Tuesday, May 17, 2016

Mein khaana badosh

Mein khaana badosh karta hun talaash
Ik apna makaan ik apna jahaan
Mein khaana badosh..!
Taqdeer ne jo dhoka dia
Tha waqt hi woh bewafa
Khoya kahan hai Rasta
Dhundun faqat mein carvaan
Ik apna makaan ik apna jahaan
Mein khaana badosh karta hun talaash
Ik apna makaan ik apna jahaan
Mein khaana badosh..!
Hai zindagi apni dhuan
Meelon talak taareekiyaan
Mushkil hui awaargi
Khoya yahan naam o nishaan
Mein khaana badosh karta hun talaash
Ik apna makaan ik apna jahaan
Mein khaana badosh..!
- Khan M. Asim... 28/12/2015... 01:44 PM... Train..!

Kisi ko haq nahin

Nahin,
Kisi ko haq nahin
Ke uska dil today
Na mujhko,
Na tumko
Aur na khud usko!
Woh to hawa hai
Behti rehti hai
Zaafraani phoolon se guzar kar
Qiley ko mehka deti hai
Dil ko sukoon
Rooh ko qaraar deti hai
Uski awaaz
Ek mosiqi
Raahat, farhat
Dilkash qurbat
Uske iraade koh shikan
Afa'al dilnasheen
Magar aaj woh
Dil aazaar o dil figaar
Maghmoom o dilgeer
Bekhudi ka sila
Bebasi bewaja
Yeh nahin dillagi
Hai ehtiraam bhi
Shaah Mein hota agar
Karta ikraam bhi
Usko tolo na,
Chaandi o soney se hi
Woh bahel jaati hai
Ik khiloney se hi
Ishq ko hai usne Kia Zeb-tan
Aitbaar uska hai zevar hua
Uski har baat pe
Dil se nikley dua
Uski har ik adaa
Marhaba marhaba
Tumko gar woh Miley
Usse kehna zara
Yun na bazaar ho
Dilruba muskura
Tere dum se juda
Ik tufeili bhi Hai
Ishq bhi Hai tera
Aur saheli bhi hai
Uski duniya ko yun
Na tu veeraan kar
Abruon ko tu apni
Na hairaan kar
Tere dum se faqat
Dekh zindah hai woh
Kamzor, naatwaan
Ik parindah hai woh
Khol ghum ka qafas
Uspe ehsaan kar..!
- Khan M. Asim.. 27/12/2015... 03:51 AM..!

Khizaan raseedah..!

Kuch waqt ke liye baandh rakha tha
Magar ab yeh baandh toot raha hai
Sabar ka paimana labrez hai
Kuch jazbaat chalakne ko Hain
Kuch ehsaas pighalne ko Hain
Nason mein chubhte alfaaz
Yeh khinchao, yeh tanao
Koi aatish fishan ubalne wala hai
Zeest-e-la-makaan
Sanf-e-naazuk,
Vaadeh, muhabbat
Aur hazaar afsaane
Pur-asraar, na-maloom mustaqbil
Khauf ke saaye
Kisi kazdam se daste lamhe
Nakaami ke manazir,
Bekaari ke sawaal
Aur shikast khordah jawaab
Mann o tu ka shash o panj
Ek khila
La-mehdood safar
Na-umeedi o beem
Yaas, udaas,
Mausam-e-bahaar
Magar dil,
Khizaan raseedah..!
- Khan M. ASIM... 24/12/2015... 10:07 PM..!

Shabdon ka qahet

Kaghaz hai
Qalam hai
Roshnai hai
Magar
Alfaaz nahin!
Shabdon ka qahet hai goya
Shayeri pe guhan chaya hai
Tassauvurraat ke lashkar
Dher hogaye
Khayalaat ke ujaale
Andher hogaye
Na jaane kiski nazar lagi
Ghazlon ki zarkhez zameen
Na-ped o banjar hogayi
Mujhe yaqeen hai
Yeh baanjh nahin
Abhi ek chashma phootega
Lafzon ka, behron ka
Roshan kar dega khayalon ko
Tassauvur ke dareechon ko
Seraab o shadaab kar dega
Sateh-e-qirtaas ko
Abhi ek Kali khilegi
Phir ek ghazal,
Shagufta hogi..!
- Khan M. Asim... 21/12/2015... 03:01 AM..!

Kyun log itne ajeeb hain..!

Zindagi ne diye Hain jo
Yeh log kitne ajeeb hain
Jo rafeeq Hain
Woh raqeeb Hain
Kyun log itne ajeeb hain..! Asim

Kis cheez pe hai Teri nazar dekh rahe Hain

Kis cheez pe hai Teri nazar dekh rahe Hain
Naaseh teri naseehat asar dekh rahe Hain
Waqif Hain Teri zaat se humdard-e-zamana
Hum jaante Hain tujhko magar dekh rahe Hain!
- Khan M. Asim... 03/12/2015... 03:15 AM..!

Muhabbat ke daave hawa ho gaye

Muhabbat ke daave hawa ho gaye
Humin doston bewafa ho gaye

Sitamgar usi ko kaha baar-ha
Khud hi ishq ki par qaza ho gaye

Nigahon ki baatein adaon ke qissey
Sunaate sunaate fana ho gaye

Ulfat ke naghmey khushi ke taraane
Kahin baazgashtey saba ho gaye

Khilwat mein rona nigaahein churana
Ke aansun hi apni dawa ho gaye

Yeh matlab ki duniya farebi yeh duniya
Behroopiyey sab khuda ho gaye

Bazm-e-Muhabbat ke woh chaand taare
ASIM sabhi se khafa ho gaye..!

- Khan M. Asim... 23/11/2015... 01:15 PM..!

Hum se ummeed wafadaari karein

Hum se ummeed wafadaari karein
Woh dhadalle se ghaddaari karein
Bhool jayein ke woh na the apney
Kab talak Asim aah o zaari karein! Asim

Allah ki takbeer hai dil

Wehshat dehshat bas phaili hai bin tere takseer hai dil
Khana jungi har su tashaddud maqbuza kashmeer hai dil
Koi nahin par isse pukhta iflaaki zanjeer hai dil
Khoo'n ka munawwar qatra qatra Allah ki takbeer hai dil! Asim
Wehshat - horror, dehshat - terror, takseer - divided into pieces
Khana jungi - civil war, tashaddud - to opress, maqbuza - occupied, kashmeer - Kashmir, pukhta - strong, iflaaki - divine, zanjeer - chain, munawwar - enlightened, qatra - drop, takbeer - Greatness (of God)

Neend ki talaash mein

Neend ki talaash mein
Chalte chalte
Subah ke dar pe dastak hai..
Magar na jaane kahan gum hai
Zahen pe hathodey baras rahe hain
Aur dil
Kaanp raha hai
Judai ke sholay jhulsa rahe hain
Nakaami ke teer
Chalni kar rahe hain
Zindagi ka Yeh bhayanak padao
Khaufzadah kar raha hai
Yeh kaisi manjhdhaar hai
Yeh kaisa daldal hai
Mein doob raha hun
Mein doob raha hun
Doob raha hun..!
- Khan M. Asim.. 10/11/2015.. 02:55 AM..!

Pyaasi pyaasi hai zamin

Pyaasi pyaasi hai zamin
Sookha sookha aasmaan
Rookhi sookhi chaandni
Na humdum na maherbaan!
Tooti phooti dhadkanein
Lamha lamha adchalein
Roonthe roonthe raaste
Thak kar kaise ghar chalein
Soona soona hai jahaan
Na humdum na maherbaan!
Pat pat karte jugnu hain
Tap tap karte abru hain
Far far karti hai hawa
Doobe doobe majnu hain
Koi nahin apna yahaan
Na humdum na maherbaan..!
- Khan M. Asim... Began: 10/03/2015... 07:15 PM.. Finished: 09/11/2015... 01:36 AM..!

Sirf Mera dosh hai aisa bhi nahin hai

Sirf Mera dosh hai aisa bhi nahin hai
Aur tu nirdosh hai aisa bhi nahin hai
Ek mein mad-hosh hun aisa bhi nahin hai
Aur tu behosh hai aisa bhi nahin hai..!
- Khan M. Asim... 06/11/2015... 02:54 PM..!

Yaad aati hai..!

Shaher mein hon toh
Chaar chaar din nahin milte
Magar,
Uske hone ka ehsaas rehta hai
Yaad itni pareshaan nahin karti
Doosre shaher mein bhi
Woh meri hi hai
Par uske jaate hi
Yaad aati hai..!
- Khan M. Asim... 05/11/2015... 12:31 PM.. Missing..!

Kisi kazdam se kaathte lamhe

Kisi kazdam se kaathte lamhe
Khilwat ko jhinjhod rahe hain
Peshaani pe silvatein hain
Dil-e-ranjoor hai choor choor
Haqeeqaton ke bad-shakal saaye
Khwaab mein taaqqub kar rahe hain
Imaandaari ki safed chaadar
Kafan si tashkeel ho rahi hai
Wahi purana khayal-e-mub-ham
Wahi aseeri banaame ishqam
Zamaane bhar ki sitam zareefi
Wahi hamari hai bad-gumaani
Wahi salamat hai tang dasti
Saans ab toh ukhad rahi hai
Mehvar zeest ka hil raha hai
Aas paas yahin gird o noh mein
Ajal paron ko tolti hai
Jald apna safar bhi hoga
Dard apna khatam bhi hoga..!
- Khan M. Asim... 05/11/2015... 01:43 AM!
Kazdam - scorpion, khilwat - loneliness, peshaani - forehead, silvat - wrinkle, ranjoor - ill, taqqub - to follow, kafan - shroud, tashkeel - taking face, aseeri - captivity, mub-ham - doubtful, mehvar - axis, Gird o noh - ambiance, zeest - life, Ajal - death

Sangeen saza..!

Na jaane kya kya
Zahen mein irta'ash karta hai
Magar alfaaz
Mun'akas karne se ma'azoor
Dil, zaleel o khwaar
Faqat mehsoos karta hai
Zabt ki inteha hone ko hai
Magar zarf hai
Ke sab gawara kar raha hai
Aksar jinke jawaab aate the
Woh log,
Ab sawaal ban chuke hain
Izhaare khayaal
Kar bhi dein, toh kya?
Justuju jaari hai
Iss azdahey se ladne ki
Magar istafhaam qayam hai
Zeest-e-la-makaan
Teri manzil hai kahan
Sabhi kirdaar, murdaar
Qudrat, sharamsaar
Tamaam kaarigari naaqis
Imaandaari, be-maani
Be-imaani, kaamraani
Bekhudi, bewajah
Ishq, nadaani
Tanhai, deewarein aur utaaq
Jurm e hayaat ki
Sangeen saza..!
- Khan M. Asim... 28/10/2015... 01:25 AM..!

Woh ool fool bakne lage hain

Woh ool fool bakne lage hain
Puraane zakhm pakne lage hain
Bigadna unka sare raah chalte chalte
Musafir thaher ke takne lage hain
Mulaqaatein hain unse Kai baras ki
Magar woh ghair se lagne lage hain
Yaadon ka khandar ik aur mein hun
Yeh lamhe kyun thamne lage hain
Sanbhalna chonkna aahat Hui toh
Saaye se hi hum darne lage hain
Karein kaise khuda ka shukriya
Kum az kum yaad woh karne lage hain
Nawazish Yeh bhi Asim kum na samjho
Tumhare saath woh chalne lage hain!
- Khan M. Asim 24/10/2015... 12:16 AM..!

Mitt chuke hain dil ke jitne daag rahe hain!

Kaajal se sharma kar baadal bhaag rahe hain
Armaano ke sholay phir se jaag rahe hain
Baahon mein teri aakar nirvaan mila
Mitt chuke hain dil ke jitne daag rahe hain! Asim


Tariq bin Ziyad

Ghodon ki maghroor taapon se
Samandar ka seena chalni hota raha
Magar woh khush tha
Khidmat mein
Apne rabb ki makhlooq ki
Woh jaanta tha
Yeh lashkar koi aam lashkar nahin
Unke ghungraale baalon waale
Barbar saalaar ki nigaahein..
Samandar se bhi gehri theen
Jinhein dekh kar
Samandar bhi makhmoor hua
Woh goya koi uqaab tha
Doorandesh, nidar, jaanbaaz
Woh jis ne apne rabb ki khushnoodi ke liye
Tegh o sipar uthayi thi
Usko na thi
Takht o taaj ki chahat
Belous khaadim
Taweel safar ke baad
Yeh lashkar yahan pe pahuncha tha
Magar yeh kya?
Usne toh apne jahaaz hi jala diye..
Behr-e-zulmaat hairaan tha
Yeh toh deewangi hai
Sad fi sad
Undlis ka saahil cheekh pada
Malaik sajdah rez huwe
Magar
Uski peishaani chamak rahi thi
Hawayein uski fateh ka
Parwana de rahi thin
Lekin saamne,
Hispaniya ka azeem lashkar
Usse rondhne ko machal raha tha
Bijliyaan thi nigaah mein uski
Toofaan uske tha baazuon mein
Taareekiyon mein woh jaanta tha
Uska lashkar haanp raha hai
Ghodon ka dil kaanp raha hai
Magar
Usse yaqeen tha madad milegi
Aasmaan tha fateh ka zaamin
Woh sar-ba-kafan
Chattaan pe khada
Aur aasmaan
Goya uske qadmon mein
Khitaab uska tha
Lafz saahir ka
Uske alfaaz mazboot
Iraadeh musammam the
Kuffar ke lashkar se ghabrana nahin hai
Tadad gar kum hai darr jaana nahin hai
Ladho ke tum imaan waale ho
Badho ke tum Quran waale ho
Apne haathon se taqdeer bana lo apni
Kalima-go ho toh shamsheer sanbhalo apni
Uske qadmon mein
Chand lamhon mein
Undlis ke khazaane the
Magar,
Maal-e-ghanimat na usko rok saka
Kooch usne shumaal ko kar li
Yeh kahani hai Ibne Ziyad ki
Zindagani hai ibne ziyad ki
Roz usko fajar mein paoge
Ik sitarah saher mein Tariq hai!
- Khan M. Asim... 18/10/2015... 02:13 PM.. ‪#‎TariquebinZiyad‬

Ajab nizaame hayaat hai!

Betarteebi aur betaabi
Ubaal khaata lahoo
Har chehra khunkhwaar
Wahi puraani taaseer
Ahde jahalat si
Jadeed, mabaad jadeed
Kisi daireh ki tarah
Na koi simt na koi kona
Taareekiyon ka ek naya baab
Aahat hai anhoni ki
Sargoshi hai lamhon ki
Na maseeh na sarvar
Bhatke huwe Peru
Aaghaaz hi anjaam hai Goya
Zeest phir tilmila rahi hai
Waqt ab thamne ko hai
Ajab nizaame hayaat hai!
- Khan M. Asim 13/10/2015 03:00PM Train!

Bewafayi bhula hi do tum!

Koi pardah sa gir gaya hai
Waqt yunhi thaher gaya hai
Udaasiyon ne kia hai hamla
Wujood apna akhar gaya hai
taareekiyon ka muqaam yeh hai
Fitna parvar huwe hain lamhe
Zahen ki rag rag phadak rahi hai
Goya fitrat bhadak rahi hai
Bahek ke usse bhatak gaye hain
Har ek dhadkan dahek rahi hai
Khaamoshi hi agar hai manzil
Toh shor kyun hai ghubaar kyun hai
Yeh log aise haan yaar kyun hain
Yeh lafz naala fughaar kyun hain
Dast uska abhi tha phaila
Abhi toh usko dia tha sadqa
Woh bhool beitha meri rivayat
Mein sadqa karke hun bhool jata
Usse abhi bhi yahi gumaan hai
Ke aasmaan se buland hai woh
Mujhe yakin hai ke woh nahin hai
Mili kisey hai yaan javedaani
Jaame jam hai faqat kahani
Zameen boss ik roz woh bhi hoga
Mili taraqqi toh yaad rakhna
Tanazzuli bhi zaroor hogi
Jo jurm tum ne kia hai milke
Toh pairvi bhi zaroor hogi
Meri sadaon ko bhool kar tum
kahin pe shadaab na reh sakoge
Doob jaoge yaad rakhna
Nazar mila ke na reh sakoge
Kawishein toh yahi hain apni
Suraagh paa lein haan zindagi ka
Magar jo paaley hain aasteen mein
Woh saanp humko hi das rahe hain
Toh zara se apne yeh gosh kholo
Zara sa thehro aur hosh lelo
Hain kaamiyaabi ke hum muhafiz
Humi se chalta hai carvan yeh
Bargazidah humi huwe hain
Humi ko bakhshi hai badshahi
Humi huwe hain yahan khalifa
Toh hum se seekho zara saliqa
Bulandiyon pe nazar jhukao
Yun na tan ke tum sar uthao
Ke bartaraf bhi kiye hain Usne
Khalq ki hai haan kun mein jisne
Haan yun toh tum se gila nahin hai
Magar dil bhi tum se mila nahin hai
Zara sukoon se ab sochne do
Geisuon ko nochne do
Abhi se Asim kya thak gaye tum
Abhi safar hai taweel apna
Runama kai raaz honge
Silsila yeh daraaz honge
Siskiyon ko sula hi do tum
Bewafayi bhula hi do tum!
- Khan M. Asim... 05/10/2015... 01:18 AM..!

Hum ka karein parmaatma..!

Mohtarma ban gayi aatma
Hum ka karein parmaatma
Bhool ke saare masjid mandir
Ban beithe dharmaatma
Mohtarma ban gayi aatma
Hum ka karein parmaatma..! Asim

Nind ki sarhad se kouson door

Nind ki sarhad se
kouson door
Zindagi ka sitara
phadphada raha hai
Gumnaam chehre
Khauf ke saaye
Thartharati hawa
Garajte baadal
Raat ka sannata
Khamoshi
Aawargi
Qatil andeshey
Malikul maut ki aahat
Labon ki kapkapahat
Ungliyon ki jhatpatahat
Saanson ki tezi
Siskiyaan
Mazoor lamhe
Aye tawanai ke khaliq
Mujhe taqat de
Ke Tera deedaar kar sakun
Lele iss rooh ko
Teri paak panah mein
Aur mita de faasla
Mann o tu ka!
-Khan M.Asim 04/10/2015 03:15 AM!

Phir wahi kaali barsaat ki raat!

Phir wahi kaali barsaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Bheegte saahil pe liye haath mein haath
Der tak chalti unn nigahon se baat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat!

Naghma-go the shajar Jiske shaahid the hajar
Qurb tera tha qaher Uspe qaatil thi nazar
Chedne ki tabassum ki woh harkaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Bheegte saahil pe liye haath mein haath
Der tak chalti unn nigahon se baat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat!

Lamhe bheege the zulfon mein ulajh ke teri
Doob gaye the saanson mein mahek ke teri
Der shab ghar pahunchne ke lamhaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Bheegte saahil pe liye haath mein haath
Der tak chalti unn nigahon se baat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat!

Hum milenge mere mehboob magar ab ke baras
Haan keh de yeh baraan se zara jam ke baras
Hum manayenge phir se wahi barsaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Bheegte saahil pe liye haath mein haath
Der tak chalti unn nigahon se baat ki raat
Yaad aati hain teri mulaqaat ki raat
Phir wahi kaali barsaat ki raat!
- Khan M. Asim... 03/10/2015... 10:34 PM... Home..!

Aakhir aisa kyun hota hai

Aakhir aisa kyun hota hai
Duniya itni ajeeb kyun hai
Mehnatkash ko faqat hain faaqe
Kaamchor ko rahat kyun hai
Hamdard na charahgar hain
Behrupiye Yeh naaseh kyun hain
Unko Mila hai man o salwa
Hum ko itni hajat kyun hai
Kabhi woh daur bhi aayega kya
Unko jab na hogi zaroorat
Kya tab bhi hum pe rehmat hogi
Ya laanat aur zehmat hogi?
Vaadon ki barsaat hai Goya
Jaane kab Yeh fasal kategi
Kaam karein hum
phal woh khaayein
Kisko Asim dard sunayein!
- Khan M. Asim.. 03/10/2015.. 1:00 AM!

Advaati dadvaati duvittu duvittu

Advaati dadvaati duvittu duvittu
Advaati dadvaati duvittu duvittu
Masti hai yaar hai
mausame bahaar hai
Dil pe mere waar hai
sab ka sangam pyaar hai
Advaati dadvaati duvittu duvittu
Advaati dadvaati duvittu duvittu! Asim
September 29, 2015 at 11:31am

Iss qadar noor mein nahaaye aaj

Iss qadar noor mein nahaaye aaj
Chaand takta tha uske chehre ko
Husn uska aur raat poonam ki
Bhool beithe jahaan ke pehre ko!

28/09/2015... Asim

Hai jaanam tu kahaan..!

Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan
Dhundta hun tujhko
Mein yahan wahaan
Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan..!

Raat yeh niraali
zulf teri kaali
chup gayi kahan
Honton ki woh laali
Dhundta hun kab se
Tere hi nishaan
Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan..!

Aa bhi ja kahin se
Aasmaan zamin se
Phool sab khilenge
Dil ki sarzamin se
Chaand, hain sitaare
Hai poori kehkashaan
Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan!

Waqt hai gadariya
Beh raha hai dariya
Khaamoshi se aaja
Sooni hai atariya
Mezbaani kar le
Ya banja tu mehmaan
Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan
Dhundta hun tujhko
Mein yahan wahaan
Rangeen hai samaan
Hai jaanam tu kahaan..!

- Khan M. Asim... 16/09/2015... 01:38 AM..!

Majra kya hai?

Majra kya hai?
Samajh nhi aata
Nind,
Palkon tak aake laut jaati hai
Aksar yahi anjaam hota hai
Shabgazidah zeest ruthi ho jaise
Abhi shayad koi tsunami baaki hai
Shayad koi aasmaan tootega
Aur barsega
Khwahishon ka baadal
Aur karedega
Iss tishnagi ko seraab..!
- Khan M. Asim.. 15/09/2015 03:03 AM!
Majra -matter, shabgazidah -smitten by night (insomnia) zeest- life, tishnagi -thirst, seraab - quenched, satisfied

Uff Yeh diwangi ka kaarobaar!

Shabgazidah, khud se bezaar
Uff Yeh diwangi ka kaarobaar! Asim
Shabgazidah - insomniac (smitten by night) khud - self, bezaar - restless, diwangi - madness (love) kaarobaar - trade

Sab se aala hai husn Allah ka..!

Sab se aala hai husn Allah ka
Sab se afzal hai ism Allah ka
Hai zameen uski aasmaan uska
Shams Allah ka noor Allah ka
Sab se aala hai husn Allah ka..!

Dariya hain uske kinaar bhi uske
Behro bar ke sab dayaar bhi uske
Hai chaman uska phool bhi uske
Quraan bhi uska rusool bhi uske
Sab se bar tar hai zaat Allah ki
Sab se aala hai husn Allah ka
Sab se afzal hai ism Allah ka
Shams Allah ka noor Allah ka
Sab se aala hai husn Allah ka..!
- Khan M. Asim ... 29/08/2015... 06:27 PM... Office!

Bula lo apne toofaanon ko sochte kya ho

Bula lo apne toofaanon ko sochte kya ho
Jo samandar ho toh shabnamon ko dekhte kya ho
Muqaddar mein likhi hogi toh maut bhi Manzoor
Magar hum jaan nisaaron ko kauste kya ho!

23/08/2015.... Asim

Gulab jamuns!

Flowers are blossoming
Spring at its youth
Time to say goodbye to autumn 
Fever have days only few
Courage is alive
I will be back soon
And will have those yummy 
Gulab jamuns!
21/08/2015...  Asim

dard ko aakhri kar de!

Zindagi ko hari bhari kar de
Maula kuch toh karigari kar de
Ya toh taaqat de dard sehne ki
Ya iss dard ko aakhri kar de! Asim

Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai

Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se dil lagaya hai usne humko loota hai
Meelon ghum ka sehra hai dard ek gehra hai
Bewafa muhabbat mein phir se dil yeh toota hai hai..
Phir se dil yeh toota hai hai phir se dil yeh toota hai hai
Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se lagaya dil hai usne humko loota hai
Usne humko loota hai usne humko loota hai..!

Soona soona aangan hai beraham yeh saawan hai
Bekhudi ik tan-mann mein qaatilana tadpan hai
Bojh ab toh lagta yeh dhadkanon ka bandhan hai
Sach kahun muhabbat yeh yaaron ek uljhan hai
Bewajah sa jeevan hai Jo bhi tha woh choota hai
Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se dil lagaya hai usne humko loota hai
Meelon ghum ka sehra hai dard ek gehra hai
Bewafa muhabbat mein phir se dil yeh toota hai hai
Phir se dil yeh toota hai hai phir se dil yeh toota hai hai
Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se dil lagaya hai usne humko loota hai
Usne humko loota hai usne humko loota hai..!

Chaand ki masihayi raas hum ko na aayi
Taare teer hain goya kaisi raat hai chaayi
Muflisi ke aalam mein kaise ho muhabbat bhi
Bhoolna agar chaha toh yeh aankh bhar aayi
Kis se ho shikayat par jab naseeb phoota hai
Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se dil lagaya hai usne humko loota hai
Meelon ghum ka sehra hai dard ek gehra hai
Bewafa muhabbat mein phir se dil yeh toota hai hai
Phir se dil yeh toota hai hai phir se dil yeh toota hai hai
Aasmaan rootha hai yeh jahaan jhoota hai
Jis se dil lagaya hai usne humko loota hai
Usne humko loota hai usne humko loota hai..!

- Khan M. Asim... 17/08/2015... 12:44 AM..!

Zalim sochke ghabra jaaye

Ab ke kuch aisa kia jaaye
Aasmaanon tak sada jaaye
Na ho kisi mazloom pe zulm
Zalim sochke ghabra jaaye! Asim

Phir itna pareshaan kyun aakhir hun mein?

Mushrik hun, na munafiq o kaafir hun mein
Phir itna pareshaan kyun aakhir hun mein?

Kya bandah-e-momin ki ibadat ka sila hai
Kyun dard ka tohfa yeh mujhko mila hai?
Maula yeh samajhne se kaasir hun mein?

Sajdon mein afsha hain ehkaam jabin par
Ikhlaaq se milta hun har ruh se zamin par
Aisa bhi nahin apni hi khaatir hun mein!

Khan M. Asim..  August 7, 2015 at 7:13pm

Neither polytheist, nor hypocrite or atheist I am
Then why so much troubled I am? Asim

Husn Tera bada kamaal hai yeh

Kitna paicheeda sawaal hai Yeh
Husn Tera bada kamaal hai yeh

Kitna tere khayaal ne uksaya mujhe
Phir khayaal aaya khayaal hai yeh

Phir mashriq se tulu hua sooraj
Tera chehra tera Jamaal hai Yeh

Zindagi bemaani hai tere bin
Teri tashbih teri misaal hai yeh

Dil mein dhakdhak tere tabassum se
Tere dum se faqat fuaal hai Yeh

Chand lamhon ka Yeh guhan hai bas
Ishq apna magar la-zawaal hai Yeh

Tu bhi Asim ko woh samajhti hai
Dushmanon ki koi chaal hai Yeh!

- Khan M. Asim... 07/08/2015... 03:03 AM..!

zaafraan

Dheere dheere se sach nikharega
Rang maila hai jitna zaafraanon ka..! Asim
Slowly slowly the truth will clean
All the dirt from saffron's colour! Asim

sach

Kisi ki aankh ka noor kisi ki naasoor bana
Jo sach bolne nikla.. kitna majboor bana! Asim

gulposhi

Jinse umeed thi zeest-e-sehra ki shaadaabi ki
Ab woh aaye hain meri turbat pe gulposhi ke liye! Asim
Zeest - life, sehra - desert, shadaab - flourished, turbat - tomb, gulposhi - to offer flowers...

Naseem o shabnam

Yeh dard bhari shab, ghumzadah saher
Naseem o shabnam roothe hon jaise! Asim

Karta hai woh shikwah

Karta hai woh shikwah taghaful ka mere aaj
Mein Marta raha usne magar mudke nahin dekha! Asim
Today he complains of my ignorance to him
One who never looked back when I was dying! Asim

Zindagi azaab hai koi

Zindagi azaab hai koi
Bemuravvat hai waqt bedardi
Sar pe sooraj tapish ugalta hai
Hai paon ki bediyaan dharti!

Khan m. Asim... 10/07/2015..!

Ain sheen qaaf!

Kabhi kabhi chaand
Sirf paththar dikhayi deta hai
Aur raat faqat andhera
Umeed ki Lou
Jalti hai magar
Dil mein houl uthti hai
Ansuni cheekh
Andekhe anjaane
Khauf ke baadal
Anhoni ka darr
Mustaqbil ki peicheedgiyaan
Sozish, khalish
Mazhab, khayalaat
Humsafar
Magar Ikhtalafaat
Ujda ujda sa hai
Yeh dil ka utaaq
Dard
Qalb mein hota
Ek shigaaf
Jaan leva hai yeh
Ain sheen qaaf!
- Khan M. Asim... 10/07/2015... 12:04AM..!

Jaane tamanna jaane tamanna!

Jaane tamanna jaane tamanna
Har jeevan mein meri hi banna
Jaane tamanna jaane tamanna!


Zulfon ki bas kaali ghata ho
Palkon mein in din guzra ho
Sehra gulshan saath mein chalna
Jaane tamanna jaane tamanna
Har jeevan mein meri hi banna
Jaane tamanna jaane tamanna!

Lams Tera hai ik angara
Uff Yeh tabassum bhi hai sharara
Baahon mein teri aake jalna
Jaane tamanna jaane tamanna
Har jeevan mein meri hi banna
Jaane tamanna jaane tamanna!

Baat yahi hai tujhse kehni
Aur nahin Yeh doori rehni
Pyaar Kia hai phir kya darna
Jaane tamanna jaane tamanna
Har jeevan mein meri hi banna
Jaane tamanna jaane tamanna!

Aur nahin hai koi khwahish
Karni hai bas teri hi sataish
Zaanon pe teri humko marna
Jaane tamanna jaane tamanna
Har jeevan mein meri hi banna
Jaane tamanna jaane tamanna!

- Khan M. Asim... 08/07/2015... 12:34 PM.. Train..!

Phir dost dil se mila nahin kyun? ASIM

Bahut nibhai wafa thi usse,
Sukoon-e-dil phir mila nahi kyun?
Galey lagakar tha chooma usko
Phir dost dil se mila nahin kyun? ASIM

Husn ki laparwahi se ishq hua hai aawarah

Husn ki laparwahi se ishq hua hai aawarah
Jungle jungle bhatak raha hai dekho pagal banjarah!

Husn toh chalawah hai roop yun badalta hai
Jaise aasmaan kaali ghataon mein thaherta hai
Husn ik fasana hai isko kisne jaana jai
Ishq toh deewana ek nadaan becharah
Husn ki laparwahi se ishq hua hai aawarah
Jungle jungle bhatak raha hai dekho pagal banjarah!

Husn ki fitrat mein hai dhoka
Ishq ko isne aag mein jhonka
Kood pada aur hosh ganwaya
Ishq na maana kitna toka
Ishq ka phoota nikla Tara
Husn laalchi ik sayyarah
Jungle jungle bhatak raha hai dekho pagal banjarah
Husn ki laparwahi se ishq hua hai aawarah
Jungle jungle bhatak raha hai dekho pagal banjarah!
- Khan M. Asim... 01/07/2015... 11:29 AM..!

Tu ne baazi khel di ab ke hamari baari hai!

Zindagi kab tak bhala rehni yeh aah-o-zaari hai
Tu ne baazi khel di ab ke hamari baari hai!
- Khan M. Asim... 30/06/2015..!

Roshni ka minaar hai goya..!

Roshni ka minaar lagta hai
Husn uska mayaar lagta hai!
Har ek sanche mein dhaal deta hai
Ishq humko sunaar lagta hai!
Bekhudi bhi khudi mein hai shamil
Saans lena udhaar lagta hai!
Ghum ko shafqat se audh leta hai
Ishq maa ka dulaar lagta hai!
Phool Banta hai jab Tera chehra
Kitna pyaara sa pyaar lagta hai!
Kya kahein ke aaj hai doori
Qalb naala fughaar lagta hai!
Dekh le tu hijr mein Asim
Muddaton se bemaar lagta hai!

- Khan M. Asim... 29/06/2015... 11:57 AM..Train!

With another radeef:

Roshni ka minaar hai goya
Husn uska mayaar hai goya!
Har ek sanche mein dhaal deta hai
Ishq koi sunaar hai goya!
Bekhudi bhi khudi mein hai shamil
Saans lena udhaar hai goya!
Ghum ko shafqat se audh leta hai
Ishq maa ka dulaar hai goya!
Phool Banta hai har Tera chehra
Kitna pyaara sa pyaar hai goya!
Kya kahein ke aaj hai doori
Qalb naala fughaar hai goya!
Dekh le tu hijr mein Asim
Muddaton se bemaar hai goya!

- Khan M. Asim... 29/06/2015... 01:51 PM.. Office!

Please help my dear Bong!

o poem, song since long
There is something wrong
Bring back my confidence
Please help my dear Bong! Asim

Maut..!

Uljhan,
Kashmakash,
Justuju,
Peich
Khum
Gharq
Dil
Tareeki
Zahen
Udaasi
Yaas
Beem
Sogwaar
Naina
Bikhre
Geisu
Betarteeb
Lamhe
Bechaini
Betaabi
Khamoshi
Tanhayi
Ishq
Aatish
Hijr
Shab
Mein
Rooh
Majrooh
Intezaar
Aur
Maut..!
- Khan M. Asim... 13/06/2015... 02:00 AM!

Rakhte safar..!

Ajeeb hain lamhey
Dil behne laga hai
Na jaane kis paher
Yeh doob hi jaaye
Aitbaar ke parbat
Masmaar ho rahe hain
Aaj toh Khud se hum
Bezaar ho rahe hain
Umeed ki lov..
Phadphadane lagi hai
Zindagi jaane kyun
Thartharaane lagi hai
Jin se umeed thi
Samr denge humein
Unhi ashjaar se
Toot kar hum girey
Nasamjh kitne yeh
Mere ahbaab hain
Purza purza hai dil
Woh hain behis magar
Isliye sun aye dil
Na tu ghor kar
Tu na aansu baha
Na tu shor kar
Chal kahin aur chal
Chod kar yeh nagar
Ab yahan koi tera
Hai apna nahin
Poora hona yahan
Tera sapna nahin
Kisi sehra mein jaake
Basayenge ghar
Sang Asim ke tu
Pakadle yeh dagar
Itna mut soch tu
Baandh rakhte safar..!
- Khan M. Asim... 11/06/2015... 02:45PM.. Office..!

Kyun bas yaad tumhari aati hai..!

Jab mein tanhaa hota hun
Yaad tumhari aati hai
Mehfil mein pareshaan hota hun
Yaad tumhari aati hai
Tum khud hi kyun na chali aao
Kyun bas yaad tumhari aati hai..!

Zakhmi hai nazar chalni hai jigar
Aasaan nahin yeh dil ki dagar
Anjaan ho tum go hum se agar
Manzil ho tumhi meri yaar magar
Jab shaam ka sooraj hota hun
Yaad tumhari aati hai
Jab mein tanhaa hota hun
Yaad tumhari aati hai
Mehfil mein pareshaan hota hun
Yaad tumhari aati hai
Tum khud hi kyun na chali aao
Kyun bas yaad tumhari aati hai..!

Yeh duniya jab dhutkaarti hai
Jab qismat kodhey maarti hai
Taskeen-e-nazar tab ek faqat
Tasveer tumhari hoti hai
Yaadon ki tumhari saaye mein
Mein Khoon-e-jigar se rota hun
Jab mein tanhaa hota hun
Yaad tumhari aati hai
Mehfil mein pareshaan hota hun
Yaad tumhari aati hai
Tum khud hi kyun na chali aao
Kyun bas yaad tumhari aati hai..!

- Khan M. Asim... 31/05/2015... 04:46 PM... Office..!

Teri saans mein rahun mein

Teri saans mein rahun mein
Haan rahun ya na rahun mein
Tu kabhi na bhool paaye
Tujhe utna pyaar dun mein!

Jiye lab pe bas tabassum
Rahe tujh mein chaandni
Yeh nigaahein gungunayein
Meri shaam ki kahani
Jo koi na dene paaye
Woh maher ada karun mein
Teri saans mein rahun mein
Haan rahun ya na rahun mein
Tu kabhi na bhool paaye
Tujhe utna pyaar dun mein!

- Khan M. Asim... 30/05/2015... 05:09 PM..!

Tu bata kaise tera guzara hoga..!

Kab talak taghaful ka sahara hoga
Kaam hona hai woh hamara hoga
Vaadah karke jo bhool jata hai
Tu bata kaise tera guzara hoga..!

- Khan M. Asim... 26/05/2015..!