Tuesday, May 17, 2016

Khizaan raseedah..!

Kuch waqt ke liye baandh rakha tha
Magar ab yeh baandh toot raha hai
Sabar ka paimana labrez hai
Kuch jazbaat chalakne ko Hain
Kuch ehsaas pighalne ko Hain
Nason mein chubhte alfaaz
Yeh khinchao, yeh tanao
Koi aatish fishan ubalne wala hai
Zeest-e-la-makaan
Sanf-e-naazuk,
Vaadeh, muhabbat
Aur hazaar afsaane
Pur-asraar, na-maloom mustaqbil
Khauf ke saaye
Kisi kazdam se daste lamhe
Nakaami ke manazir,
Bekaari ke sawaal
Aur shikast khordah jawaab
Mann o tu ka shash o panj
Ek khila
La-mehdood safar
Na-umeedi o beem
Yaas, udaas,
Mausam-e-bahaar
Magar dil,
Khizaan raseedah..!
- Khan M. ASIM... 24/12/2015... 10:07 PM..!

No comments: