Wednesday, November 14, 2012

Happy Birthday Arpi!

Aaj bhi...

Jab tum muskurati ho,

Mere dil mein wahi tarang uthti hai

Jo hamari pehli mulaqaat mein thi...

Wahi aarzoo machalti hai

Wahi tishnagi tadapti hai

Wahi bekhudi jagi si hai

Wahi kuhane meikashi si hai

Andaaze bayaan ke,

Qaatil Talatum..!

Alfaaz ke mado jazr

Kisi shua si,

Barq si nazrein,

Nazuki adaon ki

Saadgi nigahon ki,

Wahi justuju ubharti hai...

Dil kehta hai,

Be-adab hojaon,

Ulat dun sabhi naqaab

Sharam o haya ke,

Tumhara naam sab jagah likh dun...

Arsh ko paimana banaon

Farsh ko meikhana banaon

Jhumun, naachun,

Geet gaon!

Kehne ko ab pachchees ki ho,

Mere liye to bachchi hi ho...

Ik shagufta hoti kali

Jisey abhi mahekna hai

Ek ubharta hua sitara

Jisey abhi chamakna hai

Iss jahan ko,

Zulmaat se roshan karna hai...

Mujhe achcha nahin lagta

Yeh tumhara udaas,

Bejaan sa chehra,

Yeh kaanpta hosla,

Yeh sahemta josh...

Waqt ko dikhayenge,

Haar hum na maanenge,

Abhi bahut faasley hain,

Manzil meelon door hai,

Taweel safar hai,

Aur,

Mein humsafar!

Yeh din...

Sange meel hai

Aur basharat kaamiyaabi ki..!

Tum ko mubarak din yeh

Dil se hazaar baar,

Dekho tumhari khaatir

Kya kya na laaya hai...

Tumhari umare fardaan ka parwana laaya hai

Zohra, Qamar, Atarud nazrana laaya hai

Jaam khud tum hi ho meikhana laaya hai

Sachchi mohabbaton ka afsana laaya hai..!

Jo dil mein aaye hum ko sadqae ishq dena

Ab toh huzoor aap ka zamana aaya hai

ASIM hua hai saail phirta hai dar-badar

Dekho tumhare dar pe diwaana aaya hai!

Dil se mubarakein

Aur sad-ha hazaar khushiyan,

Aye meri achchi Arpi,

Aye meri pyaari Arpi,

Tum khush raho hamesha,

Saalgirah mubarak!

- Khan M. Asim... 02/01/2012... Happy 25th Birthday Arpi :)



No comments: