Tuesday, May 17, 2016

Sangeen saza..!

Na jaane kya kya
Zahen mein irta'ash karta hai
Magar alfaaz
Mun'akas karne se ma'azoor
Dil, zaleel o khwaar
Faqat mehsoos karta hai
Zabt ki inteha hone ko hai
Magar zarf hai
Ke sab gawara kar raha hai
Aksar jinke jawaab aate the
Woh log,
Ab sawaal ban chuke hain
Izhaare khayaal
Kar bhi dein, toh kya?
Justuju jaari hai
Iss azdahey se ladne ki
Magar istafhaam qayam hai
Zeest-e-la-makaan
Teri manzil hai kahan
Sabhi kirdaar, murdaar
Qudrat, sharamsaar
Tamaam kaarigari naaqis
Imaandaari, be-maani
Be-imaani, kaamraani
Bekhudi, bewajah
Ishq, nadaani
Tanhai, deewarein aur utaaq
Jurm e hayaat ki
Sangeen saza..!
- Khan M. Asim... 28/10/2015... 01:25 AM..!

No comments: