Wednesday, October 17, 2012

Na door hum tum kabhi rahenge..!


Yeh shaam suhani
Gulabi mausam
Zulfon ka meikhana
Doobte doobte
Nigahon mein terte Jana
Kal na hoga toh kya hoga..?
Ik khauf se dil kaanp raha hai
Tumhari aamad range baharan
Tumhari baatein mausame baran
Zeest apne urooj pe hai
Chandni sa tumhara chehra
Dhanak sa satrangi andaaz
Kal na hoga toh kya hoga..?
Yeh waqt kaisa hai bemurravat
Yeh lamhe kaise hain berukhi ke
Sang ho tum go dhadkanon mein
Magar yeh kaisi ghadi hai aayi
Judai dar pe yun aa khadi hai
Ke waqte ulfat bikhar raha hai
Tumhare neinon ka sapna mein hun
Meri nawaon ki aarzoo tum
Yahi umeede saher hai dilbar
Juda bhi honge magar milenge
Na door humko khuda karega
Na door hum tum kabhi rahenge..!
- Khan M. Asim... 16/10/2012... 10:25 PM... Train!

No comments: