Monday, November 26, 2012

Kaisey jiyenge hum bin tumhare..!


Hum pe tumhara jaadu chadha hai 
Dil mein basey hain sapney tumhare
Tum hi batao ab toh sanam khud
Kaisey jiyenge hum bin tumhare..!

Yeh hum pe sitam hai jo hum se khafa ho
Haan ab karz dil ka yeh kaise adaa ho 
Jo tum hum se roothe nazara bhi rootha
Haan kaisey batao baharaan fiza ho
Haan hoti hai uljhan humein bin tumhare
Tum hi batao ab toh sanam khud
Kaisey jiyenge hum bin tumhare..!

Woh zulfon ki chaadar sukun dene waali
Woh aankhein tumhari junun dene waali
Kahan kho gayi woh adaon ki bijli
Woh baatein tumhari mein hun kehne waali
Zara saaz dil ka sanam tum bhi chedo
Kahan tak chalenge hum bin tumhare
Tum hi batao ab toh sanam khud
Kaisey jiyenge hum bin tumhare..!

Hum pe tumhara jaadu chadha hai 
Dil mein basey hain sapney tumhare
Tum hi batao ab toh sanam khud
Kaisey jiyenge hum bin tumhare..! Asim 

- Khan M Asim... 26/11/2012... 04:54 PM!

Saturday, November 24, 2012

Hum jis se mohabbat karte hain, sirf mohabbat karte hain..!


Hum jis se mohabbat karte hain, sirf mohabbat karte hain
Aur jis se adavat hoti hai, sirf adavat karte hain

Anjaame mohabbat kya hoga yeh socha nahin jab dekha tumhe
Mehshar bhi yahin pe aa pahuncha, ab khauf, nadamat karte hain

Qatil bhi tumhi, munsif bhi tumhi, sarkar bhi tum hakim bhi tumhi
Hum kitne juraim kar beithe, iqbaale adalat karte hain

Ab tak jo haqeeqat lagte the woh saare fasaane kho beithe
Hum jaante hain mit jaayenge, hum phir bhi baghavat karte hain

Ik jung chidi hai seene mein, hai aag lagi sharyaanon mein
Ik marge takhaiyyul hai hum ko, alfaaz muzahmat karte hain

Yeh kaisi khudayi hai teri, ASIM jo pareshaan beithe hain
Sajde bhi kiye, roye bhi bahut, hum phir bhi ibadat karte hain!

- Khan M. Asim... 24/11/2012... 12:24 PM!

Ishq mein kitna bata khud ko tazleel karun..!


Ishq mein kitna bata khud ko tazleel karun
Ab kya tere liye khud ko tabdeel karun

Waqt naaqis hai yeh tu toh sab jaanti hai 
Aur mein kis se bayaan dil ki tafseel karun

Jis se manzar ho hasin chaman ho gulzaar
Tu hi tarkeeb bata jis se tashkeel karun

Hum ne socha hai jinhen hum ne sincha hai jinehin
Jo bhi dekhe hain khawaab kaise takmeel karun

Tujhko mana hai falak tujhko mana hai zamin
Aur kya shey mein bhala tujhse tamseel karun

Tera payaam nahin, muntazir, jaag raha 
Aur mein shab ko isse kitni tatweel karun

Chand qatre hi sahi Asim behne de inhein
Hukum jo dil ne diya uski ta'meel karun!

- Khan M. Asim... 24/11/2012... 01:13 AM!

Tuesday, November 20, 2012

Tujhko chahun toh badal sakta hun..!


Tujhko chahun toh badal sakta hun
Apne ehsaas masal sakta hun! 

Tum laga lo atraaf mein pehre apne
Mein bhi toofaan mein dhal sakta hun! 

Nafrat ke sholon ko Zara door karo
Mein bhi barood hun jal sakta hun! 

In alfaaz ke saanpon pe maghroor na ho
Mein bhi ajgar hun nigal sakta hun!

Gar hai vanvaas ki soorat hi tamasha apna
Mein bhi ASIM hun sanbhal sakta hun! 

- Khan M. Asim... 19/11/2012... 11:00 PM!

Sunday, November 18, 2012

Jab se tum se pyaar hua hai..!

Jab se tum se pyaar hua hai
Chanda pehredaar hua hai
Taak rahe hain tumko taare 
Aur anbar baazaar hua hai
Doob gaye woh tanha lamhe
Apna bedha paar hua hai
Kaliyan mehki phool hain banke
Dil jungle gulzaar hua hai
Raat khwabon mein hain mehfil
Aur mausam bedaar hua hai
Tum hi ho bas dil ki guzarish
Tumhara hi bemaar hua hai
Saari khabrein bhool gaye hum
Dil tera akhbaar hua hai
Bhool gaye hum sarhad apni
Dil pe gola baar hua hai
Aur kahey kya Asim tumse
Tumhara intezaar hua hai!
- Khan M. Asim... 18/11/2012... 10:10 PM!

Saturday, November 17, 2012

Aaoge kab tum sanam..!

Raat bhar jaage rahe
Nind aankhon se gayi
Tarsein hain jalwe ko hum
Aaoge kab tum sanam..!

Chaandni chup hai gayi
Hai hawa tham si gayi
Aah honton pe mere
Chaah saanson mein liye
Lamhe kyun bikhre hain yeh  
Beithe kyun tanha hain hum
Tarsein hain jalwe ko hum
Aaoge kab tum sanam..!

Naqsh qatil hain tere
Naina hain chor koi
Noor maathe pe tere
Zulfein hain mor koi
Sard raaton mein sanam
Beithe hain yunhi be-dum
Tarsein hain jalwe ko hum
Aaoge kab tum sanam..!

Armaan hai dil ka yahi
Baahon mein Teri rahein
Tujhko aankhon se chuyein
Zaanon pe Teri marein
Ik ishaare pe sanam
De denge jaan bhi yeh hum
Tarsein hain jalwe ko hum
Aaoge kab tum sanam..!

- Khan M. Asim... 17/11/2012... 03:20 AM... Well this is 102 poem am posting on this blog in the year 2012..!

Wednesday, November 14, 2012

Husn aur Ishq


Yeh tera husn yeh zaibaish

Har khayaal ki karte hain aazmaish,

Na jaane kitne raaz hain,

Na jaane kitni baatein,

Aa ja ke....

Iss lamhe ko mukammal kar dein

Sahar-angez nazron se,

Nichod le meri saanson ko

Tadapti aah mein baarood bhar de,

Abhi na jaa ke baat baaqi hai

Tu hi sharaab tu hi saaqi hai

Yeh subah ki kirnein,

Yeh angoori jism,

Yeh mushk se khayaal,

Kisi raat ki aakhri paher se kum toh nahin?

Aa jaa ke...

Yeh heejaan,

Kasrat kisi dawa ki nahin...

Yeh sarapa tu hai

mein hun!

Sirf,

Husn aur ishq hain!

- Khan M. Asim...16/11/2010...11:00 AM..!

Happy Birthday Arpi!

Aaj bhi...

Jab tum muskurati ho,

Mere dil mein wahi tarang uthti hai

Jo hamari pehli mulaqaat mein thi...

Wahi aarzoo machalti hai

Wahi tishnagi tadapti hai

Wahi bekhudi jagi si hai

Wahi kuhane meikashi si hai

Andaaze bayaan ke,

Qaatil Talatum..!

Alfaaz ke mado jazr

Kisi shua si,

Barq si nazrein,

Nazuki adaon ki

Saadgi nigahon ki,

Wahi justuju ubharti hai...

Dil kehta hai,

Be-adab hojaon,

Ulat dun sabhi naqaab

Sharam o haya ke,

Tumhara naam sab jagah likh dun...

Arsh ko paimana banaon

Farsh ko meikhana banaon

Jhumun, naachun,

Geet gaon!

Kehne ko ab pachchees ki ho,

Mere liye to bachchi hi ho...

Ik shagufta hoti kali

Jisey abhi mahekna hai

Ek ubharta hua sitara

Jisey abhi chamakna hai

Iss jahan ko,

Zulmaat se roshan karna hai...

Mujhe achcha nahin lagta

Yeh tumhara udaas,

Bejaan sa chehra,

Yeh kaanpta hosla,

Yeh sahemta josh...

Waqt ko dikhayenge,

Haar hum na maanenge,

Abhi bahut faasley hain,

Manzil meelon door hai,

Taweel safar hai,

Aur,

Mein humsafar!

Yeh din...

Sange meel hai

Aur basharat kaamiyaabi ki..!

Tum ko mubarak din yeh

Dil se hazaar baar,

Dekho tumhari khaatir

Kya kya na laaya hai...

Tumhari umare fardaan ka parwana laaya hai

Zohra, Qamar, Atarud nazrana laaya hai

Jaam khud tum hi ho meikhana laaya hai

Sachchi mohabbaton ka afsana laaya hai..!

