Sunday, May 27, 2012

Raat pagal qaraar dhunde hai

Jugnoun mein sharaar dhunde hai

Raat pagal qaraar dhunde hai

Uske honton ki baat hai gehri
Aarzoo ishtihaar dhunde hai

Khoobsurat bahut mera maskan

Dil ussi ka dayaar dhunde hai

Sakht kitni hain waqt ki bedi

Ek qaidi faraar dhunde hai

Ishq milne ka waqt hai aaya

Usko peeli bahaar dhunde hai

Usko takti hain yeh nigaah aise

Jaise bachcha bazaar dhunde hai

Saath apne woh har ghadi ASIM

Khwahishein dil hazaar dhunde hai!

- Khan M. Asim... 27/05/2012... 03:01 AM... Happy Birthday to ME :)

Tuesday, May 22, 2012

Maslak-e-ishq ka imaam hun mein..!

Kyun ibadat na karun kyun gunahgaar banun
Maslak-e-ishq ka imaam hun mein 
Dekh mujh ko bhi zara nazare karam se teri 
Teri chahat mein bahut badnaam hun mein...
Kyun ibadat na karun kyun gunahgaar banun
Maslak-e-ishq ka imaam hun mein..!
Raat kyun tanha kate, dil talabgaar rahe 
Teri mehfil bhi saje aur intezaar rahe 
Tujhko aana hai abhi jaan le bas yeh faqat 
Tujhko tarse yeh nazar dil beqarar rahe 
Aarzoo teri faqat justujoo tu hai meri 
Tu hai aaghaaz koi tera anjaam hun mein 
Kyun ibadat na karun kyun gunahgaar banun 
Maslak-e-ishq ka imaam hun mein..!
Khud se anjaaan sahi tujhpe qurbaan hun mein
Tu khazana hai mera aur nigehbaan hun mein
Waqt mutlashi tera, kyun phire door sanam
Ishq mujhse bhi tu kar dekh insaan hun mein 
Kyun nahin tujh mein wafa hai kahan ishq tera
Kufr ki baat na kar dil ka paighaam hun mein
Kyun ibadat na karun kyun gunahgaar banun 
Maslak-e-ishq ka imaam hun mein..!
Lafz bande hain tere, tu ghazal ki malka 
Naam jo tera liya jaam mera yeh chalka 
Dil toh masoom hai yeh isko ehsaas nahin 
Chot shiddat se lagi dard hua kuch halka  
Aa ke tu dekh zara kitna nakaam hun mein 
Dil hai bazaar koi beja neelaam hun mein
Kyun ibadat na karun kyun gunahgaar banun 
Maslak-e-ishq ka imaam hun mein..!
- Khan M. Asim... 22/05/2012... 01:42 AM!

Sunday, May 20, 2012

Duba gaya humraah aaftaab mujhe..!

Duba gaya humraah aaftaab mujhe

Tere jamaal ka milta nahin jawaab mujhe

Teri masgan, abru wa peicho khum ginte

Jo waqt guzra deta nahin hisaab mujhe

Mein usko padh lun, haafiza kar lun

Tere khayaal ki dede koi kitaab mujhe

Jo tu ne dekha ulfat bhari nigaah karke

Woh tishnagi kar gayi kharaab mujhe

Yeh raat khaali khayaal bunti hai

Shaam toh dey gayi gulaab mujhe

Woh apsara yun zulf lehra kar

Mera deewana de gayi khitaab mujhe

Aur ASIM kahe ab tujh se kya

Tu bhi padh le kar ke behijaab mujhe!

- Khan M. Asim 20/05/2012... 03:02 AM!

Saturday, May 19, 2012

Sanglaakh..!

Mann ko todti

Iradon ko marodti

Hosle past karti

Raah dushwaar karti

Sanglaakh si duniya..!

Magar,

Yeh nahin jaanti...

Yeh sanglaakh meine chuni hai

Yeh dard meine apnaya hai

Yeh aah mujhe qubool hai

Yeh mohabbat meine ki hai..!

Iski har ataa meri

Iska har nawa meri

Iski har jaza meri

Iski har saza meri...

Yeh banjar zameen bhi hai

Yeh vaadiye seena bhi

Yeh kadwa samar bhi hai

Yeh man o salwa bhi...

Yeh sanglaakh garam hai toh

Yeh sanglaakh naram bhi hai

Yeh sanglaakh zulam hai toh

Yeh sanglaakh karam bhi hai...

Yeh mere sang hai

Aur mein iske sang hun

Na isse sang ka khauf hai

Na mujhe sang ka khauf hai

Yeh sanglaakh meri humdum

Yeh sanglaakh meri jaanam...

Duniya ki jhooti raahon se

Yeh sanglaakh meri behter

Mein iska saathi, raahi hun

Yeh sanglaakh meri rehbar...

Kuch aur agar na bhi mila

Yeh sanglaakh meri rahegi

Raaste ko chuna hai toh

Manzil bhi zaroor milegi..!

- Khan M. Asim... 19/05/2012... 04:25 AM!

Wednesday, May 16, 2012

Munfarid Asha'r..!

Tumhari nazar ka parkha hua hun
Tumhi behtar batao mein kya hun! Asim
**********************************
Dekh ke anjaan bane hum kaise insaan bane
Summum bukmun umyun fahum la yarji'un! Asim
(Saw everything still ignored what a human we developed
Deaf, dumb and blind - so they will not return [to the right path] - Asim
***********************************
Taareekh ke har baab ko masmaar kiya jaaye
Majnoo ko magar phir bhi giraftaar kiya jaaye! Asim
*************************************
Jab tere rukh ko naseem jagane aaye
Tab mere khwab mujhko bulane aaye! ASIM
(When morning breeze comes to awaken you
Then my dreams calls me to sleep! ASIM)
**************************************
Tumhari baat ko maana, tumhe faqat jaana
Tumhare naam pe aata hai humko mar jaana! ASIM
****************************************
Kashti pe patwaar chadha di
Maajhi ko dariya mein dubakar! Asim
***************************************
Tumhari aankh mein jhanka to jaana
Tumhare haath se dhoka hai khana! Asim
*****************************************
Jab un hi ko mera khayaal nahin
Khushboo mujhko bhi unse pyaar nahin! Asim
*****************************************
bhaad mein jaaye ishq pyaar
Saari shayeri hai bekaar..! Asim
******************************************
Bas iss khwaab ko, sach kar dikhana hai
Lahoo se seenchkar ghar ko banana hai! Asim
******************************************
Tumhari dastaras mein aaya hun jab se
Mein apni dastaras se ja chuka hun! Asim
******************************************
Zindagi deed teri, yaad teri, fariyaad meri
Ishq hai rakht-e-safar aur mera kuch bhi nahin! Asim
(Life is your sight, your memory, and my pleads
Love is my only baggage, i have no other thing! ASIM)
*********************************************
Jab tera naam lia hum ne dil thaam lia
Paas hum jab bhi huwe sabr se kaam lia! ASIM
**********************************************
Aaj phir mann udaas sa hai
Aur paas apne koi jawaz nahi! ASIM
(Again today I am sad
And I have no reason! ASIM)
**********************************************
Tapish hai, josh hai, ajab darj-e-hararat hai 
Hawaon sard hojao zara garmi pighalne do! ASIM
***********************************************
Zabun-haali yeh apni hai ley aayi kahan ASIM
Kahan dariya kahan sagar kahan dubenge ab jakar! ASIM
***********************************************
Khoob ki unse adavat aur bahut roonthe bhi hum 
Marte marte Jack phir bhi pyaar zindah kar gaya! Asim 
(Loved Titanic on Big Screen)
**********************************************
Hum usse aaftaab keh beithe
Jiski aafat se taab kho beithe! ASIM
*************************************************
Ajeeb si ghutan hai apne takhaiyulaat mein 
Intezaare mehtab hai shahere zulmaat mein! Asim
***************************************************
Ab nahin wafa ki koi tarkeeb aye rafeeq
Dile zandan faqat marge mafaja maange! ASIM
(Imprisoned heart only aspires for the death! ASIM)
*****************************************************
Kaise samjhayein dil ko hum
Waqt farebi, naam ki ulfat! Asim
*************************************************
Ek qaatil se dil laga beithe
Uspe arman zindagi ka hai! ASIM
**************************************************
Ayan hum pe huwa hai raaze fitrat yeh
Kisi ki aankh mein doobe toh Taang tootegi! Asim...
- To my loving gudia... Hai meri taang :P ;)
 ************************************************
Labon pe meri duaon mein Tu, durood mein, Tu sujood mein Tu 
Teri hukumat hai aasmaan par, nihan hai mere wujood mein Tu! Asim
***************************************************
Bade manhus hain lamhe jo usse door rakhte hain
Judai aur mohabbat ka yeh rishta kaisa rishta hai! ASIM
****************************************************
Kitna samjhaya, magar baat na maani apni
Ab khatakaar woh ilzaam tarashein hum pe! ASIM
****************************************************
Kitna manoos hun tujhse kya bataon tujhko
Yeh teri hayaat faani, mera ishq jawedaani! ASIM
****************************************************
Kitna manoos hun tujhse kya bataon tujhko
Yeh teri hayaat faani, mera ishq jaan abdi! ASIM
******************************************************
Chaand ko usse ulfat hai, sooraj uska deewana
Baatein uski saahir hain aankhein uski meikhana! Asim
*****************************************************
Ishq dayam chun suraiya, mashq bekaar neest
Mann oo ra doost daram, sag-e-dildaar neest! ASIM
(Love remains like sky, its not a foul play 
I love her but I am not sweethearts dog! ASIM)
****************************************************
Bhoole nahin hain hum bhi raahe hajaaz ko
Lekin bura kyun keh dein ishqe majaaz ko 
Allah qubool kare tumhari namaaz ko 
Duba chukey ho kabka hamare jahaaz ko! Asim
*******************************************************
Unse keh do kisi aur ko dhoondein ASIM
Ab mohabbat ka na bojh uthega hum se! ASIM
******************************************************
Hai Chehre se numaya baat dil ki
Aaina jhoot bhi kehta kabhi hai? Asim
*****************************************************
Tumhari aankhon ka tara hun mein
Falak ka goya sitara hun mein 
Zara utha ke nazar ko dekho 
Sharam se para para hun mein! ASIM
- Khan M. Asim... March 30 to May 15, 2012..! 
******************************************************
 

Sunday, May 13, 2012

Nayi Ghazal..!

Tumhari baat ko maana, faqat jaana
Tumhare naam pe bekhauf mar jaana
Adhure khwab ko bunna, lad jaana
Sametna khud ko aur bikhar jaana
Wusuatein aasmaan ko mili, ud jaana
Tumhare haath se bachkar kidhar jaana
Har ek shey mein tumhe numaan paya
Tumhara aks ko payaa, jidhar jaana
Bahut se shoq o khayal mutlaq hain
Magar nahin hai ada, mukar jaan 
Woh dil kharash tha lamha junoo tera
Woh aasmaan se tera utar jaana
Ek toh vasal mein tujh se lad jana
Aur judai mein phir baphar jaana
Jisko shabnam saher samajhti hai
Hum ne usko faqat qaher jaana
Kaise beghar aur kyun chalein daftar
Tere dil ko hi hum ne ghar jaana
Dekho Asim kavi diwaanaa hai
Tum na ghalti se bhi udhar jaana!  
- Khan M. Asim... 13/05/2012... 04:30 AM!

Tuesday, May 08, 2012

Hamara ishq hai sadiyon puraana..!

Tumhari aankh mein jhanka to jaana 
Hamara ishq hai sadiyon puraana
Qasam hai maut ki aawe na aawe
Hamari rooh ka maskan ho jaana
Tumhari saltanat mein aaye to jaana
Ghulami bhi bahut hai faatehana
Hamari rooh ko taskeen bakhshe
Tumhara har ada pe muskurana
Tumhari zulf ke lambe yeh saaye
Ghataon mein chandarma shayerana
Bahut beichaniyan hum ne sahi hain
Tumhare khwaab bunte saaqiyana
Tumhare naam ki tasdeek karte
Amal hote hain hum se kaafirana
Chalo yeh raaz ab tum ko bata dein 
Fida ASIM hai tum pe waalihana! 
- Khan M. Asim... 08/05/2012... 12:45 PM!

Sunday, May 06, 2012

Hamari jaan nikli ja rahi hai..!

Woh tasveer mein sharma rahi hai

Hamari jaan nikli ja rahi hai

Usse chaha tha yunhi shoq mein bas

Magar aadat si banti ja rahi hai

Ajab sa bhoot yeh hum pe chada hai

Na nigli hi na ugli ja rahi hai

Kaha tha tum bahut achche ho aise

Hamari duniya badli ja rahi hai

Unhe shikwah hai hum se kaam ka

Idhar haathon se ladki ja rahi hai

Budhdhu ban gaye hai ASIM sochkar

Bade andaaz se woh pagli ja rahi hai..!

- Khan M. Asim... 06/05/2012... 2:00 AM!

Saturday, May 05, 2012

Zara sa haath tum aage badha do..!

Mita daalenge saari dooriyan hum
Zara sa haath tum aage badha do
Hamare zarf ko pujoge tum bhi
Zara sa zarf tum apna dikha do
Tumhe dedenge hum yeh zindagani
Zara khwabon mein tum humko jaga do
Tumhare haath hai qanoon-e-barbar
Zara si baat pe sooli chadha do
Bahut tishna yeh shaher-e-mohabbat
Zara si pyaas tum iss ki bujha do
Tumhare naam pe qurbaan huwe hain
Zara si aag tum hum mein laga do
Kabootar ishq mein hum ban chuke hain
Parinda pyaar ka tum bhi uda do 
Bane Moosa hain ishq ke hum
Zara sa pyaar tum hum ko sikha do
Bana phirta hai majnoo-e-sehra
Zara ASIM ko tum insaan bana do! 
- Khan M. Asim... 05/05/2012... 02:45 AM!

Thursday, May 03, 2012

Unke aane pe baharon ne kia hai sajda..!

Phir meri shaam jawaan, raat hanseen 
Phir kahin koi kali khul ke hansi 
Phir kahin naghma chida, phir kahin baat chali 
Jin ke jaane pe roonthe the nazaare hum se 
Unke aane pe baharon ne kia hai sajda..! 
Aasmaan door tak lagta hai deewana koi 
Kehkashaon mein thirakta hai sarapa koi 
Har sitaare mein chamakta hai chehra uska 
Noor hi noor se... hum ko hai bulata koi 
Barq raftaar shuaon ne kia hai sajda 
Jin ke jaane pe roonthe the nazaare hum se 
Unke aane pe baharon ne kia hai sajda..!
Jaagte jaagte khwaab mila hai koi 
Sookhe sehra ko aab mila hai koi 
Dil-e-betaab tarasta tha nazar ko jiski 
Shaam dhalte hi mehtab mila hai koi 
Saare aalam ki nigahon ne kia hai sajda 
Jin ke jaane pe roonthe the nazaare hum se 
Unke aane pe baharon ne kia hai sajda..!
- Khan M. Asim... 03/04/2012... 02:02 AM!

Wednesday, May 02, 2012

Raat chahti hai hum se akele milna..!

Raat chahti hai hum se akele milna
Tum sitaron se jo milna to akele milna
Chaand ne audhi hai ridai khud pe

Jugnuon se bhi milna to akele milna


Itni fursat bhi nahin tasveer ko dekhein Teri

Ghame hijraan se bhi milna to akele milna



Ishq ne bheenchli hum se hain nigahein aise

Jaise toofaan ka kashti se akele milna

Ek toh zulm Tera uspe ilzaam Tera
Aur tere naam se milna to akele milna
Phool ik bhool hua, ishq dushnaam hua
Naame badnaam se milna to akele milna
Mehfilein khub milin Tera jalwa bhi raha 
Ab ke ASIM se tu milna to akele milna!
- Khan M. Asim... 01/05/2012... 09:50 PM!