Sunday, May 26, 2013

Munfarid Ash'ar..!

Tum udaas na hona meri jaane hayaat
Kya huwa? gar siyaah, taareek hai raat! Asim
********************************
Kaash koi le jaaye mujhko wahan
Jiss des mein muft niwaale milein
Karna na padey koi kaam jahaan
Ghar beithe chaahne waale milein! Asim
********************************
Ghum hi paaya hai wafaon ke siley mein hum ne
Ishq taskeen ka manba nahin ho sakta..! Asim
*********************************
Mukhtasar yun ke dil udaas hai
Tafseel yun hai ke yaad aati hai! Asim
*********************************
Ab kaun jaanta hai khatawaar kaun hai
Dil ne usse pukaar ke ruswa Kia mujhe! Asim
**********************************
Itna bhi tu ghamand na kar ab warna pachtayega
Jo hai Tera woh bhi mera, ek din hojayega
Iss jhoote sansaar pe yaara, itna kya itrana
Waqt ki fitrat mein hai dhoka, waqt badal jayega! Asim
**********************************
Khoob riyazi kar beithe
Ishq mein par kuch bhi na hua
Dil ko lagayi dil se zarab,
Haasile zarab kuch bhi na hua! Asim
Riyazi - mathematics, zarab - multiply
**********************************
Bejaa parvaaaz hai dil parindey ki
Tamam tehreek fiza mein tehleel hui! Asim
**********************************
Aadmi ki zindagi mein aisa waqt bhi aa jaata hai
Jab zindagi doobne lagey koi kinara sujhai na de! Asim
***********************************
Meri naakaami ki itni tash-heer na kar
Zindagi phir Teri tadfeen na hojaaye kahin..! Asim
***********************************
Taskeen mili phir mujhko daher mein
Jo tum ne pukaraa, mujhe pyaar se..! Asim
***********************************
Jab umeed ka sooraj doob jata hai
Pyaar ka charaagh muskurata hai..! Asim
***********************************
Tamaam hi rastey masdood nazar aate hain
Khuda jaane roshni hogi ya andhera hoga! Asim
***********************************
Kab talak khud pe ikhtiyaar karun
Kaise vaade pe tere aitbaar karun
Meri baatein sabhi hawa ne suni
Uspe turrah ke tujhko pyaar karun
Haan kaam ki baat tu agar kar le
Tujh pe dil kya, jaan nisaar karun! Asim
**********************************
Nami aankhon mein dil bujha sa hai
Shafaq mein ghum koi ghula sa hai
Tumhari yaad meri jaan le legi...
Rang phoolon ka ab chubha sa hai! Asim
***********************************
Nami aankhon mein dil bujha sa hai
Shafaq mein ghum koi ghula sa hai..!Asim
************************************
Neend aankhon se rukhsat Hui
Koi ban ke qaza sawaar hua! Asim
************************************
Unhein fursat kahan itni ke hum se baat tak kar lein
Yahan pe dil hai beqaabu, Yahan pe jaan jaati hai..! Asim
*************************************
Hazrate naaseh hijr mein hajar huwe hain hum
Ab toh batla do tarkeeb koi, takleef rifa hone ki! Asim

Hazrate Naaseh - Mr. adviser, hijr - separation, hajar - stone, tarkeeb - method, takleef - pain, rifa - relief..!
****************************************
Haar maani, sar jhukaya... ufff...
Maut aakhir ko kyun nahin aati! Asim
****************************************
Mohsinan-e-suman pahunche phir daal par
Zara bach kar tum rehna aye ahle chaman! Asim
****************************************
Muddaton muntazir rahey tere
Aaj aayi hai jaan lene ko..! Asim
*****************************************
Phoolon mein khushbu hai, aankhon mein kaajal hai...
Phoolon mein khushbu hai, aankhon mein kaajal hai
Dil mein samayi hai tu, Dil mein samayi hai tu...
I love you... love you... love you..! Asim

*****************************************

Duniya badle, insaa'n badlein, badlein saare rang
Apni dhun mein hi rehte hain, badlein kahan malang! Asim
*****************************************
Khwab mein mahek tujhse, tu hi raat raani hai
Subah mein ramaq tujhse, tu hi zindagani hai! Asim
*****************************************
Tareeki gar hai muqaddar, gila nahin sooraj
Tera nikalnaa... tujhi pe zawaal banta hai! Asim
*****************************************
Maslak hai ishq apni, mazhab hai ishq apna
Ulfat se mere maula mazhab ko door rakhna! Asim
*****************************************
Ek toofa'n mein tere jalwe ko paresha'n paaya
Hasratey deedaar meri, bhanwar mein hi rahi..! Asim
*****************************************
Bhaley ruswa bahut hun par nahin mayoos kismat se
Mujhe mere muqaddar ka khuda dega, bahut dega
Na tum se maangta hun kuch na koi tum se chahat hai
Mujhe humdard bhi behtar khuda dega, bahut dega! Asim
******************************************
Naqsh o nigaar aap ka wallah marhaba
Aye husn tujhko bandagi, aadaab arz hai! Asim
*******************************************
Ajab shaher hai yeh justujoo ka, ke zindagi pur-jihaad hai bas
Kisey padi hai yahan kisi ki, qafas mein duniya azaad hai bas! Asim
Justujoo - slog, jihaad - struggle, qafas - cage...
********************************************
Thaanedaaron ki dalali kya koi nayi baat hai
Suwarron se bhi ghinauni ek inki zaat hai
Pot de unn pe siyahi jo aabroo ko tolte hain
Dilli agar dum hai bata de inki kya awqaat hai! Asim
********************************************
Na aqal hai na shaoor hai aur itna gharoor hai
Ek qaatil ke muqabil, adliya majboor hai
Kaisa yeh dastoor hai Modi qafas se door hai
Teri munsifi, tera faisla humko na-manzoor hai! Asim
********************************************
Masjidon ke hujron mein
Roz sajde karta hun
Maangne dua apni,
Aur kiske ghar jaon?
Tu bata kidhar jaon??? Asim
*******************************************
Tere bin... ab iss mehfil mein
Tanha mein aur tanha samandar..! Asim
*******************************************
Tu hayaat ka asasa, tera ishq hai sarmaya
Jab kuch samajh na aaya Tera naam gungunaya! Asim
*******************************************
Aye zindagi ab kahein tujhse kya hum
Ke doob ke marne ko jee chahta hai! Asim
*******************************************
Har kaam mein aag lagi hai, har cheez mein haar hamari
Asraar huwe hain huwaida hum pe sab kambakhti ke! Asim
*******************************************
Banja meri dulhan ab toh, kitni der lagayegi
Mumbai meri baah pakad le warna shaher badal dunga! Asim
********************************************
Kis se karein shikayat ASIM shikast ki ab
Mauka parast hain na matlab parast hain! Asim
********************************************
Duniya ne mujhko iss tarah begana kar dia
Jaise kisi bhi kaam ke qaabil nahin raha! Asim
****************************************
Ghazab dhaati hai jab dekho ghata ghanghor hai ladki
Chaba jaayegi nazaron se, yeh aadam-khor hai ladki! Asim
*****************************************
Aatishein chuwen, Dil se use laga ke dekhein
Zulf o rukhsaar ko honton se laga ke dekhein! Asim
*****************************************
Nutq aaya toh ghalazat ka juwala phoota
Hai re insaan... yeh kaisa irtaqa paaya! Asim
*****************************************
Ab koi hasratey deedaar nahin
Apna jalwa hai nirala Asim! Asim
***************************************
Bhoolne waalon se gila kaun kare
Bhool jaon usse dua hai meri..! Asim
***************************************
Namumkinaat ka sehra, athah, bahut gehra
Lekin umeed dil mein abhi tilmila rahi hai..
Yeh waqt hai adu gar, hai kya bisaat iski
Kahin kaamraani chupkar mujhko bula rahi hai! Asim
****************************************
  
Hon khoob marasim rufqa se, qurbat hai mualij har ghum ki
Par itne bhi nazdeek na aao, saansein tak dushwaar lagein! Asim
Marasim - relations, rufqa - friends, qurbat - closeness, Mualij - medicine, dushwaar - difficult..!
****************************************
Dharm ke naam pe behte hue khoon se aage
Ek sangam, ek milan ki kahani likh do..! Asim
***************************************
Rubaru hain khwab mein dono
Ik tasalsul mein zindagi si hai
Phir bhi aankh mein nami si hai
Baat dilbar yeh ajnabi si hai! Asim
*************************************
Paas hain par woh padh nahin sakte
Koi darsi kitaab hogaye hain hum..! Asim
  
************************************
Ek mein kya abhi aayenge na jaane kitne
Raah mein takte hain diwaane kitne
Itni aasaan nahin iss zamaane ki ravish
Zindagi tumko sunayegi fasaane kitne! Asim
*************************************
Yak-tarfa mohabbat toh bekaar hi rehti hai
Kab khaali musbat se koi johar banta hai..! Asim
*************************************
Hua hun abr se paida, sawaale charkh hun mein
Tere jahaan mein zaahid... mera jawaab kahan! Asim
*************************************
Iss qadar chaaha usse, zindagani keh gaye
Ik ghazal faani thi woh, javedaani keh gaye! Asim
*************************************
Us se nisbat rakhey they sitaarey mere
Munhadim hogaye khwab saarey mere! Asim

*************************************

Toot kar chaahte huwe, toot na jaon kahin
Ishq mein maula mere itna karam kar de zara! Asim
*************************************
jab insaan tishnagi se choor choor hojata hai,
nigahein tilsm mein qaid hojati hn...
tab registan nakhlistan lagne lagta hai,
aur sehra samandar ban jaata hai...
suraab zindagi ka ek sach hai..! Asim
*************************************
Inhi ke dum se jahaan hai apna
Yeh zameen aasmaan hai apna! Asim
Ammi

Dil jin se muta'sir hai, hain fahmidah yeh arbaab
Kuch log zamaane mein taskeen ke hain asbaab! Asim
**************************************
Apne alfaaz pe naadim hun ba khayaale mehshar
Tu bhi nadaan hai... samajhti hi nahin baat meri
Tujh ko naraaz karna, mera maqsad toh na tha
Aur bolun tujh se uncha itni toh nahi awqaat meri! Asim
*************************************
Khudaya mard ko tu ne, koi tohfa dia hota
Agar aurat banayi thi toh usko dil dia hota! Asim
*************************************
Tere kooche mein darr lage hai mujhe
Jo hai qaatil, wahi masiha hai..! Asim
*************************************

No comments: