hain aag ki laptein

Bachcha mein naadaan nahin hun

Kyun dete ho mujh ko phaansi?

Mein qaatil, haiwaan nahin hun

Bol rahi hai door se manzil

Rasta mein aasaan nahin hun

Sher na dhundo mujh mein achche

Ghalib ka diwaan nahin hun

Jin-o-ins pe raaj kare jo

Dawoodi sultaan nahin hun

Lutne dun jo apni daulat

Turkon ki mein shaan nahin hun

Bina wazoo har koi chu le

Maanavi Quraan nahin hun

Kyun ruthega Allah mujh se

Firaon o haamaan nahin hun

Kaise bataon mann ki khwahish

Khud apni pehchaan nahin hn

Shaher Shaher kyun qatal o ghaarat

Mein basti viraan nahin hun

Tum kehte ho pyaar nahin hai

Phir bhi mein hairaan nahin hun

Bila wajah hi sar chadh jaaye

Mein jhoota armaan nahin hun

Udd jaaye jo tum ko lekar

Mein koi toofaan nahin hun

Zara tapish se yun dhal jaaye

Shab ka mein heejaan nahin hun

Dard, asar hai dil mein hota

Paththar mein bejaan nahin hun

Roop badalte der hai lagti

Asim hun, Salmaan nahin hun!

- Khan M. Asim...Began at 7:30PM on 11/01/2011...with many intervals, at 2:23 AM, 12/01/2011...finsihsed 4:46AM...12/01/2011!

Sunday, January 09, 2011

Rangdaari


Band hue hain chaar diwaari

Phooti kismat hai hamaari

Jis ko dekhein raah dikhaye

Baat karein sab sahukaari

Raat ko uljhan bechin din mein

Har lamha hai yan vish-dhaari

Gulchin ne chunli kaliyaan saari

Kaisa gulistan, kaisi kiyaari

Ab na bacha kuch in saanson mein

Bas hai dahekti yaad tumhari

Unki dagar pe chalna hai mushkil

Baab sikhayein baat jo pyaari

Kar li parastish kar li ibadat

Phir kyun mili hai dhoka-daari

Apni sakhavat, apni akhuvvat

Bhaad mein jaaye yeh dildaari

Aur nahin kuch bachta ASIM

Seekh lo tum bhi yeh rangdaari!

- Khan M. Asim...09/01/2011...5:25Pm...Train+Home!

Kaun hai apna Kaun paraya?


Kaun hai apna Kaun paraya?

Waqt ne humko sab dikhlaya

Jisko bhi tha dost banaya

Koi kisi bhi kaam na aaya!

Kaun hai apna Kaun paraya?

Apni duniya, apni manzil

Apni khushiyan apni mehfil

Kaun hai kiska saath nibhata

Kiske dil hai kaun hai be-dil

Hum se jisne kaam banaya

Koi kisi bhi kaam na aaya!

Kaun hai apna Kaun paraya?

Hum se roothi duniya saari

Phoot gayi thi deed hamari

Khaali jeibein aur bekaari

Lut gayi khushiyan eid hamari

Jisko bhi humraaz banaya

Koi kisi bhi kaam na aaya!

Kaun hai apna Kaun paraya?

Ab na kisi ke saath hai jaana

Aur na kisi ki baat mein aana

Khudgharzi har raah hai chalti

Hum ne yahi bas raaz hai jaana

Bhatke jo rasta kisne dikhaya?

Koi kisi bhi kaam na aaya!

Kaun hai apna Kaun paraya?

- Khan M. Asim... 09/01/2011... 4:01AM! To those who betrayed me, used and threw me away!

Friday, January 07, 2011

Bas itni tamanna hai!


Woh gul shagufta ho bas itni tamanna hai

Woh saamne aaye haan bas itni tamanna hai

Woh chaahe mujhe bhoole aisa na kuch bhi ho

Woh yaad kare mujhko bas itni tamanna hai

Deedaar kare mera haan pyaar kare mujh ko

Woh pyaar se yun soche bas itni tamanna hai

Woh shaam dhale aaye bas geet mere gaaye

Woh naam mera pooche bas itni tamanna hai

Woh jalwa-numa ho jab roshan ho meri mehfil

Mehfil mein meri aaye bas itni tamanna hai

Woh pyaar se yun chume aankhon mein meri dekhe

Woh aankh milaye haan bas itni tamanna hai

Jo Asim mein shaamil hai woh khoon kare mera

Woh mera qaatil ho bas itni tamanna hai!

- Khan M. Asim...18/02/2007...11:59AM...Millenium Park, Nerul!

Thursday, January 06, 2011

Free Binayak campaign Calender 2011



My poem has been honored to be a part of the Free Binayak Sen Campaign. And is included in the Free BinayaK Campaign Calender 2011 for the month of April. We demand free Binayak Sen!

Wednesday, January 05, 2011

Ghaafil


Phir tu ne wahi baat kahi

Phir ranjoor saathi dil hua!

Phir khauf hum pe cha gaya

Phir tu mera qaatil hua!

Khumaar hum se utar gaya

Phir lamha ik jaahil hua

Tu apne dum mein reh gaya

Phir kaamraan baatil hua

Ik ashk bhi na baha sake

Phir dard yun faazil hua

Woh roshni phir chup gayi

Phir aasmaan ghaafil hua

Koi doobta hai bhanwar mein

Phir be-qaraan saahil hua

Hai ishq zad mein aaj bhi

Phir waqt yun faasil hua

Na kaam hai na sukoon hai

Phir raqeeb yun faail hua

Yeh apni laghzish hai aur kya

Phir ASIM yun hi qaail hua!

- Khan M. Asim... 05/01/2011... 2:35AM!

Saturday, January 01, 2011

Binayak Sen!


Zindagi ki rail mein

Bahut gaye hain jail mein

Baazi aage badhao Sen

Bada mazah hai khail mein!

Desh apna log paraye

Koi adalat kaam na aaye

Tang nazron ki aisi tesi

Chalo Binayak qadam badhaye!

Badal dena hai waqt ka saancha

Badlenge qanoon ka dhaancha

Haqq milega mazdooron ko

Marega na koi khaancha!

Binayak Sen ek hain

Sandesh dete nek hain

Yeh ik awaaz dabate hain

Sadayein par anek hain!

Zulm, aatank mitayenge

Bhai ko bhai banayenge

Desh ghulam na hone denge

Phir aazaad karayenge!

Ghareeb pichda zaroor tan hai

Saath tumhare har dhadkan hai

Kar lene do jitna jatan hai

Saath tumhare poora watan hai!

- Khan M. Asim...01/01/2011 1:50 AM... For Biayak Sen... New Year's first poem goes from heart to him, I support his movement!