Jo dil mein aaye hum ko sadqae ishq dena

Ab toh huzoor aap ka zamana aaya hai

ASIM hua hai saail phirta hai dar-badar

Dekho tumhare dar pe diwaana aaya hai!

Dil se mubarakein

Aur sad-ha hazaar khushiyan,

Aye meri achchi Arpi,

Aye meri pyaari Arpi,

Tum khush raho hamesha,

Saalgirah mubarak!

- Khan M. Asim... 02/01/2012... Happy 25th Birthday Arpi :)



Janam-din mubarak ho sarkar ji!



Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji

Hamari Ghazal tum hamara fasana

Tum hi ho hamare kalakaar ji 

Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji!

Yeh aankhon ka kaajal, yeh zulfon ka baadal

Wahan tum ne dekha yahan hum hain ghayal

Yeh gaalon ki narmi, yeh hirni si khushboo

Tum hi apsara ho hain hum iske qayal

Yeh dil bas tumhara talabgaar ji

Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji!

Atarud, yeh zehra, yeh mirreekh tum se

Mohabbat ki duniya ki taareekh tum se

Yeh jannat tum hi ho, jahannam yeh tum bin

Hai duniya o aalam ki har meekh tum se

Tum hi se sitarah chamakdaar ji

Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji!

Krishan ki murli, ho Durga ki shakti

Tum hi mein jhalakti hai Meera ki bhakti

Woh ban mein bhatakne ki Seeta si seerat

Bane paon chaale na phir bhi hai thakti

Tum hi to ho Radha ka avtaar ji

Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji!

Tumhein kya batayein ke kitna hai pyaar

Khushiyaan tum hi ho, tum hi ho bahaar

Yeh mausam tumhare sabhi hain ghulam

Tarasti hain tumko yeh simtein chahaar

Tum hi ho hamara haan sansaar ji

Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji!

- Khan M. Asim...02/01/2011...03:40PM... I love you... Muaah...For my one and only Arpita Sarkar! 

Teri in yaadon ko kaise mein bhulunga..!


Teri in yaadon ko kaise mein bhulunga
Tasveeron ko teri houton se chu lunga
Tere hi chahat hai, dil mein nishan tere 
Dil ki sununga mein... dil se hi bolunga!

Teri mahek se jawaan yeh phool saare hain
Tujh se chamakte hain, jitne sitaare hain
Raatein hain zulfein teri, tu hai subah meri
Teri adaa se lagein... jitne nazzaare hain....
Chahta hun tujhko sanam tujh se hi bolunga
Dil ki sununga mein... dil se hi bolunga! 
Khan M. Asim... 14/11/2012... 03:13 PM!

Monday, November 12, 2012

Uss ke sar ka taaj hun mein..!


Uss ke sar ka taaj hun mein
Aur kitna mohtaaj hun mein

Jeeti baazi haar raha hun
Nakaam-e-meraaj hun mein! 

Ek baghavat mann ke andar
Khud ka ahtejaaj hun mein!

Noor kia hai kab ka rohlat
Kehne ko siraaj hun mein!

Ulta seedha sab hai barabar
Bedhanga rivaaj hun mein! 

Kis ko sunaon dil ka dukhda
Nakarah be-kaaj hun mein!

Har mausam mein rota hai jo
Asim woh mizaaj hun mein! 

Khan M. Asim... 12/11/2012... 07:50 PM!

Saturday, November 10, 2012

Baat haathon se nikalne lagi hai..!

Baat haathon se nikalne lagi hai
Ab toh tanhayi bhi khalne lagi hai

Pehle mussavir hi pareshan tha magar
Ab toh tasveer bhi bikharne lagi hai

Sard raaton ki gulabi kahin sard hui
Hijr naagin si koi dasne lagi hai 

Ek toh yaad teri uspe fariyaad teri
Ab toh qismat bhi mukarne lagi hai

Badnaam the naam toh raha kuch din 
Ab toh ruswai bhi dhalne lagi hai

Kyun na hoga dard bhi sitaaron ko
Chaandni jo raat se jalne lagi hai

Jahan se rasta dushwariyon ka aata hai
Umr us muqaam se guzarne lagi hai

Itna bhi harasaan Asim na-munasib
Taqdeer aasmaan se utarne lagi hai! 

- Khan M. Asim ... 10/11/12... 02:41 AM..!