Tuesday, May 17, 2016

Kisi ko haq nahin

Nahin,
Kisi ko haq nahin
Ke uska dil today
Na mujhko,
Na tumko
Aur na khud usko!
Woh to hawa hai
Behti rehti hai
Zaafraani phoolon se guzar kar
Qiley ko mehka deti hai
Dil ko sukoon
Rooh ko qaraar deti hai
Uski awaaz
Ek mosiqi
Raahat, farhat
Dilkash qurbat
Uske iraade koh shikan
Afa'al dilnasheen
Magar aaj woh
Dil aazaar o dil figaar
Maghmoom o dilgeer
Bekhudi ka sila
Bebasi bewaja
Yeh nahin dillagi
Hai ehtiraam bhi
Shaah Mein hota agar
Karta ikraam bhi
Usko tolo na,
Chaandi o soney se hi
Woh bahel jaati hai
Ik khiloney se hi
Ishq ko hai usne Kia Zeb-tan
Aitbaar uska hai zevar hua
Uski har baat pe
Dil se nikley dua
Uski har ik adaa
Marhaba marhaba
Tumko gar woh Miley
Usse kehna zara
Yun na bazaar ho
Dilruba muskura
Tere dum se juda
Ik tufeili bhi Hai
Ishq bhi Hai tera
Aur saheli bhi hai
Uski duniya ko yun
Na tu veeraan kar
Abruon ko tu apni
Na hairaan kar
Tere dum se faqat
Dekh zindah hai woh
Kamzor, naatwaan
Ik parindah hai woh
Khol ghum ka qafas
Uspe ehsaan kar..!
- Khan M. Asim.. 27/12/2015... 03:51 AM..!

No comments: