Sunday, March 10, 2013

Hamari jaa'n nikal aayi tumhein jaatey jo dekha tha..!

Mila qismat se woh dhoka jisey hum ne na socha tha
Hamari jaa'n nikal aayi tumhein jaatey jo dekha tha

Masihayi nadarad hai, na hai aalam mein humdardi
Kahin ja kar Khizar koi bahut khamoush beitha tha


Mila qismat se woh dhoka jisey hum ne na socha tha
Hamari jaa'n nikal aayi tumhein jaatey jo dekha tha..!

Kaha tum se kabhi koi woh jumla bewafa nikla
Basa aake jo khwaabon mein woh taara toot'ta nikla

Ghazab hai aye khuda teri yeh kaisi munsifi thehri
Jisey dil se lagaya tha woh saathi roonth'ta nikla

Tumhein kitni sadayein din faqat nakaam hum thehre
Hamari aankh bhar aayin tumhein kitna haan roka tha

Mila qismat se woh dhoka jisey hum ne na socha tha
Hamari jaa'n nikal aayi tumhein jaatey jo dekha tha..!

Malamat kar nahin sakte ke sab hai khel Yazdaan ka
Mere haathon mein kya taqat mein hun insaan adna sa

Tasauvvur aur takhaiyul par pada kaisa yeh parda hai
Ke junbish ho nahin sakti zahen af'aal kho beitha

Tumhari yaad hi dilbar hai tanhayi ki saathi bas
Humein jo door kar beitha hawa ka ek jhonka tha
Mila qismat se woh dhoka jisey hum ne na socha tha
Hamari jaa'n nikal aayi tumhein jaatey jo dekha tha..!

- Khan M. Asim... 10/03/2013... 07:55 PM... Millenium Park, Nerul..!

No comments: