Saturday, October 19, 2013

Tum kahan ho?

Aasmaan mein daradein pad gayi hain
Koi banjar zameen ho jaise,
Magar ik roshni ka munba
Tareekyon ko cheer raha hai
Doodhya chashma,
Fiza ko seraab kar raha hai
Magar sitaare kahan hain
Chaand akela kyun hai
Karodon meel ka safar
Beyaaro madadgaar..
Uff yeh tapish...
Saba kahan hai
Mein tanha hun
Tum kahan ho?


- Khan M. Asim... 18/10/2013... 08:38 PM..!

Monday, October 14, 2013

Palat kar war kar jitna lahoo hai..!

Usse ik baar phir mauka dia hai
Palat kar war kar jitna lahoo hai

Kahan rishta hai apna ab kisi se
Bahut hi tazbazab o justujoo hai

Padi shiknein toh muflis hogaye
Gireban chak ho toh kya rafoo hai

Shakal ubhri hai ik tareekyo mein
Faqat ki khauf aur aalame hoo hai

Nahin milti kyun taskeene dil ab
Teri tasveer ab toh rubaroo hai

Shajar ukhda ik ladkar aandhiyo se
Wahi manzar yahan bhi hubahoo hai

Usse apna samajh kar de dia sab
Hua tum se bhi Asim ik sahoo hai!

- Khan M. Asim... 13/10/2013... 03:54 AM..!

woh zuban se hazaron qiley banata hai..!

woh zuban se hazaron qiley banata hai
Mein bhi sunta hun hanskar ke taal deta hun
Ada karega kabhi woh apne vaadey ko
Kashmakash mein sikka uchaal deta hun! Asim

He shows thousand dreams
I just hear and laugh them out
Will he ever keep his promise
Confused I, tosses a coin!!! Asim

Mere aashiyaan pe girai jo bijli..!

Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine
Sahara nahin toh nazar na lagate
Tumhara nasheman ujada kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine..!

Chaha tum hi ko faqat roz o shab mein
Tumhe dhadkanon se chaaha hai meine
Faqat pyaar ki bas Kari ilteja thi..
Kabhi isse ziyada bhi maanga kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine
Sahara nahin toh nazar na lagate
Tumhara nasheman ujada kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine..!

Pahar rukhsati ki hai ab aan pahunchi
Kahan chodte ho batao tum hi ab
Mein ik bezuban hun tum thehre natiq
Hai kya rasme rukhsat batao tum hi ab
Tumhe aata jaate hamesha dua di
Kabhi bad-dua ko uthaya kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine
Sahara nahin toh nazar na lagate
Tumhara nasheman ujada kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine..!

Milan apna jo tha haan yeh chaar pal ka
Rougey tum bhi isse yaad karke
Chaahogey tum par hum na milengey
Maangogey rabb se haan fariyaad karke
Abhi waqt hai yeh ke ibrat lo tum bhi
Sabaq zindagi ka sikhaya kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine
Sahara nahin toh nazar na lagate
Tumhara nasheman ujada kya meine
Mere aashiyaan pe girai jo bijli
Batao tumhara bigada kya meine..!

- Khan M. Asim... 07/10/2013... 01:02 PM..!

Har baat ko kehne ka andaaz niraala hai..!

Har baat ko kehne ka andaaz niraala hai
Tere har harbey ko ishq mein dhaala hai

Zarkhez zamin banke hai shajr dia tujhko
Hum ne ik dariya ko neinon se nikala hai

Yeh samar dia tu ne yun chod gayi humko
Haan hijr ka roz o shab ik tezz juwala hai

Tujhe itni salah hai bas ke door hi rehna ab
Jis roz mili hum se dil tootne waala hai

Aa tujh ko bata dun mein hai kitna bura Asim
Ik taab ko seene mein qaatil ne paala hai!

- Khan M. Asim... 06/10/2013... 05:29 PM..!

Phir se khwahish jug rahi hai..!

Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki
Thodi fursat toh ab nikalo tum...
Hum se milne ki, dil lagane ki
Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki..!

Kapkapahat hai mere hon'ton pe
Ek chahat hai meri saanson mein
Ungliyaan meri, thartharati hain
Jism ko tere chu ke aati hain
Kho gaya hun mein kin sawalon mein
Dhundta hun tumhe mein khayalon mein
Kuch khabar toh do apne aane ki
Saath chalne ki geet gaane ki
Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki
Thodi fursat toh ab nikalo tum...
Hum se milne ki, dil lagane ki
Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki..!

Ek koshish hai dil deewaane ki
Ilteja tum se muskuraane ki
Aa bhi jao tum, kaisa pardah yeh
Kis ko parwah hai ab zamaane ki
Tum hamari ho hum tumhare hain
Ek duje ke hum sahaare hain
Justuju hai phir khud se ladne ki
Tum se milne ki, pyaar karne ki
Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki
Thodi fursat toh ab nikalo tum...
Hum se milne ki, dil lagane ki
Phir se khwahish jug rahi hai
Tumko chu ne ki tumko paane ki..!

- Khan M. Asim... 05/10/2013... 06:22 PM..!

Allah teri panah..!

Khud se ladte samay
Jeet bhi khud ki hoti hai
Aur haar bhi....
Zindagi ki bhaag daud mein
Aadmi aksar khud se door hojata hai
Aur jab khud pe lautta hai,
Toh rota hai,
Kyun ke uski rooh bhi
Usse bezaar hai...
Koi sunne waala nahin
Diwaarein dasne lagti hain
Aadmi kal aur aaj mein
khud ko latakta hua paata hai
sawaal yeh nahin ke,
Kal kya hoga...
Sawaal hai,
Aaj kya karna hai...
Magar yeh kashmakash
Yunhi khatam nahi hoti
Aaj ek bhanwar hai
Aur kal ik gufa
Tareek, siyah
Ik ghutan,
Ek dum todti nigah
Khalish, aah
Allah teri panah..!

- Khan M. Asim... 02/10/2013... 03:55 PM..!

Gandhi tere des mein..!

Aman ahimsa sachchai
Tere har sandes mein
Lekin bhool gaye na sab
Zindagi ki race mein
Dakuon ne dhaak jamai
Netaon ke bhes mein
Lagte hain pardes mein
Gandhi tere des mein..!

- Khan M. Asim... 02/10/2013... 12:00 PM!
Happy Birthday Dear Bapu...! Asim

Tuesday, October 01, 2013

Hum ne dil ko kitna toka phir bhi baaz na aaya..!

Hum ne dil ko kitna toka phir bhi baaz na aaya
Neinon ke jungle mein kho kar aakhir hosh ganvaya

Ghor andhera, kuch na soojhe, aur saanson ka pehra
Zulfon ke daldal mein dhans kar paapi dil pachtaya


Narm tha lehja, garm the lamhe ik tha mein diwana
Uspe baatein sun kar uski, ishqa'n jaan ko aaya

Kis se jaakar karein shikayat kaun bharey jurmana
Reh reh kar zaalim ne hum ko hai kitna tadpaya

Chand the lamhe, thodi baatein, ab yaadon ka dera
Hijr mein beithe soch rahe hain vasl mein kitna paaya

Kitne khush the ishq na tha jab, hum the daulat waale
Khushiyon ko thukra kar hum ne ji ko rog lagaya

Lekin kuch toh baat hai Asim, jo tu hai muskaya
Baat kare hai dozakh waali, jannat ko chu aaya!

- Khan M. Asim... 01/10/2013... 12:40 PM!

Yaad toh tumko aaonga..!

Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga
Bhool nahin paogey tum
Mein naghma aisa gaonga
Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga..!

Meri baatein, mera lehja
Kal tumko tadpayega
Mil jayenge tumko sitaarey
Par kuch na tumko bhayega
Mere saath ka lamha lamha
Tum se choot na payega
Mitti ki zarkhezi mein
Mein paudah ban jaonga
Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga..!

Duniya ki har rut yeh naveli
Tumko door ley jaayegi
Dheere dheere yeh tumko
Behlayegi, phuslayegi
Majboor karegi yeh tumko
Ke maazi ban jaon mein
Par manzar jab bhi badlega
Kaam mein hi toh aaonga
Nainon se behta koi
Aansu mein ban jaonga
Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga..!

Duniya mein jo aaya hai
Usko laut ke jaana hai
Apne kal ko bhoola jo
Aadam woh deewana hai
Saara jug hai yeh faani
Raakh mein sab dhal jayega
Jab woh sabko uthayega
Mein tumko mil jaaonga
Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga
Bhool nahin paogey tum
Mein naghma aisa gaonga
Kal jab mein mar jaonga
Yaad toh tumko aaonga..!

- Khan M. Asim... 26/09/2013... 11:30 AM..!

Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe..!

Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe
Ussi shakhsh ke hum deewaaney huwe
Yaadein reh reh ke uski hain tadpa rahin
Mar gaye hum bhi qissey puraney huwe
Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe
Ussi shakhsh ke hum deewaaney huwe..!

Kaun deta mera saath muflis tha mein
Kis ko parwah thi meri go mukhlis tha mein
Uss ne chaaha mujhe paagalon ki tarah
Usne baandha mujhe ghungroun ki tarah
Usne choda nahin, mujhko bhooli nahin
Dars deti rahi pyaar karti rahi...
Usse wabasta saare fasaaney huwey
Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe
Ussi shakhsh ke hum deewaaney huwe..!

Haan pareshaan hun woh na aaye nazar
Woh hai mushkil meini milti bas itni khabar
Mujhpe ehsaan itna sa kar de Koi
Mera mehboob jholi mein bhar de koi
Tootta ja raha mein huwa besabar
Pyaar ki mere kuch toh karo tum qadar
Teer o khanjar ke hum kyun nishaaney huwe
Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe
Ussi shakhsh ke hum deewaaney huwe..!

Raat katti nahin, din nikalta nahin
Charagh mehfil mein apni kyun jalta nahin
Usko mere doston tum karo bakhabar
Bolo deewana sach mein na jaaye yeh mar
Aa miley mujh se ab ke zindah hun mein
Uski yaadon mein udta parinda hun mein
Beetey lamhe sab uske khazaaney huwe
Jisse bichde huwe hain zamaaney huwe
Ussi shakhsh ke hum deewaaney huwe..!

- Khan M. Asim... 17/09/2013... 09:13 PM!