Tuesday, October 30, 2012

Unhi mein shumaar tum bhi ho..!

Ghaltiyan beshumaar ki hum ne
Unhi mein shumaar tum bhi ho!

Yeh mana ke khwaab hum ne buna

Kuch khatakaar tum bhi ho!

Khud se bachne ki toh mein rehna

Kahin pe faraar tum bhi ho!

Khud ko dekha nigah mein marte

Haan hamara mazaar tum bhi ho! 

Hum na bolein toh chedti tum ho

Aadaton ki shikaar tum bhi ho! 

Kis pe khologi raaz yeh dil ke

Der shab ki pukaar tum bhi ho! 

Un pe ASIM khumaar hai tum se

Bekasoun ka qaraar tum bhi ho!

- Khan M. Asim... 30/10/2012... 05:10 PM!

Monday, October 29, 2012

Munfarid Asha'r..!


Koi kaam ho toh bata zara
Warna kar de zahid bayan band! Asim

***************************


Saare mausam pheeke hain tehwaron mein noor nahin

Kehne ko sab kuch hai lekin phir bhi hum masroor nahin! Asim

***************************


Zindagi se hairaan hun doosra janam dedo

Mut karo Mohabbat par thoda pyaar kum dedo! Asim

***************************


Mein jab bhi aainey se baat karta hun

Mera hi aks puche hai tera mujhse kya rishta hai! Asim

***************************


Apna mizaj shaher ke qaabil nahin raha

Mehnat ka tukda tukda haasil nahin raha
Muddat se koshishein ki Asim magar hua kya
Karne chale the ishq lekin dil nahin raha! Asim

****************************


Yeh gesuon ke hazaar jharne

Kisi ki ulfat ki daastaan hain! Asim

****************************


Raat ko nind nahin, din ko chain nahin 

Agar yeh cheez mohabbat hai tumhe Mubarak ho! Asim

****************************


Hua hum pe ulfat mein itna karam 

Na padhayi hui, na soye hi hum! Asim... 
Totally inspired from Na khuda hi mila na visale sanam... :)

****************************


Tamasha aap hi pazeib se mansub hota hai

Gar zoq khud parasti pe aake raqs kare! Asim

****************************


Samandar haath mein lekar muskurate hain

Hum unko dekhte hain, doob jaate hain! Asim

****************************


Dil doobta hai aur nahin tinke ka humko aasra

Masnui duniya hai yeh, masnui ehbaab hain! Asim

The heart is drowning, I have nothing to bank upon

Its artificial world, artificial friends..! Asim

****************************


Baat toh hai yeh sahi tumse khafa hain thode

Muskura denge, aakar ke mana lo hum ko! Asim

*****************************


Theek kaha haar gaye, aur bacha kya hum mein

Meri nawa, meri sada kitni pareshan hogi
Khoob sataya hai aur sata ley mujh ko
Zindagi ik roz tu bhi toh pasheman hogi! Asim

******************************


Dekho meri bas ik mehbooba hai

Naam uss ka haan Arpita Hai
Jab se hai dekha uss mehjabeen ko
Dil yeh mera bas uss pe fida hai! Asim

******************************


Masoom nigahon mein kuch khwaab muqayyad hain

Kuch tum se hain wabasta, kuch apna fasana hai! Asim

******************************


Inn saade waraqon mein tafseel bhi afshan hai

Kuch raaz bhi pinhan hain kuch haal bhi uryan hai! Asim

******************************


Dil yeh banjar, ujaad, sookha hai

Abar hum se Zara khafa se hain! Asim

******************************


Daridah mein, darindah sift tha woh

Zamane ki mukammal khisht tha woh
Woh khwabon ko bhi aksar nochta tha
Haan Asim bas nakame zeest tha woh! Asim

******************************


Ab koi mausam suhana nahin lagta

Ishq bhi humko diwana nahin lagta! Asim

******************************


Neem khwabidah nigah tere ruskhsaar ka aangan

Chaman kahun ya gulon ko tera aseer kahun! Asim

******************************


Itni bhi usse tameez nahin

Jise pyaar Kia usse yaad kare! Asim

******************************


Tum ko yaqeen na hoga, humein aitbaar

Phir bhi yahi kahenge humein tum se pyaar hai! Asim

******************************


Mein kehta tha sooraj hun lekin dekho doob gaya

Chanda apni zaat nahin, aur koi awqaat nahin! Asim

*******************************


Ghulamon ko yeh aazaadi na pehle Thi na ab hogi

Faqat tumko yeh haq hai bas Jo bologe woh sun lenge! Asim

*******************************


Mein bhi suraj hun roshni dunga

Tawaaf tum bhi aake karo mera! Asim

*******************************


Khud se juda hone laga hun

Mein bewafa hone laga hun! Asim

*******************************


Duniya sooni viraan hai iss bin

Iss zamaane ki jaan hai Justin
Iss zamaane ka naam hai Theodore 
Baadshaahi ki shaan hai Justin! Asim

*******************************


Kitna manoos hun tujhse kya bataon tujhko

Yeh teri hayaat faani, mera ishq javedaani! ASIM

*******************************


Koi haar jaaye na jeevan ki baazi

Bahut muskura ke na dekho aaina! Asim

*******************************


Chale jao, ke ab nahin laut ke aana

Mera aitbaar khatm mera intezaar khatam ! Asim

*******************************


Kuch na kehna koi ilaaj nahin

Aur Jo keh dun to aag lag jaaye! Asim

*******************************


Apni misaal aap hun apne Jamaal ki

Iss daure bezarar mein hun hasti kamaal ki! Asim

*******************************


Koi dil wala kya baat karega

Aapka husn hi har baat kahega! Asim

*******************************


Kabhi guftaar ghalib se kabhi irshad hum se hai

Khudaya karm kar kuch toh woh qaatil shaira bhi hai! Asim

*******************************


Bachche bade hojayein to ghar ko chod dete hain

Mohabbat badi hojaye to duniya chod dete hain..! Asim

********************************


Nigah kaisi Jo doobi ho kisi ki shaam o saahil mein

waqt hi patwaar hai faqt ishq gazidon ki! Asim

********************************


Tod diye hain sooraj meine jab bhi dekha ghoor ke unko 

Taab kahan se laate woh bhi in purnoor khayalon ki! Asim

********************************


Aasmaan pe asar la rahi hain dua

Barasta hua megh hai keh raha
Dekho ramzaan ki rahmaton ka nuzool
Pyaasi dharti ko Rabb aab hai de raha! Asim

*********************************


Kisey fursat hai Asim hum se baat karne ki

Sabhi ke kaam chalte hain karobaar waale hain! Asim

*********************************


Itne roshan hain khwab ke manzar mere

Mustaqil taak mein phirta hai sooraj meri! Asim

*********************************


Khudaya kya ghazab hai woh yun tadpaye jaata hai 

Kabhi aankhein dikhata hai kabhi sharmaye jaata hai! Asim

**********************************


Kaha rozey se meine... zara sa sabr kar

Abhi mehboob aaya hai zara deedar karne de! Asim

**********************************


Itni soorat banayi hain us ne

Salam ko woh teer kehta hai! Asim

***********************************


Mustaqil khwaab hai koi

Zindagi kahan gayi hai tu? Asim

***********************************


Ilm-e-nujoom seekh kar ishq karna chahiye

Hain sitaare kehte kuch aur wafa kuch aur hai! Asim

***********************************


Ishq badhta raha paher ke saath..!

Ek shab aur mili bekhwaabi ki
Ishq badhta raha paher ke saath!
Aakhri hadd Thi, aakhri lamha
Naam uska liya zaher ke saath!
Kis ke saahil pe aa ke thehrega
Dariya ladta raha laher ke saath!
Kar gaya jugnu humein gumrah yeh
Haan khabar milti rahi safar ke saath!
Lafz kuch aise bane misra gaya
Qafiya toota mera baher ke saath!
Makhmali zulfon ke saaye dil gudaz
Aur wahi toote bahut qaher ke saath!
Raat ASIM chaand se shikwah kia
Aur dil rota raha saher ke saath!
- Khan M. Asim... 29/10/2012... 03:52 AM!

Sunday, October 28, 2012

Padauv..!

Na jaane kitne saaye hain
Jo kathne ko daudte hain
Raat ki siyah chadar
Bin sitaron ka, benoor aasmaan
Chand khauf se kahin chipa hai
Haath ko haath sujhai na de
Zindagi ka yeh padauv bada bhayanak hai
Naumidi apne uruj pe hai
Nakami ka silsila ravan hai
Umeed o aas timtima rahi hai
Dil apne iradon pe atal
Zahen ghutne tek chuka
Na ladne ki ichcha
Na jeet ki zid 
Sogwaar mahol
Bistar, qabar
Khamushi
Aur mein!
- Khan M. Asim 28/10/2012... 03:15 AM!

Wednesday, October 24, 2012

Lafz goonge hain aadmi ki tarah..!

Lafz goonge hain aadmi ki tarah
Baat karte hain kum naseebon ki!
Muddatein ho chukin Miley khud se
Baat sab yaad hain habeebon ki!
Dil mein khanjar sabhi ussi ke hain
Baat karta tha Jo raqeebon ki!
Lakh mannat duayein kar beithe
Kaun sunta hai par ghareebon ki!
Kaun padhta hai ghum ke afsaane
Duniya lutti rahi adeebon ki!
Roz ladte hain khud se hi Asim
Yun hi katti hai bad naseebon ki!
- Khan M. Asim... 24/10/2012... 10:10 PM!

Wednesday, October 17, 2012

Na door hum tum kabhi rahenge..!


Yeh shaam suhani
Gulabi mausam
Zulfon ka meikhana
Doobte doobte
Nigahon mein terte Jana
Kal na hoga toh kya hoga..?
Ik khauf se dil kaanp raha hai
Tumhari aamad range baharan
Tumhari baatein mausame baran
Zeest apne urooj pe hai
Chandni sa tumhara chehra
Dhanak sa satrangi andaaz
Kal na hoga toh kya hoga..?
Yeh waqt kaisa hai bemurravat
Yeh lamhe kaise hain berukhi ke
Sang ho tum go dhadkanon mein
Magar yeh kaisi ghadi hai aayi
Judai dar pe yun aa khadi hai
Ke waqte ulfat bikhar raha hai
Tumhare neinon ka sapna mein hun
Meri nawaon ki aarzoo tum
Yahi umeede saher hai dilbar
Juda bhi honge magar milenge
Na door humko khuda karega
Na door hum tum kabhi rahenge..!
- Khan M. Asim... 16/10/2012... 10:25 PM... Train!

Saturday, October 06, 2012

Dil se usko laga liya hum ne..!

Qad hamara badha liya hum ne
Dil se usko laga liya hum ne
Noor se char su munawwar hain
Chaand apna bana liya hum ne
Baat titli pe aake thehri hai
Gul toh kab ka chura liya hum ne
Chand sa'at ko ru ba ru hokar
Chain apna uda liya hum ne
Itna jaana ke apna qaatil hai
Haath usse Mila liya hum ne
Usko dekhein Zara tasalsul se
zulf ko yun hata liya hum ne
Saath chalne ki zid kare hai dil
Saath sab se chuda liya hum ne
Har tarike se usko pana hai
Half itna utha liya hum ne
Kho gaye hum wujood ko apne
Khud mein usko basa liya hum ne
Raqs karti hai woh khayalon mein
Dil mein usko saja liya hum ne
Naam likh karke yun kitabon mein
Dard ASIM jaga liya hum ne!
- Khan M. Asim... 06/09/2012... 10:50 PM..!

Shaam ka rang hi nirala tha..!

Shaam ka rang hi nirala tha
Haath usne mera sanbhala tha
Ishq aankhon se baat karta tha
Husn uska hua dobala tha
Zulf uski aur aasmaan badal
Baarishon ne padau dala tha
Badh gayi jab hudud se saansein
Aarzoo ko labon pe dhala tha
Taab nazron ki Thi badi mushkil
Baad maghrib huwa ujala tha
Doobta reh gaya saagar
Sang shiddat se jo uchala tha
Khamoshi Thi jawab fitnon ki
Raasta hum ne yun nikala tha
Shaam Asim jo saath tha uske
Aadmi woh bada jiyala tha!
Khan M. Asim... 06/09/2012... 03:11 AM!