Tuesday, May 28, 2013

O ri sajni kahaan gayi tu..!

O ri sajni kahaan gayi tu
Tujhko dhoonde tora sajanwa...
Birha mein tadpat hai jiyaara
Tann mann bheetar ek aganwa
O ri sajni kahaan gayi tu

Tujhko dhoonde tora sajanwa..!

Mann ki bhaati koi na yaaraa
Tujh bin nadiya mein bin dhaara
Raaton ko bhi deep jalaaye
Phir bhi roontha hai ujyaaraa
Tori dhun mein beithe beithe
Loot rahi hai ek tapanwa
O ri sajni kahaan gayi tu
Tujhko dhoonde tora sajanwa...
Birha mein tadpat hai jiyaara
Tann mann bheetar ek aganwa
O ri sajni kahaan gayi tu
Tujhko dhoonde tora sajanwa..!

Sarma aaye, aaye garma
Bas ik tu hi mora dharma
Naam ko tore japte japte
Bhoola jag ke saare karma
Tujh mein khoye tujh mein maganwa
Tarsein tujhko more nayanwa
O ri sajni kahaan gayi tu
Tujhko dhoonde tora sajanwa...
Birha mein tadpat hai jiyaara
Tann mann bheetar ek aganwa
O ri sajni kahaan gayi tu
Tujhko dhoonde tora sajanwa..!

- Khan M. Asim... 28/05/2013... 01:22 PM..!

Monday, May 27, 2013

Neinon se woh baan chala kar, Hai karti praan harann..!

Neinon se woh baan chala kar
Hai karti praan harann
Aji loot lia hai uss qaatil ne
Mera tann, mann, dhann..
Neinon se woh baan chala kar
Hai karti praan harann..!

Koi bataye usko jaakar
Hai hota kya banbaas
Murjhe murjhe hum beithe hain
Saawan bhi hai udaas
Rastey, vastey, dariya, variya
Hai sab pe chaayi yaas
Saare manzar ko hai bhaata
Bas uska hi jeevan
Loot lia hai uss qaatil ne
Mera tann, mann, dhann..
Neinon se woh baan chala kar
Hai karti praan harann..!

Kab tak karein hum dil ki raksha
Aur dein kitni pariksha
Usse keh do, hum ko dede
Thodi pyaar ki bhiksha
Aajeevan hum karengey yaara
Premi ki apne suraksha
Lekin kab tak yunhi tanha
Sehte rahein agan
Khoob samay hai saath bitaya
Ab toh kar le lagan
Loot lia hai uss qaatil ne
Mera tann, mann, dhann..
Neinon se woh baan chala kar
Hai karti praan harann..!

- Khan M. Asim... 27/05/2013... 03:38 PM..!

Sunday, May 26, 2013

Munfarid Ash'ar..!

Tum udaas na hona meri jaane hayaat
Kya huwa? gar siyaah, taareek hai raat! Asim
********************************
Kaash koi le jaaye mujhko wahan
Jiss des mein muft niwaale milein
Karna na padey koi kaam jahaan
Ghar beithe chaahne waale milein! Asim
********************************
Ghum hi paaya hai wafaon ke siley mein hum ne
Ishq taskeen ka manba nahin ho sakta..! Asim
*********************************
Mukhtasar yun ke dil udaas hai
Tafseel yun hai ke yaad aati hai! Asim
*********************************
Ab kaun jaanta hai khatawaar kaun hai
Dil ne usse pukaar ke ruswa Kia mujhe! Asim
**********************************
Itna bhi tu ghamand na kar ab warna pachtayega
Jo hai Tera woh bhi mera, ek din hojayega
Iss jhoote sansaar pe yaara, itna kya itrana
Waqt ki fitrat mein hai dhoka, waqt badal jayega! Asim
**********************************
Khoob riyazi kar beithe
Ishq mein par kuch bhi na hua
Dil ko lagayi dil se zarab,
Haasile zarab kuch bhi na hua! Asim
Riyazi - mathematics, zarab - multiply
**********************************
Bejaa parvaaaz hai dil parindey ki
Tamam tehreek fiza mein tehleel hui! Asim
**********************************
Aadmi ki zindagi mein aisa waqt bhi aa jaata hai
Jab zindagi doobne lagey koi kinara sujhai na de! Asim
***********************************
Meri naakaami ki itni tash-heer na kar
Zindagi phir Teri tadfeen na hojaaye kahin..! Asim
***********************************
Taskeen mili phir mujhko daher mein
Jo tum ne pukaraa, mujhe pyaar se..! Asim
***********************************
Jab umeed ka sooraj doob jata hai
Pyaar ka charaagh muskurata hai..! Asim
***********************************
Tamaam hi rastey masdood nazar aate hain
Khuda jaane roshni hogi ya andhera hoga! Asim
***********************************
Kab talak khud pe ikhtiyaar karun
Kaise vaade pe tere aitbaar karun
Meri baatein sabhi hawa ne suni
Uspe turrah ke tujhko pyaar karun
Haan kaam ki baat tu agar kar le
Tujh pe dil kya, jaan nisaar karun! Asim
**********************************
Nami aankhon mein dil bujha sa hai
Shafaq mein ghum koi ghula sa hai
Tumhari yaad meri jaan le legi...
Rang phoolon ka ab chubha sa hai! Asim
***********************************
Nami aankhon mein dil bujha sa hai
Shafaq mein ghum koi ghula sa hai..!Asim
************************************
Neend aankhon se rukhsat Hui
Koi ban ke qaza sawaar hua! Asim
************************************
Unhein fursat kahan itni ke hum se baat tak kar lein
Yahan pe dil hai beqaabu, Yahan pe jaan jaati hai..! Asim
*************************************
Hazrate naaseh hijr mein hajar huwe hain hum
Ab toh batla do tarkeeb koi, takleef rifa hone ki! Asim

Hazrate Naaseh - Mr. adviser, hijr - separation, hajar - stone, tarkeeb - method, takleef - pain, rifa - relief..!
****************************************
Haar maani, sar jhukaya... ufff...
Maut aakhir ko kyun nahin aati! Asim
****************************************
Mohsinan-e-suman pahunche phir daal par
Zara bach kar tum rehna aye ahle chaman! Asim
****************************************
Muddaton muntazir rahey tere
Aaj aayi hai jaan lene ko..! Asim
*****************************************
Phoolon mein khushbu hai, aankhon mein kaajal hai...
Phoolon mein khushbu hai, aankhon mein kaajal hai
Dil mein samayi hai tu, Dil mein samayi hai tu...
I love you... love you... love you..! Asim

*****************************************

Duniya badle, insaa'n badlein, badlein saare rang
Apni dhun mein hi rehte hain, badlein kahan malang! Asim
*****************************************
Khwab mein mahek tujhse, tu hi raat raani hai
Subah mein ramaq tujhse, tu hi zindagani hai! Asim
*****************************************
Tareeki gar hai muqaddar, gila nahin sooraj
Tera nikalnaa... tujhi pe zawaal banta hai! Asim
*****************************************
Maslak hai ishq apni, mazhab hai ishq apna
Ulfat se mere maula mazhab ko door rakhna! Asim
*****************************************
Ek toofa'n mein tere jalwe ko paresha'n paaya
Hasratey deedaar meri, bhanwar mein hi rahi..! Asim
*****************************************
Bhaley ruswa bahut hun par nahin mayoos kismat se
Mujhe mere muqaddar ka khuda dega, bahut dega
Na tum se maangta hun kuch na koi tum se chahat hai
Mujhe humdard bhi behtar khuda dega, bahut dega! Asim
******************************************
Naqsh o nigaar aap ka wallah marhaba
Aye husn tujhko bandagi, aadaab arz hai! Asim
*******************************************
Ajab shaher hai yeh justujoo ka, ke zindagi pur-jihaad hai bas
Kisey padi hai yahan kisi ki, qafas mein duniya azaad hai bas! Asim
Justujoo - slog, jihaad - struggle, qafas - cage...
********************************************
Thaanedaaron ki dalali kya koi nayi baat hai
Suwarron se bhi ghinauni ek inki zaat hai
Pot de unn pe siyahi jo aabroo ko tolte hain
Dilli agar dum hai bata de inki kya awqaat hai! Asim
********************************************
Na aqal hai na shaoor hai aur itna gharoor hai
Ek qaatil ke muqabil, adliya majboor hai
Kaisa yeh dastoor hai Modi qafas se door hai
Teri munsifi, tera faisla humko na-manzoor hai! Asim
********************************************
Masjidon ke hujron mein
Roz sajde karta hun
Maangne dua apni,
Aur kiske ghar jaon?
Tu bata kidhar jaon??? Asim
*******************************************
Tere bin... ab iss mehfil mein
Tanha mein aur tanha samandar..! Asim
*******************************************
Tu hayaat ka asasa, tera ishq hai sarmaya
Jab kuch samajh na aaya Tera naam gungunaya! Asim
*******************************************
Aye zindagi ab kahein tujhse kya hum
Ke doob ke marne ko jee chahta hai! Asim
*******************************************
Har kaam mein aag lagi hai, har cheez mein haar hamari
Asraar huwe hain huwaida hum pe sab kambakhti ke! Asim
*******************************************
Banja meri dulhan ab toh, kitni der lagayegi
Mumbai meri baah pakad le warna shaher badal dunga! Asim
********************************************
Kis se karein shikayat ASIM shikast ki ab
Mauka parast hain na matlab parast hain! Asim
********************************************
Duniya ne mujhko iss tarah begana kar dia
Jaise kisi bhi kaam ke qaabil nahin raha! Asim
****************************************
Ghazab dhaati hai jab dekho ghata ghanghor hai ladki
Chaba jaayegi nazaron se, yeh aadam-khor hai ladki! Asim
*****************************************
Aatishein chuwen, Dil se use laga ke dekhein
Zulf o rukhsaar ko honton se laga ke dekhein! Asim
*****************************************
Nutq aaya toh ghalazat ka juwala phoota
Hai re insaan... yeh kaisa irtaqa paaya! Asim
*****************************************
Ab koi hasratey deedaar nahin
Apna jalwa hai nirala Asim! Asim
***************************************
Bhoolne waalon se gila kaun kare
Bhool jaon usse dua hai meri..! Asim
***************************************
Namumkinaat ka sehra, athah, bahut gehra
Lekin umeed dil mein abhi tilmila rahi hai..
Yeh waqt hai adu gar, hai kya bisaat iski
Kahin kaamraani chupkar mujhko bula rahi hai! Asim
****************************************
  
Hon khoob marasim rufqa se, qurbat hai mualij har ghum ki
Par itne bhi nazdeek na aao, saansein tak dushwaar lagein! Asim
Marasim - relations, rufqa - friends, qurbat - closeness, Mualij - medicine, dushwaar - difficult..!
****************************************
Dharm ke naam pe behte hue khoon se aage
Ek sangam, ek milan ki kahani likh do..! Asim
***************************************
Rubaru hain khwab mein dono
Ik tasalsul mein zindagi si hai
Phir bhi aankh mein nami si hai
Baat dilbar yeh ajnabi si hai! Asim
*************************************
Paas hain par woh padh nahin sakte
Koi darsi kitaab hogaye hain hum..! Asim
  
************************************
Ek mein kya abhi aayenge na jaane kitne
Raah mein takte hain diwaane kitne
Itni aasaan nahin iss zamaane ki ravish
Zindagi tumko sunayegi fasaane kitne! Asim
*************************************
Yak-tarfa mohabbat toh bekaar hi rehti hai
Kab khaali musbat se koi johar banta hai..! Asim
*************************************
Hua hun abr se paida, sawaale charkh hun mein
Tere jahaan mein zaahid... mera jawaab kahan! Asim
*************************************
Iss qadar chaaha usse, zindagani keh gaye
Ik ghazal faani thi woh, javedaani keh gaye! Asim
*************************************
Us se nisbat rakhey they sitaarey mere
Munhadim hogaye khwab saarey mere! Asim

*************************************

Toot kar chaahte huwe, toot na jaon kahin
Ishq mein maula mere itna karam kar de zara! Asim
*************************************
jab insaan tishnagi se choor choor hojata hai,
nigahein tilsm mein qaid hojati hn...
tab registan nakhlistan lagne lagta hai,
aur sehra samandar ban jaata hai...
suraab zindagi ka ek sach hai..! Asim
*************************************
Inhi ke dum se jahaan hai apna
Yeh zameen aasmaan hai apna! Asim
Ammi

Dil jin se muta'sir hai, hain fahmidah yeh arbaab
Kuch log zamaane mein taskeen ke hain asbaab! Asim
**************************************
Apne alfaaz pe naadim hun ba khayaale mehshar
Tu bhi nadaan hai... samajhti hi nahin baat meri
Tujh ko naraaz karna, mera maqsad toh na tha
Aur bolun tujh se uncha itni toh nahi awqaat meri! Asim
*************************************
Khudaya mard ko tu ne, koi tohfa dia hota
Agar aurat banayi thi toh usko dil dia hota! Asim
*************************************
Tere kooche mein darr lage hai mujhe
Jo hai qaatil, wahi masiha hai..! Asim
*************************************

Dil nadaan parinda hai..!


Baaton hi baaton mein aksar khud ko tootte dekha hai
Maloom nahin insaa'n mujh mein kaise ab tak zinda hai
Girta bhi raha, udta bhi raha, ambar se mila dharti pe raha
Kya hota qafas yaan jaane kaun, dil nadaan parinda hai..!

Kaise mein kahun ab khud ki jhijak, andar hi baghavat hai apne
Kabhi ban hi gaye, kabhi toot gaye, dekhe hain bahut hum ne sapne
Kabhi yun bhi hua mein khud pe hansa kabhi lamha lamha rulata hai
Roontha hun kabhi khud se mein bahut kabhi pyaar bhi khud pe aata hai
Ab kis ko pata kal hoga kya, dil apna dukhda gaata hai
Dasta hai kahin ik naag humein, yeh zamana koi darinda hai
Maloom nahin insaa'n mujh mein kaise ab tak zinda hai
Baaton hi baaton mein aksar khud ko tootte dekha hai
Maloom nahin insaa'n mujh mein kaise ab tak zinda hai
Girta bhi raha, udta bhi raha, ambar se mila dharti pe raha
Kya hota qafas yaan jaane kaun, dil nadaan parinda hai..!

Aaloodah zahen, hain log yahan, aksar hi hua sangsaar hun mein
Mehnat se kabhi na peeche hata phir bhi beitha bekaar hun mein
Mehfil mein qalam sar apna hua, apnon se bahut ruswa bhi huwa
Khilwat mein kabhi jo socha toh, paaya bahut lachaar hun mein
Ab kisse gila aur kaisa gilaa, insaa'n ka kahan insaa'n hai huwa
Rehbar O' mere zara mujhko bata, kya hona ab aainda hai
Kya hota qafas yaan jaane kaun, dil nadaan parinda hai..
Maloom nahin insaa'n mujh mein kaise ab tak zinda hai
Baaton hi baaton mein aksar khud ko tootte dekha hai
Maloom nahin insaa'n mujh mein kaise ab tak zinda hai
Girta bhi raha, udta bhi raha, ambar se mila dharti pe raha
Kya hota qafas yaan jaane kaun, dil nadaan parinda hai..! Asim

- Khan M. Asim... 26/05/2013... 01:57 PM... A meet with myself before 27th birthday..!

Friday, May 24, 2013

Sangdil se kya kehna...!


Kya rakha hai jeevan mein 
Zindagi se kya lena
Sangdil sanam hai woh
Sangdil se kya kehna
Sangdil se kya kehna...!

Kisko yaan padi teri
Kisko teri chahat hai
Ab toh ghum ko sehne ki
Humko hui aadat hai
Dil pe hai khizan chayi
Rang ab na nikhrega
Kya karega gul khilke
Kya bahaar se lena 
Sangdil sanam hai woh
Sangdil se kya kehna
Sangdil se kya kehna...
Kya rakha hai jeevan mein 
Zindagi se kya lena
Sangdil sanam hai woh
Sangdil se kya kehna
Sangdil se kya kehna...!

Raat aur andhera hai
Zindagi yeh sehra hai
Har taraf chatanon mein
dushmano ka dera hai
Dosti dikhakar woh
Chupke waar karta hai
Kaun mautabar hai ab
Dosti se kya lena
Sangdil sanam hai woh
Sangdil se kya kehna
Sangdil se kya kehna...
Kya rakha hai jeevan mein 
Zindagi se kya lena
Sangdil sanam hai woh
Sangdil se kya kehna
Sangdil se kya kehna...!

Humko iss mohabbat se
Ab hui adavat hai
Dil ke andar andar hi
Chid gayi baghavat hai
Sach kahun mohabbat mein
Aur ab rakha kya hai
Kya kisi ko dil dena
Kya kisi se dil lena
Sangdil sanam hai woh
Sangdil se kya kehna
Sangdil se kya kehna...
Kya rakha hai jeevan mein 
Zindagi se kya lena
Sangdil sanam hai woh
Sangdil se kya kehna
Sangdil se kya kehna...!

- Khan M. Asim... 24/05/2013... 12:20 PM!

Tuesday, May 21, 2013

Har baat pe karti woh ik bahana hai..!


Har baat pe karti woh ik bahana hai
Hamara kaam mahez muskurana hai

Kaam ki baat woh nahin sunti
Usko aata faqat dil jalana hai

Tamaam duniya ke jurm hum ne kiye 
Hum se mansoob har fasana hai

Hum ko usse sabhi tawaqqa hain
Baat gar che yeh ahmaqana hai

Berukhi se yaan mar raha hun mein
Phir bhi andaaz aashiqana hai

Saath rehkar wafa ka kya maani
Door rehkar ahed nibhana hai

Baat uski na ab karo Asim
Ab toh khud ka pata lagana hai..!

- Khan M. Asim... 20/05/2013... 02:33 AM!

Thursday, May 16, 2013

Two Qatat


Life:

Waqt teri berukhi se hum nahin darr jayenge
Tu chala le teer apne hum sipar ban jayenge
Roshnai khatam bhi ho khaame-e-dil se mere 
Harf akhir harf hain khud bakhud ban jayeinge..! 

Khan M. Asim... 08/05/2013... 02:15 PM..!

berukhi - ignorance, darr - fear, teer - arrow, sipar - shield, roshnai - ink, khaame - pen, harf - words..!

Delhi rapes:


Thaanedaaron ki dalali kya koi nayi baat hai
Suwarron se bhi ghinauni ek inki zaat hai
Pot de unn pe siyahi jo aabroo ko tolte hain
Dilli agar dum hai bata de inki kya awqaat hai! 

Khan M. Asim... 20/04/2013..!

Kaise vaade pe tere aitbaar karun..?


Kab talak khud pe ikhtiyaar karun
Kaise vaade pe tere aitbaar karun

Meri baatein sabhi hawa ne suni
Uspe turrah ke tujhko pyaar karun

Haan kaam ki baat tu agar kar le
Tujh pe dil kya, jaan nisaar karun! 

Khan M. Asim... 15/05/2013... 01:13 PM!

Surrender..!


Mein jaanta hun baad mein pachtaogey aap
Kaash thaam liya hota
Doobte samay hi mujhe
Kaash badha dia hota
Apna haath mere saharey ke liye
Umeed ki low ab bujhne lagi hai
Phadphadati, chatpatati aakhri shama
Tund-ro mein ukhad rahi hai
Zahen maflooj sa hai
Dil pe sakta sa hai
Khayalaat gum sum hain
Aur halaat dardnaak
Mein kamzor na tha
Magar ab hun...
Kab tak ladun
Is Duniya se, 
insaano se
Ab toh surrender hona hai
Aakhir haar Hui hai meri
Ehsaason, jazbaaton se
Khud se, apni baaton se..!
Khan M. Asim... 15/05/2013... 08:48 PM!

Monday, May 13, 2013

Aye khuda tujh ko maza aata hai kya?



Zindagi phir se tamasha ban rahi hai
Aye khuda tujh ko maza aata hai kya?

Jaanta hun mein sabhi asraare zeest
Tujh ko bhi insaan nazar aata hai kya?

Raat pagli kar rahi thi shayeri
Din koi khwaja sara lagta hai kya?

Bheed sab mehfi mein uski aagayi
Uska hi jalwah juda lagta hai kya?

Hum se poocho shayeri kya cheez hai
Zindagi mein aur bhala rakhkha hai kya?

Ek teri aarzoo ko seenchte hum mit gaye
Tu ne chehra dekhte hi keh dia lagta hai kya?

Asim yeh shikwah kaisa mehboob se
Uske lab pe mojazah lagta hai kya?

- Khan M. Asim... 13/05/2013...03:35 PM..!

Aashmaali..!


Zara sun le aashmaali, meri rizq dene waale
Meri shayeri ko ghalib, meer ki zubaa'n de

Jo koi na tod paaye, na mitey kisi adu se
Meri aarzoo ko wusuat wuju ke darmiyaa'n de

Karein baat jaa'n sawaqib, rahey meh qareeb masgaan
Mujhe aisi anjuman de, aisa koi jahaa'n de

Chalun jis taraf bhi chaahe, miley uski baaziyaabi
Woh milegi kab kahan pe, uska koi nishaa'n de

Kiye khoob tu ne vaade, ke bahisht mein hain nehrein
Tishna labo'n ko hum se, ab de, abhi, yahaa'n de

Na sawaal koi pooche, na jawaab ka ho zimma
Sukoone qalb wala mujh ko koi makaa'n de

Ghazlein meri hain tair, abhi naunihaal hi hain
ASIM ki shayeri ko, udne ko aasmaa'n de!

- Khan M. Asim... 13/05/2013... 03:58 AM..!

Friday, May 03, 2013

Uske dil ka ka chain hun mein..!


Uske dil ka ka chain hun mein
Aur kitna bechain hun mein

Subak subak ke din hai guzra
Dard mein jalta nain hun mein

ASIM waqif hai woh sab se
Phir kyun ghum ki rain hun mein..

Uske dil ka ka chain hun mein
Aur kitna bechain hun mein..! 

Khan M. Asim... 02/05/2013... 05:25 PM..!

Thursday, May 02, 2013

Zindagi se kya shikwa... dard aazmaata hai..!


Zindagi se kya shikwa... dard aazmaata hai...
Jab charagh bujhta hai, khoob phadphadata hai
Kya kahein isse dilbar, khel hai naseebon ka
Shaam dhalte dhalte hi, dil bhi doob jata hai...
dil bhi doob jata hai... dil bhi doob jata hai..
Zindagi se kya shikwa... dard aazmaata hai...
Jab charagh bujhta hai, khoob phadphadata hai..
khoob phadphadata hai... khoob phadphadata hai..
Zindagi se kya shikwa... dard aazmaata hai...
Dard aazmaata hai... dard aazmaata hai...!

Roshni ko rangon se, jaane kya adavat hai
Jis taraf nazar daali, bebasi ki haalat hai
Har taraf andhera hai, har diwaar hai kaali
Berukhi teri yaara... ek hum pe aafat hai...
Zindagi hai pheeki ab, sookha dil hamara hai
Hum ko yeh baharon ka, rang aazmata hai... 
Rang aazmata hai... rang aazmata hai...
Zindagi se kya shikwa... dard aazmaata hai...
Jab charagh bujhta hai, khoob phadphadata hai..
khoob phadphadata hai... khoob phadphadata hai..
Zindagi se kya shikwa... dard aazmaata hai...
Dard aazmaata hai... dard aazmaata hai...!

Raahein khoyi khoyi hain, zarrah zarrah hairaa'n hai
Manzilon ki chaahat mein, aadmi pareshaa'n hai
Munqasim hui saansein, ek jaa'n pe toofaa'n hai 
Ek tu hi tha yazdaa'n, tu bhi hum se naalaa'n hai
Na hi qaid mein hum hain, na faraar milti hai
Aaj hum pe mushkil mein... waqt muskuraata hai...
Waqt muskuraata hai... waqt muskuraata hai...
Zindagi se kya shikwa... dard aazmaata hai...
Jab charagh bujhta hai, khoob phadphadata hai...
Khoob phadphadata hai... khoob phadphadata hai..
Zindagi se kya shikwa... dard aazmaata hai... 
Dard aazmaata hai... dard aazmaata hai...!
- Khan M. Asim... 02/05/2013... 04:30 PM..!

Wednesday, May 01, 2013

Jism dhalne talak tum laut aana..!

Tumhari yaad ab soney nahin deti

Ajab ghubbar khayalon pe chaya hai

Neend nikli kisi safar ko hai...

Jumood saanson mein raft aaya hai

Kahin utaaq bikhra pada saara

Kahin manzar hua siyaah, taareek

Maiyoosi zameendaar banke beithi hai

Aur maskan hua hai maqtal ik

Tumhari zulf mein uljhi hui,

Hayaat mehroom hai massarrat se...

Bahut cheekhta hun mein mann mein

Bahut baazgashtein sunta hun...

Abas taskeen dil ko milti hai,

Tumhari muskurati nazron se...

Yeh tasveer toh niraali hai

Zulf jis mein ghuma ke daali hai

Magar phir ik tishnagi sataati hai

Aarzoo milne ki aundh aati hai...

Umeed jalweh ki yaas hoti

Zindagi phir udaas hoti hai

Dil dhadakta hai phir yeh zoron se

Aur aansu huwe hain sehra se

Zahen banjar huwa khayalon se

Diary bhar gayi sawaalon se...

Kahin koney mein maut aa beithi

Zeest panjon mein aa phansi iske,

Ab ke bachke nikalna mushkil hai

Band honey ko ab ke yeh mill hai...

Saansein madhdham hui, harkatein aari

Ab ke bikhra do zulfein yeh sari...

Baad maiyyat ke haal poochogi

Khabar milte hi daud kar aana

Meri aatma ab marr rahi hai

Jism dhalne talak tum laut aana..!

- Khan M. Asim...01/05/2013... 12:07 PM..! 

..........
ghubbar - dust, jumood - momentum, raft - speed, Utaaq - room, manzar - scenario, siyaah - black, taareek - dark, maskan - home, maqtal - place of execution (death), maiyoosi - hopelessness, zameendaar - landlord, zulf - curls, hayaat - life, mehroom - deprived, massarrat - joy, baazgasht - echo, abas - just, taskeen - satisfaction, niraali - wonderful, tishnagi - thirst, aarzoo - desire, aundh - returns quickly, jalwah - sight, yaas - despair, udaas - sad, zahen - mind, sehra - desert, banjar - barren, zeest - life, panja - fist, madhdham - diminishing, harkatein - movements, aari - void, maiyyat - death body, aatma - spirit, jism - body!