Friday, January 30, 2009

Shikanja

Lehje ki nazakat o shaista bayaani

Shayad isipe tum fida thin...

Magar...

Ab ek shikanja sa dil pe hai

Kuch baatein turshi turshi

Talkh khayaalaat ki baahon mein

Ik nahamwaar khwabon ka safar

Doobta ubharta sukoon...

Tumhein sab kuch ajeeb lag raha hai

Aur mujhe ajeeb-tar...

Ek aarzue vaadah,

Ek haan aur jhukti nazron ka sawaal

Kisi shabaab ke muntazir ehsaasaat

Aur judte bikharte jazbaat...

Tumhe mujhse shikayat hai

Aur mujhe khud se!

Ek ghubbaar jo sange meel banna chahta hai

Ek sange meel jo ghubbaar nazar aata hain...

Izhaar aur iqraar sab hochuka

Magar...intezaar ki ghadiyan,

Aaj bhi jaari hain...

Naabina dhadkanein,

Aur behri saansein

Aaj bhi jaari hain...

Baatein hain tumhe paane ki

Aur hosla, rezah rezah!

Tumse mohabbat o khudse adavat

ajeeb si kashmakash hai

Beher o bar ke is dasht mein,

Mein tanha hun!

Go tum mere saath ho,

Magar yeh khaamoshi,

Mein kya kahun tumse,

Bas chalta ja raha hun,

Tum abhi humraah ho...

Aur mein,

Abhi zindah hun,

Apni bepanah mohabbat ke saath!

- Khan M. Asim...28/01/2009...2:05PM...plz b with me always!

No comments: