Doobta sooraj!
Aaj phir sooraj doob gaya,
Aadhi raat mein!
Phir wahi saanson mein garmi
Phir wahi aankhon mein nami
Musalsal jid-o-jahad,
Khaana Jungi,
Mushta-al hangame,
Ik daher!
Har kaam pe sawaal
Har kaaj pe ilzaam...
Dilruba dilbardashta,
Tanha shab bhar ghum ko peena
Kutton se bhi badtar jeena
Koi nahi dil ka saathi!
Jin se umeedein,
Wahi hain baaghi...
Nakaam mohabbat!
Nakaam Akhu-wat!
Zindagi ki tooti laathi...
Ghanghor andhera,
Kal pe baadal...
Fasal pakegi zamindaron ki
Bhooka dehqan soyega!
Aalam gar aisa hi raha toh
Ik din aisa hoyega,
Parwana jal jaayega,
Kya ruthegi duniya usse
Woh jag se uth jayega
Par,
Naam tumhara likh kar dil pe
Woh jurm tumhe dejayega!
- Khan M. Asim...07/10/2010...3:12 AM...!
No comments:
Post a Comment