Saturday, January 31, 2009

Life!!!

Hehehe.... It was a disaster, guess what? It was my first one to one interview and that too with a very prominent personality, Ameen Sayani. It was a great opportunity to interract with the famous radio announcer and broadcaster. A man in his 80's but can still give a tough competition to youngsters like me with his charming voice.

The moment I entered his office, I found a very old age, dull lloking gentleman sitting on a chair, busy on a long phone call, as we were suppose to wait for about 15 minutes just to end the call. With many hesitations, finally he agreed to have a talk with us on his building's terrace. But as said a disaster, first of all Sayani ji cancelled my two questions by saying he cannot comment. within few minutes the whole talk turned into a disaster as my cameraman asked me to have Sayani ji's sound bytes first and later he took my PTC and bytes, and in that too this smart fool did not record the whole beginning of the interview, which messed up the whole technical work. Finally it was a headache at the editing table for me and after all this and that I transfered my tension to RFC Desk. Lets see, when it will be broadcasted!

Personally, I am happy at the moment, trying to enjoy alone as she is too busy to talk. Although in a long term thought I am too disturb but huh! I wanna move out, but no one is here to accompany me.

I am looking for the season of love, the moments of complete happiness, which she has promised to me! Although she sleeps when I come on TV, she fires at me when I ask for love, but am living with it...Now somebody is asking for the computer here so will write more later..cya!

Friday, January 30, 2009

Shikanja

Lehje ki nazakat o shaista bayaani

Shayad isipe tum fida thin...

Magar...

Ab ek shikanja sa dil pe hai

Kuch baatein turshi turshi

Talkh khayaalaat ki baahon mein

Ik nahamwaar khwabon ka safar

Doobta ubharta sukoon...

Tumhein sab kuch ajeeb lag raha hai

Aur mujhe ajeeb-tar...

Ek aarzue vaadah,

Ek haan aur jhukti nazron ka sawaal

Kisi shabaab ke muntazir ehsaasaat

Aur judte bikharte jazbaat...

Tumhe mujhse shikayat hai

Aur mujhe khud se!

Ek ghubbaar jo sange meel banna chahta hai

Ek sange meel jo ghubbaar nazar aata hain...

Izhaar aur iqraar sab hochuka

Magar...intezaar ki ghadiyan,

Aaj bhi jaari hain...

Naabina dhadkanein,

Aur behri saansein

Aaj bhi jaari hain...

Baatein hain tumhe paane ki

Aur hosla, rezah rezah!

Tumse mohabbat o khudse adavat

ajeeb si kashmakash hai

Beher o bar ke is dasht mein,

Mein tanha hun!

Go tum mere saath ho,

Magar yeh khaamoshi,

Mein kya kahun tumse,

Bas chalta ja raha hun,

Tum abhi humraah ho...

Aur mein,

Abhi zindah hun,

Apni bepanah mohabbat ke saath!

- Khan M. Asim...28/01/2009...2:05PM...plz b with me always!

Tuesday, January 27, 2009

Anjani galiyan hain,

Anjane raaste

Phir bhi hun chal raha

Mein tere vaaste...!

Yeh kaisa sapna tu ne dikha diya

Friday, January 23, 2009

Abhi ishq mein hain..............!


Abhi ishq mein hain badi dooriyan

Abhi se kahan hum sanam chal diye

Sitaaron se aage ke sunte hain qisse

Zamin se kahan hum sanam chal diye

Abhi ishq mein hain..............!

Dehleeze dil se guzar ke toh dekho

Zara maikadon se utarke toh dekho

Yeh mehfil mein ronaq hui kiske dum se

Faqiron ke ghar se guzar ke toh dekho

Abhi ishq mein hain..............!

Jo tumko yeh duniya lagti hai pyaari

Adaawat yeh kaisi adaa hai tumhaari

Jo parton mein khudko chupake hai rakhkha

Kya tumko zaroorat nahin hai hamaari

Abhi ishq mein hain..............!

Iraadon ke pukhta, O imaan waale

Karam apna karde dilo jaan waale

Khayalon mein kiska hai tere tassavurr

Tu humko bataa de, O shaan waale

Abhi ishq mein hain..............!

Farishta yeh kehta hai jannat se aakar

Abhi humse mil-lo shaffaqat se aakar

Sitaare siyasat mein khoye hue hain

Abhi naam lelo mohabbat se aakar

Abhi ishq mein hain badi dooriyan

Abhi se kahan hum sanam chal diye

Abhi ishq mein hain..............!

- Khan M. Asim...23/01/2009...2:34 AM...juss finished it..n posted4u..loveU...muaaah:)

Sunday, January 18, 2009

Shukriya!


Kya kahun?

Dil, dhadkan, ghazal ya fasana

Dharti, anbar, waqt ya zamana

Yeh kainaat jhoom uthi hai

Aaj, honton pe tabbassum hai fatehana

Na kisi kaam ki chinta

Na kisi baat par dhiyaan

Tum par vaalihana nisaar hone ka jazba...

Yeh thirakte qadam aur saanson ka utaar chadao

Tumhara khayaal aur tum hi se baatein

Ab na iqraar ki zaroorat hai

Na izhaar ka intezaar...

Har lamha...barge gul sa...

Narm narm o khushbudaar...

Ek azeem milan ki aas

Naumeedi ki aatish bujh gayi hai

Aur tum...

Wajood-e-kainaat si chamakti ho

Tum sirf zindagi de sakti ho...

Aur mein zinda hun...

Shukriya!

- Khan M. Asim...17/01/2009...1:24PM...Train...Only4u..LoveU..Muaah:)

Thursday, January 15, 2009

Life !!!

I usually think before writing but now thinking to write anything. I am dying inside, and this agony is enough to finish me. We kept discussing, fighting, crying and finally landed at the same old theory of keep things going as they are. Well, I dont want any more comment on that, am tired of life!

But Why? Why can't I take your name in public, why should i keep things things secret and till when? We both keep pondoring, What will happen? and then think, okay..hojayega...but is it so easy? You understands my emotions and feelings but you have certain other priorities, why so? I keep you at top in preferences but why I am at bottom line in your choices?

I have a bundle of questions and am tired of carrying it. When I look at you for help, I feel more insecure. Mostly people say I am very lucky boy, that am fortunate enough to work in a big media house at a young age, but they dont know my agony. They don't know what does career means and what importance you have in my life. Why I keep repeating your name at every second, why i love to spend time in talking with you?

Do you know the answer? although you will say yes but i feel you dont know...basically we are in a journey and we dont know the destination, and also we don't want to plan it out to have a successful reach. your silence makes a major difference, it terrorise me.

I feel pain, feels to end life, and finally burst out everything at you. Now its up to you to decide, I promise that I will be always there with you in each and every condition, I assure you all the esteem and smiles in the future, but am really uncertain about your side, Will you be there always? Till when I should keep hopes alive? Till when I should keep saying Yes? Will you marry me without any if's and but's?

I hope you will come to me one day, and will give me a positive reply, i look for an unconditional love and marriage. Its we who are supposed to decide our life, so ball is into your court, think upon it and let me know. I am waiting...!

Saturday, January 10, 2009

Yeh kasrat kis dawa ki hai???


Har dawa ki kasrat

Zaher ban jaati hai!

Toh phir ishq???

Yeh kya hai? yeh kyun hai?

Laakhon ghudsawaron ne

Iss dasht mein zeen kheenchi

Najane kitne shehsawari bhool gaye

Koi manzil ko paa gaya

Toh koi humsafar hi kho beitha!

Mujhe koi aitraaz nahin

Tumhari ghaflat o berukhi se

Magar....

Kya hua uss dilnawazi ko?

Tum mustaqbil ko roti ho

Mujhe maazi yaad aata hai......

Woh baahein yaad aati hain

Nigaahein yaad aati hain

Jo mujhko kondh jaati thin

Adaayein yaad aati hain....

Taalluq mere daaman se

Kisi ghum ka kabhi na tha

Yeh kaisa ghum yeh aahein hain

Fizaon mein fughahain hain

Meri umeed kyun paspa?

Kyun aankhon mein udaasi hai?

Tumhari dillagi thi bas

Hamari zindagi goya?

Abhi chalna nahin bhoola

Yeh khanjar bhi piyaasa hai

Abhi saanson ki sar sar mein

Tumhara naam aata hai.....

Jise sab ishq kehte hain

Mujhe bhi woh maraz hai kya?

Zara batlao toh aakar

Mera yeh dard kaisa hai?

Yeh aahein kiski aahein hain?

Nazar thehri hain jis rukh par

Kiski woh nigaahein hain

Zara batlao toh aakar

Yeh kasrat kis dawa ki hai???

- Khan M. Asim...10/01/2009...1:22PM...Train...!

Monday, January 05, 2009

Vaada


Tere vaade ki hum nazar rakh lein

Zindagi ki koi khabar rakh lein

Tujhse milkar jo dil ko chein mila

Saari khushiyon ka naam ghar rakh lein

Paas apna makaan kiska hai?

Teri palkon ko umar bhar rakh lein

Kis mein dum hai mita sake humko

Aarzoo bekhatar rakh lein

Tu meri hai yaqeen kaafi hai

Mar mitein, dil jigar rakh lein

Naam isko hum koi dekar

Pyaar ka ik shajar rakh lein

Tu ne ASIM ki har sada sun li

Tere qadmon pe apna sar rakh lein..!

- Khan M. Asim...05/01/2009...8:54PM...LOVE YOU:)

Here are my first words in 2009...

Aa gaye noor se zulmaat mein hum

Phir isi shahere tilismaat mein hum

- Khan M. Asim...05/01/2009...11:40PM...