Shukriya!
Kya kahun?
Dil, dhadkan, ghazal ya fasana
Dharti, anbar, waqt ya zamana
Yeh kainaat jhoom uthi hai
Aaj, honton pe tabbassum hai fatehana
Na kisi kaam ki chinta
Na kisi baat par dhiyaan
Tum par vaalihana nisaar hone ka jazba...
Yeh thirakte qadam aur saanson ka utaar chadao
Tumhara khayaal aur tum hi se baatein
Ab na iqraar ki zaroorat hai
Na izhaar ka intezaar...
Har lamha...barge gul sa...
Narm narm o khushbudaar...
Ek azeem milan ki aas
Naumeedi ki aatish bujh gayi hai
Aur tum...
Wajood-e-kainaat si chamakti ho
Tum sirf zindagi de sakti ho...
Aur mein zinda hun...
Shukriya!
- Khan M. Asim...17/01/2009...1:24PM...Train...Only4u..LoveU..Muaah:)
No comments:
Post a Comment