Friday, March 29, 2013

Kitney behisaab hogaye hain hum..!


Kitney behisaab hogaye hain hum
Doobta aaftaab hogaye hain hum

Kaun chakhta hai ab yeh paimaana 
Koi sasti sharaab hogaye hain hum

Rukh amavas ka chaand hai koi
Hai khana kharaab hogaye hain hum

Tere jaane ka asar yeh nikla
Zindagi pe azaab hogaye hain hum

Sab pe khola libaas-e-dil hum ne
Kitney behijaab hogaye hain hum

Paas hain par woh padh nahin sakte
Koi darsi kitaab hogaye hain hum

Aagey aati thi hum se bhi khushboo
Aaj murjha gulaab hogaye hain hum

Jisney chaaha utha ke qaid kia
Koi awadhi nawaab hogaye hain hum

Soch se ASIM kya nahin hota
Kher, apna utaab hogaye hain hum!

- Khan M. Asim... 29/03/2013... 11:44 AM!

Monday, March 25, 2013

Kisi anjaan chehrey mein, mera qatil dia hota..!


Khudaya mard ko tu ne, koi tohfa dia hota
Agar aurat banayi thi toh usko dil dia hota

Koi mushfik koi saathi koi rehbar kia hota
Hamarey hont ko tu ne ya phir sil dia hota

Sitam hay-e-taghaful ko zara mushkil kia hota
Ya phir us peer-e-ghaflat ko koi ghafil dia hota

Faqat nuksa'n mila mujhko mohabbat ki tijarat mein
Lagaya jitna sarmaya, mera haasil dia hota

Kisi tareek koney mein mujhey tu qaid kar deta
Kisi anjaan chehrey mein, mera qatil dia hota

Ulfat ke saher se iss jo humko paar kar deta 
Koi mohsin, koi naaseh, koi aamil dia hota

Mohabbat ki kahani mein na ghum shaamil kia hota
Ya ASIM ko phir tu ne yaqeen kaamil dia hota!

- Khan M. Asim... 25/03/2013... 02:18 AM!

Saturday, March 23, 2013

Munfarid Ash'ar..!


Ab pachatava ka karey jab chidya chug gayi khet 
Dekh rahi Indore mein beithi, Tu Juhu Beach ki ret! Asim 

(Adha oopar ka Kabir Das ka hai.. Adha Dev das khan ka)

******************************************


Bargad ka hai ped vishal
Aam nahi deta hai woh
Insaan tarakki karle gar
Insaan nahi rehta hai woh! Asim

******************************************


Ek aarzoo ka yun huwa anjaam
Hum ne kardi hayaat tere naam! Asim

******************************************


Tu rahi, zindagi rahi...
Aaj apni khabar nahin humko! Asim

******************************************


Yeh sahil, yeh maidan, yeh ambar, imarat
Kahan kho gayi tum, sabhi poochte hain..! Asim

******************************************


Yeh sahil, yeh maidan, yeh ambar, imarat
Kahan kho gayi tum, sabhi poochte hain..! Asim

******************************************


Mein intezaar karta hun, isliye deewana nahin
Mein deewana hun isliye intezaar karta hun! Asim

******************************************


Teri meri prem kahani, sooraj chaand ki lukka chuppi
Band aankhein toh rubaru hai khuli aankhein to justuju hai! Asim

******************************************


Uff yeh hijr ke din aur bechainiyaan meri
Bahut mushkil hai dum lena tere intezaar mein! Asim

******************************************


Mere maula mujhko na ameeri ka chalawa dena
Ek muflis ko ghareebon ka maseeha kar de! Asim

******************************************


Tujhe har mod pe yunhi kaamraani milti rahein
Jahan tareekiyan ubhrein, naye charagh milein! Asim

******************************************


Kitni rangeeniyaa'n yahan hoti'n
Kaash ASIM tu bewafa hota..! Asim

******************************************


Ghaltiyan beshumaar karte ho
Khud hi aankhon se waar karte ho 
Hum se umeed masoom rehne ki
Uspe turrah ke pyaar karte ho! Asim

******************************************


Jo log salah dete hain, barbaad rahega
Shayeri ko chod de, aabaad rahega
Mein unko sunata hun yeh apna falsafa
ASIM bhale barbaad ho, aazaad rahega! Asim 

******************************************


Dil jin se muta'sir hai, hain fahmidah yeh arbaab
Kuch log zamaane mein taskeen ke hain asbaab! Asim

muta'sir - influenced, impressed, fahmidah - wise, intelligent, arbaab - lords, taskeen - peace, soothing, asbaab - reasons...

*******************************************


Na kar tareef, meri qadar na kar, teri marzi
Mere alfaaz, teri daad ke mohtaaj naheen! Asim

*******************************************


Samandar tere wujood ko lalkaarta hun mein
Zara gehraiyon ko mere dil mein utarke dekh! Asim

*******************************************


Bahut hogayi dosti mehmaan nawaazi
Jo jaisa hai waisa hi humein paayega 
Maidaane jung bana li hum ne duniya
Ab jo aayega sar tan se juda jaayega! ASIM

(Enough of friendliness and hospitality... 
Now they will find me same as they are... 
I have turned my world into a battlefield... 
Whoever will come now would go beheaded! ASIM)

********************************************


Koi poochey zara hum se qayamat kisko kehte hain
Teri aankhein, tere dimple, teri bindya ko kehte hain! Asim

********************************************

Abr barsa jo aankh se ab ke
Teri kashti ko duba sakta hai! Asim
Abr - cloud

********************************************


Mumbai mein tere naam ko zinda rakhenge hum
Beetegi har ek shaam akeley yahan, wahan..! Asim

*******************************************

Husn, danish, tamam yakja hain
Bulandiyon ko gharoor kyun na ho! Asim 
(Husn - beauty, Danish - Intelligent, yakja - together, gharoor - pride) Syed Salman :)

*******************************************


Khudaya ishq de toh mukammal de
Tishna lab na rakh tu jaam dikhla ke! Asim

******************************************


Dard bahut hai, ashq hain jaari, kisko sunayein apni kahani
Dil mein prem ki jyot jala ke panchi ghar ko laut raha hai! Asim

*******************************************


Koi saahir pari ke roop mein hai
Hua hai qaid dil, aankhon ke pinjre mein! Asim

*******************************************


Aye dil Zara aahista dhadak yeh dard nivaran honey de
Sang tere piya bhi beithi hai phir darta kyun hai aye paapi! Asim

*******************************************


Sarfaroshi padi bahut bhaari
Hum ne maqtal ko meykada samjha 
Usko leni thi jaan yeh Asim
Hum ne qaatil ko dilruba samjha! Asim

********************************************


Hai siyasat ek girgit jaanta tha mein
Thook kar chaat liya na SHINDE ne
Bewajah latka diya musalmaan Afzal ko
Aur kya gunah Kia tha bande ne! Asim

********************************************


Banda yeh ek baar phir talabgaar hai
Aap ki duaon per sab inhisaar hai
Muntazir dawa ke hain, talibe deedaar
Hogaye hum bemaar, tez bukhaar hai! Asim

********************************************


Kisi ke khauf se sajda nahin karta yahan momin
Mohabbat ba-wazoo hokar ibadat roz karti hai! Asim

********************************************


Nahin milti woh rozana usse hain kaam aalam ke
Magar woh phone pe meri ayadat roz karti hai! Asim

********************************************


Karey khamosh hai koi magar madhosh hai koi
Nuzoole ishq hoti hai, hama-tan gosh hai koi! Asim

********************************************


Mit jaoge chattaan se takraoge gar tum
Jo zarrah ho, toh awqaat na bhoolo apni! Asim

********************************************


Musibaton ko madu karun khud hi
Tujhse ehtiyaat parhezgari kahun
Itni himmat kahan hai ASIM mein
Mein to khudse hi raazdari karun! Asim

********************************************


Ek maahru ne hum ko diya itna pyaar hai 
Maloom kuch nahin kya lail-o-nahaar hai
Saare takhaiyulaat ki bas woh madaar hai 
Aisa khumaar hum pe ASIM sawaar hai! Asim

********************************************


Zindagi lagi hum ko ishq tere qadmon mein
Ishq kar ke dekha toh zindagi ko rote hain! Asim

*******************************************


Dum bakhud hun khayaal se apne
Ru-ba-ru hun zawaal se apne
Kitni muddat rahunga tishna lub 
Kaise niptun sawaal se apne..! Asim

********************************************


Ghaltiyan beshumaar karte ho
Khud hi aankhon se waar karte ho 
Hum se umeed masoom rehne ki
Uspe turrah ke pyaar karte ho! Asim

*******************************************


Mohabbat ka akhuvat ka junoon ka harf kehlayein
Humein yeh sharf haasil hai ke aala zarf kehlayein! Asim

********************************************


Maana ke aarzoo pe shikastah sawaar hai
Dil ki nazar se dekh khiza.n bhi bahaar hai! Asim

********************************************


Jun hi khada hua, aatish qareeb mein
Tera khayaal de gaya patanga uchal ke ik! Asim

********************************************

Mubarak jab qadam apna samajhta hun mein jannat mein
Kahin nakaamiyaan aa kar mujhe yun choom leti hain
Yeh hai aashiq, yeh hai shayar, yeh ASIM Khan hai koi
Woh barbaadi yun aa kar sab mere sung jhoom leti hain! Asim

*******************************************

Tasveer-e-yaar dekh kar betaab ho utha
Laata kahan se taab mein aaftaab ki! Asim

*******************************************

Woh hain maghroor daulat pe humein hain ishq ghurbat se
Kahein kya ab ke jaaneman yeh muflis dil ke raja hain! Asim

*******************************************

Shaubadon ki hukumrani hai
Dil siyaasi baazaar lagta hai! Asim

*******************************************

Tum ne kabhi khuloos se pukara hi nahin tha
Tareekiyon ka warna guzara hi nahin tha
Bekhwaab thin jo aankhein so cheen li usne
Tum ne kabhi khwaab sanwara hi nahin tha..! Asim

******************************************
Tum ko faqat hai kaam zamaane se kaam se
Yaan saans le rahe hain mohabbat ke naam se! Asim

*******************************************

Pankh katar do, jaal bicha do, ambar phir bhi hamara hai
Muththi mein tum kitna bhincho, kaunsa jugnu haara hai! Asim

******************************************

Hain adab se na-balad jo woh jaanein kya qarina
Jo ishq mein hain rindi woh falak pe aafreen hain! ASIM

(Who are unaware of manners, can't understand the etiquette. 
Those dissolute in love are praised in the skies! ASIM)

******************************************

Mein ghareeb hun shayad ke haar hi jaon
Hai ishq dekhta bas imaarat ameer ki! Asim

******************************************

Hum mein kuch baat toh hai haar mili jo itni
Hosley tootey bahut, koshishein karte rahey! Asim

There must be something in me, why i incurred losses
Ambitions were killed many a times but i kept trying! Asim

******************************************

Baat bolein labon se ab kya hum
Saaz aankhon se tu ne ched dia
Rang neeley ne perhan ke tere
Tamam aalam ko yun udhed dia! Asim

******************************************

Khwamkhan yun taz bazab mein rehte hain
Ajeeb log hain chehrey badalte rehte hain! Asim

******************************************

Aankhein hain ya neel samandar
Kitna jhaanku inke andar
Dekh rahi woh ek tuk yunhi
Ban baitha mein yunhi bandar! Asim

*****************************************

Aisa lagta hai koi yaar nahin
Ab toh saaye pe aitbaar nahin
Koi keh de, ke jaan de denge 
Hum kahenge, ke mere yaar nahin! Asim

*****************************************

Jab na boojhi koi paheli
Tum ko jaana sakhi saheli
Tum Asim ki geet haveli
Phir kyun duniya hui akeli..! Asim

****************************************

Hum se na pooch iss andaz mein rakkha kya hai
Ek kohsaar hai aatish fishaan hai iss mein! Asim

Kohsaar - range of mountains, aaatish fishan - volcano

****************************************

Koi nahi jo saath de mushkil ghadi mein aaj
ASIM khudi hain jeetne dushwaar marhaley! Asim

****************************************

Kaun haara hai zamaane Teri gardish se
Waqt ke tilsm se meri parwaaz na dekh! Asim

***************************************

Samandar tere wujood ko lalkaarta hun mein
Zara gehraiyon ko mere dil mein utarke dekh! Asim

***************************************

Tere jaate hi khizaon ne kia ik hamla
Tu aagayi hai, bahaarein bhi aajyengi..! Asim

**************************************

Waqt badla ke zeest se raunaq hi gayi 
Mere ehbaab bhool gaye sab mujh ko! Asim

**************************************

Ajab berabt si uljhan kabhi aati hai, jaati hai
Tumhari yaad takrakar diwaare dil hilati hai! Asim

*************************************

Mera mehboob kisi aur ke saath
Kaash hoti yeh baat kisi aur ke saath! Asim 

*************************************

Dil ki basti mein phaila aisa inteshaar hai
Har zarreh se aah nikalti aisa khulfishaar hai! Asim

************************************

Woh samajhtey hain zamaaney pe hai unka mansab 
Woh nahin jaante hum se hai charakh mein gardish! Asim

*************************************

Apna alfaaz pe naadim hun ba khayale mehshar
Tu bhi nadaan hai samajhti hi nahin baat meri
Tujh ko naraaz karna mera maqsad toh na tha
Aur bolun tujh se ooncha itni toh nahi auqaat meri! Asim

*************************************

It seems, The new Facebook settings have murdered some of my couplets, as am unable to find them... :(

Friday, March 22, 2013

Dil ik awarah gard hai, koi na kaam hai..!


Dil ik awarah gard hai, koi na kaam hai
Bhatkaya jis ne raah se woh Tera naam hai
Saari masarraton pe hai pad gaya zawaal
Bas anjuman hamari gham ka muqaam hai...
Dil ik awarah gard hai, koi na kaam hai
Bhatkaya jis ne raah se woh Tera naam hai
Dil ik awarah gard hai, koi na kaam hai..!

Kyun yeh saher uthi hai baade naseem keh de
Kya shab ko ho gaya hai saqib azeem keh de
Hijran mein hum padey kyun muflis ke bhes mein
Kya hum ko ho gaya hai rabbe Kareem keh de
Koi nahin yahan pe dil ki dawa jo dede
Bigda huwa hamara saara nizaam hai...
Dil ik awarah gard hai, koi na kaam hai
Bhatkaya jis ne raah se woh Tera naam hai
Dil ik awarah gard hai, koi na kaam hai..!

- Khan M. Asim... 22/03/2013... 10:08 PM..!

Monday, March 18, 2013

Mere Sarkar..!

Tum hi ho apne Sarkar
Hum hain hukum ke taabedaar
Hum karte hain tum se pyaar
Oh Sarkar, mere Sarkar..!

Bante kyun anjaan ho tum
Jaana'n meri jaan ho tum
Tum ko hi dil dhoonde yeh
Saanson ka armaan ho tum
Hai hijir mohabbat ka dushman
Kar do tum yalghaar
Oh Sarkar, mere Sarkar..
Tum hi ho apne Sarkar
Hum hain hukum ke taabedaar
Oh Sarkar, mere Sarkar..!

Sachchai ki jeet bano tum
Achchai ki reet bano tum
Sooni sooni iss mehfil mein
Haan jeevan sangeet bano tum
Dil ki hifazat karne waale
Ishq ke pehredaar
Oh Sarkar, mere Sarkar..
Tum hi ho apne Sarkar
Hum hain hukum ke taabedaar
Oh Sarkar, mere Sarkar..!

Dekh liya saara sansaar
Milta nahin tum sa khuddaar
Hum karte hain rashk bahut
Hum ko mila hai tum sa yaar
Har mushkil mein raah dikhaye
Tum hi ho sachche sardaar
Oh Sarkar, mere Sarkar..
Tum hi ho apne Sarkar
Hum hain hukum ke taabedaar
Hum karte hain tum se pyaar
Oh Sarkar, mere Sarkar..!

- Khan M. Asim... 17/03/2013... 12:50 PM + 18/03/2013... 01:15 PM..!

Dil mera doob gaya saher hone mein..!


Dil mera doob gaya saher hone mein
Waqt lagta hai dawaon ka asar hone mein

Tere jaate hi udaasi ne Kia hai hamla
Dasht lut'ta hai koi shaher hone mein

Zakhme maazi se haal pareshaan nikla
Koi lashkar hai yahan zer zabar hone mein

Muddai aur bhi hain baat alag hai apni
Lutf apna hai bekhauf, khatar hone mein

Raah takna aur Teri toh mein rehna
Yunhi din guzrey tujhse nazar hone mein

Takiye pe sar hai kahin dil mein toofaan hai ik
Jaan niklegi yahan tujhko khabar hone mein

Kehne ko kuch bhi nahin ajnabi hi tu sahi
Zindagi ek hai ASIM magar hone mein..!

- Khan M. Asim... 17/03/2013... 09:21 AM..!

Friday, March 15, 2013

Woh kehte hain ke khush raho tum..!


Woh kehte hain ke khush raho tum
Khush nahin ho toh khush kaho tum
Humein nahin raas tumhari hijrat
Humein toh jalwe se khush karo tum
Woh kehte hain ke khush raho tum
Khush nahin ho toh khush kaho tum..!


Hamarey dil pe giraa ke bijli
Tumhari jurrat ke keh rahi ho
Yeh chand lamhe guzar lo tum
Yun na beitho khush raho tum
Woh kehte hain ke khush raho tum
Khush nahin ho toh khush kaho tum..!


Tum hi batao yeh munsifee hai
Miley jo hum ko wafa mein aansu
Hamari khushiyon ko aag dekar
Jo keh rahe ho ke khush raho tum
Woh kehte hain ke khush raho tum
Khush nahin ho toh khush kaho tum..!

- Khan M. Asim... 15/03/2013... 02:30 PM..!



Wednesday, March 13, 2013

Hogaya ishq ka ek hum se sahoo..!

Hogaya ishq ka ek hum se sahoo
Munjamid hogaya yun hamara lahoo
Muntashir hum huwe mushtail aasmaan
Ik qayamat hui hum se yun ru ba roo
Hogaya ishq ka ek hum se sahoo..!

Kaun milta yahan ek naakaam ko
Poochta kaun hai ab yahan naam ko
Kitna arsa huwa tere deedaar ko
Dhundta hun tujhe seh-paher shaam ko
Aise aashiq tera pahuncha anjaam ko
Rang sab udd gaye badh gayi justujoo
Hogaya ishq ka ek hum se sahoo..! 

Yun tadapta hai mann haan tarasta hai mann
Ek gul ko yahan dhoonde saara chaman
Tere bin zindagi maut se kum nahin
Saansein thum hain gayin jism bhi hai dafan
Gum hai duniya hui sooni hai anjuman
Yaad aati hain bas woh teri guftugoo
Hogaya ishq ka ek hum se sahoo..!

Tukde tukde hui gar che har aas hai
Phir bhi ehsaas hai tu kahin paas hai
Tu sitaron mein hai, Tu nazaron mein hai
Tu hi gul o samar aur tu hi maas hai
Tere deedaar ki haan faqat pyaas hai
Jitna sochun tujhe badh rahi aarzoo
Hogaya ishq ka ek hum se sahoo..!

- Khan M. Asim... 13/03/2013.. 07:56 PM.. Millennium Park, Nerul..!  

Sunday, March 10, 2013

Hamari jaa'n nikal aayi tumhein jaatey jo dekha tha..!

Mila qismat se woh dhoka jisey hum ne na socha tha
Hamari jaa'n nikal aayi tumhein jaatey jo dekha tha

Masihayi nadarad hai, na hai aalam mein humdardi
Kahin ja kar Khizar koi bahut khamoush beitha tha


Mila qismat se woh dhoka jisey hum ne na socha tha
Hamari jaa'n nikal aayi tumhein jaatey jo dekha tha..!

Kaha tum se kabhi koi woh jumla bewafa nikla
Basa aake jo khwaabon mein woh taara toot'ta nikla

Ghazab hai aye khuda teri yeh kaisi munsifi thehri
Jisey dil se lagaya tha woh saathi roonth'ta nikla

Tumhein kitni sadayein din faqat nakaam hum thehre
Hamari aankh bhar aayin tumhein kitna haan roka tha

Mila qismat se woh dhoka jisey hum ne na socha tha
Hamari jaa'n nikal aayi tumhein jaatey jo dekha tha..!

Malamat kar nahin sakte ke sab hai khel Yazdaan ka
Mere haathon mein kya taqat mein hun insaan adna sa

Tasauvvur aur takhaiyul par pada kaisa yeh parda hai
Ke junbish ho nahin sakti zahen af'aal kho beitha

Tumhari yaad hi dilbar hai tanhayi ki saathi bas
Humein jo door kar beitha hawa ka ek jhonka tha
Mila qismat se woh dhoka jisey hum ne na socha tha
Hamari jaa'n nikal aayi tumhein jaatey jo dekha tha..!

- Khan M. Asim... 10/03/2013... 07:55 PM... Millenium Park, Nerul..!

Friday, March 01, 2013

Jisko jaana hai ja sakta hai..!


Kaun kisko ruka sakta hai
Jisko jaana hai ja sakta hai

Kaun marta hai hijr mein tere 
Vasal ko bhi bhula sakta hai

Ishq fitna hai aur dil tinka
Tanha toofaan utha sakta hai

Abr barsa jo aankh se ab ke
Teri kashti ko duba sakta hai

Tishnagi bhi rahegi muddat tak
Kaun aankhon se pila sakta hai

Tu bhi tarsegi saath ko uske
Jo rang chahat ka laga sakta hai 

Itna ASIM ko tu kamzor na jaan
Dard dil mein bhi daba sakta hai..!

- Khan M. Asim... 01/03/2013... 11:52 AM!