Saturday, July 30, 2011

Zahen bojhal sukoon ghaarat hai!


Zahen bojhal sukoon ghaarat hai

Bahut ghamgheen yeh ibaarat hai

Sochkar dil mein basnaa tum

Yeh shikasta bahut Imaarat hai

Har taraf hain shukook aaludah

Kaisi paaki kahan tahaarat hai

Doob jaayega woh gar raha yunhi

Guftugu mein badi hiqaarat hai

Bhooke laute hain uski mehfil se

Kaisi khaatir kahaan madaarat hai

Bhool beitha usool woh Asim

Uska jalwah nahin ziyaarat hai!

- Khan M. Asim... 30/07/2011... 12:05AM!

Friday, July 29, 2011

Saara saawan guzar gaya!


Saara saawan guzar gaya

Saaqi mere kidhar gaya

Kis se maangu mein madira ab

Saara nashsha utar gaya

Saaqi mere kidhar gaya...

Saara saawan guzar gaya!

Oas lagaye chingaari

Ang ang mein bedaari

Aas pe teri dil beitha

Tujh bin saari rut haari

Saawan mein aaya patjhad

Har ik patta bikhar gaya

Saaqi mere kidhar gaya...

Saara saawan guzar gaya!

Jugnu hai rumaani sa

Lamha hai lafaani sa

Husn sajaya hai shab ne

Rang hai surmedaani sa

Gard hai chaayi iss dil pe

Saara aalam nikhar gaya

Saaqi mere kidhar gaya...

Saara saawan guzar gaya!

Mausam yeh deewana hai

Qudrat ka nazrana hai

Chalak rahe saaghar har sun

Khaali kyun paimana hai

Vaada tha bharne ka tera

Tu kyun aise mukar gaya

Saaqi mere kidhar gaya...

Saara saawan guzar gaya!

- Khan M. Asim - 29/07/2011... 2:13AM!

Thursday, July 28, 2011

Pyaar humko karne do!


Hoslon ko badhne do

Faaslon ko mitne do

Pyaar tumse karte hain

Pyaar humko karne do!

Nazrein jab milengi yun

Paas dono aayenge

Pyaar se bhala phir hum

Kyun na aashna honge

Saansein ladkhadayein yeh

Haan humein machalne do

Pyaar tumse karte hain

Pyaar humko karne do!

Dilruba adaa teri

Jaanlewa baatein hain

Kyun kate yeh tanha din

kaise tanha raatein hain

Raat ki siyahi ko

Roshni mein dhalne do

Pyaar tumse karte hain

Pyaar humko karne do!

Phool mein kahun tumko

Ya kahun koi taara

Aur kis se tashbih dun

Dedun yeh jahaan saara

Paas rakh lo apne bas

Baahon mein tadapne do

Pyaar tumse karte hain

Pyaar humko karne do!

Kaisi, kya qayamat hai

Kaun jaane kab aaye

Door gar rahe tumse

Jaan yeh nikal jaaye

Inn hasin nigaahon mein

Aaj humko marne do

Pyaar tumse karte hain

Pyaar humko karne do!

- Khan M. Asim... 28/07/2011...2:00 AM!

Wednesday, July 27, 2011

Mein aadmi hun achcha bekaar keh gaya


Ghusse mein aaj gul ko mein khaar keh gaya

Mein aadmi hun achcha bekaar keh gaya

Uski mohabbaton ko kar kar mein bar-taraf

Wafa-shuaar dil ko ghaddaar keh gaya

Jo muatbar nahin they unko lagaya dil se

Sharam-o-haya thi jinko siyaahkaar keh gaya

Karte talash manzil raahon mein jo bikhar gaye

Kaise mein hoslon ko bedaar keh gaya

Karne lagi jo wazeh woh humko bayaan apna

Moti se aansuon ko adakaar keh gaya

Na intezaar kal ka na maazi ko yaad rakhkha

Bekhud mein yunhi usko bezaar keh gaya

Kya kya bataon yaaro kisko sunaon dukhda

Mein nek-dil sanam ko gunaahgaar keh gaya

Usse karein kya shikwa usne thi ki wafayein

Apne hi mein shubon ko wafadaar keh gaya

Bas ik nazar inayat hum par zaroor karna

Kya kya pashemaan ASIM, Sarkaar keh gaya!

- Khan M. Asim... 27/07/2011... 2:37AM!

Monday, July 25, 2011

Mukhtalif tasveer hain!


Mukhtalif chashmon mein uski mukhtalif tasveer hain

Zulf mein hum yun phansey jaisey ke zanjeer hain

Khoob ki jidd-o-jahad, khoob ki jung-o-jadal

Bas nigaahe shokh se palti sab taqdeer hain

Kuch sikha humko tu maula yeh bata humko tu maula

Baat samjhey jin se kaafir kaunsi tadbeer hain

Kuch jafaiyen aur taghaful chun liye hathiyaar usne

Gadh rahe hain aake dil mein jaane kitne teer hain

Har taraf hai uska jalwa kahkashayein usse roshan

Woh hai malika husn waali mahwe hum tafseer hain

Uska ghussa aur nakhre, hai tauba kya ghazab hai

Aa rahin uss se shuayein aur hum tabkheer hain

Haan sahi hai woh bala hai jaan lewa woh adaa hai

Aa bata dein usko ASIM hum bhi toh shamsheer hain!

- Khan M. Asim... 25/07/2011... 01:45AM!

Sunday, July 24, 2011

ASIM tera hai!


Taare khoye hain,

Chaand soya hai,

Dil yeh mera bas,

Mujhse goya hai!

Kya luta tera?

kya chuta tera?

Kyun bhala aakhir,

Dum ghuta tera?

Kyun sharam tujhko?

Kyun haya tujhko?

Kyun pareshaan tu?

Kya hua tujhko?

Kya kahun isse?

Kya bata dun mein?

Kaise khud ko hi,

Yeh saza dun mein!

Raat doobi hai,

Gham ke saayon mein,

Dua soyi hai,

Kehkashaon mein!

Nihaan pardey mein,

Habib baatil hai,

Pyaar maqtal hai,

Rafiq qaatil hai!

Lafz jhoote hain,

Vaade rookhe hain

Rotey rotey yeh,

Aansu sookhe hain!

Kya likhun usko?

Kya karun usko?

Gar pashemaan hai!

Kya kahun usko?

Muaaf karna kya,

Insaaf karna kya,

Kuch hua hi nahin,

Toh saaf karna kya!

Chal bhula denge,

Sab jafaon ko,

Dil mein rakhenge,

Bas wafaon ko!

Bhoool jayenge aur,

Kya kar lenge?

Pyaar kar lenge,

Tujhpe mar lenge!

Dil yeh tera hai,

Khaadim tera hai

Aaj bhi jaanam,

ASIM tera hai!

- Khan M. Asim... 24/07/2011..04:19AM!

Friday, July 22, 2011

Zakhm


Jab waqt thaher jaaye

Tum aake mujhe milna

Tum se in jafaon ka

Na koi gila hoga...

Jo dard hai seene mein

Aankhon se ravaan hoga

Tum khauf nahin lena

Tum ashk bahana mut

Gustakhiye dil pe tum

Afsos nahin karna

Yun nazrein mila ke tum

Aahein nahin bharna

Haan pyaar ko mere tum

Ruswa nahin karna...

Gar tum ko nadamat hai

Aur dil bhi pashemaan hai

Kuch waqt humein dena

Ke zakhm yeh gehra hai

Kuch harf jalenge phir

Kuch lamhe khafa honge

Toofaan ke aane se

Hum tum na juda honge..

Aye aatish-fishaan hum mein

Sard tu hoja ab

Kab tak yun jalenge hum

Kab tak yun dhuan hoga

Yeh jung chale kab tak

Kab aman ravaan hoga???

Do dil hain,

Dono jaanib...

Tadpenge bhala kab tak

Khaamosh parindey yeh

Royenge bhala kab tak???

Ab dard mita de yeh

Kuch aisi dawa kar de

Yeh zakhm bhi bhar jaaye

Aur dard kabhi ho na

Bas pyaar rahe qayam

Aur koi gila hona

Woh ek pari jaanam

Phir mujhse juda hona!

- Khan M. Asim... 22/07/2011...11:14AM!

Thursday, July 21, 2011

Mohammed (PBUH)


Begunahon ko gharibon ko bachaya jisne

Raast-goi ka sabaq sabko padhaya jinse

Woh Mohammad (PBUH) hain wahi pyaare nabi hain ASIM

Khaak ke putley ko insaan banaya jisne!

- Khan M. Asim... 07/06/2004... 8:15AM!

Wednesday, July 20, 2011

300

Hi friends,

So, finally its my 300 poem posted on this blog. Hence, felt to post some old work here. This ghazal I wrote way back in year 2003. It was edited by renowned Urdu poet, Abdul Ahad Saaz. Here, I dedicate this poem to all of my readers, friends, family, well wishers and of course to my only Love.... And a BIG Thanks to Almighty ALLAH!



Deke dil aaj hum toh sanam mit gaye

Teri qaatil adaon pe hum mit gaye

Tere sheerin labon pe woh kya baat thi

Jin ke hilte hi saare bharam mit gaye

Teri zulfon ki naagin ne yun dass lia

Apne ghum leke duniya se hum mit gaye

Aashiqi kab zamaane ko manzoor thi

Hasratein leke dil hi mein hum mit gaye

Yun toh ASIM se milte hain kitne hi log

Tum se milkar magar hum sanam mit gaye!

- Khan M. Asim... 10/01/2003..!

Tuesday, July 19, 2011

Badi khoobsoorat haan woh baat hogi


Badi khoobsoorat haan woh baat hogi

Jab unn se hamaari mulaqaat hogi

Taaron ke jhurmat mein naachega chaand

Badi hi rumaani haan woh raat hogi

Chuyega hum ko koi pankhadi se

Neinon o zulfon ki baaraat hogi

Jab uske jalwe pe yeh dil girega

Badi hi nashili haan woh maat hogi

Ke nazron se uski qalam ho na jaayein

Kahaan tez uss se koi dhaat hogi

Zamaana pukarega hum ko mohabbat

Hum se yeh paida rivayaat hogi

Adhura hai ASIM adhoora rahega

Mukammal haan usse teri zaat hogi!

- Khan M. Asim... 19/07/2011... 02:25AM!

Monday, July 18, 2011

Bhoot


Aaj ke dehshat-gard insaan se,

Jaani dushman ka bhoot behter hai...

Woh laal kapde waalo ko maarta tha..

Aaj toh har rang ka aadmi..

Khoon mein laal hojata hai...

Woh ek jagah gufa mein rehta tha...

Yeh kahin pe bhi dhamaka kar deta hai...

sachchi,

Bhoot insaan se behter hai..

kyunke,

Bhoot ko bhi..

Hum insaan hi banate hain!

- Khan M. Asim...18/07/2011...5:45PM!

Mazah kuch aur aata hai!


Zara girkar sanbhalne mein

Mazah kuch aur aata hai

Baharon mein tadapne mein

Mazah kuch aur aata hai

Tadap kar aah bharne mein

Mazah kuch aur aata hai

Mohabbat lamha karne mein

Mazah kuch aur aata hai

Haan lamha raakh karne mein

Mazah kuch aur aata hai

Teri aankhon se ladne mein

Mazah kuch aur aata hai

Teri zulfon mein marne mein

Mazah kuch aur aata hai

Darr kar pyaar karne mein

Mazah kuch aur aata hai

Shikayat roz karne mein

Mazah kuch aur aata hai

Doob kar ubharne mein

Mazah kuch aur aata hai

Yun hi beithe rehne mein

Mazah kuch aur aata hai

Par ASIM kaam karne mein

Mazah kuch aur aata hai!

- Khan M. Asim... 18/07/2011... 01:00PM!

Sunday, July 17, 2011

Naakaam Mohabbat


Aye meri naakaam mohabbat

Tu mere kis kaam ki,

Saari khudai aur mohabbat

bas sanam hai naam ki..

Aye meri naakaam mohabbat

Tu mere kis kaam ki!

Roshan roshan iss mehfil ke

Har diye se lo gayi

Meri khwahish meri tammanna

Dil mein mere hi so gayi

Yaari vaari pyaar mohabbat

Bas sanam hai naam ki...

Aye meri naakaam mohabbat

Tu mere kis kaam ki!

Meri baatein tera charcha

Har koi hai jaanta

Meri mohabbat tu hi na jaane

Har koi hai maanta

Meri khushiyan teri mohabbat

Bas sanam hai naam ki...

Aye meri naakaam mohabbat

Tu mere kis kaam ki!

Reh gaye jo raah mein

Woh humsafar bhi le gaye

Aage badhte badhte hi

Hum akele reh gaye

Tu ne poocha haal jab bhi

Baatein thin bas naam ki...

Aye meri naakaam mohabbat

Tu mere kis kaam ki!

Toot gaya dil ka gharonda

Jisko china tha ishq ne

Toota hai har ek lamha

Jisko buna tha ishq ne

Teri adaayein aur yeh jawaani

Bas sanam hai naam ki...

Aye meri naakaam mohabbat

Tu mere kis kaam ki!

Sochta hi mein raha

Poori shab iss baat ko

Kyun kia izhaar meine

Kyun kia iss pyaar ko...

Pyaar, mohabbat aur wafa

Bas sanam hai naam ki...

Aye meri naakaam mohabbat

Tu mere kis kaam ki!

Chaha tu ne jisko dilbar

Woh bhi tujhko chaahe bas

Teri dunia mein hi khushiyan

Bas khuda ab laaye bas

Har diwali ke patakhe

Dhoom se jalaye tu

Meri duniya mein dobara

Par sanam na aaye tu

Jaanta hun bas mein isko

ishq mohabbat aur wafa

Bas sanam hai naam ki...

Aye meri naakaam mohabbat

Tu mere kis kaam ki....!

- Khan M. Asim...13/05/2006... 9:20AM!

Friday, July 15, 2011

Khamoshiyaan yeh kehti hain ke humko tumse pyaar hai


Shor-o-ghul ke darmiyaan kaisi yeh takraar hai

Khamoshiyaan yeh kehti hain ke humko tumse pyaar hai

Roonthkar mana raha hun tujhko mein abhi talak

Yeh kaisi meri bekhudi yeh kaisa tera pyaar hai...

Shor-o-ghul ke darmiyaan kaisi yeh takraar hai

Khamoshiyaan yeh kehti hain ke humko tumse pyaar hai!

Aaghosh mein liye huwe mein toote apne khwaab sab

Mehfilein saja raha hun teri mein abhi talak

Yeh kaisi meri bekhudi yeh kaisa tera pyaar hai...

Shor-o-ghul ke darmiyaan kaisi yeh takraar hai

Khamoshiyaan yeh kehti hain ke humko tumse pyaar hai!

Sunti kisi ki baat tum toh kitna woh bhala hota

Na tum rooth-ti hoti na mein mana raha hota

Kher! hum yeh kehte hain ke ghaltiyaan hamari hain

Aaj hum ko ab yahin iss baat ka iqraar hai...

Khamoshiyaan yeh kehti hain ke humko tumse pyaar hai

Shor-o-ghul ke darmiyaan kaisi yeh takraar hai..!

Shab ki andheri chaon mein jo aagaye ho chupke se

Hairaan ab tak lamha hai hairaan ab tak mein bhi hun

Dil ki mere toh yaara bas ab toh yahi pukaar hai...

Khamoshiyaan yeh kehti hain ke humko tumse pyaar hai

Shor-o-ghul ke darmiyaan kaisi yeh takraar hai..!

- Khan M. Asim...10/01/2006...11:05AM!

Dooriyaan!


Khamoshiyon ki siskiyaan bhi dekhi hoti kaash tumne

Ujdey dil ki bastiyaan bhi dekhi hoti kaash tumne

Humsafar jo na bane hum kis ka hai tum ko aitraaz

Manzilon ki dooriyaan bhi dekhi hoti kaash tumne

Ki adaavat hum se har dum dil ko dekha bhi nahin

Murjhe dil ki pattiyaan bhi dekhi hoti kaash tumne

Har adaa ko husn ka tum paikar bana ke chal diye

Sehro shab ki hichkiyaan bhi dekhi hoti kaash tumne

Dekhte hi tum jo ASIM, muskuraa ke chal diye

Haai apni mastiyaan bhi dekhi hoti kaash tumne!

- Khan M. Asim... 05/01/2006...12:10PM!

Wednesday, July 13, 2011

Munfarid ash-aar!

Na sukoon hai na qaraar hai
Na tishnagi na khumaar hai
Yeh raat dard o azaab hai
Na rang hai na ghubaar hai! ASIM
I MISS YOU..!

******************************

Aarzoo tu, justujoo tu
Jaan-e-jaan tu, dilruba tu
Tu hi tu hai dhadkanon mein
Saabiqa tu laahiqa tu! ASIM

*******************************

Kisi ka kutta bed pe soye
Kisi ka bachcha farsh pe
Hai apni apni sab ki kismat
Jo rab ne likhdi arsh pe! ASIM

********************************

Ab teri yaad ka pevand nahin pehnunga
Perahan chaak kia toh naya pehnunga! ASIM

********************************

Dast to dast dariya bhi na chode hum ne
Behre fuzlaat mein dauda diye lote hum ne! ASIM

********************************

Jaanam ko jaan dene chalo meikadey ko aaj
Roothin rahe yeh duniya kuch waqt yun sahi! ASIM

********************************

Ab aitraaze gham kya? kaisi sharam nadamat
Paasbaane dil ko jab dard hi nahi! ASIM!

********************************

Usne tohfey mein banakar ke calender mera
Mere din saal mahinon mein mohabbat bhar di! ASIM

********************************

Jaise bachcha bigad raha hai
Waqt haath se nikal raha hai
Kisko kehkar raah ko dekhein
Har ek pehlu badal raha hai! ASIM

********************************

Kya bataon ishq tum ko mein pareshaan hogaya
Ishq marham, ishq qaatil, ishq bas hai javedaan!
Ishq parbat, ishq jungle, ishq dil ke darmiyaan
Ishq dharti, ishq ambar, ishq har kon-o-makaan! ASIM

********************************

Agar chaand ho toh tum chandni do
Mujhse kaarobaar ka haal na pucho! ASIM

********************************

Mera khuloos mera asasa hai
Kripya vyapaar na samjha jaaye! ASIM

********************************

Har waraq, sar-waraq nahin hota
Har aasmaan pe tabaq nahin hota
Kitna karle dawa khudai ka Namrud
Har ek kun se khalaq nahin hota! ASIM

********************************

Jo kisi ne na kia woh inhon kara rakha hai
Meri billiyon ne aatank macha rakha hai
Dekh lo yeh sabaq bhi khuda deta hai
Ek shahenshah ko naukar bana rakha hai! ASIM

********************************

Tuesday, July 12, 2011

Jawaan jawaan si shaam hai!


Jawaan jawaan si shaam hai

Na saaqi hai na jaam hai

Dhoondte hain rahguzar...

Aur na koi kaam hai...

Jawaan jawaan si shaam hai!

Dil-nasheen woh door hai

Dil ka kya kusoor hai?

Dard kyun hai kyun chubhan?

Kyun samaan ranjoor hai?

Dhoondte hain usko bas

Haseen jis ka naam hai...

Jawaan jawaan si shaam hai!

Hai chaand jalwah de raha

Panchi kuch hai keh raha

Taare kyun hain takte yeh?

Kya hai jugnu keh raha?

Kuch samajh mein aaye na

Jeena kyun haraam hai...

Jawaan jawaan si shaam hai!

Na sar pe koi chadh saka

Na qaid koi kar saka

Na zakhm se hi roya mein

Na gham se hi mein mar saka

Kya karun mein yara ab

Dil mera ghulaam hai...

Jawaan jawaan si shaam hai!

Woh hoor hai woh phool hai

Dil ko woh qubool hai

Woh meh-luqa hai naakhuda

Woh ishq ka husool hai

Woh wahan hai mein yahan

Kya ajab anjaam hai...

Jawaan jawaan si shaam hai!

Na saaqi hai na jaam hai

Dhoondte hain rahguzar...

Aur na koi kaam hai...

Jawaan jawaan si shaam hai!

- Khan M. Asim... 12/07/2011... 11:05PM... Train!

Rabb se tujhko maang raha hun!


Teri yaad mein jaag raha hun

Rabb se tujhko maang raha hun

Sapnon mein ho aa beithe jab

Haqiqat mein bhi maang raha hun

Nazar na lag jaaye tujhko meri

Aisi nazrein maang raha hun

Milne ki hai tujhse khwahish

Yahi duayein maang raha hun

Tanhai se ukta mein gaya hun

Tera sahara maang raha hun

Khwaabon ki taabeer tu meri

Tujhse sapney maang raha hun

Milne mein hai kya mushkil ji

Thoda samey hi maang raha hun

Aaja tu duniya mein meri

Duniya tujhse maang raha hun

Maut hi banke mil le mujhse

Maut bhi tujhse maang raha hun

Dedega yun toh Rabb mujhko

Phir bhi tujhse maang raha hun!

