Tuesday, May 17, 2016

Shabdon ka qahet

Kaghaz hai
Qalam hai
Roshnai hai
Magar
Alfaaz nahin!
Shabdon ka qahet hai goya
Shayeri pe guhan chaya hai
Tassauvurraat ke lashkar
Dher hogaye
Khayalaat ke ujaale
Andher hogaye
Na jaane kiski nazar lagi
Ghazlon ki zarkhez zameen
Na-ped o banjar hogayi
Mujhe yaqeen hai
Yeh baanjh nahin
Abhi ek chashma phootega
Lafzon ka, behron ka
Roshan kar dega khayalon ko
Tassauvur ke dareechon ko
Seraab o shadaab kar dega
Sateh-e-qirtaas ko
Abhi ek Kali khilegi
Phir ek ghazal,
Shagufta hogi..!
- Khan M. Asim... 21/12/2015... 03:01 AM..!

No comments: