Monday, January 31, 2011

Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe!


Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe

Ek deewaane ko khwabon se jaga ke dekhe

Chaand taare jo chupe hain kahin badli mein

Haan ek parwaane ko awaaz laga ke dekhe

Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe!

Phir kahin pyaar koi ghaafil hai

Khud se naaraaz tadapta koi saahil hai

Har taraf shor hai taskeen milegi kaise

Afsurdah bayaan phirta koi saa-il hai

Gumshudah raaz koi jugnu ko bata ke dekhe

Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe!

Haan nahin maah o maher paher khamosh toh hai

Gar nahin vaadah wafa ehsaan faramosh toh hai

Haan nahin khauf magar hai kahin vehshat bhi

Haan nahin sher jo dil, toh koi mosh toh hai

Kar sake qaid toh koi jaal bicha ke dekhe

Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe!

Ab nahin aur sakat qaasid mein tere chalne ki

Kya zaroorat hai aye raat tujhe dhalne ki

Gham se maanoos hai phir dekh deewana tera

Door tak dasht mein pheili hai khabar jalne ki

Hai tujhe yaad toh aawaaz laga ke dekhe...

Raat ko chahiye ghoongat ko utha ke dekhe!

- Khan M. Asim... from 30/01/2011... 3:12 PM...with many intervals...finished on 31/01/2011... 11:03AM! Change in pattern can be reason with swing of mood!

No comments: