Lamha lamha kehta hai...!
Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai
Dard jagaye humko bhi haan koi dil mein rehta hai
Lamha lamha kehta hai...!
Khoob haseen hai woh qatil, rang mehar sa lagta hai
Jung chide jo mehfil mein kyun parwana jalta hai?
Halka halka dard hai jo zor se phir kyun lagta hai?
Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai...!
Raqs kare yun raqqasa aalam saara marta hai
Uski shokh ada se toh har deewaana darta hai
Hum bhi hain hue ghayal uske teer-e-nazar jo chalta hai
Zakhm dabenge jaane kab, kab andha kuan bharta hai?
Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai...!
Aag ki laptein, maar-o-magar naar mein aise jhulsenge
Uski judai ka lamha naar mein eendhan banta hai
Dariya saahil se darta hai par yak-ro simt hi behta hai
Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai...!
-Khan M. Asim...27/12/2007...3:55AM...
No comments:
Post a Comment