Friday, December 31, 2010

Saal-e-nau aur Mohabbat


Kabhi ki rok tok

Toh phir hai nok jhonk

Bani chehre pe shiknein

Dia lamhon ko thok!

Kabhi rishta jodte hain

Kabhi rishta todte hain

Kabhi chumein hain balam ko

Kabhi sar phodte hain!

Kabhi hai pukhta iraadah

Kabhi ghussa hai ziyadah

Kabhi chodein haath dono

Kabhi hai janmon ka vaadah!

Kabhi fitna yeh mehfil hai

Kabhi fitna mera dil hai

Zara sa roonth jaane mein

Na jane kya kya haasil hai!

Kahin asraar aankhon mein

Kahin taqraar baaton mein

Kahin ghanton nadaamat hai

Kahin hai pyaar yaadon mein!

Sitam aashufta karte hain

Pal bhar mein akharte hain

Hamari choti si baaton pe

Woh bante hain bigadte hain!

Kabhi yeh dil dhadakta hai

Kabhi yeh dil thaherta hai

Pashemaan ho ke rota hai

Kabhi yeh khulke hansta hai!

Humein koi shikayat hai

Na hi koi adaavat hai

Aji tum ko manana hai

Gale milne ki chaahat hai!

Saal-e-nau ki aamad hai

Khushi hai aur khushamad hai

Mohabbat apna tohfa bas

Daramad aur baramad hai!

- Khan M. Asim...31/12/2010...10:00 PM...Train! Here I raise my hand for peace and love!

Happy New Year


Just hearing from TV that New Zealand is celebrating its new year 2011! I here by wish all my near and dear friends a great year ahead! Welcome to 2011!

Sona-chaandi


Na meine tujh se sona hai maanga

Na meine tujhse chandi hai maanga

Thoda sa pyaar kia hai tujhse

Bas thoda sa pyaar hai maanga

Kab se khada hun dar pe tere

Marne se pehle pani hai maanga

Maqtal mein toh khud hi aa pahuncha

Nazron ka teri ik vaar hai maamga

Kitabon se tujhko hai fursat nahin

Meine bhi thoda sa waqt hai maanga

Chaahat mein teri mein mar jaon

Khuda se yahi vardaan hai maanga

Fariyaad kare jo khuda se ASIM

Uss mein tera hi pyaar hai maanga!

- Khan M. Asim...07/01/2003.. Timing again not mentioned... But this one i wrote for the daughter of a leading jeweler from Chembur, as then we were seeing each other! my friends from that time can easily identify her... Kyun Shehzad??? Remember i used to bore you about her while going to college in Mumbai local!

Nazar-andaaz

Teri nazron se gir jaana, nazar-andaaz hojana

Bhala manzoor kisko tha yun roro kar tadap jana

Lahed mein bhi mein roya hun kafan ko oadh ke apne

Sataya yun mujhe zaalim taras khana nahin jana!

- Khan M. Asim...04/08/2002.. sorry again no time mentioned!

Aas!


Tanha tanha sehte hain ghum

Hai yeh dil udaas udaas

Mushkil meih hai dil itna ke

Har sun hai bas yaas yaas

Aankhon mein tasvir hai chaspan

Lagte ho tum paas paas

Kehte hain ab sab se hum toh

Hai re meri raas raas

Sitaron mein tum ho chupe hue

Shayad ho tum maas maas

Lagta nahin dil duniya mein hai

Aata nahin kuch raas raas

Dil mein hai bas ek khwahish

Bana lo apna daas daas

Asim ne chaha jisko hai

Dil mein hai uski aas aas!

- Khan M. Asim...12/08/2003..unfortunately i have not mentioned time in my diary but it must be late night only!

Wednesday, December 29, 2010

Sun le aye haseena..!


Sun le aye haseena tera diwana hun

Tera pal hun, tera lamha, tera zamana hun!

Sun le aye haseena tera diwana hun...!

Saansein teri, aahein teri, tera fasana hun

Sun le aye haseena tera diwana hun...!

Aane waala, jaane wala, har koi yeh jaanta hai

Kehne waala, sunne waala, har koi yeh maanta hai

Tu hi sehra, tu hi jungle, tu samandar hai

Tu sitarah, tu atarud, aasmaan bhi jaanta hai

Teri gardish, tera chakkar, bandagana hun!

Sun le aye haseena tera diwana hun

Tera pal hun, tera lamha, tera zamana hun!

Sun le aye haseena tera diwana hun...!

Baagh mein bulbul rahe, shaakh pe har gul rahe

Mehfilon mein roshni ho, tu yunhi chul-bul rahe

Tera bigda kaam banja aur humein chutti mile

Koi picture dekhein dono aur cinema full rahe

Teri khushbu, teri rangat, aashiqana hun..!

Sun le aye haseena tera diwana hun

Tera pal hun, tera lamha, tera zamana hun!

Sun le aye haseena tera diwana hun...!

Tu hi faateh, tu sikandar, tu masiha hai

Har gali mein, har shaher mein, tera charcha hai

Tu hi faaras, tu himalya, tu hi romaan hai

Tujh se saari duniya haari, kaun jeeta hai?

Mein shikasta, mein qalandar, vaalihana hun..!

Sun le aye haseena tera diwana hun

Tera pal hun, tera lamha, tera zamana hun!

Sun le aye haseena tera diwana hun...!

- Khan M. Asim...29/12/2010...1:50 AM..Home! For my only LOVE!

Tuesday, December 28, 2010

Humein hai saath mein rehna!


Kabhi na-khush tum na hona

Humein hai saath mein rehna

Khushi toh hum manaiyenge

Hai chup se ghum ko bhi sehna!

Ameeri mein jo aao tum...

Raho saada tum har ik pal

Mein chahti hun sada tumko

Yahi ik baat tum kehna!

Jo hansdo tum to gulshan hai

Jo ro do tum qayamat hai

Yahi khushiyan yahi muskan

Hain tumhara bas yahi gehna!

Kyun darna humko duniya se

Mohabbat ki hai hum ne toh

Humein hai saath mein behna

Humein hai saath mein rehna!

- Khan M. Asim...15/04/2006...9:15 AM to 2:30 PM... Half in train, half at a college friend's house!

Monday, December 27, 2010

Raaste pe chalna hai


Raaste pe chalna hai

Aur zara sanbhalna hai

Barf jaisa jamna hai

Saath hi pighalna hai

Waqt pe sanwarna hai

Phool banke khilna hai

Khushbu mein bikharna hai

Aur saath sadna hai

Dilruba se kehna hai

Doston pe marna hai

Aasmaan pe chadhna hai

Aur zamin pe dhalna hai

Himmaton se ladhna hai

Ishq se jhagadna hai

Aur na yun darna hai

Vaada khud se karna hai

Khilwaton mein rehna hai

Mehfilon mein jalna hai

Kehkashan ko chuna hai

Aur ASIM banna hai!

-Khan M. Asim...26/12/2010...9:00PM... Millenium Park + Seawoods Stn!

Friday, December 24, 2010

Life

Little tensed little nervous, am back here. Professional and personal issues putting a lot of stress & pressure and this tiny, little heart beats less and pains more!

Well, the year 2010 is about to end within few days. I had expect a lot from this year but i mostly attended hospitals and patients, been deceived by friends and resigned from ETV job. In a nut shell, a bad experience and disastrous year!

Its been around seven months now that am looking for a good media job, but all in vain, no success yet! Started business and still slogging, have clients but unable to satisfy their demands, looking for a good team but not getting right guys, want lots of money to spend in business but have no penny in pockets and accounts.

Going through rigorous medical sessions, drugs and beautiful and smart lady doctors, who can kill any ailment by just a single smile, hence no more medications required then!

Last night, attended Adobe CS5 Production Premium Event at Hotel J.W.Marriott. I thought it might be a business meet but it was more focussed on software demonstration. Still i put some extra efforts and met Moin Ansari, the Business Product Manager, Adobe, India. Really felt nice after meeting to him, a guy must be in his late thirties holding such a post with a globally acclaimed company, that too a muslim!

Since last night, dad is showing extra care and more affection to me, for a while i was surprised and pondered whats happening? is everything alright? but later even i felt nice sailing in the tides. Hope, it continues for some more time..!

My love is always there to support me, she is such a delight, i see her and feel satisfied and relaxed from all the tensions. She is the one who makes me alive. Its not just love i have for her, she is honest and helpful. Moreover, she is a working women and puts extra efforts to make me happy by adjusting her work and other stuff. I respects her alot, and she really deserve it!

Merry Christmas to all my friends. I hope for a new beginning from the coming year. Hope it provide me a better job in media, give me good business and a lots of love too, without sympathy of being ill!

I love you, from every single cell of my body and every tissue of nerves, am there for you always. Don't look at my tears and cry look at the agony which make me do so! Am yours always and will remain forever! muaaaaaaaaaaahhhhh....!

Sunday, December 19, 2010

Bas 2 naye sher

Maut ke farishton se mulaqaat ka iradah hai,

Safar mukhtasar aur saamaan ziyadah hai!

- Khan M. Asim...16/12/2010...Thursday at 11:49pm on facebook!

Na unse shikayat na tum se shikayat

Humko fakat hai humein se shikayat!

- Khan M. Asim...16/12/2010...Thursday at 6:02pm on facebook!

Maflooj


Dil mein dard saanson mein uphaan hai

Zahen maflooj toh jism be-jaan hai

Ek jungle, ik sehra khula hai hum pe

Waqt kaafir, magar rooh musalmaan hai

Hum be-namazi, sone waale hain to kya?

Laakar humein dikha do kaun ba-imaan hai

Yaan kaun dost thehra, kaun raazdaar hai?

Apne lahu ko peeta khud har ik insaan hai

Sachchai gar diya hai toh lo bujh gaya diya

Humko shama dikhane wala kaun maherbaan hai

Gunaahgaar hain zaroor abhi kaafir nahin hue

Jannat humein milegi haan itna itminaan hai

Doobkar hai paar jaana bas yahi hai shoq apna

Uss kinaare milne waala humko ASIM Khan hai!

- Khan M. Asim... 19/12/2010... 9:37 AM..Home!

Monday, December 13, 2010

Khizar

Bekariyon ka jo humse faasla karayega

Koi hai Khizar jo raah humein dikhayega?

Manzilon ki daud mein kho gaye hain raste

Koshishon se khud ASIM carvan lutayega!

-Khan M. Asim...13/12/2010...11:45PM!

Sunday, December 12, 2010

Gham


Meikadey mein koi na saaqi hai

Gham bhulane ko kaun saathi hai

Unko hum pe yaqin na ho lekin

Hum ko unpe yaqeen kaafi hai

Saare khanjar ghupa diye dil mein

Kaunsa zakham dena baaqi hai

Bhool beithe jo hum ko arse se

Yaad unki bhi humko aati hai

Ik muqaddar hi bas nahin doshi

Baat unki bhi saath jaati hai

Yunhi aakar ke roz khwabon mein

Bebason si adaa dikhaati hai

Hum jo bolein to munh banakar woh

Bekason ko yunhi daraati hai

Titliyon si udey hai shaakhon par

Muskura ke humein bulaati hai

Chune deti na dast-o-daaman ko

Kyun woh ASIM yun daud jaati hai!

- Khan M. Asim...9/12/2010...1:40 PM..Home+Train!

Friday, December 10, 2010

Asim Khan on ETV

Ik humein se jahaan chalta hai!

Friends, thank you for your greetings on my 200th poem, now am in a dilemma which poem to post next. Since when am writing even i don't remember but my memory goes back to some class 3rd or 4th. My 100th poem was one of the oldest one, which was actually a small song i wrote may be in 3rd or 4th standard. I intended to post one poem as 200th poem, which i wrote in train on train, while travelling from Meerut to Mumbai, somwhere in 1995. But then Salman bhai (Syed Salman - Bureau Chief, Sahara Samay, Mumbai) ordered me to write something afresh. As a result you find this poem here.

Now, i want to give a positive and warm welcome to the beginning of the 300's on this blog. Apart from these poems i have written several others, even more than 500, which are kept in my diary, i will keep posting them here in between. So here, i am posting a poem, which is actually reply to my 200th poem, its about a rising sun, mature, confident man, who is willing to win on his own, who believes in his abilities!

So enjoy 201..!

Roz karte hain baatein dil ki hum

Roz manzar yun hi nikalta hai

Kis mein dum hai humein mukar jaye

Har tamasha hamien se palta hai

Saare manzar bhula diye usne

Ik humein se jo kaam chalta hai

Khoob maghrib ki ser sabne ki

Aaj mashriq mein kaam chalta hai

Aasmaan ko padi hai taaron ki

Apne dum se yeh chaand jalta hai

Roz humko subah jagane ko

Ek sooraj kahin nikalta hai

Itne saste bhi hum nahin ASIM

Ik humein se jahaan chalta hai!

- Khan M. Asim...08/12/2010...10:53PM..Home!

Thursday, December 09, 2010

200


Kahin charag kahin dil jata hai

Sooraj yunhi roz dhalta hai

Ik tapish hai ajeeb seene mein

Saara mausam yunhi nikalta hai

Roz takte hain uski aahat ko

Jis ki aamad se dum nikalta hai

Taras rahe hain usi ke jalwe ko

Jisko lamha bhi saath khalta hai

Ek udaasi wafa nibhati hai

Hum bhi kehte hain saath chalta hai

Badalon mein chupa hai har aansu

Saara manzar yun hi pighalta hai

Kaise Asim kahin qaraar mile

Ek aata hai ek talta hai!

- Khan M. Asim...08/12/2010...09:50PM...Train!
Well friends this is my 200th poem on this blog. And here i dedicate it to Syed Salman Bhai, who encouraged me to finish it ASAP! and to those who love me!

Tuesday, December 07, 2010

Zamana


Maare sare gunj hi lagta hai yeh zamana

Hum pe yaqin na ho toh khud isko aazmana!

Hai waqt ik musafir chalna hai iska kaam

Isko na soojhe kaun tu, rehta hai arifana

Hum pe garaj rahi hain qayamat ki bijliyan

Yan kaun dekhta hai, mausam hai aashiqana

Waiz chupa hai beitha masjid ki khidkiyon mein

Ae rabb tu hi bata de, kya hai tera fasana?

Jo log mil ke humko, dushnaam kar gaye

Unse yeh kaisi ulfat, kaisa yeh dostana?

Yaan kaun sun raha hai, is dil ki dastaan ko

Bas ek tu deewani, bas ek mein diwana

Ab aansuon ko Asim, chup chaap pi chalo

Sab ko hi khal raha hai, yeh andaaz shairana!

- Khan M. Asim...06/12/2010 - 07/12/2010...10:18PM (Train) to 01:58AM (Home)..!
For those who want Word meanings..!
Maare sare gunj - Snake upon treasure
Maar - Snake
Sare - Upon
Gunj - Treasure
arifana - Saints' way
Waiz - one who objects or prevents from doing wrong, A holy man
dushnaam - Abuse
Yaan - Here

Monday, December 06, 2010

Majaal

Ab toh khudai ne bhi hai kar dia kamaal

Jo humko kaam de de kis ki bhala majaal

Tehkhane mein chupakar rakha hai saanp ko

Dasta hai saanp kisko, kisko milega maal?

- Khan M. Asim...06/12/2010..11:00AM...Home!

Friday, December 03, 2010

Inkaar..!


Inkaar karne waalo se kaun hai bacha?

Achcha hua ke koi hum ko nahin mila!

Iss silsile nadamat ko kya naam dein bhala

Aisa hai kaun jis se humko nahin gila

Tha aitbaar jin pe khamosh hogaye sab

Hain kehte yaqeen kisko humko nahin pata

Dushman tha dushmani ki hai aitraaz kisko

Yaaron ne apne dhoka humko nahin dia?

Ab to khamoshiyan bhi dasti hain raat din

Qudrat ne hi sikandar humko nahi kia

Itne bade shahar mein kisko karein talaash

Ab tak Khizar ne jalwah humko nahin dia

Naraazgi yeh kaisi? ASIM gila yeh kaisa?

Haan apni ghaflaton se humko nahin mila!

- Khan M. Asim...02/12/2010...1:15PM...Bandra Rly Stn + Bus + Autorickshaw..!

Wednesday, December 01, 2010

Facebook login trouble, need help!

Friends am unable to get into my facebook account and is receiving this msg! plz suggest a solution! As i do not remember if i have put any middle name in account settings, i feel i never did so... Also am connected almost with 1100 people through this account. So can't think of making another account at this stage, i want this account to be active, need your help, kindly suggest the remedy!

Account Inaccessible for 8 Hours
Your account is temporarily unavailable because of repeated attempts to enter an invalid name.
Please try again in 8 hours. When your account is accessible, please enter a version of your name that fits our profile name guidelines. To list your name in a second language, you can use the Alternate Name field in Account Settings at a later time.

Azaabe hijaabi!


Naqsh tere jamaal ke sab chip gaye hain hijaab mein

Lekar tera naam hum pad gaye hain azaab mein

Na gul khila, na chaand hi taaron se mila

Tu milegi mujhko yeh phir kyun likha hai kitaab mein

Na inaayat na karam hai sochiye toh aap hi!

