Monday, July 29, 2013

Ab ke tere deewaaney ko, tishna na jaane dena..!

Zara pyaar se lams badhana, neinon se nein ladhana
Zulfon ko tu bikhrana, honton se jaam pilana
Saawan ki rutt mein jaana, tanha na gaane dena
Ab ke tere deewaaney ko, tishna na jaane dena..!

Tu lele jaan hamari, tujhko yeh dil nazarana
Baaton se lekin dilbar tu humko na talkhana
Kuch dil ki sifarish sun le, baahon mein inn aajana
Kuch waqt mohabbat karle, kuch waqt humein behlana
Kyun door se beithe beithe hum waqt guzarein yunhi
Iss pyaar ke mausam ko tu sookha na jaane dena
Ab ke tere deewaaney ko, tishna na jaane dena..
Zara pyaar se lams badhana, neinon se nein ladhana
Zulfon ko tu bikhrana, honton se jaam pilana
Saawan ki rutt mein jaana, tanha na gaane dena
Ab ke tere deewaaney ko, tishna na jaane dena..!

Yeh kaisi hichak, sharmana, tu ban ja mera paimaana
Yeh rog chadha le tu bhi, khaali hai pada meikhaana
Koi kehta hai kehne dena, koi sunta hai sunne dena
Kya lena humein duniya se, duniya ko jaane dena
Qudrat hai yun ithlaayi, li mausam ne angdaayi,
Inn mast bahaaron ko tu, ruswa na jaane dena
Ab ke tere deewaaney ko, tishna na jaane dena..
Zara pyaar se lams badhana, neinon se nein ladhana
Zulfon ko tu bikhrana, honton se jaam pilana
Saawan ki rutt mein jaana, tanha na gaane dena
Ab ke tere deewaaney ko, tishna na jaane dena..!

- Khan M. Asim... began on 28/07/2013 at 11:30 PM... Finished at 12:29 PM on29/07/2013..!

Thursday, July 18, 2013

Journospy...!

Hum na rukenge inn bandishon se
Jayenge door tak hum sarhadon se
Jis mein hai taaqat saamne aaye
Badhta rahega Journospy...
Journospy, Journospy, Journospy..!

Mushkil dagar hai, lamba safar hai
Par yeh sahafi haan be-khatar hai
Nauke qalam se duniya uthaye
Haan chal raha hai Journospy...
Journospy, Journospy, Journospy..!

Huqooq-e-nuswan, aur aah-e-ruswa
Dard-e-mazloom, aawaaz-e-ghurba
Kandhon pe apne dekho uthaye
Haan ladh raha hai Journospy...
Journospy, Journospy, Journospy..!

Har ittela ko khabron mein dega
Aayegi dhamki yeh na darega
Leader weader ya ho bhai
Darta nahin hai Journospy...
Journospy, Journospy, Journospy..!

Arze Philasteen, Ya Qustuntuniya
Europe, America... ya Africa
Shaher ho Mumbai ya Shanghai
Khabrein sab dega Journospy
Journospy, Journospy, Journospy..!

Laayenge aisa hum inquilaab
Jiska na hoga koi jawaab
Kitna bhi hum ko koi dabaye
Bolega such par Journospy
Journospy, Journospy, Journospy..!

- Khan M. Asim... 17/07/2013... 06:13 AM.. A small poetic description of my dream of Journospy!

Ghungroo..!

Ghungroo bazaar mein ho toh bigad deta hai
Raqs tanhayi mein ho toh bhala lagta hai
Kisi raqqasa ke ishq se nahin hai nafrat
Mujhko deewano ka majma par bura lagta hai
Koi utaar pe girta hai koi dekhe hai chadhao
Kis ki paak hain nazrein kaun bata sakta hai
Haan yeh maana ke raqs junoo'n hai Tera
Naach tanhayi mein, tujhe kaun ruka sakta hai
Haan magar mehfil se ghabrata hai yeh dil
Inn aibdaaron se tujhe kaun bacha sakta hai
Dil ke ahwaal ko tu aise paazeb se na rondh
Ghungroo bikhra jo kahin toh saza Banta hai
Hum bhi aashiq hain tere dushman toh nahin
Kuch toh bazm mein apni bhi juda Banta hai
Rakh Tera raqs bachakar ke meri mehfil ko
Dekh Asim sa qadardaan kahan milta hai!
- Khan M. Asim... 17/07/2013... 04:07 AM... Ek junooni raqqasa ke naam..! 

Dil hai gehra koi samandar..!

Dil hai gehra koi samandar
Doob raha hun andar andar

Ajal hai insaa'n aakhri manzil 
Bach na paaya koi dhurandar

Jeevan rog hai ajal hai amrit 
Raaz yeh jaane mast qalandar

Khulta nahin hai ab yeh kisi pe
Dil kho beitha sabhi payambar

Mukhtasar yun, hijr o girya 
Shab roti hai sung nishachar

Jod raha hai kal ko khazana
Kya payega bakheel sitamgar

Asim khud se tang huwe hain
Auron ki toh baat hai deegar! 

- Khan M. Asim... 14/07/2013... 12:32 PM!

... And Pran..!

Aankhon mein walwala tha pur zor tha khitaab Jis pe nigaah ko daal di woh bhoolta jawaabFilmon ka ab tassavur bin Pran kya karein Kirdaar ke masiha ko dil se mera aadab!

- Khan M. Asim... 12/07/2013... 09:30 PM..!

RIP Pran Sahab..! 

The only actor in Bollywood of Dilip Kumar's calibre, in fact better in certain roles..!

Ramzan Mubarak..!

Jis pe datey huwe ho bilkul na chodo kaam
Soum o Salaa ka lekin karna hai ahtamam
Tum ko ajar milega mehshar mein lakhon baar
Sab barkaton ko saath le aaya hai maahe siyaam! 


- Khan M. Asim... July 10, 2013


Ramzan Mubarak to all 

Wednesday, July 10, 2013

Rasta kab ka badal chuka hoga..!

Uss ko jab tak khayaal aayega
Lamha tab tak toh dhal chuka hoga

Chand lamhon mein bat gayi saansein
Dum toh kab ka nikal chuka hoga

Abar bhejega woh bujhaane ko
Ghar toh muflis ka jal chuka hoga

Woh badhayega daste humdardi
Paon uska phisal chuka hoga

Usko maloom hai yahin se guzrunga
Rasta kab ka badal chuka hoga

Woh mujh ko magar pukarega
Muamla jab yeh tal chuka hoga

Kaun ASIM kisi ka hota hai
Tu bhi kal tak sanbhal chuka hoga!

- Khan M. Asim... 09/07/2013... 06:44 PM..!

Besabab kaun tazbazab mein rahey..!

Besabab kaun tazbazab mein rahey
Ishq ho aur tanha shab mein rahey!

Aaya ramzaan hai ibadat ka leke farmaan
Aye dil iss nafs se keh de ke adab mein rahey!

Qissa Yusuf ka na milta to kyun panapte yeh yahood
Aye khuda ab ke Yusuf se tu keh de ke Arab mein rahey!

Zindagi shaan se guzre, jahan bhi guzrey
Bewajah kyun kisi khizr ki talab mein rahey!

Qismat as-habe kahef ki hai bade chain se soye
Badey ajeeb they log badey ghazab mein rahey!

Mein gunahgaar hun magar dua hai maula
Naam lewa Tera, mere nasab mein rahey!

Chehra tareek ho Asim, koi baat nahin
Roshni baaqi magar qalab mein rahey!

- Khan M. Asim... 09/07/2013... 09:20 AM..!

Mujhpe rahem kar mere maula..!

Teri bargaah se hi umeed rakhta hun 
Tu hai wahid jo dene waala hai
Tere dum se nizaam chalta hai 

Teri zaat sabse aala hai
Tera hukum Howe toh shajar pe samar aaye  

Mahez insaan chaahe toh patta hil nahin sakta....
mushkil mein hun pada...
De raha hun sada...
Kuch toh karam kar mere maula
Mujhpe rahem kar mere maula..!

Sabse aala Tera naam
Wahid barhaq Tera naam
Dhundlakon mein raah dikhaye
Noor ka manba Tera naam
Tu ne hi insaan ko banaya
Tu ne ism-e ishq sikhaya
Allahu akbar Teri shaan
Nabi ko pyaara Tera naam...
Takleef se tu bacha
Dede mujhko shifa
mushkil mein hun pada...
De raha hun sada...
Kuch toh karam kar mere maula
Mujhpe rahem kar mere maula..!

Ibrahim o Ismail ka hai waasta tujhko
Kohe seena mein dikha de raasta mujhko
Mujhko koi khizar, koi maseeh muhiya kar
Sabar o shifa Ayyub si Ata kar mujhko
Tujhko shoeb, yunus ka hai waasta tere
Apne Mohammed ke sadqe mein bakhsh de mujhko...
Mein pareshaan hun
Dekh beemaar hun
Dard karde rafa
Dar pe tere khada
mushkil mein hun pada...
De raha hun sada...
Kuch toh karam kar mere maula
Mujhpe rahem kar mere maula..!

Khan M. Asim... 07/07/2013... 06:24 PM..!

Darje hararat..!

Ek ghazal hojaye iss dard ke naam
Kab talak mehbooba hoti rahe badnaam
 

Mukhtalif karvant, zaviye badalte hain
Darje hararat ki bhi hain Kai iqsaam
 

Kahin takhna cheekhta hai ghutna kare hai aah
Kambakht ho raha hai jeena yunhi haraam
 

Sab gardishon se oopar sar ghoomta hai yeh
Kya cheez hai zamana kya gardishe mudaam
 

Mehmaan zaleel o khwar karte nahin magar
Aye dard tu chala ja tujhko mera salaam 


Aakhir yeh dein toh hai mausam bahaar ki
Kyun doston ko Asim karte rahein dushnaam!

- Khan M. Asim... 06/07/2013... 04:59 PM..!

Koson door pe beith ke humdum, kya duniya taskheer kari..!

Dard bahut hai saanson mein, kaise bayaan ho haale dil
Koson door pe beith ke humdum, kya duniya taskheer kari

 
Alfaaz tere hi bandey the, tujh se hi wabasta rahey
Nazar se Teri chura ke ghazal phir kaghaz pe tehreer kari!


- Khan M. Asim... 04/07/2013... 10:28 AM..!

Duniya tere inkaar se hota nahin hum pe asar..!

Tuesday, July 02, 2013

Jisey roshni ka hai aasra, usse zulmaton ki qadar nahin..!

Jisey roshni ka hai aasra, usse zulmaton ki qadar nahin
Nahin jaanta woh be-adab, tareekiyon mein qaraar hai
Kyun roshni ki talab rakhun, kyun na roshni ki talab banu
Ghurur kaisa yeh shams ko, aakhir manzil ghubaar hai! Asim 

Duniya tere inkaar se hota nahin hum pe asar..!

Hosla apna nidar, har khauf se hai bekhatar
Duniya tere inkaar se hota nahin hum pe asar
 
Jung hum ne ched li, hai waqt ki raftaar se
Kaun raukega bhala, humraah hai shaahe hashar
 
Muztarib hai qalb gar, muntashir toh hai nahin
Mushkilon mein rind yeh, aaj bhi hai befikar
 
Nadaan Sawaal karte hain aakhir karoge kya
Muska raha hun ab talak unke khayaal par
 
Asim yeh fikarmandi zaroori toh hai magar
Manzil wahi hain paate jo isse hain bekhabar!

- khan m. Asim... 02/07/2013... 08:30 PM..!

Erum..!

Jo jaanta hai kaisi rangeen yeh shaam hai
Yeh kaunsi hai mehfil aur kya muqaam hai


Thokar mein zeest lekar jayega woh kahan
Woh aayega yahin pe, yahin ahtraam hai
 

Usko agar lagega ke mauqa hai kaam hai
Kuch na bhi mil saka, aana toh naam hai
 

Shadad ki erum ka kyunkar dikhaon khwab
Asim darogh-goi ka dozakh anjaam hai..!