- Khan M. Asim... 16/11/2003...midnight!

Chaand kahin soya hai!


Shab ke andheron mein

Badalon ke gheron mein

Phir dil khoya hai...

Chaand kahin soya hai!

Mausamon se keh do na

Usko bula laayein,

Udan-khatoley mein,

Usko utha laayein...

Phir dil roya hai...

Chaand kahin soya hai!

Raat yeh sehra hai

Zakhm yeh gehra hai

Pyaar ke gulshan pe

Qaatilon ka pehra hai...

Rizwaan tu sona na

Phir dil goya hai...

Chaand kahin soya hai!

Yeh dard mitey kaise

Yeh ashk bujhein kaise

Yeh lamhe judai ke...

Kya jaane katein kaise...

Phir dil khoya hai...

Chaand kahin soya hai!

Bijliyon se keh do na

Rukh uska chura laayein...

Phir dil khoya hai...

Chaand kahin soya hai!

- Khan M. Asim...12/07/2011...01:11AM!

Monday, July 11, 2011

Husn par jab shabaab aata hai


Husn par jab shabaab aata hai

Ishq bhi be-hisaab aata hai

Ru ba ru ho kya kahein usse

Bas nigaah se jawaab aata hai

Audhni se chupayi woh zulfein

Aur badalon ko utaab aata hai

Dekhna iss taraf bhi waajib hai

Pyaar se bhi sawaab aata hai

Woh jo soye hain band kamre mein

Maano dil pe azaab aata hai

Unka kehna ke hum huwe pagal

Sapna humko kharaab aata hai

kashmakash ik labon ki junbish mein

Aur qalb mein iztiraab aata hai

Yun toh dete hain peene ko paani

Saaqi lekar sharaab aata hai

Baat karte hain hum bhi chupke se

Kuch toh humko khitaab aata hai

Warq paltein jo pichli yaadon ke

Kaaghazon mein gulaab aata hai

Mithi mithi hai raat mein sardi

Garam hum ko khwaab aata hai

Uksa chehra bana hai har kona

jaise sehra, suraab aata hai

Jab bhi aata hun paas mein uske

Darmiyaan kyun naqaab aata hai

Uska aana, shab basar karna

Jaise ghar mahtaab aata hai

Hum bane hain haan ek duje ko

Bas yeh lubbe lubaab aata hai

Uske hone se thaat yeh ASIM

Jaise chal kar nawaab aata hai!

- Khan M. Asim...11/07/2011...1:55AM!

Saturday, July 09, 2011

Dast-e-Qaza


Woh gesuon mein khanjar chupake rakhta hai

Ik ik lams dast-e-qaza sa lagta hai

Yun toh sab kuch hai jaisa tha waisa

Bas uske hone se manzar juda sa lagta hai

Usse yeh dukh ke koi dekhta nahin usko

Koi tasveer dil mein chupa ke rakhta hai

Kahin tareek hai yeh husn ki duniya

Kahin pe kaainaat poori basa ke rakhta hai

Du ba du ho nazar utha ke woh

Harf dil mein shua sa lagta hai

Us ka kehna ke kuch nahin hoga

Hum ko aatish-fishaan sa lagta hai

Kaun ASIM yeh roz milta hai

Roz chehra naya sa lagta hai!

- Khan M. Asim...09/07/2011...3:00PM!

Friday, July 08, 2011

Fariyaad!


Seedhi masjid ki chadhun
Aur yeh fariyaad karun...

Hai koi ashk bujhane waala
Hai koi mazloom ki sunne waala
Hai koi dard mitane wala
Hai koi zakhm sukhane waala!

Ab koi charah-gar hi bata de mujhko
Raah manzil ki jo aap bata de mujhko
Koi daanish koi khizar bata de mujhko
Phir se allah koi hamd sikha de mujhko!

Dekh ruswa hun aur mein pareshan aaya
Warna dar pe tere har ek pasheman aaya
Koi sunta hai jo bigdi ko bana de apni
Dekh dar pe hai tere ek musalmaan aaya!

