Tuesday, May 17, 2016

Tariq bin Ziyad

Ghodon ki maghroor taapon se
Samandar ka seena chalni hota raha
Magar woh khush tha
Khidmat mein
Apne rabb ki makhlooq ki
Woh jaanta tha
Yeh lashkar koi aam lashkar nahin
Unke ghungraale baalon waale
Barbar saalaar ki nigaahein..
Samandar se bhi gehri theen
Jinhein dekh kar
Samandar bhi makhmoor hua
Woh goya koi uqaab tha
Doorandesh, nidar, jaanbaaz
Woh jis ne apne rabb ki khushnoodi ke liye
Tegh o sipar uthayi thi
Usko na thi
Takht o taaj ki chahat
Belous khaadim
Taweel safar ke baad
Yeh lashkar yahan pe pahuncha tha
Magar yeh kya?
Usne toh apne jahaaz hi jala diye..
Behr-e-zulmaat hairaan tha
Yeh toh deewangi hai
Sad fi sad
Undlis ka saahil cheekh pada
Malaik sajdah rez huwe
Magar
Uski peishaani chamak rahi thi
Hawayein uski fateh ka
Parwana de rahi thin
Lekin saamne,
Hispaniya ka azeem lashkar
Usse rondhne ko machal raha tha
Bijliyaan thi nigaah mein uski
Toofaan uske tha baazuon mein
Taareekiyon mein woh jaanta tha
Uska lashkar haanp raha hai
Ghodon ka dil kaanp raha hai
Magar
Usse yaqeen tha madad milegi
Aasmaan tha fateh ka zaamin
Woh sar-ba-kafan
Chattaan pe khada
Aur aasmaan
Goya uske qadmon mein
Khitaab uska tha
Lafz saahir ka
Uske alfaaz mazboot
Iraadeh musammam the
Kuffar ke lashkar se ghabrana nahin hai
Tadad gar kum hai darr jaana nahin hai
Ladho ke tum imaan waale ho
Badho ke tum Quran waale ho
Apne haathon se taqdeer bana lo apni
Kalima-go ho toh shamsheer sanbhalo apni
Uske qadmon mein
Chand lamhon mein
Undlis ke khazaane the
Magar,
Maal-e-ghanimat na usko rok saka
Kooch usne shumaal ko kar li
Yeh kahani hai Ibne Ziyad ki
Zindagani hai ibne ziyad ki
Roz usko fajar mein paoge
Ik sitarah saher mein Tariq hai!
- Khan M. Asim... 18/10/2015... 02:13 PM.. ‪#‎TariquebinZiyad‬

No comments: