Monday, March 31, 2008

Mazhabi diwaar se na baandho dil ko!


Mazhabi diwaar se na baandho dil ko

Yeh musaafir hai chala jaane do

Rang aur nasal ka hataa do pehra

Uska chehraa nazar aane do

Yun to shab-khun na chalao dil par

Uski aankhon ka nasha chaane do

Sirf guftaar se diwaana na karo

Toor-e-dil ko bhi jala jaane do

Zindagi saaz banaa do meri

Apne rukh se bhi hawa aane do

Matlabi dost samajhlo chaahe

Meri khushiyon ko mujhe paane do

Ab ke ASIM se juda hona na

Apni chilman ki ghata chaane do...!

- Khan M. Asim...31/03/2008...3:42 PM...Media Monks Office...!

Wednesday, March 26, 2008

Tujhse milkar tujhe bata dunga...!


Murjhe murjhe se jazbaat liye

Har aansu mein ik aas liye

Phir teri jaanib lafzon ko hawa deta hun

Aa tujhe har raaz bata deta hun...

Mujhko deewana banakar koi bharam na dena

Dil todna ho toh muskura dena

Koi zaroorat nahin hai mujhse milne ki

Gar umar-bhar hai juda juda rehna

Chaandni kyun pareshaan hai?

Raat ka kaam hai dagha dena...

Tu meri ho nahin sakti

Kya yeh sach hai bata mujhko?

Koi toh dard hoga seene mein

Aisi khaamoshi na dikha mujhko

Tu ne samandar ko aaj khoda hai

Gehraiyon se na dara mujhko...

Ab ke milkar tujhe bata dunga

Kyun sitaare rahen hain gardish mein?

Tere daaman pe kyun hai daagh nahin?

Kyun harasaan hai aaj khilwat bhi?

Tere neinon ko sab dikha dunga

Tujhse milkar tujhe bata dunga...!

- Khan M. Asim...23/03/2008...12:25 PM...ETV News office...Hyderabad!

Friday, March 21, 2008

!!! Ghazal !!!


Kab tak chupayega zamaane se

Ishq chupta nahin chupaane se

Yeh woh aansu hai job eh nikla

Yeh to banta nahin banaane se

Kitne sarkash jawan hue ismein

Kitne daanaa hue diwaane se

Tere daaman tak toh aa pahuncha

Phir bhi milte nahin bahaane se

Safar mein har dum hi tera paas raha

Khayaal badhte rahe bhulaane se

Tujhko sunkar humein khushi milti

Taazgi tere bulaane se...

Tujhko sunni hain nayi nayi baatein

Apne jumley wahi puraane se

Asim asim sada kia tu ne

Kitne apne hain hum begaane se

- Khan M. Asim...09/03/2008...5:45 PM...in train...Mumbai to Hyderabad..!

Tuesday, March 04, 2008

!!! Khauf !!!


Ik ajab khauf se dil ghabrata hai

Jab tera naam diwaaron se ubhar aata hai

Phir mere lafze baghavat ko hain woh dete dawat

Jab koi saaya teri simt ubhar aata hai

Teri baaton ko guftaar samajh lun kasie

Dard dil se aankhon mein utar aata hai

Ik tere dum se mehfil ko munnawwar samjha

Aaj har simt andhera hi nazar aata hai

Tu nahin saath rahegi umar bhar yun hi

Bas yahi sochte waqt guzar jaata hai

Haan, tere naam pe ilzam na aane denge

Ishq dushnaam hawaon se darr jaata hai

Kitna roka, sanbhalta nahin ASIM lekin

Tere chin jaane ke khauf se mar jaata hai...!

- Khan M. Asim…03/03/2008...9:30 PM...Train...