Waqt lachaar hai lamha bhi hai khoya khoya
Saath palkon ki meri manzar bhi hai roya roya
Kaun aaya hai jo mausam ko sikha de naghma
Jisne aaludah dilon ko bhi hai dhoya dhoya!

Ab zara itni si jasarat dede
Waqt chamka de aisi tu ibarat dede
In aankhon ko bas itni tu basarat dede
Apne mehboob ke rozey ki ziyarat dede!

Mujhko ilhaam sikha de maula
Mujhko har kaam sikha de maula
Jo uthe haath teri taarif karun
Mujhko har naam sikha de maula!

Jisse khush ho tu aisi adaa de maula
Aman ho jisse aisi sada de maula
Mujhko ta-ir koi shaahen bana de maula
Be-paron ke hi parvaaz sikha de maula!

Khil uthe jisse chaman aisi tu mohabbat dede
Koi dushman na rahe sabko hi akhuwwat dede
Teri duniya ko maqtal hai banaya sab ne
Har insaan ke seene mein tu ulfat dede!

Tere darbaar mein aaya hai tera adna khadim
Apne har aib o gunah pe jo hai naadim
Naale bulbul ke bahut roz suney hain tu ne
Ya khuda maqbool tu kar de yeh duae ASIM!

- Khan M. Asim... 08/07/2011... 2:45PM!

Thursday, July 07, 2011

Jaane kya yaar karein...!


Kiska aitbaar karein

Aur kisey pyaar karein

Baat hai uljhi hui

Jaane kya yaar karein...!

Usko saanson mein basaya

Usko palkon pe bithaya

Usko khwaabon mein basakar

Uska har naaz uthaya...

Kisse fariyaad karein

Jaane kya yaar karein

Baat hai uljhi hui

Jaane kya yaar karein...!

Saath chalti hai woh zamaane ke

Befikar dard se diwaane ke

Na suney baat gar bataon mein

Raaste dhoonde hai bahaane ke

Kisse milkare ke aah o zaar karein

Jaane kya yaar karein...

Baat hai uljhi hui

Jaane kya yaar karein........!

Khan M. Asim... 07/07/2011... 1:10PM..Train!

Tuesday, July 05, 2011

Aitbaar!


Tum ho subah gham ki mein intezaar shab ka

Tum ne ganwa dia hai mera aitbaar kab ka

Tum se umeed koi, na aas hi rahi hai

Bezaar hogaya hai dile beqaraar kab ka

Mein yeh samajh raha tha tum kuch dawa karoge

Tum ne lia hai badla na jaane yaar kab ka

Dilo jaan kare hawaale khwabon mein geet gaaye

Haathon mein de dia tha tumhe ikhtiyaar sab ka

Kya dukh zamaana dega kya gham raqeeb dega

Tum ne hi kar dia hai mujhe sangsaar kab ka

Tum ko bhala kya iski tumko jahaan pyaara

Dum ghut ke mar chuka hai haan mera pyaar kab ka

Mein mar raha hun dil mein tumko khabar nahi hai

Mausam khizaan hai aaya jaane bahaar kab ka

Kaisi tujhe nadamat? ASIM pashemaan kyun hai?

Haathon se ho chuka hai lamha faraar kab ka!

- Khan M. Asim... 05/07/2011... 12:43AM! Its difficult to explain a few feelings, we expect them to be understood!

Saturday, July 02, 2011

Ab koi suraj kisi shaam nahin dhalne wala!


Tere ehsaas se munawwar hua din mera

Ab koi suraj kisi shaam nahin dhalne wala

Tera deedar faqat jaam nahin amrit hai

Dil talabgaar kisi raah nahin talne wala

Lakh mushkil hai bhale hum tere saath chale

Sang barsaye bhale kitna hi jalne wala

Har sitamgar ko sikhayega sabak harkat ka

Ab na aashiq hai tera haath masalne wala

Kaun mushkil hai ke manzil na milegi usko

Raah banjayegi khud gar pur-azm hai chalne wala

Koi mashroob nahin aib nahin taahir hai

Na kisi husn ki khushboo machalne wala

Uss se milkar ke tasveer mukammal hogi

Kaun ASIM hai yan vaadon se bahalne wala!

- Khan M. Asim...02/07/2011..11:25AM!