Friday, April 25, 2014

Kitna khud ko samjhaon ab hota maula sabar nahin..!

Dasht o bayabaa'n ghoom lia mushk ki koi khabar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota maula sabar nahin
Dasht o bayabaa'n ghoom lia mushk ki koi khabar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota maula sabar nahin..!

Kaisi soch mein tu ne mujh ko maula mere daal dia
Manzil ki toh baat hai dooji rasta aata nazar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota maula sabar nahin
Dasht o bayabaa'n ghoom lia mushk ki koi khabar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota maula sabar nahin..!

Jo kal tak the raah mein phaile woh manzil ke hum saaya
Jin ko tu ne raah dikhayi woh bhi the sab hum paaya
Bas ik hum pe toot rahi kyun bijli saare aalam ki
Imaa'n ko bas dil se laga kar aakhir hum ne kya paaya
Hum pe bhi tu apna karam kar hum bhi hain mohtaaj tere
Sab ko hi mila man o salwa kuch apni lekin nazar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota maula sabar nahin
Dasht o bayabaa'n ghoom lia mushk ki koi khabar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota maula sabar nahin..!

Taareeki hai har sun pheili shabe zulmaat hai jaari
Khud hi se hai hum ko wehshat ajab hai kaifiyat taari
Haan isko tu hi jaanta hai ke hum hain shabistaa'n waale
Ghazab thokar humein kyun bhala phir haalaat ne maari
Unko bhi dia tu ne jam kar jinko teri khabar nahin
Faqat apni dunaon mein phir kyun maula asar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota maula sabar nahin
Dasht o bayabaa'n ghoom lia mushk ki koi khabar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota maula sabar nahin..!

- Khan M. Asim... 25/04/2014... 01:15 PM..!

Kab tak khud ko jodein aakhir toot toot ke bikhar rahe hain..!

Kab tak khud ko jodein aakhir toot toot ke bikhar rahe hain
Log maze mein soye hue hain aur hum jagte mar rahe hain!


Hum shabzaadeh shab gazeedah din ki kahani kise sunayein
Kabhi waqt ke shahenshah hum hain kabhi takht se utar rahe hain!

Unhein shikayat ke ishq kyun hai humein bhi shikwa ke tark kyun hai
Kabhi jo vaadah kiye the hum se kyun aaj aise mukar rahe hain!

Tumhara kehna sahi hai naaseh magar yahan pe toh sarkashi hai
Udaan uski ho hum se oonchi khudi ke par hum katar rahe hain!

Asim chodo saare qisse, ishq vishk yeh sab hain baatein
Jo kehte the wafa karenge naame wafa se woh darr rahe hain!

- Khan M. Asim...21/04/2014... 02:25 AM!

Wednesday, April 09, 2014

Aye husn waale yaad kar kabhi tu diwaane ko..!

Aye husn waale yaad kar kabhi tu diwaane ko
Humko bhi lamhe chahiyein Zara muskuraane ko
Aye husn waale yaad kar kabhi tu diwaane ko..!

Tere baghair ab kahin taskeene dil nahin
Dil bhi yeh keh raha, dil toh hun dil nahin
Kya kijiye ke ab yahan hum sogwaar hain
Go hain sabhi pe qaadir, mukhtaare dil nahin
Auron se Tera milna auron se bas mohabbat
Humko mili tu zaalim faqat dil jalaane ko
Aye husn waale yaad kar kabhi tu diwaane ko
Humko bhi lamhe chahiyein Zara muskuraane ko
Aye husn waale yaad kar kabhi tu diwaane ko..!

Kab tak jiyenge aise Teri aarzoo mein beithe
Kab lamhe khatam honge Teri justujoo mein beithe
Tu ne kaha milegi tu humko zaroor ek din
Hum jee rahe hain ab tak Teri guftugoo mein beithe
Aasaan hai kya jeena tanha tu hum se pooch
Hum jee rahe hain qaatil tujhe yaad aane ko
Aye husn waale yaad kar kabhi tu diwaane ko
Humko bhi lamhe chahiyein Zara muskuraane ko
Aye husn waale yaad kar kabhi tu diwaane ko..!

- Khan M. Asim... 07/04/2014... 12:57 PM..!

Udaasiyon ka Hamla!

"Udaasiyon ka Hamla"

Safar taweel hai
Yeh mein jaanta tha
Mushkilon se waqif tha
Magar haalaat,
Bad se badtar ho rahe hain..
Sawaal doulat ka nahin
Ana ka hai...
Khudi ka hai..!
Kisi ki bewajah talkhi
Kisi ke tu tadak jumley
Kisi ka nigah uthakar
Bhanwein tana kar dekhna
Kisi ka nazrein pher lena
Qalb o zahen ko jhinjod rahe hain,
Maano ab koi waqat hi na rahi!
Na jaane kyun...
Har sun taareeki hai
Naseh hazaar hain
Charahgar koi nahin!
Ek ajab shor bhi hai
Khaamoshi bhi...
Mustaqbil sujhai nahin deta
Aur haal, behaal hai
Maazi ki chand khurafaat
Kabhi hansaati hain
Kabhi rulati hain
Neend shab gazeedah hai
Khwaab toot rahe hain
Waqt napaidaar hai
Ahbaab hain hi nahin
Raqeeb mein khud hi hun
Mahez khila hai
Uljhi soch hai
Udaasiyon ka hamla hai
Kal shab se..!
- Khan M. Asim... 27/03/2014... 12:23 PM..!

Sab se bezaar hain kis se ab pyaar karein!

Sab se bezaar hain kis se ab pyaar karein
Sochte sochte jeena dushwaar karein!

Ishq gul se bhi kaanto se bhi ho sakta hai
Yeh zaroori toh nahin tumse izhaar karein!

Hum ne maana ke jafa hai wafa ka matlab
Dil-e-makhmoor ko kaise bedaar karein!

Rang manzar se utarke kahin ja beithe
Kaise sehra ko bata tanha gulzaar karein!

Kab talak aur sahein unke taghaful Asim
Ishq karte rahein, waqt bekaar karein!

- Khan M. Asim... 15/03/2014... 11:38 AM..!

Kahin pe bahaar hai kahin pe khizaa'n..!

Kahin pe bahaar hai kahin pe khizaa'n
Ajab hai maula Tera yeh jahaa'n
Ajab hai maula Tera yeh jahaa'n
Kahin pe bahaar hai kahin pe khizaa'n..!

Dil hai khamosh utaaq zandaa'n
Guftugu karta aadmi tanhaa'n
chaahaton ko dasein kaali ratiyaa'n
Kisko sunayein hum ab yeh daastaa'n
Ajab hai maula Tera yeh jahaa'n
Kahin pe bahaar hai kahin pe khizaa'n..!

Neem khwabi mein ghar se chalte hain
Dagmagaate hain phir bhi chalte hain
Be khabar hain apni manzil se
Lekin raahon pe hum nikalte hain
Haadsa hai yeh ya naseebaa'n
Maut si koi zeeste hairaa'n
Ajab hai maula Tera yeh jahaa'n
Kahin pe bahaar hai kahin pe khizaa'n..!

Ab toh batla de kaamraani hai kahaa'n
Khabare manzil ki woh nishaani hai kahaa'n
Ishq na-mehram, raahatein ghair hain kyun
Sehra sehra mein phirein gulfishaani hai kahaa'n
Zindagi se bhi kabhi hum milenge ya nahin
Sochte sochte ashk rehte hain ravaa'n
Ajab hai maula Tera yeh jahaa'n
Kahin pe bahaar hai kahin pe khizaa'n..!

- Khan M. Asim... 10/03/2014... 04:26 AM..!