- Khan M. Asim... 02/07/2013... 11:00 AM... Welcome to Journospy... Honesty is the best policy..!

muqaam - destination, ahtraam - respect, Shadad - A king's name mentioned in Quran who created an artificial heaven that he couldn't ever see, Erum - artificial heaven, darogh-goi - lying, dozakh - hell, anjaam - result...

Virindavan mein jaike pyaari pee ko paaye..!


Virindavan mein jaike pyaari pee ko paaye
Krishna hari ko dekh ke har gopi sharmaye
Har gopi sharmaye... Har gopi sharmaye
Krishna hari ko dekh ke har gopi sharmaye
Virindavan mein jaike pyaari pee ko paaye..!

Phool khiley uss daal pe ja ko woh chui jaaye
Uss ke komal lams se jal sheetal hui jaaye
Saawan ki pagli rut mein Meera raag lagaaye
Har ik shabd ravi ban phoote ujyara kar jaaye
Megha dekh rahe hain chup chup banwari ka khel
Leke haath mein bansuri, ban mein raas rachaye
Virindavan mein jaike pyaari pee ko paaye
Krishna hari ko dekh ke har gopi sharmaye
Har gopi sharmaye... Har gopi sharmaye
Krishna hari ko dekh ke har gopi sharmaye
Virindavan mein jaike pyaari pee ko paaye..!

Neinon se neinon ka sangam hote hi sharmaye
Muskaate chehrey pe geisun lajja se ithlaaye
Chand qadam ki doori pa ke gauri nein churaye
Aur piya jab peeche howey, gauri daud ke aaye
Krishan abhi tha iss daali pe gauri sochey jaaye
Door khada yeh dekh tamasha Krishan hari muskaaye
Virindavan mein jaike pyaari pee ko paaye
Krishna hari ko dekh ke har gopi sharmaye
Har gopi sharmaye... Har gopi sharmaye
Krishna hari ko dekh ke har gopi sharmaye
Virindavan mein jaike pyaari pee ko paaye..!

Mein bhi sung hun iss jannat mein pee ki aas lagaye
Khoj raha hun gopi kab se bansuri hont lagaye
Mujh mein uss mein bas antar yeh woh thehra nirvaani
Woh toh hari hai, uss ke toh har gopi geet hai gaaye
Pee milan ki aas mein jaaga, mann tadpat yeh jaaye
Sapnon ki duniya mein aksar, mann krishan ban jaaye
Virindavan mein jaike pyaari pee ko paaye
Krishna hari ko dekh ke har gopi sharmaye
Har gopi sharmaye... Har gopi sharmaye
Krishna hari ko dekh ke har gopi sharmaye
Virindavan mein jaike pyaari pee ko paaye..!

- Khan M. Asim... 28/06/2013... 12:20 PM..!

Mast bahut yeh raat hai..!

Mast bahut yeh raat hai
Dil pe hai chaaya nashaa..
Chaand ko dekha suroor aagaya
Arre aap ka chehra huzoor aagaya..!

Mehki hawa hai,
Behki fiza hai
Chaahat ka armaan
Phir jug raha hai
Yaadon mein Teri uljha huwa yeh
Dil kar raha hai khata
Mast bahut yeh raat hai
Dil pe hai chaaya nashaa..
Chaand ko dekha suroor aagaya
Arre aap ka chehra huzoor aagaya..!

Ik kashmakash hai
Dard, tadap hai
Manzar haseen par
Meelon pe tu hai
Kaise tujhe ab dil se lagaon
Jaana yeh mujhko bataa
Mast bahut yeh raat hai
Dil pe hai chaaya nashaa..
Chaand ko dekha suroor aagaya
Arre aap ka chehra huzoor aagaya..!

Aaja abhi tu
Hain Lamhe pukarein
Tujhko yeh Chanda
Badli pukarein
Dekh rahi hai mujhko kahin tu
Hai Sargoshi karti hawaa
Mast bahut yeh raat hai
Dil pe hai chaaya nashaa..
Chaand ko dekha suroor aagaya
Arre aap ka chehra huzoor aagaya..!

- Khan M. Asim... 23/06/2013... 09:26 PM..!