Wednesday, May 01, 2013

Jism dhalne talak tum laut aana..!

Tumhari yaad ab soney nahin deti

Ajab ghubbar khayalon pe chaya hai

Neend nikli kisi safar ko hai...

Jumood saanson mein raft aaya hai

Kahin utaaq bikhra pada saara

Kahin manzar hua siyaah, taareek

Maiyoosi zameendaar banke beithi hai

Aur maskan hua hai maqtal ik

Tumhari zulf mein uljhi hui,

Hayaat mehroom hai massarrat se...

Bahut cheekhta hun mein mann mein

Bahut baazgashtein sunta hun...

Abas taskeen dil ko milti hai,

Tumhari muskurati nazron se...

Yeh tasveer toh niraali hai

Zulf jis mein ghuma ke daali hai

Magar phir ik tishnagi sataati hai

Aarzoo milne ki aundh aati hai...

Umeed jalweh ki yaas hoti

Zindagi phir udaas hoti hai

Dil dhadakta hai phir yeh zoron se

Aur aansu huwe hain sehra se

Zahen banjar huwa khayalon se

Diary bhar gayi sawaalon se...

Kahin koney mein maut aa beithi

Zeest panjon mein aa phansi iske,

Ab ke bachke nikalna mushkil hai

Band honey ko ab ke yeh mill hai...

Saansein madhdham hui, harkatein aari

Ab ke bikhra do zulfein yeh sari...

Baad maiyyat ke haal poochogi

Khabar milte hi daud kar aana

Meri aatma ab marr rahi hai

Jism dhalne talak tum laut aana..!

- Khan M. Asim...01/05/2013... 12:07 PM..! 

..........
ghubbar - dust, jumood - momentum, raft - speed, Utaaq - room, manzar - scenario, siyaah - black, taareek - dark, maskan - home, maqtal - place of execution (death), maiyoosi - hopelessness, zameendaar - landlord, zulf - curls, hayaat - life, mehroom - deprived, massarrat - joy, baazgasht - echo, abas - just, taskeen - satisfaction, niraali - wonderful, tishnagi - thirst, aarzoo - desire, aundh - returns quickly, jalwah - sight, yaas - despair, udaas - sad, zahen - mind, sehra - desert, banjar - barren, zeest - life, panja - fist, madhdham - diminishing, harkatein - movements, aari - void, maiyyat - death body, aatma - spirit, jism - body!

No comments: