Sunday, December 30, 2007

Mein zara udaas hun!


Zindagi mujhse khafa mein zara udaas hun

Door hun meelon bahut phir bhi tere paas hun

Hun seh raha har ghum alam har sitam zamane ke

Yun hi kyun mein haar jaon mein toh teri aas hun

Hui hai shiddat bahut har koi khoon ka pyasa hai

Kitni doori jaon mein, mein zamane-bhar ki pyaas hun

Zindagi pheeki lage tere bina har ek pal

Tareekiyan achchi lagen mein maut ka ehsaas hun

Har simt har kona tera palkein teri nazrein teri

Nazar uthake dekhto mein tere aas paas hun

Mohabbat hai junoon bhi hai adaa-e-zindagani hai

Yahi kehke mein khush bhi hun ke mein zara udaas hun...!

-Khan M.Asim...juss wrote n posted...30/12/2007...6:55 PM...

Lamha lamha kehta hai...!


Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai

Dard jagaye humko bhi haan koi dil mein rehta hai

Lamha lamha kehta hai...!

Khoob haseen hai woh qatil, rang mehar sa lagta hai

Jung chide jo mehfil mein kyun parwana jalta hai?

Halka halka dard hai jo zor se phir kyun lagta hai?

Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai...!

Raqs kare yun raqqasa aalam saara marta hai

Uski shokh ada se toh har deewaana darta hai

Hum bhi hain hue ghayal uske teer-e-nazar jo chalta hai

Zakhm dabenge jaane kab, kab andha kuan bharta hai?

Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai...!

Aag ki laptein, maar-o-magar naar mein aise jhulsenge

Uski judai ka lamha naar mein eendhan banta hai

Dariya saahil se darta hai par yak-ro simt hi behta hai

Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai...!

-Khan M. Asim...27/12/2007...3:55AM...

Sunday, December 23, 2007

Kaise?????


Gham-e-dil ko mein chupaon kaise?

Jalte ashkon ko mein bujhaon kaise?

Yun toh muqaddar mein bahut kuch hai magar

Muqaddar ko muqaddar mein banaon kaise?

Ussko paa-kar bhi na ji paongaa

Iss judai ka mazah usko mein bataon kaise?

Raat-bhar kaliyon ne aah o zaari ki

Shaguftugi-e-saher mein laon kaise?

Zameen banjar na ho mohabbat ki

Sookhe lamhon ko shabnam mein pilaon kaise?

Woh bhool jaaye mujhe yahi behtar hai

Dil se saanson ko mein hataon kaise?

Usse baatein toh bahut karni hain magar

Der-shab number mein milaon kaise?

Yun toh ASIM duniya ki kalakaari hai

Uss gul se mohabbat mein jataon kaise?

-Khan M. Asim...16/12/2007...4:00AM...

Saturday, December 15, 2007

!!! Ghazab !!!


Tera aana ghazab tera jaana ghazab

Mujhe dekh kar muskurana ghazab

Samajhta hun mein sab hi baatein teri

Par nigahon ka har ik nishana ghazab

Aashiq hun teri har ada ka sanam

Par nazron ka yun lad-khadana ghazab

Dil ne kaha hai yeh mujhse sanam

Tu hai haseenon mein sabse ghazab

Khushboo teri hai satati mujhe

Badan ka tere thar-tharana ghazab

Mohabbat mein teri hai duniya alag

Lamha ba lamha lage hai ghazab

Lagti hai dil mein kuch hulchul alag

ASIM bana hai deewaana ghazab...!!!

- Khan M. Asim...from 28/09/2002 to 04/10/2002...infact juss edited one stanza..so it ll b like 15/12/2007 too...n might require more editing...!

Tuesday, December 04, 2007

Tumhi ho...!


Yeh roz o shab ka iztaraar

Bas tumhara intezaar

Tassavurr mein tumhari soorat

Takhaiyull mein tumhare jalwe

Sabhi ka israar magar mera inkaar

Iss jazba-e-javedani se

Shahad ki manind shaafi tumhare alfaaz...

Bas do lafz hayaat-e-jamshedi

Aankhen roshni muntashir kartin

Toh baatein raah mein ujala

Maano mohabbat ki mukammal moorat

Mein nahin jaanta, mein kia keh raha hun?

Yeh lafz yun hi pighal rahe hain

Shayad yahi tumhari taab hai

Har lamha deewana har nazaarah benazeer

Husn o zebaish ka mukammal shahkaar

Tumhi ho tumhi ho tumhi ho.......!!!

-Khan M. Asim...26/11/2007...1:30 PM...Train...