Tuesday, October 01, 2013

Hum ne dil ko kitna toka phir bhi baaz na aaya..!

Hum ne dil ko kitna toka phir bhi baaz na aaya
Neinon ke jungle mein kho kar aakhir hosh ganvaya

Ghor andhera, kuch na soojhe, aur saanson ka pehra
Zulfon ke daldal mein dhans kar paapi dil pachtaya


Narm tha lehja, garm the lamhe ik tha mein diwana
Uspe baatein sun kar uski, ishqa'n jaan ko aaya

Kis se jaakar karein shikayat kaun bharey jurmana
Reh reh kar zaalim ne hum ko hai kitna tadpaya

Chand the lamhe, thodi baatein, ab yaadon ka dera
Hijr mein beithe soch rahe hain vasl mein kitna paaya

Kitne khush the ishq na tha jab, hum the daulat waale
Khushiyon ko thukra kar hum ne ji ko rog lagaya

Lekin kuch toh baat hai Asim, jo tu hai muskaya
Baat kare hai dozakh waali, jannat ko chu aaya!

- Khan M. Asim... 01/10/2013... 12:40 PM!

No comments: