Hindustan
Azim-ush-shaan hai, jahaan ki jaan hai
Haan jannat-e-haqiqi yeh Hindustan hai
Ameeri na siyasat na farman-ravaan koi
Maishat ko chalata har dehkaan hai..!
Azim-ush-shaan hai, jahaan ki jaan hai
Haan jannat-e-haqiqi yeh Hindustan hai!
Na Turki, na Samarkandi, na Mangolya thehra
Wujood-e-Hind pe bas hai Koh-e-Him ka pehra
Kahin Tipu, Kahin Wajid, Bhagat, Tope hue paida
Issi mitti mein dafna hai Angrez ka chehra
Issi mitti se upje hum, yeh itminaan hai
Azim-ush-shaan hai, jahaan ki jaan hai
Haan jannat-e-haqiqi yeh Hindustan hai!
Kahin Awadhi, kahin Dakni, kahin Kashmeer hai
Kahin Tulsi, kahin Meera, kahin pe Meer hai
Yahan C.V, yahan Homi, Abul Pakir baste hain
Kahin pe phool aur maala kahin shamsheer hai
Haan mehnat aur Tarraqqi ki yahi pehchaan hai
Azim-ush-shaan hai, jahaan ki jaan hai
Haan jannat-e-haqiqi yeh Hindustan hai!
Kya daulat? hai kya shohrat? sab qurbaan hai
Phale phoole yeh yunhi bas, yahi armaan hai
Yahan Hindu, Yahan Muslim, Sikh-Eisai rehte hain
Akhuwwat aur ravadaari yahan ki jaan hai
Mein bachcha hun isi ka bas, yeh ammi jaan hai
Azim-ush-shaan hai, jahaan ki jaan hai
Haan jannat-e-haqiqi yeh Hindustan hai!
- Khan M. Asim...25/01/2011...4:58 PM...Train...From Bangalore to Mumbai!
!*** Happy Republic Day***!
No comments:
Post a Comment