Ik nazar na dekho humko kya hai hai yahi aadaab mein?

Ik nazar bas dekh lo tum , pyaar karke dekho humse

Na dhundo tum par mil jaayenge hazaron raste naqaab mein

Toor ki manind fana hojayege, aks se khud apne ghabra jaoge

Mehshar mein kya nakaab doge apne gunaah ke jawaab mein?

Sunkar gar khaamosh hain lamhe yeh sada meri

Aane waala kabhi toh hoga khuda bhi apne utaab mein!

Chodunga na tujhko ab mein apni kaza ke baad bhi

Le hi lunga tujhko rabb se ab mein roze hisaab mein!

-Khan M. Asim...12/07/2004... 7:10 AM! I know it requires lots of editing but am posting it here in its original form!

Tuesday, November 30, 2010

Tarke-Wafa


Humko jhidak kar jaam jo tum ne pila dia

Iss be-lagaam dil ka mehwar hila dia

Hum to na kar sake kabhi tumse wafa ae dost

Tum ne jafa-kashon ko wafa se sila dia

Tarke wafa ke vaaste jo tum ne kia hai aaj

Dekho toh aasmaan ko zamin se mila dia

Be-jaan hasraton ka kharidaar kaun hai?

Ik aarzu thi dil mein so usko sula dia

Humko mitaane waale zamaane se mit gaye

Dushman ko kab hai mauka tumne bhala dia

Hai sogwaar mehfil, ASIM zara sanbhalke

Jis se bhi ki wafa hai ussi ne gila dia!

- Khan M. Asim...30/11/2010...4:53 AM..!

Life!

At the moment am happy and flying high, life seems to be coming back on track. As a first time teacher, i was damn nervous and scared of results but now am all smiling as students scored highest in my subject! Mashallah!

Although am still hunting for a good journalism job but at least there is some relief, We can not blame the God and destiny every time, sometimes we are the culprits! I feel it now, time may be running fast or it might have stopped for me but am still trying to be mature, i know am short-temper, anger kills the ambitions, and in my case everything is against me, may be gadgets and may be practice.

I feel, i started it with a happy note but as a sad soul or rather say boring poet inside is forcing these thoughts to be typed here, i have no intention to write all these dramatic lines here.

Well am going, will discuss later, my love is calling! cya :)

Sunday, November 28, 2010

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!


Kabhi kabhi khwabon mein aakar woh roz hi mujhse ladti hai

Mein bbhi uska deewana hun woh bhi mujhpe marti hai...

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Na aankhon mein neend ka ghalba na saanson mein pehli tadap

Baat kare jab sharma ke yun lagta hai woh darti hai

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Duniya uski jannat uski mein toh narak ka baasi hun

Jannat mujhko mil jaaye woh roz duaen karti hai

Mein sochun hun duniya daari paas na jaon yaaron uske

Go darti hai phir bhi yaaron chaar qadam woh badhti

Jo samjhaon mein yeh usko karobaar zamaane ka

Bas pyaar karo kuch na bolo yeh kehkar mujhpe akadti hai

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Arre uski adaayein mashallah har dum teer chalati hai

Mujhko shikaar hai karne waali khud ghayal hojati hai

Rahon mein mujhe woh takti hai phir yun peich badalti hai

Kaunse hoor pare ho tum? jo duniya tum pe marti hai!

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Jo mein sunaon sher kabhi woh ghazal banke angdati hai

Meri kahaani mujhse pehle woh khud hi ban jaati hai

Oonchai pe ghar hai uska neeche milne aati hai

Jo sochun usko tanha mein shehzaadi ban jaati hai

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Shehzaad salaahein deta hai ke ASIM isko chodna na

Par gharwaalo ke saaye se hi tabiyat meri ghabratii hai

Usko samjhaon kis tarah woh jab yun roya karti hai

Jo hans dun thoda sa bhi phir khoob hi gussa karti hai

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Neem nasha woh aankhon mein liye angdaaiyaan bharti hai

Kabhi kabhi khwabon mein aakar woh roz hi mujhse ladti hai

Mein bbhi uska deewana hun woh bhi mujhpe marti hai...

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Khan M. Asim... 06/01/2007... 7:15AM...Train...Nerul to Wadala!

Well, i was looking for my Broadcast Journalism, T.Y.B.M.M notes as I am resuming lectures at S.N.D.T Matunga, fortunately got a chance to read my old work, which i have never copied anywhere, there are many such but this i found and sharing with you people!

Saturday, November 27, 2010

jawaab!

Zindagi, tujhko jawaab hum denge

Viraan aankhon ko khwaab hum denge

Waqt seene mein dafan karega kisko

Teri kitaab ko nisaab hum denge!

Tere wajood ka zamana kare maatam

Teri awaaz ko khitaab hum denge

Tu beqasoor hai toh tujhe bakhsh dia

Jo gunaahgaar hai toh azaab hum dene!

- Khan M. Asim... 27/11/2010... 3:25 PM..!

Friday, November 26, 2010

Nafrat!

Dekho humein nazar ka yeh saanp dass raha hai

Do gaz zameen ke niche insaan dhass raha hai

Itni kahan adavat heiwaan o jinn ke bass mein

Zulm-o-jabar ka phandah insaan kass raha hai!

- Khan M. Asim...26/11/2010...2:30 PM..!

Thursday, November 25, 2010

Jawaab chahiye ya sawaal kar rahi ho???


Jawaab chahiye ya sawaal kar rahi ho

Meri muflisee ka malaal kar rahi ho

Hain kaandho pe abtak farishtey salamat

Kya aansuon se mere khayaal kar rahi ho

Na paani diya hai na khaane ko daana

Kyun bakre ko aise halaal kar rahi ho

Na koi nadamat, na chinta hashar ki

Bade perhan hain kamaal kar rahi ho

Kyun taqdeer apni bujhai hai tumne

Jo auron ki mehfil fuaal kar rahi ho

Yeh aadat hai apni ke sunte hain sab ki

Kahaan be-zarar se jalaal kar rahi ho

Na ASIM bandha hai, na jakdega koi

Kya lagta hai jeena muhaal kar rahi ho?

- Khan M. Asim...2:00 PM to 4:35 PM to 6:55 PM...Sahara Samay office..!

Tu ne dekha jo mujhko bade pyaar se..!


Tu ne dekha jo mujhko bade pyaar se

Har kali muskayi pyaar mein pyaar se

Tere deewaane ka ab kahan hai pata

Tujhko dhunde hai galiyon mein bas pyaar se

Tu ne dekha jo mujhko bade pyaar se..!

Ik tera naam hai jo labon pe ravaan

Naachti hai zamin, gaa raha aasmaan

Parbaton ne pukara tujhe pyaare se

Dhoondti hain tujhe yeh vaadiyaan

Khilwaton mein bhi jhooma bade pyaar se

Tu ne dekha jo mujhko bade pyaar se..!

Raat, din, har paher ek mehfil mein hai

Aarzoo bas teri iss mere dil mein hai

Meri majbooriyaan, tu meri justuju

Tu hi raahon mein hai tu hi manzil mein hai

Raaston ne bhi chooma mujhe pyaar se

Tu ne dekha jo mujhko bade pyaar se

Har kali muskayi pyaar mein pyaar se..!

- Khan M. Asim... 25/11/2010...3:15 PM..!

Wednesday, November 24, 2010

Aarzu


Aarzu jiski aankhon ne jatai humko

Usi dildaar ne awqaat batai humko

Ab sarai, na manzil ki koi aas rahi

Aisi taabeer kismat ne dikhai humko

Ek tinka hai jo sahil pe khada hai jamke

Doobi kashti ne yahi baat batai humko

Ik charagh sa roshan tha kisi kutiya mein

Dil ke tukdon ne yahi baat batai humko

Woh jo chilman mein chupi daud gayi

Har nazaare ne wahi ek sujhai humko

Ab na bolenge vaada yeh kia hai humne

Aisi tasveer zamaane ne dikhai humko

Woh jo ASIM tha kahin ghaayab hai

Uske saaye ne yahi baat batai humko!

- Khan M. Asim...24/11/2010...2:00PM to 9:30PM..!

Friday, November 12, 2010

Sanfe Nazuk


Husne paikar jamaal rakhti hai

Sanfe naazuk kamaal rakhti hai

Hum se vaadah kare mukarne ko

Aur doston ka khayaal rakhti hai

Jab se qabza hai iska maqtal pe

Be-kason pe jalaal rakhti hai

Kaun dega jawaab mehshar mein?

Yeh jo itne sawaal rakhti hai

Suraj dooba hai ghame siyahi mein

Kehkashan pe yeh dhaal rakhti hai

Kaamiyabi muzakkar na hojaye

Ab chupakar mashaal rakhti hai

Sab hain mazloom iske ae ASIM

Sab ka jeena muhaal rakhti hai!

- Khan M. Asim...12/11/2010...12:24PM..!

Monday, November 08, 2010

Jab yaad hamari aajaye..!


Jab yaad hamari aajaye, tum geet hamara gaa lena,

Palkon ko jhuka kar tum apni khwabon mein humko bula lena

Andaaz yahi apna rakhna, kajal ko yunhi laga lena

Khamosh khade hon dono jab seene se humko laga lena

Jab yaad hamari aajaye, tum geet hamara gaa lena..!

Saahil pe ek gharonda hai, nadiya bhi paas se chalti hai

Aankhein hain bani do generator, bijli bhi wahan pe jalti hai

Sorish si kare kuch moje dil kahin koi kali phir khilti hai

Khwaabon ko woh ek makaan taskeen jahaan pe palti hai

Kabhi chori chupke aake tum iss rut ko yunhi jaga lena

Jab yaad hamari aajaye, tum geet hamara gaa lena..!

Rokegi bhala kab tak duniya, kabhi jeene waale mit-te hain

Pyaason ka jungle hai duniya jaane kitne baadal bikte hain

Laakh jatan kar le rakhwala panchi ka gagan se naata hai

Lohe ki salakhein hon toh kya aji pyaar ke panchi udte hain

Aazaad jahaan dil ho jaye wahan naam hamara laga lena

Jab yaad hamari aajaye, tum geet hamara gaa lena...

Palkon ko jhuka kar tum apni khwabon mein humko bula lena..!

- Khan M. Asim...08/11/2010...3:17 PM..!

Tuesday, November 02, 2010

Tu bata kidhar jaon???


Ji rahun ya marr jaon?

Tu bata kidhar jaon???

Ishq banke kho jaon

Dard mein bikhar jaon

Tu bata kidhar jaon???

Teri yaad mein khoya

Dar-ba-dar bhatakta hun

Aasmaan se lad jaon

Ya zamin se darr jaon

Tu bata kidhar jaon???

Chaman waale toh soye hain

Gul-o-bulbul bhi khoye hain

Kise haale dil sunaon mein

Khud hi se baat kar jaon

Tu bata kidhar jaon???

Bhala naadim hua kyun dil

Tu hi hai jab mera qaatil

Khamoshi zarb na haasil

Lahoo ko aab kar jaon

Tu bata kidhar jaon???

Chaand bhi pareshan hai

Shams thoda hairaan hai

Gardishe zamaana mein

Raat din thehar jaon

Tu bata kidhar jaon???

Masjidon ke hujron mein

Roz sajde karta hun

Maangne dua apni,

Aur kiske ghar jaon?

Tu bata kidhar jaon???

- Khan M. Asim...02/11/2010...1:13 PM...!

Monday, November 01, 2010

Woh aadmi bhi ajeeb tha

Meri nazar se utar gaya jo, woh aadmi bhi ajeeb tha,

Woh mehfilon mein ameer tha woh khilwaton mein ghareeb tha!

Yun tewri thi chadhi hui, mile tha sab se tapaak se,

Woh naalan khud se khud hi tha, woh ranj o gham ke qareeb tha

Woh bana phire tha paarsa, woh sochta tha rehbari,

Na kaam koi kar saka har kaaj pur takhreeb tha!

- Khan M. Asim... 01/11/2010...5:30 AM! I might add some couplets to it, if did so will publish here too!

Saturday, October 30, 2010

Manzil


Abhi teri mehfil se ruswa nahin hun

Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun

Jo duniya ki chahat mein tujhko bhula de

woh khudgarz aashiq nahin hun nahin hun!

Abhi teri mehfil se ruswa nahin hun

Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun..!

Samandar kinara, woh lamhon ka dhara,

kabhi nazrein jhukti kabhi dil hamara,

kabhi banta aanchal mohabbat ka parcham,

kabhi dard se toot jaata sitara,

mahek gesuon ki mein bhool nahin hun,

Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun!

Woh honton ki narmi woh gaalon ka challah,

Mera dil gaya yun arrey hai allah...

Numaish mohabbat mein karte nahin par

Tumhi se hai ulfat kasam allah allah

Woh baaghe baharan mein bhoola nahin hun

Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun!

Likha naam tera hai dil ki zamin par

Rahega azal tak yahin par yahin par

Nahin mit sakegi hamari kahani

Farishta yeh kehta hai arshe barin par

Khuda ki khudai ko bhoola nahin hun

Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun!

Khan M. Asim 30/10/2010... 1:06 AM..!

Wednesday, October 27, 2010

Life

Life is worst i ever had! I dont know how to describe it, just sailing away! Job hunt is still on its way and there is no peace of mind. And what peace of mind when there is no mind!

I am all broken now, into pieces. Fighting, fighting and just fighting, life is a shit!

Huh, not in mood to write anything... Bye Bye

Berozgaari


Phir wahi naakaam kahaani

Khushiyan ghayab aur viraani

Be ma-ash, bhook, berozgaari

Tauba, thuh! yeh kaisi jawani

Be-raah manzil, noor nadarad

Ghuncha ghuncha paani paani

Bas apno ko saari raahat

Khan sahab ko nahi aasaani

Kabhi do toh kabhi chaar hain

Badhti jaayein minute diwaani

Zahen faqat hichkole khaaye

Kya yahi qismat thi banani?

Manzar ASIM yahi raha toh

Ho jaayenge aanj-haani!

Khan M. Asim... 26/10/2010...8:25 PM...Train... I know it needs lots of editing work but am so tensed that cant even pen down things! I feel am a looser, am GONE!

Thursday, October 07, 2010

Doobta sooraj!


Aaj phir sooraj doob gaya,

Aadhi raat mein!

Phir wahi saanson mein garmi

Phir wahi aankhon mein nami

Musalsal jid-o-jahad,

Khaana Jungi,

Mushta-al hangame,

Ik daher!

Har kaam pe sawaal

Har kaaj pe ilzaam...

Dilruba dilbardashta,

Tanha shab bhar ghum ko peena

Kutton se bhi badtar jeena

Koi nahi dil ka saathi!

Jin se umeedein,

Wahi hain baaghi...

Nakaam mohabbat!

Nakaam Akhu-wat!

Zindagi ki tooti laathi...

Ghanghor andhera,

Kal pe baadal...

Fasal pakegi zamindaron ki

Bhooka dehqan soyega!

Aalam gar aisa hi raha toh

Ik din aisa hoyega,

Parwana jal jaayega,

Kya ruthegi duniya usse

Woh jag se uth jayega

Par,

Naam tumhara likh kar dil pe

Woh jurm tumhe dejayega!

- Khan M. Asim...07/10/2010...3:12 AM...!

Wednesday, October 06, 2010

Aye rabb tu hi bata de


Hai shaakhe gul pareshaan

Toota hai taara taara

Aye rabb tu hi bata de

Kya hai tera ishaara!

Ghairon se milke dekha

Apnon se milke dekha

Dil jis se mil saka ho

Koi nahi hai aisa

Mehfil ki berukhi se

Toota bharam hamara

Aye rabb tu hi bata de

Kya hai tera ishaara!

Jin mehfilon mein ronak

Hoti hamare dum se

Ab toh koi na pooche

Kyun hain nidhaal ghum se

Be-raah ravi ka humko

Jamke mila khasaara

Aye rabb tu hi bata de

Kya hai tera ishaara!

Dariya mein chalte chalte

Bhatka mera shikaara

Jis simt mudke dekha

Khoya wahin kinaara

Duniya ki tez ro mein

Phirta hun maara maara

Aye rabb tu hi bata de

Kya hai tera ishaara!

Dono jahaan se badhke

Tujhko banaya pyaara

Phir muflison sa maula

Hota hai kyun guzara

Aayengi kab baharein

Kab hoga noor saara

Aye rabb tu hi bata de

Kya hai tera ishaara!

-Khan M. Asim...05/10/2010...5:45 PM to 11:45 PM...Train

Wednesday, September 29, 2010

Faisla



Pal pal marte lamhe

Kal jawaan honge,

Haqq kis ka?

Qaatil kaun?

Kahin massarrat, kahin maatam

Fasle khizaan hai seh-paher!

Mandir, Masjid?

Mulla, pandit,

Ek tuk, hamatan-gosh...

Faisla hai qaazi ka

Sawaal hai riyazi ka

Magar, kisi ne socha hai?

Kya rabb ka farmaan hai?

Kya kehta quran hai?

Kahan pe khush bhagwan hai?

Ghanti mein? ya shradhdha mein jaan hai?

Kaun inhein vedon ko padhaye

Kaun inhein iqra sikhlaye...

Ek taraf talwaar to

Ik jaanib dhanush-baan hai

Aur mazloom?

Sirf Hindustaan hai!!!

-Khan M. Asim...29/09/201...10:05PM..Train...in context of Ayodhya verdict to be announced tomorrow!

Sunday, July 25, 2010

Life

Hi friends, coming back to my page after a long time. In between had nothing to talk about and everything to be discussed! But for that we need time, as it goes with my temper same goes with my time, it’s too short!

All of you know with what circumstances am going through, being unemployed is sort of a crime, so tried best to hide from myself but was beaten up by every moment! Haah, again those boring tales! No don't kill me; I have something nice and cheering to share here.

I intended to start my advertising agency since college days, Had created some newspaper ads with the name of Emerald International, which is actually my brother's Export, Import firm. But I had a dream to run a full fledged advertising agency cum a media house. Being a journalist never wanted to go away from my passion, so had a difficult time to decide how to go about it. Thanks to my dear friends, Imran, Saad, Hozefa, Ibrahim and Faizal, with whom I had a good beginning and the brand came out as Media Monks! Whatever may be the reason the project eventually failed but had a good learning experience then.

To survive is what we do in this world and I was no exception so I continued with my ETV job. But after being with the company for two years and hence not receiving any incentive for my hard work was very unhappy and irritated and finally resigned in last March. And the question raised what next....! Applied almost in all the leading publications and media houses, spoke to hundreds' of friends, including those guys, who used to call me for the information then and now don't pay any heed towards my calls. So had a big slogging period.

Right now, I am sitting in my own cyber cafe! Now, the question is, what am I doing here? yeah... Let me introduce you to my new venture, Emerald International!

After struggling for few months for a good job, as I don't wish to join anywhere, any place. So, I planned to resume my passion of advertising, which was almost killed during Media Monks' downfall. I designed one plan for an office, its required infrastructure and investment but was dejected by pitaji maharaj! Hence was suffocated and confused, but fortune favours the brave, the great English saying applies here too...

Three weeks back a friend of my mine called me up, he wanted to set up a Canada-based call centre and BPO office in India, he was looking for my assistance to guide him to a right party, so who can better than my own self, discussed the whole plan with Tarique Bhai and we sent him our proposal, he accepted and we agreed to the terms. Luckily this time our father, the lord of our home also agreed to lend us some financial support.

Then we were looking for an office in a good location again comes the English saying time supported us. We met a guy Abid Khan at Nerul Railway Station; he runs a cyber cafe here. We enquired about property rates and rentals to him and he gave us the details. Above all, he provided us an offer too, he said he intend to give his cyber cafe including the machines on rental, if we want we can have it! This could be a best offer to any newcomer in the market. We went home discussed and finalised the deal with him.

Now, since July 13, we are handling the cyber cafe, the office will be renovated soon and the cabins will come in shape. Guys and girls are to be employed and a fully fledged advertising, marketing, call centre, BPO, public relations, designing, media buying and selling, market research, B2B and B2C selling firm or say a small media house came into existence.

So, till our advertising office gets renovated we will be having just cyber cafe running here, even after its accomplishment we will continue with the net cafe until we receives a good profit.

So now am happy, as am giving lectures of journalism in Rizvi and SNDT (Matunga) Colleges, have a full fledged office to spent time and a good girl to love forever. Hope, these days remains with me till death and business generates that success, which can feed to our next generations. (AMEEN)

In the end, thank you for your kind support and reading till these lines. And my girl doesn’t repent for being with me, these difficulties have a very short period and we have a long happy life. So just enjoy and be with me forever...Muaaah...Aaashchi!

Saturday, July 17, 2010

Humko to hai tumse pyaar!

Tumhe ho na ho

Humko to hai tumse pyaar

Kyun na karein

Lamhon ka hum aitbaar

Yeh jo lamhaa hai

Yeh jo sagarr hai

Dono gehre hain

Dono behre hain

Aata nahin humko kahin qaraar

Tumhe ho na ho

Humko to hai tumse pyaar!

- Khan M. Asim... 9:20AM...17/07/2010... Hmmm writing this song but being in the office its not possible to ink further and finish it, so will complete it soon, till then enjoy the few lines :)

Arz kia hai!!!

Ghar gaya, daftar gaya, darbaar khaali hogaya

Ab koi mehfil nahin sansaar khaali hogaya

Uska aana uska jalwa aur kitna intezaar

Khabrein padhte padhte yun akhbaar khaali hogaya!

- Khan M. Asim... Thursday, 14/07/2010 at 4:31pm

Sayyaad tha masti mein bulbul thi parehsan

Kambakht shabe vasal bani phir shabe hijran!

- Khan M. Asim...13/07/2010...2:30 PM!

Maut haqeeqi hai wafa nibhayegi,

Ishq majazi sirf ruswai de payegi!

- Khan M. Asim...16/07/2010...12:30PM

Jo toota hun toh judne ka hunar jaanta hun

Mein ASIM hun, apni qadar jaanta hun!

June 30 2010...at 6:12pm!

Monday, June 28, 2010

Seene se lag ja mere


Seene se lag ja mere

Aa mein jahan waar dun

Jitna koi na kare,

Utna tujhe pyaar dun!

Mujhse hain keh rahin

Saanson ki beicheniyaan

Beh ja tu iss reile mein

Hone de athkheliyaan

Kaisi yeh sharam o haya

Seene se lag ja mere

Aa mein jahan waar dun

Jitna koi na kare,

Utna tujhe pyaar dun!

Duniya ke iss kone se

Duniya ke uss kone tak

Sooraj tulu hone se

Raaton ke dhal jaane tak

Shamma ke dhal jaane se

Shamma ke jal jaane tak

Jitna koi na kare,

Utna tujhe pyaar dun...

Seene se lag ja mere

Aa mein jahan waar dun

Jitna koi na kare,

Utna tujhe pyaar dun!

Aakhir kyun yeh dooriyan

Kyun na mita dein inhein

Mausam hai barsaat ka

Ji bhar ke bheega karein

Boondon ki har ik ladhi

Paighaam yeh de rahi

Seene se lag ja mere

Aa mein jahan waar dun

Jitna koi na kare,

Utna tujhe pyaar dun!

- Khan M. Asim...28/06/2010...7:20PM...Millenium park, nerul!

Saturday, June 26, 2010

Ishq


Aaye jo yaad unki, raahe faraar kis ko

Vaade pe kyun nazar ho ab aitbaar kis ko

Nazrein bula rahi hain saansein pukarti hain

Aahon mein jal raha jo mein dun yeh pyaar kis ko

Aisi bhi kya nadamat bin jaye na bane jo

Gustakhiyon pe apni ab ikhtiyaar kis ko

Hum sa koi kahin hai ae aaine bata de

Jalwe jamaal ka ab intezaar kis ko

Khud zoq khud taba hain hum jaante hain isko

Par maraze aashiqi mein ASIM qaraar kis ko!

- Khan M. Asim...26/06/2010...7:50PM...Millenium Park, Nerul!

Wednesday, June 16, 2010

Kabhi-kabhi

Kabhi khamosh beithe hain kabhi woh gungunate hain

Kabhi khud door jaate hain kabhi hum ko bulaate hain

Woh hanste hain woh rote hain kabhi daaman churate hain

Kabhi shikwa jataate hain kabhi sab bhool jaate hain!

Hijir ki bheegi raaton ka nasha kuch aisa hota hai

Kabhi unko yaad karte hain kabhi unko yaad aate hain

Bigad kar tooti nindya se yun ajnabi ho jaate hain

Kabhi humko jagaate hain kabhi humko sulaate hain

Garam apni salahon par, woh yun taane sunaate hain

Kabhi woh dil jalaate hain kabhi hum ladkhadaate hain

Na maa-ash hai na zariya hai, hue kuch yun apahaj hain

Kabhi dhadkan thaherti hai kabhi woh maar jaate hain

Thaher ja zindagi ab toh ke ab hum chal nahin sakte

Kabhi hum ilteja karte kabhi woh daud jaate hain!

-Khan M. Asim...15/06/2010..1:45PM to 16/06/2010... 10:05 AM..! please ignore the changing pattern in the poem from romantic to sarcastic as its swung by my mood, the difference in lines is due to change in winds in my life since yesterday till now!

Monday, June 14, 2010

Life

Tensed, Stressed, Frustrated, Disturbed, nervous and many more words, all applies to me these days. Tired of calling and pleading to people, looking for some real solution and needs just peace of mind. Loosing old friends and making new friends, don't know whats happening but am not enjoying it!

I always admire those who stood by me in my struggling period, some friends made it to the flowers and few went futile. Now i can just see them through memory lanes. Those days are gone and now am just an unemployed soul. And most of the times abusing myself for being so short tempered and sometimes recieving the same from other ends too. Money was never an issue for me, I earned I spent but now its a big issue, no penny, nothing works then. Huh!

Every another man come and starts giving lectures on professionalism to me, some say you will get a good job some say market is down, wait for a while, some try to make me laugh some are just interested in getting their work done. Nobody wants to spent money all want me for free, from all those stupids few encourages me but most of them demoralises. I can say am selfless but I too have big ego issue with my inner self! Can't take these things for granted, they can't do this to me.

Mom is still not keeping well, having above 400 diabetic level. Now she is on three times insulin a day. I fear alot these days. Scared of unseen cruel moments, can just feel it can't express, hope everything goes well!

No home in Mumbai yet, and have to shift again.. tired of shifting every two year. But what to say, when life is so wicked i can just try to laugh. I know its sheer madness, but yes i am!

There is nothing new on your front as well, all same we fight, we console, we cry we laugh but but but.... What to say, you know all, am just lonely, unable to share certain thoughts with you as well. Haah!

I just need a good job, where i can do what i wanted to. may be a good job is a solution and may not be a solution at all as am more loosing on heart front then the professional. Hmm, can't eloborate anymore on this here.

Well, all the best Indrakshi for a happy married life. I hope efverything goes well between you and Rakesh. And yes, you also Pray the same for me and Her. Look am still caged, can't take your name openly. Hope you make me free soon from this bounding and take my name publically.

I pleaded in my recent poem for the same old days, i want them to repeat, want to enjoy the same smile, same laugh and same love, again i say, let us get back to old days, please! keep smiling and loving to me!

Sunday, June 13, 2010

Laut aao..!


Ek ladki

Hasmukh thi, diwani thi,

Mein usko chahta tha

Woh mujhko chahti thi!

Zindagi toofaani thi

Har mauj mein tughyani thi

Raaton ki neend o sukoon

Uski baatein uski kahani thi

Har pal ik nayi kehkashan

Uske khayalaat mein janam leti

Aur mein lamehdood safar karta

Aur jab thak kar choor hota

Uski baahon mein gir jaata

Woh aksar, kuch kehte kehte ruk jaati

Aur kehti...

Simmi ninni aarahi hai

Aur isi gardan mein

Woh so jati...

Uski duniya sirf mujh tak thi

Aur mein?

Sirf uska!

Waqt badla, mausam badla

Aur manzar bhi...

Yun toh woh aaj bhi mere saath hai

Hamdard bhi hai aur humraaz bhi

Magar,

Ab lamhon mein woh taab nahin

Raatein dum ghotti hain

Unmein woh shabab nahin

Neend kahin gum hai,

Tanhai mein sukoon nahin...

Duniya tarraqqi pe hai

Aur woh bhi,

Bas kaam kaaj mein uljhi

Aur mein?

Pata nahin kahan choota..!

Iss andhere mein,

Aaj bhi unhi lamhon ko tatol raha hun

Chahta hun,

Woh phir jawan hojayein

Phir wahi kahani ho

phir lori der tak ho

phir raat wahi suhani ho

Aaj phir barsaat ho

Aur manzar uski zubani ho,

Kaash!

Magar,

Namumkinaat ka samundar

Bahut wasih hai...

Aur mein?

Doob raha hun!

Berozgaar,

Tang dast, tang dil o tang nazar

Bas tang hun aaj kal...

Woh ladki,

Ab bhi mere saath hai

Magar,

Kum muskaati hai

Har baat pe akharti hai

Umar badh gayi magar

Bachpan abhi bhi jawaan hai..

Uski khushiyan, uski hansi,

Meri zindagi!

Magar,

Inke adum se mar raha hun

Lamhe daud rahe hain

Har sa-at raftaar pe hai

Aur mein?

Unhi,

Bholi baaton, yaadon mein ji raha hun!

Ladti hai jhagadti hai,

Phir bhi meri hai...

bas yahi khayaal, saansein deta hai...

Itne peich o khum ke baad bhi

Woh mere saath toh hai,

Aur mein?

Uske!

Bas, woh din kahin gum hain

Kaash! woh laut aayein

Tum laut aao,

Aajao!

-Khan M. Asim...13/06/2010...2:15AM... Let us get back to old days, please! keep smiling and loving me!

Thursday, June 03, 2010

Beparwah Sa-at


Sharma ke hum yun aapke pehlu mein aagaye

Saanson se dhadkanon mein dil mein sama gaye

Jugnu lapak ke hum ne mutthi mein bhar lia

Neinon mein aaj taare yun tim tima gaye

Ithla ke kyun ho kehte tumhe pyaar hai nahin

Mina, sharaab, saaqi kyun tum mein aagaye

Hai dil fareb lazzat beparwah sa-aton mein

Lamhe bhi chunke aap hi qismat bana gaye!

- Khan M. Asim...31/05/2010...9:50PM..Train.. Could not continue to write it further as i lost the link in between!

Wednesday, June 02, 2010

Pyaar ka mausam hai door na raho!


Wahi karvant wahi saaya hai

Wahi mausam ne geet gaya hai

Tum hi se baharien zinda hain

Tum hi se megh chaaya hai!

Haiiii...

Pyaar ka mausam hai door na raho

Idhar dekho, idhar socho

Kuch baat toh kaho

Ho ho ho...

Pyaar ka mausam hai door na raho!

Maan lo maan lo

Baat yeh meri tum

Pyaar se kuch kaho

Haath ko thaam lo

Pyaar do pyaar lo

Ho ho ho...

Pyaar ka mausam hai door na raho!

Nainon ko, jhukne do

Dil se dil, milne do

Arre har janib charcha hai

Logon ko, jalne do

Jisse dil darta hai

Woh baat na kaho

Ho ho ho...

Pyaar ka mausam hai door na raho!

Anbar ki yeh bhasha hai

Zara sa dil pyaasa hai

Sabhi hain muntazir ab tak

Tumhara hi dilaasa hai

Ab khamoshi se kehdo

Ke door ja raho

Ho ho ho...

Pyaar ka mausam hai door na raho!

- Khan M. Asim...02/06/2010...7:45 PM...Millenium Park, Nerul... The moment it started raining, i began writing it!

Sunday, May 30, 2010

Pyaar

Kehte hain dildaar hai pyaar

Aji do dhaari talwaar hai pyaar

Ik taraf hai dilbar jaani

Du je mein dushman hai pyaar

Majnu hai sangbaar shaher mein

Laila toofanon mein faraar

Uska milan aur uski baatein

Aur uspar zaalim intezaar!

- Khan M. Asim...21/05/2010...8:25PM..!

Saturday, May 29, 2010

Atankwaad


Khaaki hai inka rang khaaki zubaan hai

Rishwat hai inka kaam baaki gumaan hai

Har baat pe lahoo har baat pe hai jung

Haathon mein inke aaj bhi geeta-quran hai

Haan jung chal rahi hai atankwaad se,

Atankwaadi kaun hai? bas musalmaan hai!

Beja koi phansa hai koi karke chala gaya

Khanjar utha kahin, kahin gayi jaan hai

Jo zaalimon ka saath de aazadi ke baad bhi

Saare jahan mein bas mera Hindustan hai!

- Khan M. Asim...22/08/2006...7:20AM..Train..
Wrote this small poem while going to college...!

Tuesday, May 18, 2010

Life!

Bored of sitting idle at home. I cannot rest anymore, i want some work....haah, i was just typing this line and Dinesh Bhai (Dinesh Mude, IBN Lokmat, Aurangabad) pinged me... What else i want, some encouragement, support from friends and an assurance of a better future, thanks dinesh bhai for rendering some positive energy to me.

So, was interrupted in between by many calls, and then just now had my lunch at 4 PM although am free at home. Passing my team sitting online for the whole days and nights, keep commenting on walls in facebook... Not writing much these days... Moreover, am tired of brain storming too... so don't feel to do anything..!

Mom is not keeping well, smae with dad, have to vacate this flat as soon as possible, so looking for a good flat in a better locality... Where only good human resides, as some people say, mohammadan areas are worst to stay!!! well being a muslim i can just feel bad after hearing that, which is actually not the case so...

But the best thing happeing these days is, I GAINED 7 KG's of weight and its all her magic. Her arrival changed my day and night, colour of my simple life... Its the joy which is reflecting in my weight and body! Thank God, she is here.. otherwise i would have got mad. But she fights with me every time.. Dont understand me, and am just tired of all this nonsense!

She just turned down my mood completely, not in mood to write anymore, sorry friends will write more later... Bye!

Monday, May 17, 2010

Kaam gaya, aaraam gaya!


Kaam gaya, aaraam gaya

Kund zehni se naam gaya

Kafe kazaa ne yun jakda

Masarraton ka jaam gaya

Kisi ada mein yun khoye

Sahi ghalat ifhaam gaya

Thar-thar kaanpa yeh aalam

Jahan talak ahkaam gaya

Unn shagufta nazron se

Phir dil ko payaam gaya

Garam jhulaste maidan ko

Baarish ka inaam gaya

Uske aate hi ASIM

Bad, achcha anjaam gaya!

- Khan M. Asim... 17/05/2010...7:30PM...Millenium Park Nerul..!

Wednesday, May 12, 2010

Raftaar


Ab toh dil ko qaraar nahin

Keh do ke tumko pyaar nahin

Raat tanha kat gayi yun hi

Ab woh khwab-o-khumaar nahin

Dard haathon se dil ko aa pahuncha

Kyun gham se humein faraar nahin

Kya bacha hai jahaane gulshan mein

Baaghbaan pe bhi aitbaar nahin

Jeet kar humse kya mila tumko

Ab nasheman bhare bazaar nahin

Go khamoshi fateh ki hai rehbar

Na-umeedi pe ikhtiyaar nahin

Jiss se dil ko sukoon milta tha

Gham mein baaki sharaar nahin

Chalo maana ke tanha hai ASIM

Ab woh daud woh raftaar nahin!

- Khan M. Asim...12/05/2010...4:20 AM!

Sunday, May 02, 2010

Junoon

Raahe junoon mein yun hadd hogayi,

Haan ishq se ab darne laga hun,

Sanam parwari mein yun bhoola khuda ko,

Ke ab lamhe lamhe mein marne laga hun!

- Khan M. Asim...02/05/2010...1:28PM! will finish it later now exams are going on..!

Friday, April 30, 2010

Shikayat


Aks se darna

Har baat pe jhagadna

Yun hi Beithe aahein bharna

Maamule zindagi hai goya...

Maahol mein woh shadaabi nahin

Lamhon mein raftaar toh hai

Magar,

Baaton mein kaamiyaabi nahin..

Kaam gaya, aaraam gaya

Ab thak kar sukoon nahin milta

Har baat pe hairaani hai

Harkat pe pashemaani hai...

Kahin waqt mujhse naalaan hai

Kahin waqt se mein door hun...

Mustaqbil ka aitbaar nahin

Aur haal pe ikhtiyaar nahin

Ik kainaat ke manind

Jiska kinara na soojhe

Iss safar mein,

Na manzil hai na rasta

Aur zaade raah kuch nahin

Issi udhed-bun mein

Sooraj doob jaata hai

Na lamhon se shikayat hai

Na duniya se...

Mein khud se khud hi hairaan hun

Mujhe khud se shikayat hai!

- Khan M. Asim...30/04/2010...7:10 PM...Millenium Park, Nerul

Wednesday, April 14, 2010

Koi sunne ko awaaz bhi hai!


Yeh kaisi aahein bharta hun

Yeh kaisi fughahein karta hun

Jab dost hi hogaye dushman apne

Phir kyun mein jiya karta hun!

Gham ke andhere baadal ki

Barish mein bheega beitha hun

Jab fasal hi hogayi barbaad apni

Kyun barish ki tamanna karta hun!

Patthar ki lakeerein kehti hain

Yeh hashar bhi tera hoyega

Dushman toh Dushman hoga hi

Par dost bhi dushman hoyega!

Dharti pe zamin ki beitha hun

Par chaand ko dekha karta hun

Jab taare saare toot gaye

Kyun chaand ko dekha karta hun?

Dhadkan hai dil par bojh bani

Awaaz zuban ki chup chup hai

Duniya ki haalat dekhne ko

Khamosh nigahein rakhta hun!

Kehne ko hai baat bahut

Par kehna bhi paana mushkil hai

Hum khaamosh zuban se kehte hain

Par tumko samjhana mushkil hai!

Duniya ki udhed-bun mein khoya

Bas apne ooper hansta hun

Duniya ke diye in zakhmon ko

Inaam banakar rakhta hun!

Kismat ke kiye in sitamon ki

Kismat se shikayat karta hun

Aankhon se hamesha hansta hun

Par dil mein roya karta hun!

Gar zakham diye the mujhko yeh

Kya inka koi ilaaj bhi hai

Ek pal baazigar hai woh

Dooje mein mohtaaj bhi hai!

Yeh mana humne bhi hai khuda

Par ismein chupa ik raaz bhi hai

Masjid ke khaali darichon mein

Koi sunne ko awaaz bhi hai!

Apni duniya mein hun bas

Apni duniya mein rehta hun

Sabse hanskar milta hun

Par tanhayi mein rota hun!

- Khan M. Asim...30-03-2004...4:30PM... Well thought to post one of my old poem as nowadays i hardly write, well, its not here for critical review as i wrote it long back, and is in very childish language but won't edit it as i have some memories behind these lines, editing lines in the poem means erasing old memories!

Sunday, April 11, 2010

Life

Hmmm, its been long time I reported here. Well, phone is connected and my baby is sleeping:) I just came from Andheri, travelled in second class compartment of Mumbai local after a long time, and after a hot date with fellow commuters took a shower at 2 AM.

So you must be thinking, why i mentioned the second class compartment, well I Quit ETV! and at the moment I am unemployed, so trying to get along with the old age practice of cost cutting. I have no money to make happy my honey! So struggling. Currently, looking for both business and job offers, wants to work at both at a time, let us see where i go.

Hmm, so you have another question, Why I quit? Right?... Well, it was a contract based work to which we extended from one year to another. Worked with etv for exactly two years. Leaving ETV was really painful, not because that i was going to become jobless for a while but I felt back stabbed by someone in the channel, not just by someone there were many others too. How would you feel? when you get the same promise for exactly two years and all of sudden you come to know something really unbearable.

I worked with the channel for two years on contract basis with the promise from the top bosses that i would be soon designated as the city reporter. Although I was acting as a city reporter, performing all the tasks, in fact, was shooting too from my own camera, even met with an accident during a shoot, was bed-ridden for some months and had to cough up about Rs. 9000 for camera repair, which did not provide me any sympathy of bosses, and still on papers it was just posted as contributor! Being a BMM (journalism) graduate and having four years experience in the profession does not stand up to the level of certain so called good boys of the channel! And ongoing internal politics was just killing my all talent, hence i decided its better to quit rather crying for whole life.

I know some people may not agree with my this thought but i felt to share it here, as ETV Urdu puts me into stereo image of an Urdu journalist and sailing into Urdu journalism means closing all other doors to connect with the masses, so I had to any how quit it some day, so why not 23rd day of March, the day i resigned!

So, I am unemployed but i feel, would soon join some good Hindi/English channel or English print, online option is also available but that's at the bottom of the graph. Business plans are completely shattered, after a disastrous experience of Media Monks designed a new proposal for business loan but do not have adequate basic fund to show in my account. But I would soon register the new company as Emerald International with DIC. If anyone interested for business partnership, you are welcome :) basically, if somebody can help me out for company expenditures.

I hope for the best from life, as it has given me the best girl, it would also give me the best job! yes baby money is not a big concern, we will earn enough to survive! And I am sure Allah will not let me down on this statement, so just keep faith in me and keep smiling. Its just your love which encourages me to live and am sure its vice versa!

Wednesday, April 07, 2010

Apni har baat ko paimana banaya usne


Guftugu ki toh shikwah bhi jataya usne

Muskurate hue chehra bhi banaya usne

Ik nithalle ne khudai ka kia jo dawa

Phir nigahon se harmein dikhaya usne

Aise bhatka hai majnu bhi sehra mein bahut

Humko aankhon mein shabo roz ghumaya usne

Rang bikhre toh tasveer mukammal samjhi

Apni har baat ko paimana banaya usne

Ik qalandar se khudai hui yun goya

Kyun ibadat ko tamasha hai banaya usne

Jisne dekha ghash khaa ke wahin dher hua

Ik qayamat ko mujassam yun sajaya usne

Khwaab, fariyaad seene mein yunhi daud gaye

Yun mohabbat se jo ASIM ko bulaya usne!

- Khan M. Asim...06/04/2010...10:50PM...Train!

Saturday, March 27, 2010

Saara bandhan tod dia


Tumhara qissa tumhari baatein

Saara bandhan tod dia

Hanskar Rokar raah pakadkar

Lamhon ka rukh mod dia

Saat paher naakaam kahani

Yun mujhko jhinjod dia

Ghum hi ghum peene ko mila jo

Meine tumko chod dia

Jhanjat saare chod tumhare

Khud ko khud se jod dia!

- Khan M. Asim...25/03/2010..4:55PM...Sahara Samay Office...On resigning from ETV NEWS!

Tuesday, March 16, 2010

Umeed ki talaash mein!


Ab aage kya kahun???

Aaj phir,

Unhin thaki thaki...

Be-jaan raahon pe hun!

Jahan har rasta masdood

Aur kaamiyabi makhdoosh hai!

Jin se umeedien thin

Woh be-murrawat nikle

Carvan aage badha

Aur humsafar kinara kar gaye!

Yeh na-umeedi ki pagdandi hi hai

Jo aaj bhi wafadaar hai

Jo mujhe khud pe kheench rahi hai,

Haalanke...

Mein mudna chahta hun

Mein udna chahta hun,

Magar!

Yeh jumood hai

Rukunga, gir jaonga!

Isiliye,

Beh raha hun, chal raha hun

Umeed ki talaash mein!

- Khan M. Asim...15/03/2010...4:50PM..!

Tuesday, March 09, 2010

Har taraf shor hai, jidhar jaate hain!


Sochte sochte yunhi lamhe guzar jaate hain

Kis tarah log vaade se mukar jaate hain

Ashk aur ishq hai puarana rishtaa

Ghum se maanoos hue, ghar jaate hain

Bekhudi se khayalon mein yunhi mar jayein

Bas tere naam ke hote, thaher jaate hain

Ghonslon mein milenge na aba-beel kahin

Jis taraf daana mile, udhar jaate hain

Dhoondte hain sukoon chahar sun ASIM

Har taraf shor hai, jidhar jaate hain!

Khan M. Asim...08/03/2010...10:50PM...Train

Wednesday, February 24, 2010

Gulshan lahuluhaan hai!


Matla bilkul saaf hai,

Na abrr, na ghatayein,

Magar, fiza aaludah hai!

Bebas ghutti tamannayein

Nathne phula rahi hain,

Din ka ujala o tareek raat

Khaamosh nigahein,

Aur beparwah baaghbaan

Kaun hai, jo nahin jaanta?

Magar...

Kiska naam lein,

khanjar ka ya goli ka,

Kaisi bekhudi, kaisi sarfaroshi,

Lamhon ki udhedbun

Aur maatmi maahol...

Aaloodgi se beparwah

Phool toh ab ja chuka!

Hai fiza abhi mahek rahi

Sooraj hai uga hua..

Magar,

Maatami maahol se har shakhs ubhara jayega

Yeh farz nibhaya jayega

Yeh karz utara jayega!

Talaash gumshudah hai kyun?

Yeh dhoondte hain chaand ko

Chodhwin ki raat mein!

Saazish chaahe jiski ho,

Bulbul ki ya gulchin ki

Magar,

Gulshan lahuluhaan hai!

- Khan m. Asim...23/02/2010...3:30PM...marathi Patrakar Sangh...Well this poem is dedicated to Shaheed Advocate Shahid Azmi! I have some memories of him as i met him many a times, I just could not believe whatever has happen on Feb 11. May Allah Shower HIS blessings upon him and keep him in heaven!

Wednesday, February 10, 2010

Wireless


Have you ever thought to have access to all kinds of information e-mail, databases, news, stock quotes, and company reports from your car, without a desktop computer? Wireless technology makes this possible. We are already beginning to see such applications. Wireless Technologies are for people who are always on the move and yet want to stay connected.

Today, whether we are at home or away, inexpensive wireless connections have made life easier. The wireless connectivity either through mobile phone usage or by high speed broadband internet connections has become an integral part of the urban middle, upper middle and higher class’s life.

It is hard to live with a dial-up Internet connection these days with the image and file sharing websites growing in popularity more and more. Even if one lives in a remote area, there are ways of getting inexpensive wireless broadband internet. Many mobile companies offer facilities to connect via mobile phones and one can even get broadband via satellite.

The wireless sector is booming in India. The ratio is increasing with growing literacy level. There is no doubt that India has world-class wireless networks and the other advantage is that the entire country is covered by a single standard, GSM 900, which is not the case in many other big countries worldwide. The subscriber base for cellular services is growing at a lightning speed, with 90 per cent growth
recorded last year.



The country recently had a record addition of 15.08 million wireless telephone user in August 2009 and has catapulted the total subscriber base in the country to 494.07 million, closer to the government's 2012 target.

Experts attribute the surge in wireless Web use to a combination of falling handset prices, network upgrades, and an economic expansion that's leaving many young people flush with disposable income. India's economy is growing at over nine per cent, and younger consumers, especially those working in call centers, can now afford the personal digital assistants and Research In Motion (RIMM) BlackBerrys that, as recently as a year ago, seemed out of reach to everyone but wealthy business-people and other professionals.

The challenge for providing high speed Wireless Internet Service is soaring in India. There is a greater demand for wireless Internet as people want to stay connected to the web wherever they go. The Indian wireless market is mainly dominated by the major players like Tata Indicom, BSNL, Reliance and Airtel.

Tuesday, February 09, 2010

Chahta hun!


Dariya mein ravaani chahta hun

Mohabbat javedaani chahta hun

Tumhare bin bahaar kaisi hai

Haan Tumse zindagani chahta hun

Samandar keh raha hai moujon se

Fizaayein aasmaani chahta hun

Nigahein khar khar kyun har sun

Haan thodi gulfishaani chahta hun

Hijr ki tareek raaton mein

Manzar kehkashaani chahta hun

Milein kyun ajnabi se hum

Kahani phir puraani chahta hun

Hai apni soch mein peeri

Ke tumse nojawaani chahta hun

Haan raahe deen mein ASIM

Zara si be-imaani chahta hun!


- Khan M. Asim...08/02/2010...4:20PM...!

Saturday, January 30, 2010

Life!

"Raised to the ground or razed to the ground", well its "razed to the ground". Hmm am still learning English. Heard this phrase hundreds of time but today got caught red-handed with simple spelling error, raised or razed! Thanks to internet!

So, am hiding at home today! not willing to do those imposed stories, i feel i should not be a part of big frauds, as some people do, they want me to become like them but they don't know, there is someone behined me, who keep me going and doing and thats myself, to which i can't ever let down!

I have decide it, kick me out if you want but i won't suck to your words. This guy who back-stabbed me, although he was close to my heart, why should i be with him? So. Mr., Sorry I cant be a part of your programme.

Politacally if we see, look what Balasaheb and Raj Bhai are doing, Mukes bai, and Sahrukh bhaiya i feel are not safe in Mumbai anymore! Azmi lost the election and a minority seat went to beloved Sena! chalo badhia hai...!

Aah, let me come to the life now, well am still trying to pacify with the momentum. Life is too fast. There are no new openings in the market, or may be i don't fit to the bill. Still trying and applying, but no one is calling me up, come on guys, call me up, you are loosing a good talent! hahaha, You know am over the top, or what we call it, cloud nine! reason, i don't know, am just happy! ab kabhi kabhi aise bhi hota hai!

Now, i don't have much cards in my hand, so going by the wind, let it take me where it can. Happy at home, Dad talking to me, Mom feeding to me and sister and bhai loving me, what else i want! Yeah, now you will be thinking about my girl, this notorious baby is still making me cry with her beautiful smile!

Well, i will be back soon, thinking to pen down some thoughts but still unable to contemplate them. Till then you people enjoy, and let me fight with my cat, she thinks, she is the best, well i agree but still i follow King Khan, I am the best!

Wednesday, January 13, 2010

Andhkaar


Ik ajab andhkaar hai

Waqt pe manjhdhaar hai

Kyun tooti har aas hai

Kahin roshni ka dwaar hai

Khanjar ghunpe hai peeth mein

Kahin khoon, loot-maar hai

Ghum se sooraj dhalta hai

Kahin chaand sharamsaar hai

Jug poojta hai naam ko

Yeh kaisa ahankaar hai

Priley, param hai eashwar

Ya mera Sansaar hai

Aman ki lo hai bujh rahi

Har phool sangsaar hai

Kab koi masiha aayega

Har zarrah beqaraar hai

In doobti umeedon mein

Mujhe sirf tumse pyaar hai

Haan honton pe machal raha

Bas.................hai!

- Khan m. Asim...13/01/2010...1:25 PM...Train...Those who are too close to my heart can easliy fill in the blanks!