Wednesday, July 22, 2009

Majbooriyan!


Rozo shab ka hisaab hai goya

Ab toh jeena azaab hai goya

Majburiyan naam hai mohabbat ka

Kaun ho tum? khitaab hai goya

Kaam saare bigad gaye apne

Dil bhi khana kharaab hai goya

Roonthkar na mana saka usko

Uska milna bhi khwaab hai goya

Yun chupaya hai chaand ne sooraj

Falak pe kuch utaab hai goya

Jitna behte hain mein bahekta hun

Aansuon mein sharaab hai goya

Yeh dard yeh tanhaiyan Asim

Zindagi ka jawaab hai goya

- Khan m. Asim...1:10PM...22/07/2009...Wat can u expect from a broken heart!

Tuesday, July 21, 2009

Manzil


Yeh siyah lamha hai

Khudko kamzor mehsoos karta hun,

Aasmaan baras raha hai

Aur piyasi zameen naha rahi hai,

Zahen majhool sa hai,

Khayalaat hain ke ghubbaar,

Har zarre mein maut ki aahat

Phool hai ke khushbudaar

Mausam hai ke khud-mukhtaar

Aur ek hum hain,

Apahaj!

Na koi aazaadi na koi qaid!

Taang hain magar chal nahin sakte

Hont hain magar bol nahin sakte,

Chahte hain magar pa nahin sakte...

Saanson mein bejod khinchao,

Aankhon mein nakaam umeedien,

Har sun dukhaan,

Siyah safed sab ek hai

Tum ho meelon door

Aur mein khud mein khoya,

Koi tumse juda hai

Aur koi juda karna chahta hai,

Rasam o rivaj ki aari chalne waali hai

Aur yeh dil bargad ki tarah dheh jaayega

Mein nahin jaanta, kya keh raha hun

Bas itna jaanta hun,

Yeh itna aasaan nahin

Iske samjho mere humsafar

Hum sath saath hain,

Magar

Manzil abhi door hai!

- Khan M. Asim...21/07/2009...3:24 PM..Home

Tuesday, July 14, 2009

Saturday, July 04, 2009

Life

Hun, so shall i write something? no, i dont want! watching 10kaDum now, Salman presenting Dharmendra and Sunny Deol... ohh yaar, sometime feels lonely and sometimes am on top of the world. Thinking and hoping for best.

Arre yaar, i will write later, now am not in mood, take care!